YOUM-E-ARFAH


YOUM-E-ARFAH
Tahreer : Hafiz Salahuddin Yousuf rahimahullah
Roman Script: Abu Umaimah Owais
Al-Hamdu lillahi Rabbil Aalameen Wassalatu Wassalamu ala Rasoolhil Kareem wa ala aalihi wa Ashabihi Ajmayeen Amman ba'ad:

YOUM-E-ARFAH KISE KAHTE HAI?
Zil-hajjah ki 9 tareekh ko "YOUM-E-ARFAH" kaha jata hai. is din hujjaj kiraam arfaat(ke maidan) me waqoof(taharte) karte hai, yani sybah se lekar suraj ghuroob hone tak wahan taharte hain aur ALLAH se khoob duain karte hain. ye din ahle arfah keliye bahut fazeelat wala aur is ka waqoof(taharna) Hajj ka sab se bada rukon hai, jis haji se ye waqoof(taharna) Arfah rah jai to is ka Hajj naa mukammil hai, usay dobarah Hajj karna padega. ALLAH TALA Arfaat me maujood hajio par farishton ke saamne fakhar frmata hai aur farishto se kahta hai: dekho mere ye bande door daraaz ka safar karke paraganda baal, gard o ghubaar me atay howe aaye hain.(Majma al-Zawayid:3/451, tab'a qadeem)

Alawa azeen is din ALLAH TALA jitney ziyadah logo ko jahunnum ki aag se aazaad fermata hai itnaa kisi aur din nahi fermata aur bando ke qareeb hoo kar farishto par fakhar fermata hai aur kahta hai:
(Chunanche Ummul Momineen Syidah Ayisha raziallahu-anha bayan farmati hain, RASOOL ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:

"مَا مِنْ يَوْمٍ أَكْثَرَ مِنْ أَنْ يُعْتِقَ اللَّهُ فِيهِ عَبْدًا مِنَ النَّارِ مِنْ يَوْمِ عَرَفَةَ وَإِنَّهُ لَيَدْنُو ثُمَّ يُبَاهِي بِهِمُ الْمَلاَئِكَةَ فَيَقُولُ مَا أَرَادَ هَؤُلاَءِ"
"Koi din nahi jis me ALLAH TALA Arfah ke din se padh kar bando aag se aazaad fermata hoo, wo apne bando ke qareeb hota hai aur aur farishto ke saamne un(Hajio) par fakhar karta hai aur pochta hai:)"Ye log kis keliye aaye hain?". (Sahih Mulim:1348, Darussalma No.3288)

Imam Nawawi rahimahullah(Death:676-Hijri) Sahih Mulim ki Sharah me is baabat likhte hai:

"وَذَكَرَهُ عَبْدُ الرَّزَّاقِ في مسنده من رواية بن عُمَرَ قَالَ إِنَّ اللَّهَ يَنْزِلُ إِلَى السَّمَاءِ الدُّنْيَا فَيُبَاهِي بِهِمُ الْمَلَائِكَةَ يَقُولُ هَؤُلَاءِ عِبَادِي جاؤني شُعْثًا غُبْرًا يَرْجُونَ رَحْمَتِي وَيَخَافُونَ عَذَابِي وَلَمْ يَرَوْنِي فَكَيْفَ لَوْ رَأَوْنِي وَذَكَرَ بَاقِي الْحَدِيثِ"
"Imam Abdul Razzaq rahimahuallah ne Abdullah Ibn Omer raziallahu-anhuma ki is riwayat ko zikar kiya hai ke: "ALLAH TALA aasmaa-e-dunya par naazil hota hai aur bando(Hajio) par fakhar karta hai aur farishton se fermata hai: mere ye bande mere paas hazir howe hai, in ke haal bure hain baal bikhre howe chahre gard aalood hai aur ye meri rahmat ki umeed rakhte hain, aur mere azaab se darte hai, halanke mujhe in me se kisi ne nahi dekha aur kiya hoga agar ye log mera deedaar karlegay… aur baqyaa hadis ka hissa bayan kiay". (AL-Minhaaj Sharah Sahih Muslim Lil-Nawawi:9/117, Tahat hadis No.1348, Published: Dar Ihya al-Turath al-Arabi, Beirut)

HAJIO KE LIYE YOUM-E-ARFAH KA ROZA MAMNO HAI:
Youm-e-Arfah ke din Hajio keliye roza rakhna mamno hai kion ke RASOOL ALLAH sallallahu alaihi wasallam se sabit nahi hai, likin ghair hajio ke liye Youm-e-Arfah ka rozah rakhna naa sirf jaiz hai balke nihayet hi fazelat wala amal hai, RASOOL ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
"صِيَامُ يَوْمِ عَرَفَةَ أَحْتَسِبُ عَلَى اللَّهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الَّتِي قَبْلَهُ وَالسَّنَةَ الَّتِي بَعْدَهُ وَصِيَامُ يَوْمِ عَاشُورَاءَ أَحْتَسِبُ عَلَى اللَّهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الَّتِي قَبْلَهُ"
"Arfah ke din ka rozah rakhne se, mujhe ALLAH TALA se ummeed hai ke wo guzishta saal ke gunaah aur ayindah (do saal) ke gunaah muaf farmadega". (Sahih Muslim:1162, Darussalm No.2746)

