MAIYYAT KI TARAF SE RAMAZAAN KE CHHUTE HUE ROZO KI QAZA


MAIYYAT KI TARAF SE RAMAZAAN KE CHHUTE HUE ROZO KI QAZA
Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah
Islamic Dawah Center Taif, KSA
Romanised: Khadija Muhammadi

MAIYYAT KE ROZI KI CHAND AQSAAM HAI:
(1)
Aysa Maiyyat Jis Ne Qasadan Ramazaan Ka Koi Rozah Hi Nahi Rakha Aur Woh Na Namaaz Ka Paband Raha Aur Na Hi Rozo Ka. Ayse Mareez Ke Chhute Hue Rozo Ki Koi Qaza Aur Koi Fidya Nahi He Kuy Ke Woh Namaaz Aur Rozah Ka Taarik He Jis Ka Hukam Kaafir Ka He.

(2) Aysa Maiyyat Jo Namaaz Aur Rozah Ka Paaband Ho(Rozah Aur Namaaz Ke Farz Hone Ka Qaail Ho) Magar Gaflat Aur Susti Ki Wajah Se Isne Ramazaan Ke Chand Roze Amadan Chhora Ho Sahih Qaul Ke Mutaabiq Uske Rozo Ki Qaza Wareseen Ke Zimma He.

(3) Aysa Maiyyat Jo Hameshgi Wala Bimaar Ho Ya Badi Umar Ki Wajah Se Rozah Na Rakh Sakta Ho To Har Rozah Ke Badle Use Zindagi Me Hi Fidyah Dena Chaahiye Tha Magar Is Waqt Kisi Wajah Se Nahi De Saka To Wafaat Ke Baad Uske Wareseen Maiyyat Ke Maal Me Se Jo Rozah Ke Badle Ek Miskeen Ko Aadha Sa'a Anaaj Sadqa Kare.

(4) Aysa Maiyyat Jise Wafaat Se Pehle Achanak Ramazaan Me Bimaari Laahiq Ho Gai Aur Isi Bimaari Me Mubtala Ho Kar Wafaat Pa Gaya Use Rozah Qaza Karne Ki Mohlat Nahi Mili To Ayse Mareez Ki Jaanib Se Wareseen Par Na Rozah He Na Fidiyah Kuy Ke Maiyyat Ma'zoor He. Chaahe Maiyyat Se Ramazaan Ke Pure Roze Chhute Ho Ya Aakhir Ke Chand. Yahi Hukam Haiz Aur Nifaas Ki Haalat Me Chhute Roze Aur Baad Me Uski Mohlat Na Pane Ka Bhi He Yani Qaza Ki Mohlat Naseeb Na Hui Wafaat Ho Gai.

(5) Aysa Maiyyat Jis Ne Ramazaan Me Safar Ya Bimaari Ya Haiz Aur Nifaas Ya Hamal Aur Raza'at Ya Kisi Uzar Ki Wajah Se Chand Rozah Chhora Ho Aur Ramazaan Ke Baad Uski Adaaegi Ki Mohlat Mili Magar Kisi Wajah Se Qaza Nahi Kar Saka To Wafaat Ke Baad Maiyyat Ke Wareseen Me Se Koi Ek Ya Chaahe To Sabhi Mil Kar Maiyyat Ke Chhute Hue Roze Rakh Le Yah Jaiz Aur Mashru He Taaham Yah Baat Bhi Ilm Me Rahe Ke Agar Fidiyah Bhi De Diya Jaae To Kifaayat Kar Jaae Ga. Isi Tarah Yah Bhi Hukam He Ke Agar Maiyyat Ke Rishta Daar Me Se Koi Rozah Na Rakh Sakta Ho Ya Rozah Rakhne Wala Koi Maujood Na Ho To Bhi Fidiyah De Diya Jaae Ga.

