Eid milad kay maujid?


Shona shaikh

Active member
Eid milad kay maujid?

Ahd'e NABWI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ahd'e SAHABA KARAM RADHIALLAHU ANHUM niyaz TABAEEN A'ZAM aur un kay baad kay adwar mein EID MILAD ka koi tasawur nahi tha balkay ye BIDA'AT bohat baad mein ijad hue ye eik aise haqeeqat hai iska inkar EID MILAD manany waly bhi nahi kar sakty, lehaza jab ye baat muslim hai kay is AMAL ki ijad baad mein hue tu humein ye zaror pata lagana chaiye kay iski ijad kab hue? Aur iskay ijad karny waly kaun log thay? Is silsilay mein jab hum tareekh ki warq girdani karty hain tu maloom hota hai kay is BIDA'AT ki ijad FATMI dour (362h-567h) mein hue aur isay ijad karny waly bhi FATMI KHULFA he thay.

Ahmed bin ali bin abdul qadir, abu'al abbas al'hussainy al'ubaidi, taqiudin al'muqrezi (845h) likhty hai:
Yani FATMI KHULFA kay han saal bhar mein kai tarha kay jashan aur mehfilo ka inakad hota tha aur wo ye hain, saal kay ikhtitam ka jashan, nae saal ka jashan, yum'e ashura ka jashan aur MELAD'UN NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka jashan.
(Al'khatat Al'muqreza 1/495)

Aur takreban yehi baat Ahmed bin ali bin ahmed al'farazi al'qalaqshandi sum al'qahiri (821h) ne kuch yun naqal ki hai:

Tesra julos RABI'UL AWAL ko MELAD'UN NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ko nikala jata tha is julos mein unka tareqa ye tha kay darul'fitra mein 20 qantar umda shakar se mukhtalif qism ka halwa tayyar kya jata aur pital kay 300 bartano mein dala jata aur jab MILAD ki raat hoti tu is halway ko mukhtalif arbab'rasoom maslan qazi'al'qaza, dai'al'dua, qur'a, wazaeen qahira aur misar ki jama'e masajid kay sadoor, mazaro kay mujawar aur nigra aur degar un logo mein taqseem kardya jata jin ka naam register mein hota.
(Sub'al'ashi 3/567)

Mazkora hawalo se maloom hua kay EID MILAD FATMI dour (362h-567h) mein ijad hue aur isay ijad karny waly FATMI KHULFA he thay, tafseel kay liye dekhiye (al'bida al'holya 137-151)

Ab ae dekhte hain is BIDA'AT ko ijad karny waly FATMI KHULFA haqeeqat mein kaun thay? Ye baat achi tarha samajh lene chahiye kay FATMI KHULFA AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki sahabzadi FATIMA RADHIALLAHU ANHA ki nasal se hargiz nahi thay balkay ye log YAHUDIO aur MAJOOSIO ki aulad thay aur ISLAM kay DUSHMAN thay unho ne ISLAM ko mitany kay lye ISLAM ka libada orh liya aur sarasar jhot aur fareeb ka sahara lete hue apny apko FATMI'UL NASAL zahir kya lekan ULMA'E WAQT ne un kay is jhoot ka parda chak kardya aur saaf elan kardya kay ye log FATMI'UL NASAL hargiz nahi hain. ILAMA IBN'E KHALQAN likhty hain:

Khandan aur nasb kay jan'ny waly MUHAQIQEEN ULMA ne inkay FATMI'UL NASAL honay kay daway ki tardeed ki hai.
(Wafiyat al-iyan 3/117-118)

Balkay 402h mein tu ahlesunnat kay akabir ki eik meeting hue jis mein choti kay MUHADISEEN, FUQHA, QAZIYAN aur degar buzurgan ne shirkat ki aur sub ne mutafiqa tor per ye faisla dya kay khud ko FATMI'UL NASAL zahi karny waly KHULFA jhotay aur makkar hain AHL'E BAIT se inka koi taaluq nahi hai, phir ULMA kay is mutafiqa faislay ko tehreer'i shakal mein likha gaya aur tamam logo ne us per dastakhat kiye.
(Al'bidaya wa'lnahya 11/360-361)
(Tareekh ibn'e kaseer 11/779-780)


ULMA ki is mutafiqa tehreer mein FATMIYO ki haqeeqat in alfaz mein wazeh ki:

Yani misar ka ye badshah hakim aur iskay tamam aglay sarbarhan KAFIR, FAJIR, FASIK, MULHID, ZANDEEQ firqa muatla se taaluq rakhny waly, ISLAM kay munkir aur mazhab majoosiyat aur saanoyat kay mautaqid thay, in tamam logo ne hudood'e shariya ko bekar kardya tha, haramkario ko mubha kardya tha, musalmano ka khoon bedardi se bahaya, anbiya karam ko gaaliya de, islaaf per laanty bheje, khudai kay daway kiye, ye sari baatein 402h kay har tabkay kay beshumar admio ki maujodgi mein likhi gae hain, aur bohat se logo ne is mein dastkhat kiye.
(Al'bidaya wa'lnahya 11/361)
(Tareekh ibn'e kaseer 11/779-780)


Isee per bus nahi balkay baaz ULMA ne apni baaz kitabo mein inkay kufur'o fasak per khusosi behas ki hai, IMAM GHAZALI ne apni kitab (Faza'e al-batniya) ek khusosi behas karty hue unhein khalis kafir qarar dya (Faza'e al-batniya 1/37)

Balkay baaz ULMA ne tu inkay khilaf mustaki kitab likh dali, IMAM QAZI ABU BAKAR AL'BAQLANI R.A ne (kashf'ul astar wahtak'ul astar) nami kitab likhir aur us mein sabit kya kay FATMI majoosio ki aulad hain aur unka mazhab yahood'o nasari kay mazhab se bad'tar hai.


