Bimaari Aur Sadqah Aur Khairaat


Bimaari Aur Sadqah Aur Khairaat

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab
Romanised by Khadija Muhammadi

Bimaari Is Khaaliq Ki Taraf Se Hai Jis Ne Puri Kaainaat Banaai Zindagi Aur Maut Paida Farmaai Ham Insaan Ko Ek Behtareen Dhanche Me Tamam Makhluqaat Se Mumtaz Aqal Aur Samjh De Kar Banaya. Usi Ke Hath Me Hamari Science, Jisam Aur Jaa Aur Har Qisam Ki Harkaat Aur Saknaat Hai Woh Jab Chahta Hai Kisi Ko Bimaar Bana Deta Hai Aur Jab Chahta Hai Kisi Bimaar Ko Shifa De Deta Hai Us Liye Moamin Ka Imaan Yah Hona Chahiye Ke Sirf Wahi Akela Bimari Dene Wala Aur Shifa Yaab Karne Wala Hai Uske Siwa Sansaar Me Koi Zindagi Aur Maut Bimari Aur Shifa Par Zarra Barabar Bhi Qudrat Nahi Rakhta Hai. Bimaari Aazmaaish Ke Taur Par Aur Kabhi Gunaaho Ke Bais Aati Hai. Ham Kis Qadar Khush Naseeb Hai Ke Khushi Aur GAM Dono Me Hamare Liye Khair Ke Pehlu Hai Basharat Yah Ke Khushi Me Aur Gami Me Sabar Kare. Nabi SAV Farmaate Hai:
عجبا لأمر المؤمن ان أمره كله خير وليس ذاك لأحد إلا للمؤمن أن أصابته سراء شكر فكان خيرا له وان أصابته ضراء صبر فكان خيرا له.(صحيح المسلم:2999)
Tarjumah: Moamin Ka Mamla Ajeeb Hai Uske Liye Har Mamla Me Bhalaai Hai Aur Yah Baat Moamin Ke Siwa Kisi Aur Ko Maiyassar Nahi Use Khushi Aur KHUSHHAALI Mile To Shukar Karta Hai Aur Yah Uske Liye Achcha Hota Hai Aur Agar Use Koi Nuqsaan Pohnche To(Allaah Ki Raza Ke Liye)Sabar Karta Hai Yah Bhi Uske Liye Bhalaai Hoti Hai.
Allaah Ki Janib Se Neko Karo Ke Liye Ek Badi Khushi Yah Bhi Hai Ke Bimaari Ki Wajah Se Us Ne ki Ke Na Kar Samne Par Bhi Ajar Likha Jata Hai Jo Tandurasti Me Kiya Karta Tha,Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
إذا مرض العبد أو سافر كتب له مثل ما كان يعمل مقيما صحيحا.(صحيح البخاري:2996)
Tarjumah: Jab Bandah Bimaar Hota Hai Ya Safar Karta Hai To Uske Liye Un Tamam Ibaadat Ka Sawab Likha Jata Hai Jinhe Muqeem Ya Sahat Kr Waqt Yah Kiya Karta Tha.
Ham Me Jab Koi Bimaar Ho Jaae To Mayusi Ka Shikaar Na Ho,Apne Khaaliq Aur Maalik Par Pura Pura Bharosa Rakhe Bimaari Ke Liye Dr Se Ilaaj Karaae Allaah Se Shifa Yaabi Ki Dua Bhi Kare Aur Apne Gunaaho Se Taubah Kare.
Kabhi Kabhi Log Bimaari Ja Ilaaj Kara Kar Thak Jate Hai,Be Shumaar Rupiye Paise Kharch Kar Lete Hai Fir Bhi Bimaari Me Farq Nahi Hota Ayse Me Kuch Log Behad Maayusi Ka Shikaar Ho Jaate Hai,Kuch To Allaah Se Door Hi Jate Hai Aur Gairullaah Se Madad Mangna Shuru Kar Dete Hai. Yaad Rakhe Gairullaah Se Madad Mangna Ya Bimari Aur Musibat Ke Waqt Gairullaah Ki Pukarna Shirk E Akbar Hai Is Gunaah Ki Wajah Se Aadmi Islaam Se Nikal Jata Hai Aur Is Haal Me Marne Wala Hamesha Ke Liye Jahnnam Raseed Kiya Jaae Ga.