(6) Maiyyat Ke Zimma Kaffaaraat Ke Roze Ho To Uski Bhi Qaza Ki Jaae Gi.

(7) Maiyyat Ke Zimma Nazar Ke Roze Ho To Bila Ikhtilaaf Uski Qaza Deni Hogi.

(8) Maiyyat Ki Taraf Se Aam Nifli Roze Nahi Rakhe Jaaenge Yani Maiyyat Ke Iysaal E Sawaab Ke Liye Nafli Roze Rakhna Jaiz Nahi He.

(9) Aysa Aadmi Jis Ne Ramazaan Ka Chand Din Ya Unme Rozah Rakha Aur Fir Darmiyaan Me Faut Ho Gaya To Faut Hone Ke Waqt Se Le Kar Ramazaan Ke Aakhir Tak Jo Rozah Maiyyat Nahi Rakh Saka Uski Qaza Nahi He Kuy Ke Maiyyat Ke Ramazaan Ke Yah Din Paae Hi Nahi Aur Ramazaan Ka Rozah Uske Liye He Jo Ramazaaan Paae.

Upar Aap Ne Maiyyat Ke Rozo Ko 9 Aqsaam Ka Ilm Haasil Kiya Unme Se Kuch Aqsaam Ayse Hai Jin Me Maiyyat Ki Taraf Se Rozo Ki Qaza He Aur Kuch Aqsaam Me Rozo Ki Qaza Nahi He. Ab Yaha Yah Baat Jaan Le Ke Maiyyat Ki Taraf Se Ramazaan Ke Chhute Hue Rozo Ke Qaza Se Mutalliq Ahle Ilm Ke Darmiyaan Ikhtilaaf Waaqe Hua He Kuch Ke Nazdeek Maiyyat Ki Taraf Se Chhute Hue Ramazaan Ke Rozo Ki Qaza Karni He Jab Ke Kuch Ahle Ilm Ne Rozo Ke Bajaae Fidiyah Dene Ki Baat Kahi He.
Dalaail Ki Roshni Me Maiyyat Ki Taraf Se Chhute Hue Farz Rozo Ki Qaza Jawaaz Aur Uski Mashruiyat Saabit Hoti He Lihaza Chand Dalaail Mulahiza Farmaae. Allah Ka Farmaan He:
فمن كان منكم مريضا اؤ على سفر فعدة من ايام اخر.(سورة البقرة:١٨٤)
Tarjumah:- Aur Jo Koi Mareez Ho Ya Musaafir Ho To Dusre Dino Me Ginti Puri Kare.
Yah Aayat Batlaati He Jab Aadmi Ko Chhute Rozo Ki Mohlat(Ayyam E Ukhar) Mile To Qaza Kare Aur Mohlat Milne Ki Bawajood Qaza Na Kar Saka To Maiyyat Ka Wali Qaza Kare. Us Se Yah Baat Bhi Maloom Hoti He Ke Jis Maiyyat Ko Apne Rozo Ki Qaza Ki Mohlat Na Mili Uske Chhute Hue Rozo Ki Qaza Ya Fidya Waaris Par Nahi He.
Aur Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
من مات وعلیہ صیام صام عنہ ولیه.(صحيح البخاري:١٩٥٢،صحيح مسلم:١١٤٧)
Tarjumah: Jo Shakhas Is Haalat Me Faut Ho Ke Uske Zimma Roze The To Uski Taraf Se Uska Wali Rozah Rakhe Ga.
Yaha Wali Se Muraad Sarparast Waaris Yani Baap,Bhai,Beta,Cha cha Zaad Bhai Ya Qareebi Rishta Daar Me Se Koi Bhi He. Yah Hadees Apne Mani Aur Mafhum Me Aam He Jo Nazar Aur Farz Rozo Ko Shaamil He. Isme To Koi Ikhtilaaf Nahi He Ke Maiyyat Ke Zimma Agar Nazar Ke Roze Ho To Uska Waaris Qaza Kare Ga Ikhtilaaf Sirf Usme He Ke Maiyyat Ke Farz Roze Jo Ramazaan Ke Hai Uski Qaza Kare Ga Ke Nahi?
Mazkoorah Hadees Ki Sahat Me Koi Ikhtilaaf Nahi He Kuy Ke Bukhari Aur Muslim Ki He Isi Tarah Sahihain Ki Yah Rivaayat Bhi Daleel He.
جاء رجلٌ إلی النبیِّ صلَّی اللہُ علیہِ وسلَّمَ فقال : یا رسولَ اللہِ ! إنَّ أمی ماتت وعلیہا صومُ شہرٍ . أفأقضیہِ عنہا ؟ فقال ” لو کان علی أمکَ دَیْنٌ ، أکنتَ قاضیہِ عنہا ؟ ” قال : نعم . قال ” فدَیْنُ اللہِ أحقُّ أن یُقضی ” .(صحیح مسلم:1148)