RASOOL ALLAH sallallahu alaihi wasallam ka ye farman khusoosan ghair hajion keliye hai kion Abu Najeeh Yasaar Tabai rahimahullah kahte hain ke Syidina Abdullah Ibn Omer raziallahu-anhuma se Youm-e-Arfah ke roze ke bare me pochagaya to Syidina Abdullah Ibn Omer raziallahu-anhuma farmaya:

فَقَالَ حَجَجْتُ مَعَ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَلَمْ يَصُمْهُ وَمَعَ أَبِي بَكْرٍ فَلَمْ يَصُمْهُ وَمَعَ عُمَرَ فَلَمْ يَصُمْهُ وَمَعَ عُثْمَانَ فَلَمْ يَصُمْهُ ‏.‏ وَأَنَا لاَ أَصُومُهُ وَلاَ آمُرُ بِهِ وَلاَ أَنْهَى عَنْهُ
"Maine NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ke saath hajj kiya, AAP sallallahu alaihi wasallam ne is din ka roza nahi rakha, Abu Bakr (raziallahu-anhu) ke sath maine hajj kiya unho ne bhi youm-e-arfah ka roza nahi rakha, Omer(raziallahu-anhu) ke sath hajj kiya unho ne bhi ye roza nahi rakha, Usmaan(raziallahu-anhu) ke sath bhi hajj kiya unho ne bhi ye roza nahi rakha mai bhi is din (arfaat ke maidan me hote howe) rozah nahi rakhta ho, albatta na mai is ka hukom deta ho aur naa hi rookta ho".(Sunan Tirmizi:751, Sanadoho SAHIH. Musnad Ahmed:2/47 Musnad Ahmed me ye hadis Sufyaan Ibn Uyainah aur Ismail Ibn Ulaiyah ke tareeq se marwi hai aur is ki sanad bhi SAHIH hai. Ibn Hibban (Al-Ihsaan):3595. aur is hadis ke dosre SHAWAHED bhi hai.[Tahqiq: Muhaddis Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah])

Syidah Umme Fazal Bine Haris raziallahu-anha(Walidah Abdullah Ibn Abbas raziallahu-anhuma) farmati hai:

"عَنْ أُمِّ الْفَضْلِ بِنْتِ الْحَارِثِ أَنَّ نَاسًا تَمَارَوْا عِنْدَهَا يَوْمَ عَرَفَةَ فِي صَوْمِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَقَالَ بَعْضُهُمْ هُوَ صَائِمٌ‏.‏ وَقَالَ بَعْضُهُمْ لَيْسَ بِصَائِمٍ‏.‏ فَأَرْسَلَتْ إِلَيْهِ بِقَدَحِ لَبَنٍ وَهْوَ وَاقِفٌ عَلَى بَعِيرِهِ فَشَرِبَهُ"
"Ke logo ne unke paas Arfah ke din NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam roze me ikhtilaf kia. baaz ne kaha: AAP sllallahu alaihi wasallam roze se hai aur baaz ne kaha AAP sllallahu alaihi wasallam roze se nahi hai. Syidah Umme Fazal Binte Haris ne AAP sllallahu alaihi wasallam ke paas doodh ka piyala bejha jabke AAP sllallahu alaihi wasallam unt par sawaar the [Sahih Bukhari ki iske aagay ki riwayet me hai ke AAP sllallahu alaihi wasallam Hajjat-ul-Wada ka khutba de rahe the. Aur silsilat-ul-Sahiha Lil-Albani me hai ke Syidna Jabir Ibn Abdullah raziallahu-an farmate hai ke AAP sallallahu alaihi wasallam Arfah ke din apni untni "Qasa" par sawar hokar khutbah irshad farmaya: Dekhiye: silsilat-ul-Sahiha Lil-Albani:1761] AAP sllallahu alaihi wasallam ne us doodh ke piyale ko nosh farmaya." (Shih Bukhari:1988, 1989. Sahih Muslim:1123)

YOUM-E-ARFAH SE KON SA DIN MURAAD HAI?:
Baaz log kahte hai ke Youm-e-Arfah se muraad wo din hai jab Saudi Arab me 9 Zil-Hajjah ho. Likin ye baat sahih nahi. Jab hum eid-ul-fitr, eid-ul-az'ha, ramazan ka aaghaaz sab apni ro'i-yet ki bunyaad par karte hai(yani pahli ka chaand dekhkar karte hai) to phir Arfah se muraad bhi Zil-Hajjah ki wahi 9 taareekh hogi jo hamari ro'i-yet ki bunyaad par hogi, hum ye nahi dekhegay ke is din Saudi Arab me Youm-e-Arfah hai ya nahi.

