Forum Ke Rules


Staff Member

Member
Staff member
Islaah e Ummat Forum Mein Aap Ka Isteqbaal Hai. Islaah e Ummat Forum Salaf e Saliheen Ke Manhaj Par Quran o Hadees Ko Phailane Ka Ek Zariya Hai.


Forum Ke Rules:

Forum Par Multiple User Id Allow Nahi Hai Agar Koi Multiple Id Use Karta Huwa Paaya Gaya To Sakht Action Liya Jayega.

Forum Par Kisi Bhi Tarah Ki Spamming Ya Kisi Doosre Forum/Website Ki Advertisement Allow Nahi Hai.

Yeh Ek Roman Urdu Forum Hai. Is Liye Yahan Sirf Roman Urdu Mein Hi Posting Karne Ki Ijazat Hai. Han Quran Ki Ayat Aur Hadees Ko Aap Arabic Mein Likh Sakte Hain. Iske Alawah Urdu, Arabic Aur English Waghera Mein Posting Karna Mana Hai. Khilaaf Warzi Karne Par Aap Ke Content Aur Posts Waghera Ko Delete Kar Diya Jaayega.
Agar Aap Ko Urdu Mein Intrest Hai To Yeh Do Forum Visit Karen:
Urdu Majlis Forum
Mohaddis Forum

Forum Par Apna Personal Info (Name, Phone number Aur Address Waghera) Kisi Member Ke Saath Share Na Karen, Han Agar Aap Kisi Member Par Trust Karte Hon To Aapki Marzi Hai Lekin Personal Info Share Karne Se Aapko Koi Pareshani Hui To Forum Us Ka Zimmedar Nahi.

Aap Log Apni Raaye (Opinion) Ko Quran o Hadees Ki Roshni Mein Bayan Karen. Aur Haq Wazeh Ho Jaane Ke Baad Haq Ko Qabool Karen.

Forum Par Kisi Shakhsiyyat Ko Tanqeed Ka Nishaana Banana Ya Kisi Mazhab Ka Mazaq Udaana Sakht Mana Hai. Han Aap Apni Baat Quran o Hadees Ki Roshni Mein Adab Ke Saath Likh Sakte Hain Aur Kisi Ki Tardeed Kar Sakte Hain.

Yeh Ek Deeni Forum Hai. Yahan Siyasat (Politics), Khel Kood (Sports) Aur Tafreeh Waghera Jaise Articles Share Karna Sakht Mana Hai.

Takfeer Ka Masla Bohot Nazuk Hota Hai Is Liye Forum Par Takfeer Ke Masle Mein Behas Waghera Karna Mana Hai.

Quran o Hadees Aur Salaf e Saliheen Ke Fehm Ke Khilaaf Books, Literature Aur Articles Likhna Ya Copy Paste Karna Mana Hai. Han Aap Quran o Hadees Ke Dalail Ki Roshni Mein Discuss Kar Sakte Hain.

Agar Aap Forum Par Koi Article Waghera Share Kar Rahe Hain Jo Aapki Nahi Hai To Us Par Article Likhne Waale Ka Name Aur Jis Website Se Copy Kiya Hai Us Ka Link Zaroor Lagayen. Isi Tarah Forum Par Lagi Kisi Bhi Post Ya Article Ko Aap As It Is Share Kar Sakte Hain Lekin Share Karte Waqt Article Likhne Waale Ka Naam Zaroor Likhen Aur Website Ka Link Quote Karen.

Forum Par Gaali Dena, Ek Doosre Ka Mazaaq Udaana Aur Abusing Karna Sakht Mana Hai. Ek Doosre Se Husn e Zann Rakhen. Yeh Na Bholen Ki Aap Ek Musalman Hain.

Yeh Ek Deeni Forum Hai Is Liye Yahan Personal Ladaayi Na Karen. Kisi Bhi Member Ko Takleef Na Den. Unhein Inbox Mein Bura Bhala Na Kahen. Agar Aisa Kiya To Aapko Ban Kiya Jaa Sakta Hai.

Kisi Bhi Mu’amle Mein Forum Ka Faisla Aakhiri Hoga. Kisi Bhi Post Ya Article Waghera Mein Changing Karne Ya Usey Delete Karne Ka Poora Ikhtiyaar Staff Ko Hai.

Kisi Bhi Staff Member Ke Saath Badtameezi (Misbehaving) Bilkul Bhi Bardasht Nahi Ki Jaayegi. Agar Aap Ko Kisi Bhi Staff Member Ki Koi Baat Ghalat Lage To Admin Se Uski Shikayat Karen.

Posts Upar Zikr Kiye Gaye Rules Ke Mutabiq Honi Chahiye. Agar Koi Aisi Post Hai Jo Rules Ke Khilaaf Hai To Aisi Soorat Mein Ya To Rules Ke Mutabiq Post Mein Islaah Kar Di Jaayegi Ya Phir Member Ko Personal Massage Kar Ke Bataya Jaayega. Agar Member Islaah Kar Leta Hai To Post Ko Baaqi Rakha Jaayega.

Forum Par Kalimah Padhne Waale Musalmanon Ki Jaan Aur Maal Ko Halal Qarar Dene Waale Kisi Bhi Qism Ke Content Ke Share Karne Ki Ijazat Nahi Hai. Takfeer, Khurooj Aur Musalmanon Mein Aapsi Jung Waghera Ke Baare Mein Kisi Bhi Tarah Ki Posts Share Karna Sakht Mana Hai. Khilaaf Warzi Ki Soorat Mein Membership Khatm Kar Di Jaayegi.
 
Last edited by a moderator:

Similar threads


Top