Maqubool Ahmad Salafi
Member
KYA MAYYAT KO GHUSL DENE WALA GHUSL KAREGA YA WUZU KAAFI HAI?
SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
Mayyat Ko Ghusl Dene Waale Se Mutalliq Logon Me 3 Baatein Hain:
(1) Woh Ghusl Kare.
(2) Woh Wuzu Kare.
(3) Sirf Haath Dho Le Agar Pehle Wazu Kar Chuka Hai.
Jo Log Mayyat Ko Ghusl Dene Waalo Ke Liye Ghusl Ke Waajib Hone Ke Qaail Hain Unki Daleel Yah Hadees Hai. Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
مَنْ غَسَّلَ الْمَيِّتَ فَلْيَغْتَسِلْ، وَمَنْ حَمَلَهُ فَلْيَتَوَضَّأْ
Tarjumah: Jo Shakhas Kisi Maiyyat Ko Nehlaae Woh Gusal Kare Aur Jo Use Uthae Woh Wazu Kare.(Abu Dawood: 3161)
Iske Alawah Ek Aur Daleel Milti Hai:
عَنْ عَائِشَةَ أَنَّهَا حَدَّثَتْهُ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَغْتَسِلُ مِنْ أَرْبَعٍ : مِنَ الْجَنَابَةِ، وَيَوْمَ الْجُمُعَةِ، وَمِنَ الْحِجَامَةِ، وَغُسْلِ الْمَيِّتِ
Tarjumah: Ummul Momineen Aaisha Radhiallahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Nabi ﷺ 4 Baaton Se Ghusl Kiya Karte They. Janabat Se, Jum'a Ke Roz, Hijama Karwa Kar Aur Mayyat Ko Ghusl De Kar.(Abu Dawood: 3160. Is Hadees Ko Allaama Albani Rahimahullah Ne Zaeef Qaraar Diya Hai)
Azeem Aabaadi Sahab Ne Bhi Ise Zaeef Qaraar Diya Hai.
(Aunul Ma'bood: 8/243)
To Yah Rivayat Zaeef Hai Is Se Daleel Nahi Pakdi Jaayegi Rahi Baat Upar Wali Pehli Rivayat Ki To Woh Rivayat Zaahiri Taur Par Wajib Hone Ka Taqaazah Kar Rahi Hai Magar Sahih Aasaar Se Pata Chalta Hai Ke Yahan Wajib Hone Ka Istidlaal Karna Sahih Nahi Hai.
PEHLA ASAR:
ليس عليكم في غسل ميتكم غسل إذا غسلتموه فإن ميتكم ليس بنجس فحسبكم ان تغسلوا ايديكم
Tarjumah: Ibn e Abbas Radhiallahu Anhu Kehte Hain Ke Mayyat Ko Ghusl Dene Se Tumhare Liye Ghusl Karna Wajib Nahi Hai Jab Ke Tum Use Ghusl Do kiyunki Tumhara Mayyat Najis (Na-paak) Nahi Hota To Tumhara Haath Dho Lena Hi Kaafi Hai.(Sahih ul Jami': 5408)
Imaam Haakim, Imaam Zahbi Aur Allaama Albani Rahimahumullah Ne Ise Sahih Qaraar Diya Hai Aur Haafiz Ibn e Hajar Rahimahullah Ne Hasan Kaha Hai.
DOOSRA ASAR:
عن ابن عمر كنا نغسل الميت فمنا من يغتسل ومنا من لا يغتسل
Tarjumah: Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma Se Rivayat Hai Ke Ham Log Mayyat Ko Ghusl Dete The To Ham Me Se Kuch Log Ghusl Karte Aur Kuch Ghusl Nahi Karte.Is Asar Jo Albaani Rahimahullah Ne Sahih Qaraar Diya Hai.
(Ahkaam ul Janaaiz: 72)
TEESRA ASAR:
Isi Tarah Asma Bint e Umais Radhiallahu Anha Waale Asar Se Bhi Daleel Milti Hai. Jab Unhone Apne Shauhar Abu Bakar Siddiq Radhiallahu Anhu Ko Unki Wafaat Par Ghusl Diya To Unhone Muhajireen Se Poocha Ke Sakht Sardi Hai Aur Main Roze Se Hun Kya Mujhe Ghusl Karna Padega To Sahaba Ne Jawab Diya Ke Nahi.
