RAMAZAAN KE QAZA ROZE SE PEHLE SHAWWAL KE 6 ROZE RAKHNE KA HUKAM


RAMAZAAN KE QAZA ROZE SE PEHLE SHAWWAL KE 6 ROZE RAKHNE KA HUKAM
Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif, KSA
Romanised: Khadija Muhammadi

Ramazaanul Mubarak Aur Shawwal Ke Mauqe Par Kasrat Se Yah Sawaal Aata He Ke Jin Aurto Ke Ramazaan Ke Kuch Roze Uzar Ki Wajah Se Chhut Gae Hai Kiya Woh Shawwal Me Pehle Un Chhute Hue Rozo Ki Qaza Kare Gi Ya Qaza Se Pehle Bhi Shawwal Ke Nifli 6 Roze Rakh Sakti Hai? Uzar(Safar,Bimari) Ki Wajah Se Mardo Se Bhi Ramazaan Ke Roze Chhut Jate Hai Unka Bhi Masala He Ke Woh Farzi Rozo Ki Qaza Se Pehle Shawwal Ke Nifli Roze Rakh Sakte Hai Ya Nahi?

Is Masala Me Ahle Ilm Ke Darmiyaan Ikhtilaaf He Baaz Kehte Hai Ke Pehle Ramazaan Ke Chhute Hue Rozo Ki Qaza Karni Hogi Tab Hi Shawwal Ke Roze Rakh Sakte Hai Aur Kuch Kehte Hai Ke Nahi,Qaza Se Pehle Shawwal Ke 6 Roze Rakh Sakte Hai. Mene Jaha Tak Is Masala Ko Samjha He Is Lihaaz Se Mera Maanna He Ke Jis Ke Zimma Ramazaan Ke Qaza Roze Hai Woh Pehle Qaza Kare Fir Shawwal Ke 6 Roze Rakhe. Daleel Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Mandarja Zail Farmaan He:
عَنْ أَبي أَيوبِ ، أَنَّ رسولَ اللَّهِ ﷺ قَالَ: مَنْ صَامَ رَمَضانَ ثُمَّ أَتَبَعَهُ سِتًّا مِنْ شَوَّالٍ كانَ كصِيَامِ الدَّهْرِ (رواهُ مُسْلِمٌ:1164)
Tarjumah:- Abu Ayyub Ansari RA Se Rivayat He Ke Unhone Bayaan Kiya Ke Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Jis Ne Ramazaan Ke Roze Rakhe Fir Uske Baad Shawwal Ke 6 Roze Rakhe To Yah Hamesha Roze Rakhne(Ke Sawaab) Ki Tarah Hai.
Ham Sabhi Yah Jaante Hai Ke Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Ke Kalaam Me Ajaaz Aur Jamiiyat He Aap Ke Kalamaat Ki Jamiiyat Par Deen Ka Inhisaar He Aur Qayamat Tak Ronuma Hone Wale Masaail Is Khubi Ki Wajah Se Hal Hote Rahenge Aap Ke Farmaan Ka Ek Ek Lafz Hikmat Aur Basirat Se Bharpoor He Isi Liye Ham Dekhte Hai Ke Ek Ek Hadees Ki Shara Me Mustaqeel Kitaab Likhi Gai He.
Shawwal Ke Nifli Rozo Se Mutalliq Aap Ke Farmaan Ke Jame Kalmaat Bhi Mazkoorah Masala Ki Haqeeqat Waazeh Karte Nazar Aate Hai Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Farmate Hai من صام رمضان Ke Jis Ne Ramazaan Ka Roza Rakha Yani Ramazaan Ka Mukammal Roza Rakha Aage Farmate Hai ثم اتبعه ستا من شوال. Fir Ramazaan Ke Rozo Ke Baad Shawwal Ke 6 Roze Rakhe کان کصیام الدھر۔ Uske Liye Saal Bhar Roza Rakhne Ka Sawaab He.
Is Hadees Me Waarid Alfaaz Par Gaur Kare Aur Zaire Gaur Masala Ki Haqeeqat Maloom Kare.
(1) من صام رمضان
Ke Kalimaat Me Ramazaan Ke Mukammal Roze Daakhil Hai Yani Jis Ne Ramazaan Ka Mukammal Roza Rakha.
(2) ثم اتبعه ستا من شوال.
