WUZU KE MUTALLIQ DEEGAR MASAIL


Shona shaikh

Active member
Bismillahhirrahmanirrahim

WUZU KE MUTALLIQ DEEGAR(other) MASAIL
1.Badan ke wuzu wale hisse ko ek ek baar ya do do baar dhona bhi durust hai.
(Bukhari 157-158)

2.Teen se zyada baar dhona gunah hai, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka farman hai
"Jisne teen se zyada baar dhoya usne galat kiya, ziyaadti kee aur zulm kiya. "
(ibn Majah, 422)
(Nasai, 2/3180)


3.Agar koi pahle se bawuzu ho to salah ke liye dobara wuzu karna zaruri nahi, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
" Wuzu sirf be wuzu hone ki surat me hi (lazim) hai. "
(Tirmizi, 422) (Nasai,1/188) (Ahmed 2/3180)

Lekin har Namaz ke liye taza wuzu mustahab hai,
Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki
" Ham ek hi wuzu se kai namaz adaa kar lete the jabki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam har namaz ke liye wuzu karte the. "
(Sahih Muslim, 227)

Yaad rahe wuzu par wuzu karne ki fazeelat se Mutalliq koi sahi rivayat maujood nahi hai.

4.Wuzu se pahle miswak karna mustahab hai.
Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka irshaad hai
" Agar mujhe meri ummat ki mushaqqat wa takleef ka andesha na hota to mai har namaz ke sath miswak karne ka hukm(wajoobi taur par) deta.
(Sahih Bukhari, 887) (Sahih Muslim, 1252)

Huzaifa Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab tahajjud ke liye uthte to miswak se apna muh saaf farmate."
(Sahih Bukhari, 245) (Sahih Muslim, 255)

Aap sallallaho alaihi wasallam ka farman hai.
"Miswak muh ki safai ka zariya aur parwardigar ki Razamandi ka sabab hai. "
(Bukhari Mu'allaqan) (Ahmed 6/47) (Sahee Nasai, 5)

5.Wuzu me tarteeb(serial wise/silsilewar) waajib hai, Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne ek dehati se farmaya :
" Us tarah wuzu karo jaisa Allah Ta'ala ne tumhe wuzu karne ka hukm diya hai. "
(Abu a'vana 1/253) (Baihaqi,1/83)

Yani ke wuzu tarteeb(serial wise/silsilewar) me hi karna hai, jaise ke pahle hatho ko dhona hai to hatho ko hi dhoya jayega, naaki pahle kulli ki jayegi, yani ke ulta wuzu karne se wuzu nahi hoga.

6.Wuzu me tarteeb ki tarah muwaalaat(wuzu wale body parts ko ek ke bad ek dhona) bhi wajib hai.
Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki" Ek admi ne wuzu kiya to uske paao par nakhun ke barabar jagah khushk rah gayi. Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne usey dekha to farmaya :
Wapas jaao aur achhi tarah wuzu karo, chunache wo wapas gaya aur (dobara) wuzu karne ke baad namaz adaa ki. "
(Sahih Muslim 243) (Ibn Majah, 666)

Isse ye bhi malum hua ke wuzu wale hisso me se agar koi hisse me agar nakhun ke barabar bhi hissa khushk rah jaaye to wuzu nahi hoga.

7.Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se poore sar ka masah karna hi sabit hai,sar ke kuch hisse ka masah karna sabit nahi,haa agar sar par a'mamah(pagdi) ho to sar ke agle hisse ka masah karke a'mamah(pagdi) par masah mukammal kiya ja sakta hai.
Mughira bin Shoba Radiallahu anhu se rivayat hai
"Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne wuzu kiya aur peshani aur a'mamah(pagdi) par masah kiya."
(Sahih Muslim, 274)

8.Isi tarah Amr Bin Uamayya Azzamri Radiallahu anhu farmate hai:
Maine Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko dekha Aap sallallaho alaihi wasallam apni pagdi aur apne mozo pe masah kiya karte the."
(Bukhari, 205)

9.Mustaurid Bin Shaddad Radiallahu anhu bayan karte hai
"Maine Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko dekha Aap sallallaho alaihi wasallam apni paao ki ungliyo ka khilal haath ki choti ungli se kar rahe the.
(Abu Dawud, 148) (Tirmizi, 40)

10.Isi tarah Dadhi ka khilal karna bhi sunnat hai.
Usman Radiallahu anhu se rivayat ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne wuzu kiya aur apni dadhi me khilal kiya."
(Tirmizi 31) ( ibn Majah, 430)
 

Similar threads


Top