YOUM-E-ARFAH KE DIN HI DEEN KI TAKMEEL AUR NEMATE PORI HOWI:
Syidina Omer Bin Khattab raziallahu-anhu se riwayet hai:
أَنَّ رَجُلاً، مِنَ الْيَهُودِ قَالَ لَهُ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ، آيَةٌ فِي كِتَابِكُمْ تَقْرَءُونَهَا لَوْ عَلَيْنَا مَعْشَرَ الْيَهُودِ نَزَلَتْ لاَتَّخَذْنَا ذَلِكَ الْيَوْمَ عِيدًا‏.‏ قَالَ أَىُّ آيَةٍ قَالَ
Ek yahoodi ne in se kaha: Aye Ameer-ul-Mumineen! tumhari kitab me ek aayat hai jise tum padhte ho, agar hum yahodion par utar ti to hum zuroor us din ko eid ka din banalete. Syidina Omer raziallahu-anhu ne pocha: kon si ayat hai wo? yahoodi kahne laga:
الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًاĬİ
"Aaj maine tum'hare liye tum'hara deen kamil kardiya aur tum par apni nemat pori kardi aur tumhare liye ISLAM ko DEEN ki haisiyet se pasand karliya".(Surah al-Maayidah:3)

قَالَ عُمَرُ قَدْ عَرَفْنَا ذَلِكَ الْيَوْمَ وَالْمَكَانَ الَّذِي نَزَلَتْ فِيهِ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَهُوَ قَائِمٌ بِعَرَفَةَ يَوْمَ جُمُعَةٍ‏.
To Omer raziallahu-anhu farmane lagay: hum is din aur jagah ko jaante hain jis me ye NABI sallallahu alaihi wasallam par utri, us waqt AAP sallallahu alaihi wasallam Arfaat(ke maidan) me juma ke din khade the."(Sahih Bukhari:45, 7268. Sahih Muslim:3017)

YOUME-E-ARFAH AADAM(Alaihissalam) KI AULAAD SE LIYA GAYA AHED KA DIN HAI:
Syidina Abdullah Ibn Abbas raziallahu-anhuma bayan karte hain ke NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
"أَخَذَ اللهُ الْمِيثَاقَ مِنْ ظَهْرِ آدَمَ بِنَعْمَانَ - يَعْنِي عَرَفَةَ - فَأَخْرَجَ مِنْ صُلْبِهِ كُلَّ ذُرِّيَّةٍ ذَرَأَهَا، فَنَثَرَهُمْ بَيْنَ يَدَيْهِ كَالذَّرِّ، ثُمَّ كَلَّمَهُمْ قِبَلًا"
"Na'amaan name maidan me ALLAH TALA ne AADAM alaihissalam ki aulaad se Arfah ke din ahed liya aur AADAM alaihissalam ki pusht se saari aulaad nikaal kar zarron ki manind apne saamne phailadi aur in se aamne saamne baat ki. Phir AAP sallallahu alaihi wasallam ne ye aayaat tilawat farmai:
İوَإِذْ أَخَذَ رَبُّكَ مِنْ بَنِي آدَمَ مِنْ ظُهُورِهِمْ ذُرِّيَّتَهُمْ وَأَشْهَدَهُمْ عَلَى أَنْفُسِهِمْ أَلَسْتُ بِرَبِّكُمْ قَالُوا بَلَى شَهِدْنَا أَنْ تَقُولُوا يَوْمَ الْقِيَامَةِ إِنَّا كُنَّا عَنْ هَذَا غَافِلِينَ[172] أَوْ تَقُولُوا إِنَّمَا أَشْرَكَ آبَاؤُنَا مِنْ قَبْلُ وَكُنَّا ذُرِّيَّةً مِنْ بَعْدِهِمْ أَفَتُهْلِكُنَا بِمَا فَعَلَ الْمُبْطِلُونَĬ
"Aur jab tere RABB ne aadam ke beton se in ki pusht me se in ki aulaad ko nikalaa aur in'he khud unki jaano par gawaah banaya, kiya waqai mai tum'hara RABB nahi ho? unho ne kaha kion nahi, hum ne shahadat di. (aisa naa ho) ke qyamat ke din kaho beshak hum us se ghafil the.{172} yaa ye kaho ke shirk to hum se pahle hamare baap dada hi ne kiya tha aur hum to un ke ba'ad ek nasal the, to kiya too hame us ki wajah se hilaak karta hai jo batil walon ne kiya?{173}[Surah al-Araf:172-173]."(Musnad Ahmed:3/452, Hadis No.2445, Muhaddis Albanbi rahimahullah ne is hadis ko SAHIH kaha hai Dekhiye Silsilat-us-Sahihaha:3810[Tarqim Albani:1623]. Shoeb Arnauot ne kaha ke "Kulsoom Bin Jabr" ke ilawa Shaikhain ke Siqqah Rawi hai. In tmaam kutob me isi isnaad ke sath ye riwayet maujood hai Dekhiye: As-Sunnah Li-Ibn Abi Asim:202. Sunan al-Kubra Lil-Nasai:11191[dosra nuskha:11127]. Al-Hakim:2/544. Asma wa al-Sifaat Lil-Baihaqi:326-327)
 
Top