Zuhoor E Imam Mehdi Ek Naa Qabil E Tardeed Haqeeqat


Ibnatu Ali

Member
Zuhoor E Imam Mehdi Ek Naa Qabil E Tardeed Haqeeqat

Tehreer: Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah

Romanised: Bint E Khurshid Ali
─────────────────

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على رسوله الأمين، أمام بعد؛​

Sahih aur hasan ahaadees se saabit hai ke qayaamat se pehle, musalmaano ka ek khalifa hoga jis ke daur mein Allah ta'ala zameen ko 'adl wa insaaf se bhar dega. Is khalifa ka laqab Imam Mahdi hai, jin ke daur mein (bani israil ki taraf bheje gaye) Sayyiduna Esa Ibne Maryam('alaihimus salaam) aasmaan se zameen par naazil honge. Imam Mahdi ke khurooj wa zuhoor ke baare mein b'az sahih wa hasan ahaadees baa hawaala wa tasheeh darj zail hain:

➀ Sayyiduna Abu Hurairah (Razi Allahu 'anhu) se riwayat hai ke Rasoolullahﷺ ne farmaaya:
كيف أنتم إذا انزل ابن مريم فيكم و إمامكم منكم؟​
"Tumhaara uss waqt kya haal hoga jab Ibne Maryam tumhaare darmiyaan naazil honge aur tumhaara Imam tum me se hoga." (Sahih Bukhari: 3449. Sahih Muslim:155, Tarqeem Darussalaam: 392)

Iss hadees mein Imam se muraad (ek qaul mein) Imam Mahdi aakhir uz-zamaan hai.
(Ikmal Ikmal al-Mu'allim Li Muhammad bin Khalifah al-Washtani al-Ubbi (Sharah Ubbi 'alaa Sahih Muslim Jild 1, Page 450, Kitaabul Emaan Hadees: 244)

Hafiz Ibne Hibbaan ne iss hadees se istedlaal kiya ke nuzoole Esa bin Maryam tak ummat mein imaamat (khilaafat wa hukumat) rahegi. (al-Ihsaan(15/213), Hadees (6802), dusra nuskha: 6764)

TAMBEEH: B'az riwaayaat mein "فأمّكم" ka lafz aaya hai, jis ki tashreeh mein Imam Muhammad bin 'Abdur Rahmaan bin Abi Zib al-Madani(Rahimahullah) (Died: 158 hijri) ne farmaaya:
فأمّكم بكتاب ربكم عزوجل و سنة نبيّكم ﷺ​
"Phir woh(Sayyiduna Esa 'alihimus salaam) tumhaari imaamat (hukumat) karenge: tumhaare Rab 'azzawajal ki kitaab aur tumhaare Nabi ﷺ ki sunnat ke saath." (Sahih Muslim Kitaabul Emaan: 246. Tarqeem Darussalaam: 394)

➁ Sayyiduna Jabir bin 'Abdullah al-Ansaari se riwaayat hai ke maine Nabi ﷺ ko farmaate hue suna:
لا تزال طایٔفة من أمتي يقاتلون على الحق ظاهرين إلٰى يوم القيامة، قال؛ فينزل عيسى بن مريم فيقول أميرهم؛ تعال صلّ لنا، فيقول؛ لا، إن بعضكم علٰى بعض أمراء، تكرمة اللّٰه هذه الأمة​
"Meri ummat ka ek giroh qayaamat tak hamesha haq par qitaal karte hue ghalib rahega, phir Esa bin Maryam('alaihimus salaam) naazil honge toh unn (musalmaanon) ka ameer kahega: Aaiye! humein namaaz padhaaiye toh woh farmaaenge: Nahi, tum ek dusre par umaraa ho, Allah ne iss ummat ko fazeelat bakhshi hai." (Sahih Muslim:156. Tarqeem Darusslaam: 395)

Hadees e mazkoor mein ameer se muraad Mahdi hain.

