Kya hamein nafarmani ki saza nahi milti?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya hamein nafarmani ki saza nahi milti?

Arabic se Tarjumah: Mohammad Shahid yaar Mohammad Sanabili

Romanised by: Umar Asari

Kisi shagird (student) ne apne ustaaz (teacher) se kaha: Hum raat din Allah ﷻ ki nafarmani karte hain magar Allah ﷻ hamein saza nahi deta.

Ustaaz e mohtaram ne jawab diya: Aisi baat nahi balki Allah ﷻ hamein bahut si sazayen deta hai magar hamein us ka ehsas nahi hota.

✾Dekho Allah ki sazayen kya hoti hain:✾
① Munajat e ilaahi ki lazzat se mehroomi: Kya Rabb se munajat ki lazzat tum se cheen nahi li gayi?

② Qasawat e qalbi (Dil ki sakhti): Is se badi saza kya ho sakti hai ke insaan ka dil sakht ho jaaye?

③ Ek badi saza yeh bhi hai ke tumhein nekiyon ki taufeeq bahut kam mile?

④ Tilawat e Quran se ghaflat:
Kya aisa nahi hota ke din ke din guzar jaate hain magar tilawat e Quran ki taufeeq nahi milti balki kabhi kabhaar Quran ki yeh aayat sunte hain jis mein Allah ﷻ ne farmaya ke “Agar yeh Quran pahad par nazil hota to Allah ﷻ ke khauf se rezah rezah ho jaata”. Hum yeh Ayat sunte hain magar hamaare dilon par koi asar nahi hota?

⑤ Tahajjud se mehroomi: Lambi lambi raatein guzar jaati hain magar kabhi Tahajjud ki taufeeq nahi milti?

⑥ Nekiyon ke mausam e bahaar ki naqadri: Nekiyon ke mausam e bahaar aate aur guzar jaate hain jaise Ramadhan ke Roze, Shawaal ke Roze aur Zul-Hijjah ke Mubarak ayyaam waghera....... magar un mausam mein kama huqqahu (jaisa ki haqq hai waisi) ibadat karne ki taufeeq nahi milti is se badi saza aur kya ho sakti hai?

⑦ Ibadat ko bojh mehsoos karna: Kya tum ibadat ko bojh nahi mehsoos karte?

⑧ Zikr e ilaahi se la parwahi: Kya Allah ﷻ ke zikr se tumhari zabaan khamosh nahi rehti?

⑨ Kya nafsaani khwahishaat ke saamne khud ko kamzor nahi mehsoos karte?

⑩ Duniya ki mohabbat:
Kya tum maal o daulat aur mansab o shohrat ki beja hirs o lalach mein mubtala nahi ho? Is se badi saza aur kya ho sakti hai?

⑪ Kabeera gunaahon ko mamooli samjhna: Kya aisa nahi ke tum bade bade gunaahon ko mamooli aur haqeer samajhte ho jaise jhoot gheebat chughli?

⑫ Kya aksar awqaat tum fuzool aur laa-ya’ni cheezon mein mashghool nahi rehte?

⑬ Aakhirat se ghaflat:
Kya tum ne aakhirat ko bhula kar duniya ko apna sab se bada maqsad nahi bana liya hai?

Yeh saari mehroomi aur be taufeeqi bhi Allah ki taraf se azaab aur sazayen hain magar tumhein is ka ehsas nahi hota.

Yaad rakho Allah ﷻ ka yeh bahut mamooli azaab hai jise hum apne maal o aulaad aur sehat mein mehsoos karte hain aur haqeeqi azaab aur sab se khatarnaak saza woh hai jo dil ko milti hai.

Is liye Allah se aafiyat ki dua mango aur apne gunaahon ki mu’afi talab karo kiunki gunah ke sabab bandah ibadat ki taufeeq se mahroom kar diya jaata hai.
 

Similar threads


Top