Ziyaafat(Banquet)Ki Ahmiyat Aur Uske Aadaab


Ziyaafat (Banquet) Ki Ahmiyat Aur Uske Aadaab

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

(Islamic DawahCenter Taif Saudi Arab)

Mehmaan Nawaazi Ki Islaam Me Badi Qadar Aur Manzilat Hai Magar Aaj Ke Maadi Daur Me Musalmaan Is Sifat Se Aari Hote Nazar Aa Rahe Hai Thode Bahut Ho Ge Jinhe Allaah Ki Taufeeq Se Mehmaan Nawaazi Ka Sharf Haasil Ho Jata Hai Jab Ke Aksar Ke Hisse Me Mehroomi Aati Hai Aysa Nahi Hai Ke Aaj Khane Pine Ki Kami Hai Ya Dawate Aur Taqreebaat Munaqid Nahi Hoti Is Mamle Me To Ham Sab Bahut Aage Hai Magar Woh Dawat Kaha Nazar Aati Hai Jis Me Koi Bhuka Shamil Ho Koi Faqeer Aur Miskeen Shareek Hua Ho Ya Usme Kisi Yateem Ko Bulaya Gaya Ho Aaj Kal Ki Aksar Dawat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Ke Is Farmaan Ke Misdaaq Hai.
عن أبي هريرة رضي الله عنهكان يقول بئس الطعام طعام الوليمة يدعى اليه الأغنياء ويترك المساكين فمن لم يأت الدعوة فقد عصى الله و رسوله​
Tarjumah: Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Kehte Hai Khane Mein Bura Khana Us Walima Ka Khana Hai Jis Me Ameer Bulaae Jaae Aur Masaakeen Na Bulaae Jaae, To Jo Dawat Mein Na Haazir Ho Usne Nafarmani Ki Allaah Aur Uske Rasool ﷺ Ki.
(Sahih Muslim: 1432)

Quraan Mein Ek Ansaari Sahabi Ki Ziyafat Ka Zikar Hai Aaiye Use Padh Kar Apna Imaan Taza Karte Hai. Farmaan E Ilaahi Hai:
ويؤثرون على انفسهم ولو كان بهم خصاصة ومن يوق شح نفسه فأولئك هم المفلحون​
Tarjumah: Aur Woh Apne Upar Unhe Tarjeeh Dete Hai Jo Khudh Kitni Hi Sakhat Tangi Mein Ho Aur Jo Bhi Apne Nafas Ke Bukhl Se Bachaya Liya Gaya Wahi Asal Kaamiyaab Hai.
(Surah Al Hashar: 9)

Is Aayat Ke Shan E Nuzool Mein Sahih Bukhari Mein Nihayat Hi Imaan Afroz Waqia Mazkoor Hai Chunacha Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Ne Bayan Kiya Ke Rasool ﷺ Ki Khidmat Me Ek Sahab Khud Haazir Hue Aur Arz Kiya Ya Rasoolullaah Main Faqah Se Hu. Nabi ﷺ Ne Unhe Azwaaje Mutahiraat Ke Paas Bheja Ke Woh Aap Ki Dawat Kare Lekin Unke Paas Koi Chiz Khane Ki Nahi Thi. Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Kya Koi Shakhas Aysa Nahi Jo Aaj Raat Is Mehmaan Ki Mezbaani Kare? Allah Us Par Raham Kare Ga Is Par Ek Ansaari Sahabi (Abu Talha Razi Allahu Anhu) Khade Hue Aur Arz Kiya Ya Rasoolullaah Yeh Aaj Mere Mehmaan Hai Fir Woh Unhe Apne Sath Ghar Le Gae Aur Apni Biwi Se Kaha Ke Yeh Rasool ﷺ Ke Mehmaan Hai Koi Chiz Un Se Bacha Ke Na Rakhna. Biwi Ne Kaha Allah Ki Qasam Mere Paas Is Waqt Bachcho Ke Khane Ke Siwa Aur Koi Chiz Nahi Hai Ansaari Sahabi Ne Kaha Agar Bachche Khana Mange To Unhe Sula Do Aur Aao Yeh Chiraag Bhi Bujha Do Aaj Raat Ham Bhuke Hi Reh Len Ge Biwi Ne Aysa Hi Kiya Fir Woh Ansaari Sahabi Subah Ke Waqt Rasool ﷺ Ki Khidmat Me Haazir Hue To Nabi ﷺ Ne Farmaya Ke Allah Ne Falah (Ansaari Sahabi) Aur Unki Biwi (Ke Kaam) Ko Pasand Farmaya. Ya (Aap ﷺ Ne Yeh Farmaya Ke) Allah Muskuraya Fir Allaah Ne Yah Aayat Naazil Ki.
《ويؤثرون على انفسهم ولوكان بهم خصاصة》​
Yani Aur Apne Upar Dusro Ko Tarjeeh Dete Hai Agarcha Khudh Faqah Mein Hi Ho.
(Sahih Bukhari: 4889)