➂ Sayyiduna Jabir bin 'Abdullah al-Ansaari (Razi Allahu 'anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:
يكون في اخر أمتي خليفة يحثي المال حثيًا ولا يعدّه عدًا​
"Meri ummat ke aakhir mein ek khalifa hoga jo(logon mein) giney baghair maal udaayega ya'ni taqseem karega." (Sahih Muslim: 2913, Darussalaam: 7315 Sharah as-Sunnah Lil Baghawi 15/86,87 Hadees 4281 Baab al-Mehdi Wa Qaal: "Haza Hadees Sahih")

Iss hadees mein khalifa se muraad Imam Mahdi hain.

➃ Sayyiduna Abu Sa'yeed al-Khudri(razi Allahu 'anhu) se riwayat hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
يخرج في آخر أمتي المهدي، يسقيه الله الغيث، وتخرج الأرض نباتها، و يعطي المال صحاحاً، و تكثر الماشية، و تعظم الأمة، يعيش سبعاً، أو ثمانياً، يعني حججاً​
"Meri ummat ke aakhir mein Mahdi aaega jis ke liye Allah ta'ala baarish naazil farmaaega aur zameen apni nabaataat ugal degi, 'adl o insaaf se maal taqseem karega, maweshi zyada hojaaenge aur ummat ka ghalba hoga, woh(apne zuhoor ke baad) 7 ya 8 saal zindah rahega." (al-Mustadrak 4/557,558 Hadees 8673 Wa Sanadahu Sahih)

Ise Haakim aur Zahbi dono ne sahih kaha hai aur iss ki sanad sahih hai. (Sahih Muslim(2913, Darussalaam: 7315)

➄ Sayyiduna 'Ali bin Abi Talib(razi Allahu 'anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:
المهدى منا أهل البيت، يصلحه اللّٰه في ليلة​
"Mahdi hum mein se hai: Ahle bait se, Allah usey ek raat mein durust kardega." (Musnad Ahmed 1/84, Wa Sanadahu Hasan, Hadees(645), Sunan Ibne Majah: 4085)

Iss hadees ki sanad hasan li zaatihi hai. Yaseen al-'Ijli al-Kufi aur Ibraheem bin Mohammad bin al-Hanafiya dono jamhoor muhaddiseen ke nazdeek siqaa wa sudooq hone ki wajah se hasan ul hadees they aur un par jarh mardood hai.

⑥ Sayyidah Umme Salma (Razi Allah 'anha) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
المهدي من عترتي من ولد فاطمة​
"Mahdi mere ahle bait mein se: fathima ki aulaad mein se hoga." (Sunan Abi Dawood: 4284, Wa Sanadahu Hasan, Sunan Ibne Maaja: 4086)

➆ Sayyiduna 'Abdullah bin Mas'ood (Razi Allahu 'anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:
لا تذهب الدنيا أولا تنقضي الدنيا حتى يملك العرب رجل من أهل بيتي، يواطىٔ اسمه اسمى​
"Duniya uss waqt tak khatam nahi hogi jab tak 'arbon ka baadshah(hakim) mere ahle bait mein se ek aadmi naa ban jaae jis ka naam mere naam jaisa (ya'ni Muhammad) hoga." (Musnad Ahmed 1/377, Hadees (3573), Page (430), Hadees(4098), Wa Sanadahu Hasan, Sunan Abi Dawood:4282, Sunan Tirmizi:2230 Wa Qaal: Hasan Sahih" wa Sahaha az-Zehbi fee talkhees al-Mustadrak 4/442)

Iss hadees ke raawi Qari Asim bin Abi al-Najud al-Kufi(rahimahullah) jamhur ke nazdeek moosaq hone ki wajah se hasan ul hadess they lihaza unn par jarh mardood hai aur baaqi sanad hasan hai.