Bimaari Ke Waqt Ek Moamin Ka Shaiwah Ho Kr Allaah Par Pura Bharosa Rakhe,Usi Se Shifa Ki Ummid Lagaae Aur Taubah Aur Istigfaar Ke Sath Apne Rab Se Shifa Yaabi Ke Liye Dua Mange. Bimaari Lambi Ho Jaae Fir Bhi Na Ghabraae Sabar Aur Zabat Se Kaam Le Aur Yaqeen Kare Ke Hamara Rab Hamare Bare Me Ham Se Behtar Janta Aur Hikmat Aur Maslihat Se Bhara Faisla Karta Hai.
Is Mazmoon Me Batana Chahta Hu Ke Jis Tarah Allaah Dua Se Aur Masnoon Azkaar Aur Sharai Dam Karne Se Roohani Taur Par Shifa Naseeb Hoti Hai Isi Tarah Sadqah Aur Khairaat Bhi Bimaari Door Karne Ka Ek Roohani Ilaaj Hai. Ayse To Is Bare Me Ulma Se Mukhtalif QISAM Ke Roohani Tajrubaat Manqool Hai Magar Hame Rasool SAV Ke Farmudaat Me Bahaut Sare Dalaail Mil Jaate Hai Jin Ki Buniyaad Par Yah Baat Keh Sakte Hai Ke Bimaari Me Sadqah Karne Se Allaah Shifa Naseeb Farmata Hai. Is Baat Ko Misaal Se Is Tarah Samjhe Ke Ek Shakhas Blood Cancer Ke Bimaari Me Mubtila Hai Usne Apna Ilaaj Kaafi Karaya Magar Bimari Door Nahi Ho Raha Hai Ayse Me Mareez Ko Pehle To Sabar Jameel Se Kaam Lena Chahiye Kuy Ke Musibat Par Sabar Karna Bhalaai Hai ALLAAH Ki Taraf Sachche Dil Se Inaabat Karna Chaahiye Aur Samaj Me Maujudah Faqeer Aur Miskeen Aur Yateem Aur Naadaar Par Apna Maal Us Niyat Se Sadqah Karna Chahiye Ke Allaah Is Neki Ke Badle Bimaari Se Shifa De. Uski Daleel Ek Mashhoor Hadees Hai Jise Shaikh Albaani RH Ne Sahih Ul Jame Me Hasan Qarar Diya Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
داؤو مرضاكم بالصدقة.(صحيح الجامع:3358)
Tarjumah: Sadqah Ke Zariya Apne Marizo Ka Ilaaj Karo.
Dil Ki Sakhti Ek Bimaari Hai Uske Roohani Ilaaj Ke Liye Rasool SAV Ne Miskeen Ko Khana Khilaane Aur Yateem Ke Sar Par Hath Phairne Ko Kaha Hai. Aap SAV Ka Farmaan Hai:
ان اردت ان يلين قلبك فاطعم المسكين وامسخ رأس اليتيم.(صحيح الجامع: 1410)
Tarjumah: Agar Tum Apne Dil Ko Naram Karna Chahte Ho Miskeen Ko Khana Khilaao Aur Yateem Ke Sar Par Haath Phairo.
Agar Allaah Ki Narazgi Ya Gunaah Ki Wajah Se Bimaari Aai Hai To Sadqah Karne Se Allaah Ka Gussa Thanda Hota Hai Aur Sadqah Gunaaho Ko Bhi Mitata Deta Hai,Is Tarah Yah Bimaari Bhi Door Ho Sakti Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ان صدقة السر تطفئ غضب الرب تبارك وتعالى(صحيح النرغيب:888)
Tarjumah:Be Shak Poshida Taur Par Sadqah Karne Se Allaah Ka Gussa Thanda Ho Jata Hai.
Aur EK Dusri Hadees Me Hai,Nabi SAV Farmaate Hai:
والصدقة تطفئ الخطيئة كما يطفئ النار الماء.(صحيح ابن ماجه:3224)
Tarjumah: Aur Sadqah Hi Nahi Ko Usi Tarah Khatam Kar Deta Hai Jis Tarah Pani Aag Bujha Deta Hai.
