Umar Asari

Administrator
Staff member
Zikr ya Quran ki tilawat ke dauraan baat karna kaisa hai?

Sawaal:
Assalamoalaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu
Umar Bhai,
Mera sawaal ye hai ke kuch log douran-e- zikr ya koi dua ya quran ki tilawat kartey waqt jab tak apney par ya kisi par dum na kar letey hai jab tak khamoosh rehtey hai , agar unse koi zaroori baat karni ho to ishareey se baat kartey hai.

kya aisa karna sunnat se sabit hai, ya douran-e-zikr,dua,tilawat(quran) baat bhi ki ja sakti hai.
baraiye meharbani iski wadahat kijiye.
Jazakallahu khairan

Jawaab:
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu
Quran ki tilawat ke waqt agar zaroorat hai to baat karne mein koyi harj nahi hai. Lekin agar zaroorat na ho to baat na karna afzal hai. Yeh shaikh Ibn e Baaz Rahimahullah ka fatwa hai. Mazeed yahan dekhen.

Rahi baat koyi zikr kar rahe hon ya kisi par dam kar rahe hain to us waqt bhi zaroorat ke waqt baat ki jaa sakti hai. Kiunki mumani'at ki koyi daleel maujood nahi.
واللہ اعلم بالصواب​
 

Similar threads


Top