Ke Kalimaat Me Summa Ka Lafz Tarteeb Ke Taur Par He Muraad He Ramazaan Ke Rozo Ke Baad Is Baat Ko Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ke Jame Kalma اتبعه Ne Mazeed Muakkid Kar Diya He Yani Muttabe Wahi Kehlaae Ga Jo Ramazan Ka Mukammal Roza Rakhne Ke Baad Shawwal Ka Roza Rakhe Ga Kuy Ke Muttabe Kehte Hai Piche Chalne Wale Ko Usi Se Ittib'a/ Tabe/Taba Tabaeen Ke Alfaaz Nikle Hai. Ittib'a Ka Matlab He Allah Aur Uske Rasool Ke Piche Chalna,Tabaeen Yani Sahaba Ke Baad Aane Wale Aur Taba Tabaeen Unke Baad Aane Walo Ko. Isi Liye Allah Moamino Ko Allah Aur Uske Rasool Se Aage Barhne Se Mana Kiya He Farmaan E Ilaahi He.
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ لَا تُقَدِّمُوا۟ بَيْنَ يَدَىِ ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ إِنَّ ٱللَّهَ سَمِيعٌ عَلِيمٌ. (الحجرات:1)
Tarjumah:- Ay Imaan Walo Allah Aur Uske Rasool Ke Aage Na Barho Aur Allah Se Darte Raha Karo Yaqeenan Allah Sunne Wala Janna Wala He.
(3) کان کصیام الدهر.
Jo Ramazaan Ka Mukammal Roza Rakhne Ke Baad Shawwal Ke 6 Roze Rakhe Ga Use Saal Bhar Roze Rakhne Ka Ajar Mile Ga Chunancha Saubaan RA Se Rivayat He Ke Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
عَنْ ثَوْبَانَ مَوْلَى رَسُولِ اللهِ - صلى الله عليه وسلم - قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ - صلى الله عليه وسلم -: (" صِيَامُ شَهْرِ رَمَضَانَ , بِعَشَرَةِ أَشْهُرٍ , وَصِيَامُ سِتَّةِ أَيَّامٍ) (بَعْدَ الْفِطْرِ) (بِشَهْرَيْنِ , فَذَلِكَ صِيَامُ سَنَةٍ) ({صحيح الجامع:٣٨٥١)
Tarjumah:- Ramazaan Ke Roze 10 Mahino Ke Barabar Hai Uske Baad 6 Roze 2 Mahino Ke Barabar Hai Us Tarah Se Pure Saal Ke Roze Bante Hai.
Is Wazaahat Ke Baad Hadees Ke Alfaaz ثم اتبعه Se Maloom Hota He Ke Jis Ne Ramazaan Ka Mukammal Roza Rakha Fir Uske Baad Shawwal Ke 6 Roze Rakhe Use Saal Bhar Ka Sawaab Mile Ga. Usi Tarah Jis Ke Zimma Ramazaan Ke Chand Roze Baqi Ho Woh Pehle Ramazaan Ke Fautshuda Roze Rakhe Fir Shawwal Ke 6 Roze Rakhe Usko Bhi Mazkoorah Ajar Mile Ga Kuy Ke Usne Hadees Ke Mutaabiq Pehle Ramazaan Ka Mukammal Roza Rakh Liya Aur Uske Baad Shawwal Ke 6 Roze Ko Mila. Yaha Par Summa Ka Lafz Usi Tarteeb Ke Liye Aur Baad Ke Mani Me Aaya He Agar Aap Summa Ko Tarteeb Aur Baad Ke Mani Me Nahi Manenge To Quraan Aur Hadees Ke Bahut Sare Nusoos Me Mani Badal Jaaenge Ek Hadees Se Misaal Paish Karta Hu Is Se Andazah Lagaae Ke Summa Se Mani Me Kiya Farq Paida Hota He?
Huzaifah Bin Yamaan RA Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Se Rivayat Karte Hai Ke Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
لا تقولوا ما شاء الله وشاء فلان ولكن قولوا ما شاء الله ثم شاء فلان.(صحيح ابي داؤد:٤٩٨٠)
Tarjumah:- Tum Aysa Na Kaho: Jo Allah Chaahe Aur Fula Chaahe Balke Aysa Kaho: Jo Allah Chaahe Fir Fula Chaahe.
ما شاء الله وشاء فلان.
Wale Jumle Me Allah Ke Sath Gairullah Ki Shirkat Ho Jati He Is Liye Is Kalaam Se Mana Kiya Gaya Aur Waaw Ki Jagah Summa Lagane Se Shirkat Khatam Ho Jati He Kuy Ke Yah Baad Ke Mani He Is Liye Summa Ke Sath Kehna Jaiz He.

