Zameen Aur Aasmaan Ka Malik Aur Sare Jahan Ka Badshaah ALLAAH Hai.


Zameen Aur Aasmaan Ka Malik Aur Sare Jahan Ka Badshaah ALLAAH Hai

Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif KSA
Romanised By: Khadija Muhammadi

Paak Hai Woh Allaah Jis Ki Baadshahat Hamesha Se Zameen Aur Aasman Par Qaaim Hai Usi Ke Liye Aala Sifaat Aur Bulandi Aur Pakeezgi Hai. Woh Har Aib Se Paak Aur Tamam Qism Ki Khubiyon Ka Malik Hai Jis Tarah Woh saaton Aasmaan Uske Ikhtiyaar Aur Qudrat Me Hain Unme Jis Tarah Chahta Tasrruf Karta Hai Isi Tarah 7to Zameen Par Bhi Usi Ki Baadshaahat Hai. Bazaahir Zameen Par Hame Insaano Me Bhi Mulko Ke Baadshaah Aur Haakim Nazar Aate Hai Magar Woh Waqti Baadshaah Hai Haqiqi Baadshaah To Zameen Aur Aasman Ka Khaaliq Allaah Rabbul Aalameen Hi Hai Wahi Khaaliq E Qaainaat Zameen Par Jise Chahta Hai Baadshahat Ata Karta Hai Aur Jis Se Chahata Hai Hukoomat Chhin Leta Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
قل اللهم مالك ملك تؤتي الملك من تشاء وتنزع الملك ممن تشاء وتعز من تشاء وتذل من تشاء بيدك الخير إنك على كل شيء قدير.(آل عمران:٢٦)​
Tarjumah: Aap Keh Dijye Ay Allaah! Ay Tamam Jahan Ke Malik! Tu Jise Chahe Baadshaahi De Jis Se Chahe Saltanat Cheen Le Aur Tu Jise Chaahe Izzat De Aur Jise Chaahe Zillat De,Tere Hi Hath Me Sab Bhalaaiya Hai Be Shak Tu Har Chiz Par Qaadir Hai.
Yah Aayat Batlati Hai Ke Logo Ki Baadshahat Zaail Hone Wali Hai Aaj Kisi Ko Allaah Baadshaah Hone Ka Mauqah Deta Hai To Kal Uski Jagah Kisi Aur Ko Muqarrar Kar Deta Hai Jab Ke Khud Hamesha Se Baadshaah Hai. Woh Zameen Aur Aasman Me Jis Tarah Chahata Hai Tasrruf Karta Hai Aur Apni Tadbeer Se Sare Jahan Ka Nizaam Chalata Hai.
Tawaarikh Aur Mushahide Se Ma'aloom Hota Hai Ke Jab Se Duniya Bani Us Waqt Se Le Kar Aaj Tak Koi Aysa Insaan Nahi Guzra Jo Az Aadam Ta Ain Baadshaah Bana Betha Ho,Uski Baadshaahat Khatam Na Hui Ho Bahut Badi Sachchai Yah Hai Ke Insaan Ki Zindagi Mehdood Hai Woh Apne Hisse Ki Duniya Kaat Kar Allaah Ke Hukam Se Mar Jaata Hai,Maut Ki Wajah Se Fir Is Insaan Ka Duniyawai Rishta Kat Jata Hai,Woh Baadshaah Raha Ho To Uski Baadshaahat Khatam,Zameen Aur Jaaidaad Ka Malik Raha Ho To Uski Milkiyat Khatam Balke Maal Aur Manaal Ke Sath Tamam Insaano Se Uska Rishta Munqate Ho Jata Hai Bhala Us Haqeeqat Ka Insaan Duniya Ka Haqeeqi Baadshaah Kaise Ho Sakta Hai?
Us Baat Ko Ek Misaal Se Yu Bhi Samjhe Ke Salmaan Ko Saudi Arab Ki Baadshahat Naseeb Hui To Uske 2 Ahwaal Ho Sakte Hai. (1) To Yah Ho Sakta Hai Je Uski Zindagi Me Hi Uski Baadshaahat Khatam Ho Jaae Gi Ya Dusra Haal Yah Hoga Ke Maut Se Uski Baadshaahat Khatam Ho Jaae. Yah Do Halat Duniya Ke Tamam Guzishta Haakim Aur Baadshaah Ki Rahi Hai Aur Aaindah Bhi Yahi Halat Sare Duniyawi Baadshaah Aur Haakim Ki Rahe Gi.
