JASHN-E-EID MILAD


JASHN-E-EID MILAD​
Al-Hamdu Lillah Wassalatu Wassalamu Ala Rasoolillah Wa Ala Aalihi Wa Ashabihi Wasallim Amma Ba'ad:

Mujoda daur me Ahmed Raza Khan Barelvi(Deth:1921) ko apna rehnuma maan-ne wale Barelvi Hazraat har saal ke qamri mahine me "Rabi-ul-Awal" me SYIDINA RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki wiladat mubarek ka jashn aur juloos: jhandiyo, bijli ki roshni waghairah ki soorat me bataur-e-sawab samajh kar manate hai. halanke QURAN O HADIS ,Ijma, Khair-ul-Quroon aur Salaf Salehin ke Aqwal se sabit nahi hai. NABI-E-KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki wafat ke kai saal ba'ad ye "EID MILAD" ejad howi hai.

Saudi Arab ke jalil-ul-Qadr Mufti Al-Faqiyah Al-Shaikh Muhammad Bin Saleh Bin Usaimeen rahmatullahi-alaih farmate hai:
"EID MILAD" ki bid'at to chohti sadi hijri me shuro howi. pahli teen afzal sadyo me is ka naam O nishan naa tha. Agar "EID MILAD" haq hoti to ibtidai sadyo ke musalman bhi yaqinan is ka hum se badh kar ehtemam farmate. Agar aap hubbe RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ked awe me sche hai to AAP sallallahu alaihi wasallam ki ittiba kijiye kioke AAP sallallahu alaihi wasallam ki ittiba aur pairwi hi sarapa khair O bhalai hai lihaza musalman bhai! AAP sallallahu alaihi wasallam ki pairwi ko ikhtiyar kijiye aur in bid'at ko tark kardijiye.

Ta'ajjub hai ke baaz log is bid'at ka is qadar ehtemaam karte hai goya sab se bada wajib aur farz kaam ho, likin NABI-E-KAREEM sallallahu alaihi wasallam se sabit shudah Sahih Sunnato ke bare me be had susti ka muzahira karte hai, lihaza is tarze amal se ALLAH TALA ki baargaah me taubah karte howe kahna chahiye ki "SAMI'ANA WA ATA'ANAA" ['hum ne sunaa aur ita'at ki'], (Fatawa Islamiyah:1/147)

Yaad rahe ke Barelvi hazraat ke chahne wale bhi is "Eid Milad" "BID'AT" hi taslim karte hai magar "BID'AT-E-HASANAH" kah'kar aam aur sadah musalmano ko bhatkane ki koshish karte hai, Misaal ke taur par "JASHN-E-EID MILAD – By-: Dr Tahir-ul-Qadri, page:15 ko padhiye (tama dhoka baziya saamne ajaigi).

Aap ki khidmat me arz hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلاَلَةٌ))
"Aur har bid'at gumrahi hai" (Sahih Muslim, kitabul Juma, bab:
khutbah aur namaze juma ko mukhtasar karke padhne ka bayan, Hadis No.867/43 Darussalm No.2005)

Syidina Abdullah Bin Omer raziallahu-anhuma bayan farmate hai:
((حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ، أَنْبَا وَكِيعٌ، عَنْ هِشَامِ بْنِ الْغَازِ، أَنَّهُ سَمِعَ نَافِعًا، يَقُولُ: قَالَ ابْنُ عُمَرَ:"كُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ وَإِنْ رَآهَا النَّاسُ حَسَنًا"))
"Har bid'at gumrahi hai khawah log isay 'BID'AT-E-HASANAH' khiyaal karte ho" (Assaunah lil-Marwazi, Hadis No.82, wa sanadoho "SAHIH")

Tamam Barelvi "Ulama" aur "Waizeen" ki khidmat me muadibanah arz hai ke kiya 'Rasm O riwaj ki tarah manai jane wali "EID MILAD" qaulan O felan sabit hai'? kiya is ka suboot RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasalam ke kisi qaul ya SAHABAH razaillahu-anhum ajmain ke qaul se ya TABIAN UZZAM aur SALAF SALEHIN rahmatullahi ajmain ke aqwal se sabit hai sabit hai? agar nahi hai to aap log kio manate hai?.

n​

Tahreer: Abu Saqib Muhammed Safdar Hazrwi hafizahullah
Roman Scrip : Abu Umaimah Owais
[Maah Namaa al-Hadis Hazro (Shumarah No.12, Page:50)]
 

Similar threads


Top