Subhanallaah Kitne Azeem Hai Woh Mezbaan Jin Ki Tareef Allah Kare Aur Unka Zikar Quran Min Kare Khana Khilaane Aur Mezbaani Karne Ke Bade Fazaail Hai Aur Yeh Bade Sawaab Ka Kaam Hai. Nabi ﷺ Ka Farmaan Hai:
خيركم من اطعم الطعام ورد السلام​
Tarjumah: Tum Me Se Sab Se Behtar Aadmi Woh Hai Jo Khana Khilaata Hai Aur Salaam Ka Jawaab Deta Hai.
(Sahih ul Jaame': 3318)

Aur Jo Ziyaafat Nahi Karta Woh Khair Se Mehroom Hai Nabi ﷺ Farmate Hai:
لا خير فيمن لا يضيف​
Tarjumah: Us Shakhas Me Koi Bhalaai Nahi Hai Jo Mezbaani Na Kare.
(Sahih ul Jaame' 7492)

Yaha Tak Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya Ke Agar Koi Ziyaafat Se Inkaar Kare To Jabran Apni Ziyaafat Wasool Karo. Farmaan E Nabvi Hai:
ان نزلتم بقوم فامر لكم بما ينبغي للضيف فاقبلوا فإن لم يفعلوا فخذوا منهم حق الضيف​
Tarjumah: Agar Tumhara Qiyaam Kisi Qabile Me Ho Aur Tum Se Aysa Bartaao Kiya Jaae Jo Kisi Mehmaan Ke Liye Munasib Hai To Tum Use Qabool Kar Lo Lekin Agar Woh Na Kare To Tum Khood Mehmaani Ka Haq Unse Wasool Kar Lo.
(Sahih Bukhari: 2461)

Isi Liye Alag Alag Ulma Ne Mezbaan Par Ziyafat Ko Waajib Kaha Hai Yeh Istidlaal Mazkoorah Hadees Ke Ilawah Aur Ahaadees Se Kiya Jata Hai Unme Se Ek Yah Hai Nabi ﷺ Farmate Hai:
من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم جاره ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم ضيفه جائزته يا رسول الله قال يوم وليلة والضيافة ثلاثة أيام فما كان وراء ذلك فهو صدقة عليه​
.(صحيح البخاري6019)
Tarjumah: Jo Shakhas Allah Aur Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhta Ho Woh Apne Padosi Ka Ikraam Kare Aur Jo Shakhas Allah Aur Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhta Ho Woh Apne Mehmaan Ki Dastoor Ke Muwaafiq Har Tarah Izzat Kare. Puchaa Ya Rasoolullaah Dastoor Ke Muwafiq Kab Tak Hai Farmaya Ek Din Aur Ek Raat Aur Mezbaani 3 Din Ki Hai Aur Jo Uske Baad Ho Woh Uske Liye Sadqah Hai.
(Sahih Bukhari: 6019)

Is Hadees Me Mehmaan Ke Mezbaan Par 3 Maraatib Ka Zikar Hai Pehla Martaba Yeh Hai Ke 1 Din Aur Ek Raat Mehmaan Ki Ziyafat Karna Wajib Hai Dusra Martaba Yeh Hai Ke Dusre Aur Tisre Din Ki Ziyafat Mustahab Hai Is Baat Ko Dusre Lafzo Me Ayse Bhi Keh Sakte Hai Kaamil Ziyafat 3 Din Hai Aur Tisra Martaba 3 Din Ke Baad Ki Mezbaani Sadqah Hai.

Yaha Par Aham Baat Yah Bhi Jaan Li Jaae Ke Hadees Me Maujood Zaiyf (Mehmaan) Se Muraad Safar Se Aane Wala Koi Musaafir Hai Chahe Rishte Daar Ho Ya Gair Rishte Daar Ajnabi Hi Kuy Na Ho Jo Qareeb Se Ziyarat Karne Aae Ya Ayse Hi Milne Jhulne Wale Logo Ke Liye Mezbaan Par Ziyafat Karna Wajib Nahi Hai Rishta Daaro Ki Ziyafat Sila Rehmi Aur Deegar Logo Ki Dawat Ahsaan Aur Sulook Ke Darja Me Hai.

MEZBAAN ZIYAAFAT KE CHAND AADAAB:

(1)
Ghar Aane Wala Mehmaan Pehle Ijaazat Talab Kare Aur Mezbaan Khanda Peshaani Se Unka Istiqbaal Kare, Alayk Salayk Ke Baad Haalat Dariyafat Kare.

(2) Mehmaan Ke Rehne Ke Liye Munasib Intizaam Kare Jaha Aaraam Haasil Karne Mein Na Mehmaan Ko Pareshani Ho Aur Na Hi Ghar Walo Ko.

(3) Ziyaafat Me Jaldi Se Kaam Ke Kuy Ke Safar Ka Thaka Maara Kha Pi Kar Aaraam Ki Khawaahish Kare Ga Intizaam Mein Taakhir Hone Par Uzar Paish Kar De.