Jab Aap Ne Yah Baat Jaan Li Ke Jis Ke Zimma Ramazaan Ke Roze Baqi Ho Agar Woh Shawwal Ke Rozo Ka Mazkoorah Ajar Lena Chaahe To Pehle Un Rozo Ki Qaza Karni Hogi Fir Shawwal Ke Roze Rakhenge. Ab Chand Bate Mazeed Jaan Le Jo Is Masala Me Itminaan Ka Bais He Fir Us Par Waarid Hone Wale Atiraaz Ka Mukhtasar Jawaab Bhi Dunga.
*
Shawwal Ke 6 Roze Nifli Hai Unka Rakhna Zaroori Nahi He Is Liye Jis Ke Haq Me Yah Roze Bais E Mashaqqat Ho Woh Na Rakhe Aur Isme Pareshan Hone Ki Zaroorat Nahi He Ham Dekhte Hai Ke Shawwal Me Bhi Bahut Sare Ko Safar/ Bimari/ Haiz/ Nifaas Ka Uzar Laahiq Ho Jata He Aur Woh Yah Roza Nahi Rakh Sakte Hai.

* Isme Koi Shak Nahi He Ke Bila Uzar Bhi Ramazan Ke Chhute Rozo Ki Qaza Shaban Tak Muakhkhar Kar Sakte Hai Lekin Agar Shawwal Ke 6 Rozo Ka Makhsoos Ajar Lena Chaahte Hai To Pehle Qaza Roze Rakhne Hai Kuy Ke Hame Ayse Hi Hukam Mila He.

* Jis Ne Ramazaan Ke Roze Rakh Liye Ya Chhute Rozo Ki Baad Me Qazaai Kar Ke Pure Kar Le Ge Usne Allah Ki Taraf Se Aaid Ki Gai Zimma Dari Ko Ada Kar Diya Allah Use Un Rozo Ka Pura Pura Badla De Aur Shawwal Ke Nifli Roze Na Rakhne Se Ramazan Ke Roze Me Koi Kami Waqe Nahi Hogi.

* Jo Hamesha Shawwal Ke Roze Rakhta Raha Magar Kisi Saal Un Rozo Ko Rakhne Ki Khawaahish Ke Dushwari Ke Bawajood Paidaari Ho Gai Aur Woh Na Rakh Saka To Allah Niyyat Ke Mutaabiq Sawaab Dega.

* Ramazaan Ke Rozo Ki Qaza Se Pehle Uske Siwa Shawwal Ke 6 Roze Deegar Nifli Roze Rakhe Ja Sakte Hai Maslan Somwaar,Jumeraat Ke Roze Ayyam Beez Ke Roze,Zilhijja Ke Roze Aashura Ka Aur Arfa Ka Roza. Yaha Par Mazkoorah Masala Me Qaza Ka Talluq Sirf Shawwal Ke 6 Roze Se He Deegar Nifli Rozo Se Nahi Kuy Ke Shawwal Ke Rozo Ki Tarah Dusre Nifli Rozo Ke Sath Tarteeb Ka Zikar Nahi He Balke Aam He.

* Jo Ahle Ilm Qaza Rozo Se Pehle Shawwal Ke 6 Roze Rakhne Ke Qaail He Woh Bhi Yah Maante Hai Ke Qaza Wale Roze 2chando Yani Jin Ki Qaza Aasaan Ho To Pehle Unki Qaza Kar Li Jaae Fir Shawwal Ke Roze Rakhe Jaae Unke Yaha Mashaqqat Ki Surat Me Qaza Se Pehle Nifli Ka Jawaaz Paish Kiya Jata He Kuy Ke Qaza Me Wus'at He Jab Ke Waqti Nafil Rozo Me Wus'at Nahi He.

Ab Un Atiraaz Ki Haqeeqat Jaante Hai Jo Is Masala Me Ahle Ilm Ki Taraf Se Manqool He Aur Lambe Khauf Ke Bais Sirf Aham Atiraaz Aur Unke Mukhtasar Jawaab Par Hi Iktifa Karunga.
(1)
Ek Aham Atiraaz Aaisha RA Ke Amal Se Waarid Hota He Ke Woh Ramazaan Ke Qaza Roze Shaban Me Rakhti Thi. Abu Salma Bayan Karte Hai Ke Mene Aaisha RA Se Suna Woh Farmati Hai
كان يكون علي الصوم من رمضان فما أستطيع أن اقضي الا في شعبان.(صحيح البخاري:١٩٥٠)
Tarjumah: Mujh Par Ramazaan Ke Jo Roze Qaza Hote The To Me Unki Qaza Karne Ki Istita'at Nahi Rakhti Thi Magar Shaban Me.
Is Asar Ke Alfaaz Par Gaur Kare Unme Kahi Mazkoor Nahi He Ke Aaisha RA Ne Ramazaan Ki Qaza Se Pehle Shawwal Ke 6 Roze Rakhi Hai Is Liye Yah Hadees Is Baat Ki Qatai Daleel Nahi Ban Sakti Ke Qaza Se Pehle Shawwal Ka Roza Rakhna Sahih He Uske Liye Khaas Daleel Chaahiye Aap RA Ka Arfa Ka Roza Rakhna Mana Ke Hukam Me Nahi He Kuy Ke Nafs Masala Ka Talluq Sirf Shawwal Ke 6 Rozo Se He Jaisa Ke Mene Upar Zikar Kiya He Mazeed فما استطیع Ke Alfaaz Se Isharah Milta He Ke Aap Ko Nifli Rozo Ki Istita'at Ziyadah Nahi Milti Aur Mumkin He Ke Shawwal Ke Rozo Ke Liye Bhi Istitaat Ka Saboot Milta He.