Sadqah Zaalim Se Bhi Najaat Dilata Hai Chunacha Nabi SAV Ka Farmaan Ka Ek Tukda Hai:
وامركم بالصدقة فإن مثل ذلك كمثل رجل أسره العدو فاوثقوا يده إلى عنقه وقدموه ليضربوا عنقه فقال انا افديه منكم بالقليل والكثير ففدى نفسه منهم.(صحيح الترمذي:2863)
Tarjumah: Aur Tumhe Sadqah Dene Ka Hukam Diya Gaya Hai Uski Misaal Us Shakhas Ki Hai Jise Dushman Ne Qaidi Bana Liya Hai Aur Uske Haath Uske Gardan Se Mila Kar Bhand Diye bhai Aur Use Le Kar Chale Taaki Uski Gardan Uda De To Us Qaidi Ne Kaha Ke Mere Paas Thoda Ziyada Jo Kuch Maal Hai Me Tumhe Fidya De Kar Apne Ko Chhuda Lena Chahta Hu Fir Unhe Fidya De Kar Apne Aap Ko Aazaad Kara Liya.
Yah Bhi Yaad Rahe Ke Afzal Sadqah Bimari Se Pehle Dena Hai Kuy Ke Maut Ka Koi Thikana Nahi Aur Maut Ke Baad Aadmi Ka Maal Uske Wareseen Ka Ho Jata Hai Jaisa Ke Ek Sahabi Ne Rasool SAV Se Pucha Ke Sab Se Afzal Aur Bada Sadqah Kon Sa Hai To Aap SAV Ne Farmaya:
ان تصدق وانت صحيح شحيح تخشى الفقر وتأمل البقاء ولا تمهل حتى إذا بلغت الحلقوم قلت لفلان كذا ولفلان كذا وقد كان لفلان.(صحيح مسلم:1032)
Tarjumah: Tu Sadqah De Aur Tu Tandurast Ho Aur Harees Ho Aur Khauf Karta Ho Mohtaaji Ka Aur Ummid Rakhta Ho Ameeri Ki Woh Afzal Hai Aur Yaha Tak Sadqah Dene Me Dair Na Kare Ke Jab Jaan Halaq Me Aa Jaae To Kehne Lage Ke Yah Fulane Ka Hai Yah Maal Fulane Ko Do Aur Woh To Khud Ab Fulane Ka Ho Chuka Yani Tere Marte Hi Waaris Log Le Lenge.
Is Silsile Me Ek Sachcha Waqia Bayan Karna Chahta Hu Zahabi RH Ne Ibne Shafeeq Se Rivayat Kiya Hai Ke Woh Bayan Karte Hai Ke Mene Ibnul Mubarak Se Ek Aadmi Ke Bare Me Suna Jo Unse Apne Bimari Ke Bare Me Puchte Hai Jo 7 Year Se Ghutne Me Laahiq Tha Aur Mukhtalif Qisam Ka Ilaaj Kara Chuka Tha Aur Mukhtalif Qisam Ke Doctors Se Pucha Magar Un Logo Ki Koi Dawa Kaam Na Aai To Us Se Ibnul Mubarak Ne Kaha Ke Jaao Aur Ek Aysi Jagah Kunwa Khod Do Jaha Log Pani Ke Liye Mohtaaj Ho Mujhe Ummid Hai Ke Waha Se Chashma Nikle Ga To Tere Qadam Se Behne Wala Khoon Ruk Jaae Ga Us Aadmi Ne Aysa Hi Kiya Aur Allaah Ke Hukam Se Woh Thik Ho Gaya.(سیر العلام النبلاء 408/8)
Sadqah Karte Waqt Chand Bate Yaad Rakhni Chahiye
(1) Achche Maal Ka Sadqah Kare Jise Aap Khud Apne Liye Pasand Karte Ho Allaah Ka Farmaan Hai:
لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون وما تنفقوا من شيء فإن الله به عليم.(آل عمران:92)
Tarjumah: Jab Tak Tum Apni Pasandidah Chiz Se Allaah Ki Raah Me Kharch Na Karo Ge Hargiz Bhalaai Na Paao Ge Aur Tum Jo Kharch Karo Use Allaah Bakhubi Janta Hai.