(Musannaf Ibn e Abi Shaibah: 6123, Muatta Imaam Maalik: 521)
In Aasaar Ko Samne Rakhte Huwe Yah Saabit Hota Hai Ke Mayyat Ko Ghusl Dene Waale Ke Haq Me Gusl Karna Mustahab Hai Agar Woh Ghusl Na Kare To Koi Harj Nahi. Yahi Mauqif Mubarak Poori Rahimahullah Ka Hai Aur Unhone Tohfat ul Ahwazi Me Imaam Shaukaani Rahimahullah Se Bhi Isi Mauqif Ko Naqal Kiya Hai, Jo Sare Dalaail Me Jama Aur Tatbeeq Ki Surat Hai.
Albatta Wuzu Ke Mutalliq Shaikh Ibn e Baaz Rahimahullah Ne Zikr Kiya Hai Ke Mayyat Ko Ghusl Dene Waala Wuzu Zaroor Kare Yah Tamam Ahl e Ilm Ka Mauqif Hai. Yah Wuzu Namaz e Janazah Ke Liye Hai Jaisa Ke Har Namaaz Ke Liye Karte Hain Bagair Wuzu Ke Koi Namaaz Nahi Hogi:
لا صلاة لمن لا وضوء له
Tarjumah: Uski Namaaz Nahi Jis Ne Wuzu Nahi Kiya.(Sahih ut Tagheeb: 203)
Agar Mayyat Ko Ghusl Dene Waala Pehle Se Wuzu Kiya Huwa Hai Aur Uska Haath Mayyat Ki Sharmgaah Ko Lag Gaya To Fir Wuzu Karna Wajib Hoga Kiyunki Sharmgaah Ko Haath Lagne Se Wuzu Toot Jata Hai Lekin Agar Mayyat Ki Sharamgaah Ko Haath Na Lage (Aur Ghusl Dene Me Yahi Tariqa Apnaaye Ke Haath Par Dastaana Laga Le Aur Fir Mayyat Ki Gandagi Saaf Kare) To Use Wuzu Karna Zaroori Nahi Hai Lekin Kam se Kam Haath Dhona Zaroori Hai Jaisa Ke Upar Sahih ul Jame' Wali Rivayat Me Zikr Hai.
MAZEED CHAND AHKAAM:
AFZAL AMAL: Ghusl Dene Waale Ke Haq Me Afzal Yah Hai Ke Woh Ghusl Kar Le Taaki Istehbaab Par Amal Bhi Ho Jaaye Aur Mayyat Ko Ghusl Dene, Use Baar Baar Dekhne Aur Harkat Dene Se Zehan Me Jo Fitoor Paida Ho Gaya Hai Woh Door Ho Jaaye Aur Tazah Aur Nasheet Ho Jaaye.
EHTIYAATI AMAL: Agar Ghusl Na Kar Sake To Kam se Kam Wuzu Kar Le Agarche Unhone Pehle Wuzu Kiya Huwa Ho. Agar Pehle Wuzu Na Kiya To Namaaz e Janazah Ke Liye Wuzu To Har Haal Me Karna Hai.
Jis Ne Mayyat Ko Ghusl Diya Hai Use Apna Kapda Utaarne Ya Saaf Karne Ki Koi Zaroorat Nahi Hai Kiyunki Jab Use Apna Badan Dhona Zaroori Nahi To Kapda Dhona To Aur Bhi Zaroori Nahi Hoga.
Janaze Ki Namaaz Ke Liye Kiye Gaye Wuzu Se Doosre Waqt Ki Namaaz Padh Sakta Hai Kiyunki Is Wuzu Aur Doosri Namaaz Ke Wuzu Me Koi Farq Nahi Hai.
Yah Qaul "ومن حمله "فليتوضأ (Jo Mayyat Ko Uthaaye Woh Wuzu Kare) Iska Matlab Yah Nahi Hai Ke Jo Mayyat Ko Kandha Den Woh Sab Wuzu Karen. Iska Matlab Yah Hai Ke Jo Mayyat Ko Harkat Den Idhar Se Udhar Utha Kar Rakhen Ek Chaarpaayi Se Doosri Chaarpaayi Par Le Jaayen Woh Wuzu Karen. Aur Isme Jo Wuzu Ka Zikr Hai Woh Namaz e Janazah Ke Liye Wuzu Karna Hai.
Last edited by a moderator: