“Aankhen agar hon band to phir din bhi raat hai, Is mein bhala qusoor hai kya aftaab ka.”


Umar Asari

Administrator
Staff member
“Aankhen agar hon band to phir din bhi raat hai,
Is mein bhala qusoor hai kya aftaab ka.”

Tehreer: Umar Asari Sanabili

Pehle socha ke kya likhun ke jahaalat-o-nadaani ko ahmiyat dene ka koi faida nahi lekin logon ne israar (insist) kiya aur kaha ke “Ab paani sar se ooncha ho gaya hai” lehaza un ke kehne par yeh kuch jumle Nadeem Burhanpoori saheb aap ke liye likhne ki koshish kar raha hun is ummeed ke saath ke aap apni islaah ki koshish karenge.
Sab se pehle yeh ke aap apni haisiyat na bhoolein ke aap ek “Aami” hain lehaza “Aami” ke jaisa bartaao karen.
Doosre yeh ke kya aap ko ulama par ta’an ka nuqsaan nahi ma’loom? Kya aap Nabi ﷺ ke tareeqe se hatna chaahte hain? Agar nahi to Nabi-e-Akram ﷺ ke is farmaan par zara gaur karen:
ليس من أُمتي من لم يُجِلَّ كبيرَنا، ويَرحَمْ صغيرَنا، ويعرِفْ لعالمِنا​
Tarjumah: Jo shakhs hamaare badon ki ta’zeem nahi karta, hamaare chhoton par shafqat nahi karta aur hamaare ulama ki qadr nahi karta woh meri ummat mein se nahi.
(Sahih-ut-Targheeb Lil-Albani, Hadees No: 101)

Kya aap ko qiyamat ki muflisi se darr nahi lagta? Nabi ﷺ ne farmaaya tha:
أَتَدْرُونَ مَا الْمُفْلِسُ؟ قَالُوا: الْمُفْلِسُ فِينَا مَنْ لَا دِرْهَمَ لَهُ وَلَا مَتَاعَ. فَقَالَ: إِنَّ الْمُفْلِسَ مِنْ أُمَّتِي يَأْتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ بِصَلَاةٍ وَصِيَامٍ وَزَكَاةٍ، وَيَأْتِي قَدْ شَتَمَ هَذَا، وَقَذَفَ هَذَا، وَأَكَلَ مَالَ هَذَا، وَسَفَكَ دَمَ هَذَا، وَضَرَبَ هَذَا؛ فَيُعْطَى هَذَا مِنْ حَسَنَاتِهِ، وَهَذَا مِنْ حَسَنَاتِهِ، فَإِنْ فَنِيَتْ حَسَنَاتُهُ قَبْلَ أَنْ يُقْضَى مَا عَلَيْهِ؛ أُخِذَ مِنْ خَطَايَاهُمْ فَطُرِحَتْ عَلَيْهِ، ثُمَّ طُرِحَ فِي النَّارِ​
Tarjumah: Kya tum jaante ho ke muflis kaun hai? Sahaba ne kaha: Hamaare nazdeek muflis woh shakhs hai jis ke paas na dirham ho, na koi saaz-o-samaan. Aap ﷺ ne farmaaya: Meri ummat ka muflis woh shakhs hai jo qiyamat ke din Namaz, Roza aur Zakat le kar aayega aur is tarah aayega ke (duniya mein) us ko gaali di hogi, us par bohtaan lagaaya hoga, us ka maal khaaya hoga, us ka khoon bahaaya hoga aur us ko maara hoga, to us ki nekiyon mein se us ko bhi diya jaayega aur us ko bhi diya jaayega aur agar us par jo zimma hai us ki adaayegi se pehle us ki saari nekiyaan khatm ho jaayengi to un ke gunaahon ko le kar us par daala jaayega, phir us ko jahannam mein phenk diya jaayega.
(Sahih Muslim, Hadees No: 2581)

Kya aap ko nakaami se darr nahi lagta? Abu Sinaan Al-Asadi Rahimahullah farmaate hain:
إذا كان طالب قبل أن يتعلم مسألة في الدين يتعلم الوقيعة في الناس؛ متى يفلح؟​
Tarjumah: Jab talib-e-ilm deen ka koi masla seekhne se pehle ulama par ta’an ko seekhega to kaise kamyaab hoga?
(Tarteeb-ul-Madaarik Taba’ Awqaaf-ul-Maghrib: 4/104)

Mujhe darr hai ke kahein aap Malik bin Dinaar Rahimahullah ke qaul ke haqdaar na ho jaayen! Unhon ne farmaaya tha:
كَفَى بِالْمَرْءِ شَرًّا أَنْ لَا يَكُونَ صَالِحًا، وَهُوَ يَقَعُ فِي الصَّالِحِينَ​
Tarjumah: Aadmi ke bura hone ke liye yahi kaafi hai ke woh khud nek na ho aur nek logon ki aib-joi (aur gheebat) kare.
(Shu’ab-ul-Imaan Lil-Baihaqi Taba’ Ar-Rushd: 9/121, Hadees No: 6358)