(2) Sadqah Aelaan Kar Ke Nahi Balke Logo Se Chupa Kar Kare Yaha Tak Ke Apne Ghar Wale Aur Dosat Ahbaab Ko Bhi Khabar Na Ho Ayse Log Jo Chupa Kar Sadqah Karte Hai Qayamat Me Allaah Ke Arsh Ke Saya Tale Jagah Paaen Ge. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ورجل تصدق بصدقة فاخفاها حتى لا تعلم يمينه ما تنفق شماله.(صحيح مسلم: 1031)
Tarjumah: Aur Ek Aysa Aadmi Jo Us Tarah Chupa Kar Sadqah De Ke Right Ko Bhi Khabar Na Ho Ke Left Hand Ne Kya Kharch Kiya?
(3) Aap Nek Aadmi Ko Sadqah De Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
لا تصاحب إلا مؤمنا ولا ياكل طعامك إلا تقي.(صحيح ابي داؤد:4832)
Tarjumah: Moamin Ke Siwa Kisi Ko Sathi Na Banao Aur Tumhara Khana Siwae Parhez Gaar Ke Koi Aur Na Khaae.
Ek Dusri Jagah Farmaan E Rasool Hai:
نعم المال الصالح للمرء الصالح. (صحيح الأدب المفرد:229)
Tarjumah: Achcha Maal Achche Aadmi Ke Liye Kiya Hi Behtar Hai.
(4) Kisi Ko Sadqah Dene Ke Baad Us Par Ahsaan Na Jatlaae Allaah Ka Farmaan Hai:
يا أيها الذين آمنوا لا تبطلوا صدقاتكم بالمن والأذى كالذي ينفق ماله رئاء الناس ولا يؤمن بالله واليوم الآخر.(البقرة:264)
Tarjumah:Ay Imaan Walo Apne Sadqaat Ko Ahsaan Jatla Kar Aur Takleef Pohncha Kar Barbaad Na Karo Jis Tarah Woh Shakhas Jo Apna Maal Logo Ke Dikhawe Ke Liye Kharch Kare Aur Na Allaah Par Imaan Rakhe Air Na Qayamat Par.
KUCH BAATIL ATIQAAD PAR TAMBEEH:
(1) Kuch Log Khayal Karte Hai Ke Bimaari Jinnat Ya Ghar Par Kisi Muzi Saya Ki Wajah Se Hai Lihaza Janwar Zabah Karte Hai Aur Uska Khoon Bahate Hai Us ATIQAAD Ke Sath Uski Wajah Se Jinnat Ya Muzi Chiz Ka Shar Door Ho Jaae Ga Aur Taklif Door Ho Jaae Gi. Yah Aqeedah Baatil Hai.
(2) Isi Tarah Kuch Log Hifaz Ma Taqaddam Ke Taur Par Jinnat Aur Muzi Chiz Ke Shar Se Bachne Ke Liye Ghar Me Janwar Palte Hai Ya Janwar Is Maqsad Se Zabah Karte Hai Yah Atiqaad Bhi Baatil Aur Mardud Hai.
(3) Ayse Bhi Kuch Log Paae Jate Hai Jo New Ghar Me Dakhil Hote waqt Ghar Aur Ghar Walo Ki Salamti Ke Taur Par Janwar Zabah Karte Hai Ya Jinnat Ke Shar Se New Ghar Ki Hifazat Ke Liye Janwar Zabah Karte Hai Yah Sab Be Deeni Aur Shirk Ke Qabeel Se Hai Ha Agar Koi Ghar Ki Nemat Milne Par Khushi Se Logo Ko Dawat Deta Hai Ya Janwar Zubah Karta Hai To Usme Koi Harj Nahi Hai Allaah Hame Aysi Aazmaaish Me Na Mubtila Kare Jis Me Kamyabi Na Ho Sake Aur Hame Aysi Koi Bimaari Na De Jo Hamare Liye Fitnah Ka Sabab Ban Jaae.
Aameen
Ya Rabbal Aalameen.
 

Similar threads


Top