(4) Pehle Din Ki Ziyafat Haisiyat Ke Mutabiq Pur Takalluf Yani Dastoor Ke Mutabiq Ho Fir Dusre Aur Tisre Din Ki Ziyafat Rozmarra Ki Tarah Hona Kaafi Hai.

(5) Mehmaan Ko Mezbaan Kudhd Se Khana Khilaae Yani Sath Khana Khaae Usme Na Sirf Barkat Hai Balke Yah Sarapa Khuloos Aur Piyaar Hai Jise Mehmaan Kabhi Bhul Na Paae Ga Khane Me Aakhir Tak Sath Dena Chahiye.

(6) Har Mumkin Koshish Ho Ke Mehmaan Ko Zabaan Ya Hath Aur Pair Se Kisi Qisam Ki Koi Takleef Na Ho.

(7) Jab Mehmaan Rukhsat Hone Lage To Ghar Se Bahar Nikal Kar Kuch Door Rukhsat Karne Jaya Jaae .

MEHMAAN KE LIYE CHAND AADAAB:

(1)
Kisi Ke Ghar Munasib Waqt Mein Jane Ki Koshish Kare Taaki Meezaan Par Giraa Na Guzre.

(2) Rahaish Ya Khane Me Farmaaish Na Kare. Jo Naseeb Se Mil Jaae Us Par Khoosh Ho Jaae.

(3) Khana Khate Waqt Ya Baad Me Aib Na Nikale Aur Puchaa Jaae To Ma-Sha-Allaah Keh De.

(4) Khane Ke Baad Allah Ka Shukar Baja Laae Jis Ne Use Ziyafat Ki Taufeeq Di Aur Fir Ghar Walo Ka Shukriya Ada Kare Jinhone Khaatir Aur Madaaraat Ki.

(5) 3 Din Se Ziyadah Kisi Ke Yaha Na Ruke Nabi ﷺ Ne Farmaya Ke:
الضيافة ثلاثة أيام جائزته يوم وليلة ولا يحل لرجل مسلم ان يقيم عند أخيه حتى يؤثمه قالوا يا رسول الله وكيف يؤثمه قال يقيم عنده ولا شيء له يقريه به
Tarjumah: Ziyafat 3 Din Tak Hai Aur Uska Taklluf Ek Din Raat Tak Chaahiye Aur Kisi Musalmaan Ke Liye Sahih Nahi Ke Apne Bhai Ke Paas Tehra Rahe Yaha Tak Ke Usko Gunaah Mein Daale Sahaba Razi Allahu Anum Ne Arz Kiya Ya Rasoolullaah Kis Tarah Usko Gunaah Me Daale Ga? Aap ﷺ Ne Farmaya: Uske Paas Thehra Rahe Aur Uske Paas Kuch Na Ho Khilane Ke Liye. (Sahih Muslim: 4514)

3 Din Se Ziyadah Theharne Mein Ghar Walo Ke Liye Diqqat Hai Aur Us Se Kudh Ki Shakhsiyat Bhi Majrooh Hoti Hai Is Liye Kisi Ko Mashaqqat Mein Daal Kar Gunehgaar Nahi Banna Chahiye.

(6) Mehmaan Ko Chahiye Ke Mezbaan Aur Pure Ahal Khana Ki Zindagi Aur Maal Mein Barkat Ke Liye Kasrat Se Duaae Kare Yeh Duaae Bhi De Sakte Hai.
اللهم بارك لهم في ما رزقتهم واغفرلهم ورحمهم
Tarjumah: Allah Barkat De Inki Rozi Mein Aur Bakhash De Inko Aur Raham Kar In Par. (Sahih Muslim: 2042)

اللهم اطعم من اطعمني واسق من اسقاني
Tarjumah: Ay Allah Jis Ne Mujhe Khilaya Tu Us Ko Bhi Khila Aur Jis Ne Mujhe Pilaya Usko Bhi Pila. (Sahih Muslim: 2042)

(7) Jaane Lage To Ghar Walo Se Ijaazat Talab Kare Fir Jaae Bagair Ghar Walo Ki Ittilaa Ke Na Jaae.

Aakhri Baat Yeh Hai Ke Sirf Musaafir Ko Khilana Hi Ajar Ka Baais Nahi Hai Balke Ek Dusre Ko Dawat Dena Aur Khana Masnoon Amal Hai Us Se Muhabbat Mein Ziyadti Paida Hoti Hai Jo Koi Hamare Ghar Ziyarat Ko Aae Bagair Takalluf Ke Jo Ban Sake Paish Karna Chahiye Chahe Ek Glass Paani Hi Sahi. Gareeb Aur Miskeen Naadaar Aur Yateem Qallaash Aur Muflis Aur Faqeer Aur Hajatmand Ko Khilana Ajar Aur Sawaab Ka Kaam Hai. Allah Ham Sab Ko Deen Ki Samjh De Aur Uske Mutabiq Amal Karne Ki Taufeeq De. Aameen
 
Last edited by a moderator:
Top