Tarjumah:-Ek Aadmi Nabi E Akram Sallallaahu Alyhi Wasallam Ke Paas Aa Kar Kaha:Ay Allah Ke Rasool! Meri Maa Faut Ho Gai He Aur Uske Zimme Ek Maah Ke Roze Hai Kiya Me Uski Taraf Se Qaza Karu?To Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Agar Tumhari Maa Par Qarz Hota To Kiya Uski Taraf Se Ada Na Karta,Kaha Ha. To Nabi Ne Kaha Ke Allah Ka Qarz Qaza Kiye Jane Ka Ziyadah Haq Rakhta He.
City Ke Lafz Se Gaalib Gumaan Yahi He Ke Saail Ne Apni Maa Ke Chhute Hue Ramazaan Ke Roze Ki Babat Hi Sawaal Kiya Ho Kuy Ke Ramazaan Ka Roza Ek Mahina Ka Hota He Jis Ki Yaha Saum E Shahr Se Tabeer Ki Gai He. Un Ahaadees Ke Alawah Musnad E Ahmed Ki Ek Rivaayat Me Saaf Lafz Ramazaan Ki Qaza Zikar He.
أتتہُ امرأۃٌ فقالت : إنَّ أمی ماتت وعلیہا صومُ شہرِ رمضانَ أَفَأَقْضِیہِ عنہا قال : أرأیتُکِ لو کان علیہا دَیْنٌ کنتِ تقضیہِ قالت : نعم قال : فَدَیْنُ اللہِ عزَّ وجلَّ أَحَقُّ أن یُقْضَی( مسند أحمد)
Tarjumah: Ek Aurat Nabi E Akram Sallallaahu Alyhi Wasallam Ki Khidmat Me Haazir Hui Aur Arz Ki Meri Ammi Faut Ho Gai He Un Par Ramazaan Ke Ek Mahine Ke Roze Hai Kiya Me Unki Taraf Se Qaza Karu? Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Tumhara Kiya Khayaal He Agar Us Par Qarz Hota To Tum Ada Karti? To Unhone Kaha: Ha,Aap Ne Farmaya: Allah Ka Qarz Adaaegi Ka Ziyadah Haq Rakhta He.
Kuch Muhaddeseen Ne Ramazaan Ka Lafz Naqal Karne Walo Ki Khata Qaraar Diya He Magar Allama Ahmed Shakir Ne Musnad E Ahmed Ki Tehqeeq Me Is Lafz Ko Saabit Mana He Aur Uski Sanad Ko Sahih Qaraar Diya He. Dekhe. Almusnad: Tehqeeq Ahmed Shaakir:5/141)
Yah Hadees Sahih Muslim Me Bhi Waarid Me He Magar Waha Ramazaan Ka Lafz Nahi He Saum Shahr Aaya He Aur Pehle Batla Chuka Hu Ke Saum Shahar Se Bazaahir Ramazaan Hi Muraad Hai Is Hadees Se Zaahiran Maloom Hota He Ke Yah Do Alag Alag Waqia Hoga Ek Martaba Aurat Ne Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Se Sawaal Hua Aur Woh Dusri Martaba Mard Ne Sawaal Kiya Ho. Agar Ramazaan Ka Lafz Saabit Maan Liya Jaae Jaise Ke Kuch Nuskhon Me He To Fir Ikhtilaaf Ki Gunjaaish Hi Nahi Rehti Masala Hal Ho Jata He Ke Maiyyat Ke Chhute Hue Ramazaan Ke Qarz Roze Qaza Kiye Jaaenge Muqtademeen Aur Muakhkhereen Ulma Me Se Bahut Se Ayse Mauqaf Ke Qaail He Magar Baaz Aasaar Se Maloom Hota He Ke Baaz Sahaba Maiyyat Ki Taraf Se Ramazaan Ke Roze Ki Qaza Ke Qaail Na The. Magar Fidiya Dene Ke Qaail The Niche Un Dalaail Ka Jawaab Diya Ja Raha He Jin Se Istidlaal Karte Hue Maiyyat Ki Taraf Se Qarz Rozo Ki Qaza Ka Inkaar Kiya Jata He.