Faaida: Fitr bin Khalifa (sudooq hasan ul-hadees wa siqaa al jamhoor) waghairah ki riwayaat mein izaafa bhi hai ke Aapﷺ ney farmaya:
و اسم أبيه اسم أبي​
"Aur uss ke baap ka naam mere baap ke naam par hoga." (Musannaf Ibne Abi Shaibah: Nuskha Muhammad Awwamah al-Taqleedi: 21/292 Hadees 3880 Wa Sanadahu Hasan, al-Mau'jam ul Kabeer Lil Tabraani 10/163 Hadees 10213)

Ya'ni Imam Mahdi ka naam Mohammad bin 'Abdullah hoga.

➇ Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu 'anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:
لو لم يبق من الدهر إلا يهم لبعث اللّٰه عز و جل رجلاً من أهل بيتي يملؤها عدلاً كما ملىٔت جوراً.​
"Agar duniya mein se sirf ek din baaqi rah gaya toh bhi Allah ta'ala mere ahle bait mein se ek aadmi mab'oos farmaaega jo duniya ko 'adl o insaaf se bhar dega jaisa ke woh zulm wa sitam se bhari hui thi." (Sunan Abi Dawood:4283 Wa Sanadahu Hasan, Fitr bin Khalifah Hasan ul Hadees wa Baaqi al-Sanad Sahih)

➈ Sayyiduna Ayesha siddiqua (Razi Allahu 'anha) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:
العجب إن ناسًا من أمتي يؤمون البيت برجل من قريش قد لجأ بالبيت حتى إذا كانوا بالبيداء خسف بهم.​
"Ta'jub hai ke meri ummat mein se kuch log quraish ke ek aadmi par hamla karne ke liye bait ullah ka rukh karenge jis ne bait ullah mein panah li rakhi hogi phir jab woh baida(muqaam) par pahunchenge toh zameen mein dhansaa diye jaaenge." (Sahih Muslim:2884, Darussalaam: 7244)

➉ Sayyidah Umme Salma (Razi Allahu 'anha) se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ney farmaaya:
يعوذ عائذ بالبيت فيبعث إليه بعث فإذا كانوا ببيداء من الأرض خسف بهم.​
"Ek panah lene wala baitullah mein panah lega phir uss par ek lashkar hamla karega, jab woh baida zameen par pahunchenge toh inhe dhansa diya jaaega." (Sahih Muslim:2882, Daarus salaam: 7240)

In ahaadees e marfoo'a ka khulasa ye hai ke qayamat se pehle Imam Mahdi ka zuhoor mutawaatir ahaadees se saabit hai aur ye aisa sach hai jis mein kisi qism ka shak wa shuba nahi hai.

Bahut Se Ulama E Kiraam Ne Khurooj Mehdi Waali Ahaadees Ko Mutawaatir Qaraar Diya Hai Masalan:

1) Hafiz Abul Husain Muhammad bin al-Husain al-Aabri as-Sijzi (Fath al-Baari 2/493,494 Hadees 3449, al-Manar al-Munif Li Ibn al-Qayyim Page 141,142)

2) Muhammad bin Jaffar bin Idrees al-Kattani (Nazm al-Mutanaasar Minal Hadees al-Mutawaatar Page 236 Hadees 289)

Tafseel ke liye dekhiye Dr. Abdul 'Aleem Abdul 'Azeem al-Bastawi ki kitaab "al-Mahdi al-Muntazar Fi Zaw al-Ahadees wal Aasaar as-Saheehah" (page 40,43)

Ab Imam Mehdi Ke Bareme B'az Aasaar Paish E Khidmat Hain:

1) Sayyiduna 'Ali (Razi Allahu 'anhu) ne farmaaya: "Fitna hoga, uss me log iss tarah tapenge jis tarah sona bhatti mein tapta hai lihaza ahle shaam ko bura naa kaho kyun ke unn mein abdaal hain aur shaami zaalimon ko bura kaho... phir log qitaal karenge aur unhein shikist hogi phir haashmi zaahir hoga toh Allah ta'ala unhein dubaara baaham sher o shakar banaadega aur apni ne'maton ki faraawaani farmaadega phir log isi haalat par hoge ke dajjaal ka khurooj hoga." (Al-Mustadrak Lil Haakim (4/553), Hadees(8658) Imam Haakim ne is ko "saheeh" kaha hai aur Hafiz Zehbi ney unki muwafiqat ki hai)