(2) Ek Atiraaz Yah Hota He Ke Jis Shakhas Se Ramazaan Ke Chand Roze Chhut Gae Unka Shawwal Me Qaza Karna Bhi Ramazaan Ka Mukammal Roza Rakhne Wala Nahi Kaha Jaae Ga Uska Jawaab Yah He Ke Ramazaan Ke Roze Ada Aur Qaza Dono Surat Me Ramazan Ka Mukammal Rozah Rakhne Wala Qaraar Paae Ga,Yaha Asal Masala Ramazaan Ke Rozo Ko Shawwal Ke Rozo Par Taqddum Ka He Jo Ada Qaza Ke Sath Sach Aa Raha He.

(3) Ek Atiraaz Yah Bhi Kiya Jata He Ke Shawwal Ke Rozo Se Mutalliq Dusri Rivayat Me Tarteeb Yani Summa Ka Zikar Nahi He Uska Jawaab Yah He Ke Ek Hadees Dusri Hadees Ki Wazaahat Karti He Is Lihaaz Se Jis Hadees Me Tarteeb Ka Zikar Nahi He Usko Summa Ke Lafz Se Khaas Kiya Jaae Ga Yahi Usool E Hadees He.

(4) Ek Atiraaz Yah Bhi He Ke Qaza Rozo Me Wus'at He Use Shaban Tak Rakha Ja Sakta He. Jab Ke Shawwal Ke 6 Rozo Me Wus'at Nahi He Uska Ek Jawaab Yah He Ke Shawwal Ke 6 Rozo Me Bhi Ek Month Ki Wus'at He Aur Dusri Baat Yah Ke Shariat Jis Baat Ko Kisi Amar Se Khaas Kar De Usko Us Tarah Anjaam Dena Chaahiye Misaal Ke Taur Par Kisi Ko Ishraaq Ki Namaaz Se Haj Aur Umrah Ka Ajar Haasil Karna He To Fajr Ki Namaaz Jama'at Se Parhne Aur Usi Jagah Betha Suraj Nikalne Tak Zikar Karne Ki Shariat Ne Qaid Lagaai He Is Liye Bagair Jama'at Ke Fajr Parhne Wala Mard Ya Ghar Me Namaaz Fajr Parhne Wali Aurat, Suraj Nikalne Ke Baad 2 Rakat Ada Kare To Mazkoor Ajar Nahi Mile Ga.

(5) Ek Atiraaz Yah Kiya Jata He Ke Jo Pehle Shawwal Ke Roze Rakh Le Aur Baad Me Qaza Roze Rakhe To Woh Bhi Nafs Masala Se Mutalliq Sahih Bukhari Ki Mazkoorah Hadees Me Daakhil He Jaisa Ke
من صام رمضان ايمانا واحتسابا...
Wali Hadees Aur Deegar Daleel Se Maloom Hota He. Iska Jawaab Yah He Ke Aam Nas Ki Roshni Me Shawwal Ka Roza Manfiq Kar Ke Uzar Ke Tahat Chand Roza Chhorne Wala Bhi
من صام رمضان
Me Daakhil He Lekin Jab Ramazaan Ko Shawwal Ke Rozo Se Jorhte Hai To Pata Chalta He Ke Is Ke Liye Hasr Aur Qaid Aaya He Lihaza Muqaiyyad E Nas Ko Aam Nas Par Qiyaas Karna Sahih Nahi He.

Aakhir Me Guzarish He Ke Mujhe Dalaail Se Ji Mauqaf Qawiul Istidlaal Maloom Hua Usko Dalaail Se Waazeh Kar Diya He Agar Aap No Dusre Ahle Ilm Ke Mauqaf Par Itminaan Ho To Usi Par Amal Kare Aur Tazabzub Ka Shikaar Na Ho.
 

Similar threads


Top