Mane'een Ke Chand Dalaail Aur Unke Jawaabat
(1) Daleel Aur Uska Jawaab:-

من مات و علیہ صیام صام عنہ وليه.
Wali Rivayat Nazar Se Mutalliq Hai Jaisa Ke Is Rivaayat Ki Raviya Aaisha RA Se Dusri Hadees Me Ramazaan Ke Rozo Ki Qaza Ki Nafi He. Woh Asar Is Tarah Se He:
عن عَمرۃَ: أنَّ أمَّہا ماتَت وعلیْہا مِن رَمضانَ فقالَتْ لعائشۃَ: أقضیہِ عنْہا ؟ قالَت: لا، بَل تصدَّقی عنْہا مَکانَ کلِّ یومٍ نصفَ صاعٍ علی کلِّ مسْکینٍ.
Tarjumah: Amru Se Rivayat He Ke Unki Maa Faut Ho Gai Us Par Ramazaan Ke Roze Baqi The Usne Aaisha RA Se Pucha Kiya Me Apni Maa Ki Taraf Se Unki Qazaai Du?Aap Ne Farmaya: Nahi,Balke Har Roze Ke Badle Kisi Miskeen Par Ek Sa'a Gandoom Sadqa Kar.
Jawaab: Awwalan من مات Wali Rivayat Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He Jo Ke Aam He Nez Usme Maiyyat Ke Chhute Hue Rozo Ke Mutalliq Qaidah Bayaan Kiya Ja Raha He Aur Dusri Rivaayat Farmaan E Rasool Nahi He Balke Asar He Asar Yah Hadees Ko Tarjeeh Di Jaae Gi Aur Is Haisiyat Se Bhi Tarjeeh Di Jaae Gi Ke Yah Ek Sahabiya Ki Samjh He Jo Farmaan E Rasool Ke Niche He. Sath Hi Asar Ke Mutalliq Shaikh Albani Ne Likha He Ke Uski Sanad Ko TarKamani Ne Sahih Magar Baiyhaqi Aur Asqalaani Ne Zaeef Kaha He Aur Uski Koi Dusri Sanad Nahi He.(Ahkaamul Janaaiz:215)

