NIYAT KE MASAIL.


Ibnatu Ali

Member
NIYAT KE MASAIL.

AAMAAL KE AJAR O SAWAB KA DAR O MADAR NIYAT PAR HAI.
Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hain ke main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate hue suna hai, "amaal ka daromadar niyaton par hai, har shakhs ko wahi milega jiski usne niyat ki Lehaza jis shakhs ne duniya hasil karne ki niyat se hijrat ki use duniya milegi, aur jisne kisi aurat se nikah ke liye hijrat ki (use aurat hi milegi) pas muhajir ne jis maqsad ke liye hijrat ki usi chiz ke liye samjhi jayegi."
(sahih Bukhari, Baab: كيف كان بدء الوحي الى رسول الله صلى الله عليه وسلم)

Hazrat Abu Ubaidah bin Mohammad bin Ammar bin Yasir razi Allahu Anhum apne baap se riwayat karte hain ke Hazrat Ammar bin Yasir razi Allahu anhu ko mushrikon ne pakad liya aur us waqt tak na choda (Yani saza dete rahe) jab tak unhone nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ko gaali na di aur unke maboodon ka bhalai se tazikra na kiya. Jab Ammar razi Allahu anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat me hazir hue toh, Aap sallallahu alaihi wasallam ne pucha "kya hua?" unhone arz kiya "bohat bura hua ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam! Mujhe us waqt tak na chhoda gaya jab tak mene aapke baare me na-zeba kalimat na kahe aur unke maboodon ki Tareef na ki." Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne pucha "apne dil ki kya kaifiyat mehsoos karte ho?" unhone arz kiya "imaan par puri tarha mutmain hai." tab Aap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya "Agar ye mushrik dobarah aisa karein toh tu bhi aisa hi karna."
(baihaqi:
كتاب المرتد، باب: المكره على الردة)


Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hain, Rasool akram Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya "Allah ta'ala tumhari suraton aur maalon ko nahi dekhta, balki tumhare dilon (ki niyat) aur amaal dekhta hai."
(sahih muslim, Kitabul Birr was Salat)

Hazrat Abu dardaa razi Allahu anhu ko nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ki baat pahunchi ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya "jo shakhs (raat ko) apne bistar par is niyat se leta ke tahajjud ki namaz padhega, lekin uski aankhon par nind is qadar galib aa gayi ki subha ho gayi toh use uski niyat ka sawab mil jayega aur uski neend uske rabb ki taraf se uspar sadqah shumar hogi."
(sahih sunan nisai, li'albani 1/1686)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Masail 47
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top