2) Sayyiduna 'Abdullah bin 'Abbas (Razi Allahu 'anhuma) ne farmaaya:
"Mujhe umeed hai ke ek din aisa aaega ke hum: ahle bait mein se ek nau jawaan ladka zaahir hoga, uss par fitne aaenge lekin woh fitnon se bachaa rahega, woh iss ummat ka mu'aamla seedha kardega." (as-Sunan Al-Waarida Fee Al-Fitan.. Lil ad-Daani: Jild 5, Page 1043, Hadees 559, Wa Sanadahu Hasan. Musannaf Ibne Abi Shaibah (15/196), Hadees (37620))

Sayyiduna Ibne 'Abbas (Razi Allahu 'anhuma) se riwayat hai ke:
منا ثلاثة؛ منا الفساح و منا المنصور و منا المهدي​
"Hum mein se teen hain: khoon bahaane wala, jiski madad ki jaaegi aur Mahdi." (Musannaf Ibne Abi Shaibah (15/197), Hadess(37631) Wa Sanadahu Hasan)

3) Ek sahaabi se riwayat hai ki uss waqt tak Mehdi Zaahir nahi honge jab tak nafs e zakiyyah qatal na hojaae... (Musannaf Ibne Abi Shaibah (15/199) Hadees(37642) Wa Sanadahu Hasan)

4) Sayyiduna 'Abdullah bin 'Amr bin al-'Aas (Razi Allahu 'anhu) ne ahle kufa ke baare mein farmaaya:
فإنهم أسعد الناس بالمهدي​
"Kufa wale Mahdi ke saath khush bakht honge." (al-Fitan Lil-Daani (5/1058,1059), Hadees(578) Wa Sanadahu Hasan)

In ahaadees aur aasaar ka khulasa ye hai ke qayamat se pehle Mohammad bin 'Abdullah al-Fatmi al-Hashmi naam ke ek khalifa honge jinhein Imam Mahdi kehte hain, unke zamaane mein Sayyiduna Esa('alahimus salaam) naazil honge aur rooye zameen par Deen e Islam ka ghalba hoga. Muta'addid 'ulma-e-kiraam ne Imam Mahdi ki ahaadees ko sahih wa saabit qaraar diya hai maslan Imam Tirmizi, Hafiz Ibne Hibban, Haakim, 'Aqeeli aur Zahbi waghair hum. Dekhiye Maulana Muneer qamar Nawab Uddin(Hafizahullah) ki kitaab: "Zuhoor E Imam Mehdi Ek Atal Haqeeqat"

Tambeeh: ek riwayat mein aaya hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:

ولا المهدي إلا عيسى بن مريم​
"Aur Esa bin Maryam ke 'ilaawah Mahdi nahi." (Sunan Ibne Maaja: 4039) Yeh riwayat 4 wajah se za'eef ya'ni mardood hai:

❶ Hasan Basri(rahimahullah) mudallis they aur ye riwayat 'an se hai.

❷ Mohammad bin Khalid al-Janadi majhool rawi hai aur uss ki tauseeq Imam Ibne Ma'een se sabit nahi hai.

❸ Abbaan bin Salih ne Hasan Basri se ye hadees nahi suni.

❹ Muhaddiseen Kiraam mein se kisi ne bhi iss riwayat ko sahih nahi kaha balke Baihaqi, Hakim aur Zahbi waghair hum ne ise "munkar" ya'ni za'eef wa mardood kharaar diya hai..

Dekhiye Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah Ki Kitaab: Taqreej an-Nihayah Fil-Fitn Wal-Malahim (Makhtoot Page 2/71 Hadees 107)

12th February 2009.

Ishaatul Hadith Shumarah: 61 Page 18-23
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Emaan 0

Similar threads


Top