A'MAAL KI QUBOOLIYAT KE LIYE IKHLAAS KA HONA ZAROORI HAI


A'MAAL KI QUBOOLIYAT KE LIYE IKHLAAS KA HONA ZAROORI HAI

بسم الله الرحمن الرحيم

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

رُبَّ صَائِمٍ لَيْسَ لَهُ مِنْ صِيَامِهِ إِلَّا الْجُوعُ، ‌‌‌‌‌‏وَرُبَّ قَائِمٍ لَيْسَ لَهُ مِنْ قِيَامِهِ إِلَّا السَّهَرُ .

"Bohat se Rozah rakhne waale aise hain ke unko apne Rozey se bhook ke siwa kuch haasil nahin hota, aur bohat se raat mein Qiyaam karne waale aise hain ke unko apne Qiyaam se jaagne ke siwa kuch bhi haasil nahin hota."

[Sunan Ibn Maajah, Al-Siyaam, Hadees (Hasan): 1690]

FAWAAYED WA MASAAYEL

• Ikhlaas ke baghair Neyk a'maal qubool nahin hote.

• Ibaadat mein jis tarah zaahiri arkaan ki paabandi zaroori hai, isi tarah baatini kaifiyaat Ikhlaas, Allaah ki Muhabbat, Allaah ka Khauf, Allaah se ummeed waghairah bhi matloob hain. Inki ghair maujoodgi mein zaahiri amal bey faayedah hain.

• Agar kisi mauqe par matloobah baatini aur qalbi kaifiyat maujood na ho toh neyki ko tark nahin kardena chaahiye kyunke uska kamazkam ye faayedah toh haasil ho hi jaayega ke Farz ka chhordne waala shumaar na hoga aur woh Neyki musalsal anjaam dene se ummeed kee jaa sakti hai ke dil par thoda bohat achcha asar laaziman hojaayega.

• Ibaadat mein unke Aadaab ka lihaaz rakhna bohat zaroori hai.


ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

 
Top