Qura'an Me Allah Ke Liye" Mulk" (Baadshaahat)Aur "Maalik",Malik,Maleek Baadshaah Ke Ma'ni Me Aaya Hai,Aap Ki Khidmat Me Qur'aan Majeed Se Chand Aayat Paish Karta Hu Jin Me Allaah Bayan Karta Hai Ke Zameen Aur Aasmaan Ka Baadshaah Wahi Hai Farmaane Ilaahi Hai:
الم تعلم أن الله له ملك السماوات والأرض وما لكم من دون الله من ولي ولا نصير​
Tarjumah: Kya Tujhe Ilm Nahi Ke Zameen Aur Aasmaan Ki Baadshaahat Allaah Hi Ke Liye Hai Aur Allaah Ke Siwa Tumhara Koi Wali Aur Madadgaar Nahi.(Surah Baqarah:107)
Allaah Farmata Hai:
ولله ملك السماوات والأرض والله على كل شيء قدير.​
Tarjumah: Aur Aasmano Aur Zameen Ki Baadshaahi Allaah Hi Ke Liye Hai Aur Allaah Har Chiz Par Qaadir Hai.(Aale Imraan:189)
Allaah Farmata Hai:
ولله ملك السماوات والأرض وما بينهما وإليه المصير.​
Tarjumah: Aur Zameen Aur Aasmaan Aur Unke Darmiyan Ki Har Chiz Allaah Ki Milkiyat Hai Aur Usi Taraf Lautna Hai. (Surah Al Maidah:18)
Allaah Farmata Hai:
تبارك الذى بيده الملك وهو على كل شيء قدير​
Tarjumah: Ba Barkat Hai Woh(Allaah)Jis Ke Haath Me Baadshaahi Hai Aur Har Chiz Par Qudrat Rakhne Wala Hai.(Mulk:1)
Firaun Logo Se Kehta Tha Ke " اليس لى ملك مصر"
Kya Misriyo Par Meri Baadshaahat Nahi Hai? Zara Soche Ke Kya Misar Par Aaj Bhi Firaun Ki Baadshaahat Qaaim Hai? Moosa Alyhis Salaam Ke Zamane Me Hi Allaah Ne Firaun Ko Dubo Kar Maut De Di Aur Uski Hukoomat Ka Khatma Kar Diya,Us Waqt Se Le Kar Aaj Tak Misar Par Na Jane Kitne Logo Ne Hukoomat Ki? Aur Log Aate Rahe Jate Aur Jate Rahe,Kisi Ki Baadshaahat Hamesha Nahi Chali Aur Na Hi Chal Sakti Hai. Kaha Gae? Namrood Aur Shaddad Aur Hamaan,Sab Duniya Se Mit Gae. Allaah Ka Farmaan Hai:
ان الحكم إلا لله.(يوسف:٤٠)​
Tarjumah: Farmaa Rawaai Sirf Allaah Ki Hai.
Allaah Duniya Ke Baadshaahat Karne Ka Ikhtiyaar Nahi Deta,Un Ko Zameen Par Hi Mehdood Ikhtiyaar Nahi Deta,Unko Zameen Par Hi Mehdood Ikhtiyaar Deta Hai Aur Ikhtiyaar Ki Muddat Bhi Mehdood Hoti Hai Yani Chand Dino Ke Liye Ma'mooli Ikhtiyaar Diya Jata Hai.
Zameen Ke Baadshaah Chalti Hawa,Barste Paani ,Garajti Bijli Aur Ronuma Hone Wala Zalzala Aur Toofan Nahi Rok Sakta Kuy Ke Un Sab Chizo Par Badshaahat Allaah Ki He. Allaah Hi Aadam Alyhis Salaam Ke Zamane Me Barish Barsata Tha,Aaftaab Tulu Aur Guroob Karta Tha,Raat Aur Din Ko Lata Tha,Zindagi Aur Maut Deta Tha Aur Aaj Bhi Wahi Barish Lata Hai,Suraj Tulu Aur Gurub Karta Hai Raat Aur Din Ko Laata Hai Aur Zindagi Aur Maut Deta Hai Is Liye To Wahi Duniya Ka Haqeeqi Badshah Hai.