Kya aap ko is ki sangeeni aur khatarnaaki ka andaza nahi??? Zara Imam Ahmad bin Azra’ee Rahimahullah ke qaul par bhi ghaur farmaa len:
الوقيعة في أهل العلم ولا سيما أكابرهم من كبائر الذنوب​
Tarjumah: Ahl-e-ilm ki mazammat-o-tauheen khaas taur se unke akaabir ki, kabeerah gunaahon mein se hai.
(Ar-Radd-ul-Wafar Li-Ibn-e-Nasir-ud-Deen Ad-Dimashqi: 283)

Aur Imam Ibn-e-Mubarak Rahimahullah farmaate hain:
من استخف بالعلماء ذهبت آخرته​
Tarjumah: Jis ne ulama ki tauheen ki uski aakhirat barbaad ho gayi.
(Siyar-o-A’laam An-Nubalaa Liz-Zahbi: 8/408)

Janab mujhe aap ka yeh dohra rawayyah pasand nahi aaya ke jab koi Yazeed Rahimahullah par sabb-o-shatam aur ta’an karta hai to aap “تِلْكَ أُمَّةٌ قَدْ خَلَتْ لَهَا مَا كَسَبَتْ وَلَكُمْ مَا كَسَبْتُمْ وَلَا تُسْأَلُونَ عَمَّا كَانُوا يَعْمَلُونَ” (yeh jama’at to guzar chuki, jo unhon ne kiya woh un ke liye hai aur jo tum karoge tumhaare liye hai. Un ke a’maal ke baare mein tum nahi pooche jaaoge.) aur “لَا تَسُبُّوا الْأَمْوَاتَ” (jo log mar gaye un ko bura na kaho) jaise dalaail ko pesh kar ke un ka difa’ karte hain jo ke ek achcha amal hai lekin aap khud in dalaail ko bhula kar ek faut shudah alim par ta’an kar rahe hain? Un par sabb-o-shatam karte huwe un se mohabbat ka dawa karne waalon ko Mal’oon Mirza Ghulam Ahmad Qadyani ke muqallideen ke mushaabeh qaraar de rahe hain? Yeh kaisa amal hai? Rukiye janab mujhe aap ki is baat (bakwaas) par hairat-o-afsoos ka izhaar kar lene dijiye ke ek Ahl-e-Hadees bhi is tarah ki himmat kar sakta hai? Aur yahan mujhe ek sher bhi padh lene dijiye ke woh aap par fit hota nazar aata hai:
Bak raha hun junon mein kya kya kuch

Aap ek aise alim jo ke barr-e-sagheer ke nahi un ki baaton ko bunyaad bana kar na jaane kaise kaise ilzamaat ki barish kar rahe hain aur khud barr-e-sagheer ke ulama ke ta’reefi aqwaal ko bhula baithe hain?
Aap ko agar do chaar khutbe mil gaye to aap alim nahi ban gaye hain aur na aap kuch munaazre kar ke munazir ho gaye hain ke aap hamein bataayein ke kaun alim kaisa hai. Yeh to kibaar ulama aur mutakhassiseen ka maidaan hai woh zaroorat samjhenge to kisi par naqd karenge aur zaroorat mehsoos nahi karenge to nahi karenge.
Janab! Ghalati kis se nahi hoti hai??? Batayen!!! Kya aap se ghalati nahi hoti??? Agar haan aur yaqeenan haan to kya ghalati ki islaah la’n ta’an aur sabb-o-shatam kar ke ki jaati hai??? Woh bhi kisi ki wafaat ke baad???? Janab yeh kaam aap ulama par chhod den aur khud ko aise kaam ka mukallaf na banaayen jis ke aap mukallaf nahi!
Yaad rakhen aap ka har har amal record ho raha hai. Lehaza Allah ﷻ ke paas jawab dene ke ehsaas ko zindah karen aur apne waqt ko mufeed kaamon mein lagaayen aur ulama khaas taur se kibaar ulama par zabaan daraazi se bachen.
Aakhir mein jo is tarah har kisi ki baaton ko ahmiyat de kar us ko us ke maqsad mein kamyaab karte hain un logon se guzaarish hai ke is tarah ke logon ki baaton ko ahmiyat na diya karen aise logon ke ta’an se kisi alim ki ’izzat nahi ghat jaati. Aise logon ko agar aap ahmiyat nahi denge to do chaar lafz bol kar khud hi khamoosh ho jaayenge.
Bada afsoos huwa yeh dekh kar ke hamaare kuch ikhwaan difa’ karte huwe gaaliyon se jawab de rahe hain. Aur kuch ikhwaan to radd mein itne tezz hote hain ke koi bhi shakhs kuch kehta hai fauran naam le kar Social Media par us ka radd karna shuru kar dete hain. Yaad rakhen yeh radd waghera ulama ka kaam hai aap ka nahi. Ulama ko munasib lagega to kisi ka radd karenge warna nahi. Aur yeh bhi na bhoolen ke ulama door andesh hote hain. Hasan Basari Rahimahullah farmaate hain:
الفتنةُ إذا أقبلت عرفها كل عالم، وإذا أدبرت عرفها كل جاهل​
Tarjumah: Jab fitnah aata hai to har alim use pehchaan leta hai, aur jab chala jaata hai to jahil ko pata chalta hai ke yeh fitnah tha.
(At-Tareekh-ul-Kabeer Lil-Bukhari: 4/322, Tabaqaat Ibn-e-Sa’d: 9/166)
╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾

Is article ko urdu mein padhne ke liye is link par jaayen:
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top