Kya Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Paidaish Khaana e Ka'ba Mein Hue


#1

Umar Asari

Administrator
Staff member
Joined
Mar 24, 2019
Messages
357
Points
28
Location
New Delhi
Website
umarasari.blogspot.com
Kya Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Paidaish Khaana e Ka'ba Mein Hue

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Shi'a ke afsaanawi qisson aur jhooti ikhtira'aat (innovate) mein se ek ikhtira' (innovation) yeh hai ki Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki paodaish Khana e Ka'ba mein hue. Aur is silsilah me kuch baatil riwayaat pesh ki jaati hain. Haalanki haqaiq ki roshni mein yeh baat baatil hai ki Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Khana e Ka'ba mein paida huwe.
Taareekh (history) se jo saabit hai, wo yehi hai k Hazrat Hakeem bin Hizaam Radhiallahu Anhu Ka'ba mein paida huwe. Lekin Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki wilaadat kahaan hue. Is mein sabse ziyadah sahih qaul yehi hai k unki paidaish Makkah k qareeb ek ghaati me huwi Jo k Sho'b e Ali se famous hai.
(Al Jima' ul lateef: 338)

Isliye aisi be-asal riwaayaton ko sahaara bana kar Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ko moulood e ka'ba (yani unki paidaish Ka'ba mein hue hai yeh) batane ki koi zaroorat nahi, is liye ki Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki zaat mein is se koi kami nahi aati. Balki Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki zaat jhoote waaqi'aat aur qisas (qissey) se be-niyaaz hai.
 

Top