Zameen Aur Aasmaan Ke Sare Khazane Bhi Usi Ke Hai, Insaan Ki Na Zameen Apni Hai,Na Sone Chandi Apne Hai Yaha Tak Ke Uska Apna Jisam Aur Badan Bhi Apna Nahi. Zara Gaur Kare Aur Allaah Ki Baadshaahat Par Imaan Pukhta Kare. Insaan Ka Pura Jisam Allaah Ka Diya Hua Hai Fir Us Jisam Ke Tamam Aaza Aur Tamam Harkaat Aur Sakanaat Par Allaah Ki Baadshaahat Hai. Aankho Se Dekhne Par Allaah Ki Baadshaahat Hai. Kaano Se Sunne Par Allaah Ki Baadshaahat Hai,Naak Se Sunghne Aur Sans Lene Par Allaah Ki Baadshaahat Hai,Haath Aur Pair Se Harkat Karne,Dil Aur Dimaag Se Sochne Aur Sone Jagne Tamam Chizo Par Allaah Ki Baadshaahat Hai. Insaan Baadshaah Kya Majboor Mahaz Hai. Usko Hat Lamha Apne Khaaliq Aur Maalik Ki Mehrbaani Chaahiye Warna Uske Jisam Ka Koi Kul Purza Kisi Kaam Ka Nahi. Allaah Chand Lamho Ke Liye Aankho Se Basaarat Chhin Le Andha Ban Jaae Ga,Kaano Se Samaat Le Le Behra Ban Ho Jaae Ga,Dil Aur Dimaag Se Soch Aur Fikar Salab Kar Le Paagal Ho Jaae Ga Aur Jisam Se Rooh Nikaal Le Murdah Qaraar Paae Ga.
Paak Hai Woh Parwardigaar Jo Hame Gunagu Neamato Se Nawaza He Magar Kam Hi Log Hai Jo Apne Rab Ki Neamato Ki Qadar Karte Hai Aur Uska Kaha Mante Hai.
Allaah Farmata Hai:
ولله خزائن السماوات والأرض ولكن المنافقون لا يفقهون.​
(MUNAFIQOON:7)
Tarjumah: Aur Aasmaan Aur Zameen Ke Kul Khazaane Allaah Ki Milkeeyat Hai Lekin Yah Munafiq Be Samjh Hai.
Aur Hadees E Qudsi Me Allaah Farmata Hai:
يا عبادي لو أن أولكم وآخركم وانسكم وجنكم قاموا في صعيد واحد فسألونى فاعطيت كل انسان مسألته،ما نقص ذلك مما عندي إلا كما ينقص المخيط اذا ادخل البحر​
Ay Mere Bando! Agar Tumharr Agle,Pichle Aadmi Aur Jinnat Sab Ek Maidaan Me Khade Ho,Fir Mujh Se Mangna Shuru Kare Aur Me Har Ek Ko Jo Mange So Du Tab Bhi Mere Paas Jo Kuch Hau Woh Kam Na Hoga Magar Itna Jaise Dariya me Soi Dubo Kar Nikaal Lo. (Muslim Sharif:2577)
Subahanallaah, Allaah Sare Khazaano Ka Malik Hai Aur Jitna Chaahe Kisi Ko De Uske Khazaane Me Kuch Bhi Kami Nahi Hoti Fir Bhi Musalmano Ki Aksariyat Gairullaah Se Mangti Hai. Ayse Me Allaah Ka Azaab Un Par Nahi Aae Ga To Kya Aae Ga? Aaj Allaah Baadshaah He Saath Hi Insaano Ko Achchai Aur Buraai Karne Ki Mohlat Bhi De Rakhkhi Hai Kal Aakhirat Me Jab Baadshaah Hoga Tab Uski Taraf Se Koi Mohlat Nahi Hogi. Neki Ka Badla Achcha Aur Zulam Ka Badla Bura Hoga Garaz Duniya Me Insaan Ne Jo Kuch Kiya Hoga,Maalik Yaumud Din (Qayaamat Ke Din Ka Baadshaah) Qayamat Me Zarrah Zarrah Ka Hisaab Le Ga Aur Allaah Puche Ga Aaj Kis Ki Baadshaahat Hai?