Dusri Daleel Aur Uska Jawaab:Hadees Me He Ke Maiyyat Ki Taraf Se Koi Namaaz Na Parhe Aur Na Hi Roza Rakhe.
لا يصوم أحد عن أحد ولا يصلى أحد عن أحد.(مشكوة)
Tarjumah:- Koi Kisi Ki Taraf Se Na Roza Rakhe Aur Na Koi Kisi Ki Taraf Se Namaaz Parhe.
JAWAAB: Pehli Baat Yah He Ke Yah Rivayat Munqate Hai Jaisa Ke Shaikh Albani Ne Kaha He.(Takhreej Mishkaatul Masaabih:1977) Dusri Baat Yah He Ke Kuch Muhaddeseen Ne Mauqufan Sahih Kaha He Jaisa Ke Mubarak Puri RH To Uske 2 Jawaab Honge Pehla Jawaab Yah Hoga Ke Yah Zindah Aadmi Ke Mutalliq He Koi Zindah Aadmi Kisi Zindah Aadmi Ki Taraf Se Na Rozah Rakhe Aur Na Hi Namaaz Parhe. Dusra Jawaab Yah Hoga Ke Koi Zindah Aadmi Maiyyat Ki Taraf Se Namaaz Na Parhe Aur Nifil Rozah Na Rakhe.

Teesri Daleel Aur Uska Jawaab: Ibne Umar Ki Raae Yah He Ke Maiyyat Ki Taraf Se Ramazaan Ke Rozo Ki Qaza Nahi He.
عَنْ ابْنِ عُمَرَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّہِ صَلَّی اللَّہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ مَنْ مَاتَ وَعَلَیْہِ صِیَامُ شَہْرٍ فَلْیُطْعَمْ عَنْہُ مَکَانَ کُلِّ یَوْمٍ مِسْکِینٌ(ترمذی: 6441، ابن ماجہ:1757)
Tarjumah: Abdullah Bin Umar RA Se Rivaayat He Ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Jo Shakhas Is Haal Me Faut Ho Jaae Ke Uske Zimma Aur Ramazaan Ke Roze Ho To Uski Taraf Se Har Din (Ke Roze)Ki Jagah Ek Miskeen Ko Khana Khilaya Jaae.
JAWAAB:- Yah Rivayat Zaeef He Is Se Istidlaal Nahi Kiya Jaae Ga. Dekhe(Zaeef Ibne Majah:347,Takhreej Mishkaatul Masaabih:1976,Zaeeful Jame:5853, Zaeef Tirmizi:718)
Yaha Ek Aham Nuqta Samjh Le Ke Is Hadees Ko Ibne Majah Ne Baab Man Maat Wa Alyhi Siyaamun Ramazaan Was Farata Fiyhi.(Baab: Jis Shakhas Ke Zimma Kotaahi Ki Wajah Se Ramazaan Ke Roze Baqi Ho Aur Woh Qaza Kiye Bagair Faut Ho Jaae(Ke Tahat Zikar Kiya He Jab Ke Is Rivaayat Me Ramazaan Ka Lafz Nahi Siyaam Shahar Ka Lafz He. Is Se Yah Baat Maloom Hui Hoti He Ke Upar Zikr Karda Muslim Sharif Ke Alfaaz Saume Shahar Se Muraad Aur Ramazaan Ke Roze Hi Hai Jis Ki Qaza Ka Hukam Diya He Aur Yah Hukam E Nabawi Sallallaahu Alyhi Wasallam He Is Hukam Ke Samne Kisi Ki Faham Ya Qiyaas Par Amal Nahi Kiya Jaae Ga.

(4) DALEEL Aur Uska Jawaab: Ibne Abbas RA Ki Raae Yah He Ke Maiyyat Ki Taraf Se Ramazaan Ka Rozah Qaza Nahi Kiya Jaae Ga.
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: إِذَا مَرِضَ الرَّجُلُ فِی رَمَضَانَ، ثُمَّ مَاتَ وَلَمْ یَصُمْ, أُطْعِمَ عَنْہُ، وَلَمْ یَکُنْ عَلَیْہِ قَضَاءٌ ، وَإِنْ کَانَ عَلَیْہِ نَذْرٌ, قَضَی عَنْہُ وَلِیُّہُ .(ابوداؤد:2401)
Tarjumah: Ibne Abbas RA Ka Qaul He Ke Jab Koi Shakhas Ramazaan Me Bimaar Ho Aur Fir Faut Ho Gaya Aur Roze Na Rakh Saka To Uski Taraf Se Khana Khila Diya Jaae Us Par Qaza Nahi He Agar Usne Nazar Mani Thi To Uski Wali Qaza De.
JAWAAB:- Is Hadees Ko Shaikh Albani RH Ne Sahih Abu Dawood Me Shumaar Kiya He Yah Bhi Asar He Aur Ek Sahaabi Ki Apni Faham Se Zaahir Si Baat He Ke Farmaan E Rasool Ke Hote Hue Kisi Qaul Ki Taraf Iltifaat Nahi Kiya Jaae Ga.
Agar Masala Yah He Ke Koi Ramazaan Me Bimaar Ho Gaya Aur Is Bimaari Me Wafaat Ho Gai To Uski Qaza Nahi He Na Hi Kaffarah He Jaisa Ke Upar Bayan Kar Diya Gaya He Us Asar Me Bhi Is Baat Ka Zikar He Reh Gai Fidiyah Dene Ki Baat To Yah Maiyyat Ki Taraf Se Sadaqah Shumaar Hoga Jo Alag Alag Dalaail Se Saabit Be Unke Alawah Mazeed Kuch Aur Dalaail Paish Kiye Jate Hai Magar In Se Istidlaal Kamzor Hone Aur Khauf E Tiwalat Ki Wajah Se Sirf Nazar Kiya Jaae Ga.
Agar Masala Yah He Ke Koi Ramazaan Me Bimaar Ho Gaya Aur Usi Bimaari Me Wafaat Ho Gai To Uski Qaza Nahi He Na Hi Kaffarah He Jaisa Ke Upar Bayan Kar Diya Gaya He Is Asar Me Bhi Is Baat Ka Zikar He Reh Gai Fidiyah Dene Ki Baat To Yah Maiyyat Ki Taraf Se Sadaqah Shumaar Hoga Jo Alag Alag Dalaail Se Saabit He. Unke Alawah Mazeed Kuch Aur Dalaail Paish Kiye Jate Hai Magar Unse Istidlaal Kamzor Hone Aur Khauf E Tiwalat Ki Wajah Se Sirf Nazar Kiya Jata He.

Khulasa Kalaam Aur Raajeh Qaul Yah He Ke Maiyyat Ki Taraf Chhute Hue Ramazaan Ke Farz Roze Qaza Kiye Jaaenge Yah Masala Mansoos Aur Jaiz Aur Mashroo He. Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Use Maiyyat Ka Qarz Qaraar Diya He Aur Qarz Ki Adaaegi Isi Shakal Me Ada Karna Ula He Jis Shakal Ka Qarz He Yani Maiyyat Ke Zimma Rozah Ka Qarz Baqi He To Uske Wareseen Rozah Ki Qaza De Kar Us Qarz Ko Utaare. Sath Hi Yah Baat Bhi Barhata Hu Agar Maiyyat Ke Wareseen Me Se Koi Rozah Na Rakh Sake Ya Na Rakhna Chaahe Ya Rozah Rakhne Wala Koi Maujood Hi Na Ho To Fidiyah Ada Kar Diya Jaae Ga. Aakhri Baat Yah Jaan Le Ke Aysi Koi Marfu Hadees Nahi He Jis Me Kaha Gaya Ho Ke Ramazaan Ke Rozo Ki Qaza Nahi He Albatta Sahih Marfu Ahaadees Se Yah Saabit Hota He Ke Maiyyat Ke Chhute Hue Ramazaan Ke Farz Rozo Ki Qaza He Is Masale Ke Sath Sab Se Upar Bayan Karda Maiyyat Ke Rozo Ko Aqsaam Ki Bhi Dhiyaan Rahe.
 
Top