Shohar Ka Biwi Par Bila Wajah Zulm o Ziyadti Karna

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Daai Islamic Dawah Center Taif (Saudi Arabia)
Romanised: Khadija Muhammadi

Sawal: Ek Bahan Ka Dard Bhara Sawaal Hai Ke Kya Shohar Biwi Ko Bagair Galati Ke Gaali De Sakta Hai, Bila Wajah Kosna, Ta'ne Dena, Bad Dua Karna Shohar Ko Islaam Ne Ijazat Di Hai. Woh Saza De, Maare, Sataaye, Aur Aurat But Bani Sab Kuch Dekhti Sehti Rahe? Is Se Mutalliq Islaami Hukm Kya Hai Hame Is Se Aagah Karen. Allaah Aap Ko Iska Behtareen Badla De. Aameen

Jawab: Waqai Bahut Sare Gharon Me Mardon Ki Halat Aysi Hi Hai, Apni Mardangi Ka Izhaar Maidaan e Jung Me Nahi Sinf e Naazuk Par Karte Hain. Bila Wajah Aurton Ko Gaali Dena, Unhein Kosna, Maarna, Satana, Bad Dua Karna, Dhamki Dena Zulam aur Ziyadti Ka Pesha Bana Liya Hai. Allaah Ayse Zalimon Ka Sakht Muhasba Karega. Aurat Ke Sabr Aur Zabt Se Faidah Utha Kar Bahut Se Zaalim Log Tarah Tarah Ki Sazaayen Bhi Dete Hain. Aurat Apne Shohar Ka Khayaal Kar Ke Maike Me Bhi Kuch Nahi Bataati Taaki Apne Ghar Ki Aur Shohar Ki Be-Izzati Na Ho. Aysa Pakizah Khayaal Aurat Ke Andar Hi Hota Hai, Mardon Ki Aksariyat Is Sifat Se Door Hai. Ayse Log Woh Mard Hain Jo Aurat Ke Maqaam o Martabe Aur Unki Bulandi Se Jahil Hote Hai.
Aurat Ghar Ki Hi Nahi Kaainaat Ki Zeenat Hai, Duniya Se Agar Aurat Khatam Ho Jaaye To Uska Rang Aur Roop Khatam Ho Jaaye, Zindagi Se Aurat Chali Jaaye To Zindagi Sooni Sooni aur Ajeeran Si Ho Jaaye. Mardon Ko Sukun Aur Rahat Aurat Se Hi Milta Hai, Mardo Ke Gam Aur Zindagi Ka Bojh Halka Karne Wali Aurat Ki Hi Zaat Hoti Hai. Bimaari Se Le Kar Kaam Kaaj Tak Har Mod Par Sahara Dene Wali Aurat Hai. Shadi Ke Baad Insaan Aurat Ka Maqaam Bhool Jata Hai Jab Ke Maloom Hona Chaahiye Ke Yahi Mard Jab Bagair Biwi Ke Zindagi Guzaare To Log Use Na Mard Kahenge. Aurat Hi Mardon Ki Mardangi Ki Nishani Hai, Imaan Ke Mukammal Hone Ka Zariya Aur Buland Me'yaar Par Faaiz Hone Me Iska Aala Kirdaar Raha Hai. Jo Mard Kamzor Aur Be Zabaan Aurat Par Apna Zulm Dhaate Hain Woh Mard Bhi Kisi Aurat Ki Kokh Se Nikal Kar Aaye Hain Jise Muqaddas Aur Mohtaram Lafz Maa Kaha Jaata Hai. Is Liye Mardon Ko Aurton Ke Haq Me Allaah Se Darte Rehna Chaahiye Aur Unke Huqooq Ki Adaayegi Me Susti Se Bachna Chaahiye. Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai, Sahih Muslim Ki Hadees Hai:
فاتقوا الله في النساء​
Tarjumah: Aye Logo! Tum Aurton Ke Muamle Me Allaah Se Daro.
(Sahih Muslim: 1218)