يوم هم بارزون لا يخفى على الله منهم شيء لمن الملك اليوم لله الواحد القهار​
Tarjumah: Jis Din Sab Log Zaahir Ho Jaaen Ge Unki Koi Chiz Allaah Se Poshidah Na Rahe Gi. Aaj Kis Ki Baadshaahi Hai?Sirf Allaah Waahid Aur Qahhaar Ki.(Gaafir:16)
Irshaad E Baari Hai:
الملك يومئذ الحق للرحمن وكان يوما على الكافرين عسيرا.​
Tarjumah: Aur Us Din Sahih Taur Par Mulk Sirf Rahmaan Ka Hi Hoga Aur Yah Din Kaafiro Par Bada Bhaari Hoga.(Furqaan:26)
Nabi ﷺ Farmaate Hai:
يطوي الله عز وجل السماوات يوم القيامة،ثم يأخذهن بيده اليمنى،ثم يقول:انا الملك،أين الجبارون؟ أين المتكبرون. ثم يطوي الارضين بشماله ثم يقول:انا الملك أين الجبارون؟أين المتكبرون؟​
Tarjumah: Allaah Qayamat Ke Din Aasmaano Ko Lapet Le Ga Aur Unko Right Haath Me Le Lega,Fir Farmaae Ga Me Baadshaah Hu,Kaha Hai Zaur Waale? Kaha Hai Guroor Karne Wlae? Fir Left Haath Se Zameen Ko Lapet Le Ga(Jo Right Ke Misal Hai Aur Usi Wasate Dusri Hadees Me Hai Ke Parwardigaar Ke Dono Haath Right Hai) Fir Farmaae Ga Me Baadshaah Hu. Kaha Hai Zaur Waale?Kaha Hai Badaai Karne Wale?
Is Hadees Ki Roshni ne Allaah Ki Be Misaal Qudrat Aur Uski Azeem Baadshaahat Ke Baare Me Gaur Farmaae Ke Allaah Qayamat Wale Din Us Qadar Buland Aur Baalaa Saat Tabqo Wala Aasmaan(Jis Me Moon Zameen Se 50 Gunaa Bada Aur Sun Zameen Se 13,00,000 Guna Bada Hai)Lapet Kar Right Haath Me Aur Seven Tabqo Wali Zameen Khazaano Samet Dusre Haath Me Le Le Ga. Us Din Duniya Ke Zaalim Baadshaaho Ka Kya Haal Hoga? Nabi SAV Is Baabat Bayan Farmaate Hai:
أشد الناس يوم القيامة عذابا امام جائر​
Tarjumah: Qayamat Ke Din Zaalim Baadshaah Ko Sab Se Ziyadah Shadeed Azaab Diya Jaae Ga.(Sahih Al Jame:1001)
Mazkurah Baala Tamam Baato ja Khulasa Yah Hai Ke Allaah Hi Zameen Aur Aasmaan Ka Maalik Aur Sare Jahan Ka Baadshaah Hai. Uski Baadshaahat Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahe Gi. Usne Hame Aur Puri Qaainaat Ko Paidah Kiya Hai Lihaza Hame Hamesha Us Se Darna Chaahiye Aur Usne Apni Bandagi Ki Khaatir Hame Paidah Kiya Hai So Khaalis Uski Bandagi Baja Lana Chaahiye Aur Uske Saath Kisi Ko Bhi Zarra Barabar Shareek Nahi Karna Chaahiye.
Dusri Baat Yah Ke Zameen Aur Aasmaan Ke Sare Khazaano Ka Maalik Akela Allaah Hai Aur Wahi Apni Tadbeer Se Saari Makhluq Ki Parwarish Karta Hai Is Liye Hame Jis Chiz Ki Bhi Zaroorat Padhe Apne Rab Se Maange Woh Apne Mohtaaj Mangne Wale Bando Ko Mehrum Nahi Karta.
Teesri Aur Aakhri Baat Yah Hai Ke Agar Ham Me Se Kisi Ko Allaah Mulk Ka Haakim Banaae Ya Gaao Aur Ghar Ka Sarbaraah Banae To Kabhi Bhi Apne Maatihato Par Zulam Na Kare,Yaad Rakhe Allaah Ki Nazro Se Kuch Bhi Ojhal Nahi Hai Aur Zulam Aur Fasaad Karne Walo Ko Woh Duniya Me Bhi Saza De Ga. Saath Hi Yah Bhi Hame Shaur Hona Chaahiye Ke Allaah Ke Fazal Se Hi Kisi Ko Jaah Aur Mansab Aur Daulat Aur Saltanat Milti Hai Lihaza Na Kabhi Guroor Kare Aur Na Hi Apne Jaah Aur Mansab Aur Daulat Aur Saltanat Ma Galat Istimaal Kare,Duniya Ki Ne'mat Aankh Khuli Rehne Tak Hai Nigaah Band Hote Hi Sab Kuch Chala Jaata Hai Aur Andhera Chha Jaata Hai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Emaan 0
Muhammed Ali Owais Emaan 0
Abul Husayn Emaan 0
Abul Husayn Emaan 0
Umar Asari Emaan 0

Similar threads


Top