Ye tu ULMA ahlesunnat ka faisla hai, lutf tu yeh kay wo muatizla aur shia jo ALI RADHIALLAHU ANHU se afzal kisi ko nahi samjhty unho be bhi FATMIYO ko kafir aur munafiq qarar dya hai (Majmoa fatawa ibn'e tammiya 35/129).


Garz ye kay jamhoor ummat ne unhein kafir'o fasik qarar dya hai, ILAMA IBN'E TAMMIYA R.A likhty hain:

Yani is tarha FATMIYO ka nasb bhi jhota hai aur ye baat sub ko maloom hai kay jamhoor ummat FATMIYO kay nasb ko ghalat qarar dete hain, aur kehte hain ye yahoodio aur majoosio ki aulad hain aur ye baat mashoor'o maroof hai iski gawahi HANFIYA, MALKIA, SHAFIYA, HANABLA, AHL'E HADEES, AHL'E KALAM kay ULMA nasb kay mahireen aur awam o khas sub dete hain.
(Majmoa fatawa ibn'e tammiya 35/128)

Mazkora tafseel se ye baat wazeh hogae kay EID MILAD ki ijad karny waly musalman na thay balkay ye yahoodio aur majoosio ki ijad hai unho be gehri sazish kar kay hukumat ki bag'dor sambhali aur apni haqeeqat chupany kay lye khud ko FATMI'UL NASAL kaha aur apnay is daway ko mazboot banany kay lye EID MILAD ka drama khela taky logo ko yaqeen hojae kay waqae ye log AHL'E BAIT mein se hain.

Musalmano mein is BIDA'AT ka riwaj

FATMI dour kay musalmano ne yahoodio ki ijad karda BIDA'AT ko qabool nahi kiya aur yeh BIDA'AT FATMI KHULFA tak he mehdood rahe, lekan takreban 200 saal kay baad UMAR BIN MUHAMMAD naam ka ek majhool'ul hal shaks zahir hua aur usne yahoodi BIDA'AT ki tajdeed ki aur ABU SAEED AL'MULK AL'MUAZAM MUZAFAR'UDIN BIN ZAIN'UDIN KOKABRI nami badsha jo eik fazool kharch aur bad'ikhlaq badsha tha lahu la'ab, ganay aur bajay sun'na uska masghala tha, balkay wo khud bhi nachta tha.
(Tareekh mar'a zaman, Wafiyat al-iyan 25-26)


Is bad'ikhlaq badsha ne is BIDA'AT ko musalmano mein raij kiya, uskay baad ABU AL'KHATAB BIN DAHIYA nami ek kazzab aur bad'dimagh shaks ne badsha ko khush karny kay liye is muzoh per ek kitab likh dali puri duniya mein is mauzoh per ye pehli kitab hai jisay is kazzab ne taleef ki is mualif ko tamam AIMA ne mutafiq ho kar kazzab kaha.

IBN'E NAJAR kehte hain:
Yani tamam logo ka is baat per itefaq hai kay IBN'E DAHIYA jhoota aur hadees'e gharnay wala hai, aur ye aise shaks se sun'nay ka dawah karta hai jis say hargiz nahi suna, aur aise shaks se mulaqat ka dawah karta hai jin say hargiz nahi mila.
(Lisan'ul Meezan 4/295)

Aur HAFIZ IBN'E HAJAR R.A is kay bary mein MUHADISEEN ka faisla naqal karty hain:

Yani IBN'E DAHIYA AIMA aur SALAF ki shan mein gustakhi karny wala tha, ye badzuban, ahmaq aur bara mutakbir tha.
(Lisan'ul Meezan 4/296)

HAFIZ SAYUTI R.A likhty hain:
IBN'E DAHIYA apni aqal se fatway de deta phir uski dalil talash karny lag jata aur jab usay koi dalil na milti tu apni taraf se hadees gharna shrow kardeta, magrib mein kasar karny ki hadees usnay ghari hai.
(Tadreeb'ul rawi 1/286)

Ye hai EID MILAD ki tareekh ye yahoodio ki ijad hai aur isay musalmano mein in logo ne raij kiya jo intehai bad'ikhlaq ahmaq aur kazzab log thay, agar koi srif inhi baato per gour karlay tu wo yaqenan yehi faisla karega kay ISLAM mein is BIDA'AT ki koi gunjaish nahi hai.
 

Similar threads


Top