Ek Dusri Hadees Me Nabi ﷺ Farmate Hain:
خيركم خيركم لأهله واناخيركم لأهلي​
Tarjumah: Aye Logo! Tum Me Sab Se Behtareen Aadmi Woh Hai Jo Apne Ahel o Ayaal Ke Liye Behtareen Ho Aur Main Tum Me Apne Ahel o Ayaal Ke Liye Sab Se Behtareen Hun.
(Sahih ul Jame: 3314)

Is Liye Piyare Bhaiyo! Apni Biwi Ko Bila Wajah Gaali Mat Do, Use Baat Baat Par Ta'ne Na Do, Kabhi Galati Kar Jaaye To Piyaar Se Samjha Do Magar Tanz Se Uska Nazuk Sina Chalani Na Karo. Zulm Aur Ziyadati Se To Sachchi Taubah Kar Lo, Allaah Hamare Har Amal Se Ba-Khabar Hai Aur Aakhirat Me Zarre Zarre Ka Hisaab o Kitaab Lega.
Dusri Taraf Main Aurton Ko Bhi Sabr Ki Naseehat Karta Hun. Aap Yaqeen Karen Ke Agar Mardon Ke Zulm Ke Saamne Sabr Ka Pahaad Ban Jaayen To Mard Aap Ke Sabr Ke Pahaad Ke Saamne Bona Nazar Aayega. Aurat Ke Andar Allaah Ne Bahut Si Khoobiyan Rakhi Hain, Un Me Se Ek Sabr Ke Alawah Khubi Yah Hai Ke Woh Apne Meethe Aur Dil Moh Lene Wale Andaaz Aur Ada Se Shohar Ka Dil Jeet Sakti Hai. Aap Ka Shohar Jis Baat Se Naaraaz Hota Hai Usko Dil Par Lene Ki Bajaaye Baat Sahih Ho To Apni Islaah Kar Le Shohar Aap Se Raazi Ho Jaaega Aur Baat Khatam Ho Jaayegi. Kayi Baar Mamooli Si Baat Miya Biwi Ke Darmiyan Bade Jhagde, Talaaq Aur Judaai Ka Sabab Ban Jaati Hai. To Aap Ke Haath Ghar Ki Kashti Hai Use Shambhaal Kar Chalaayen, Laakh Tufaan Aaye, Aandhi Aaye Kashti Hichkole Khaae Aap Kashti Ko Sahih Se Chalaayen. Main Maanta Hun Ke Kuch Shohar Bila Wajah Biwi Ko Maarte Hain, Gaali Dete Hain, Baat Baat Par Ghar Se Nikalne Aur Talaaq Dene Ki Dhamki Dete Hain, In Sab Halaat Me Aap Sabr Karen, Sabr Ka Badla Jannat Hai. Ka'ab Bin Ujrah Radhiallahu Anhu Kehte Hain Ki Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaya:
الا اخبركم بنسائكم في الجنة؟ كل ودود ولود،اذا غضبت او أسيء اليها [اؤ غضب زوجها] قالت:هذه يدي في يدك، لا اكتهل يغمض حتى ترضى​
Tarjumah: MainTumhein Jannati Auraton Ke Bare Me Na Bataaun? Har Muhabbat Karne Aur Ziyadah Bachche Janne Waali Aurat Jannat Me Hai, Jab Woh Naaraaz Ho Jaaye, Ya Fir Uske Saath Bura Sulook Kiya Jaaye, Ya Shohar Naaraaz Ho Jaaye To Aurat Shohar Se Kahe: Mera Haath Tere Haath Me Hai, Main Us Waqt Tak Neend Nahi Karungi Jab Tak Tu Raazi Nahi Hota.
(As Silsilah As Sahihah: 3380)
 
Last edited by a moderator:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abdul Adil Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top