Wuzu ke Baad ki duayen aur uski fazeelat


1) أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ

Fazeelat:
عَنْ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: " مَنْ تَوَضَّأَ فَأَحْسَنَ الْوُضُوءَ، ثُمَّ قَالَ: أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ، اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ، فُتِحَتْ لَهُ ثَمَانِيَةُ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ يَدْخُلُ مِنْ أَيِّهَا شَاءَ


Umar Bin Khattab Ra kehte hai ke Rasool Allah Sallallahu alayhi wasallam ne farmaya Jo Wuzu kare aur acchi tarah se wuzu kare aur phir yun kahe
أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ
Toh uskeliye jannat ke aanthon (8) darwaaze khol diye jaayenge woh jissey jannat mein dakhil hona chahe jannat mein dakhil ho.
(📕Sahih Muslim Hadees No.234b,📘Jami At Tirmizi Hadees No.55)

Tirmizi ki rivayat ko Imam Ibn Qayyim Rh ne sahih qarar diya aur sheikh Albani Rahimahullah ne bhi sahih qarar diya hai
(📕Zaad Ul Maad ,Sahih At Tirmizi)

yeh hadees se bohot badi fazeelat sabit huwi wuzu ke baad ki dua ki jannat ke tamam darwaze khol diye jaayenge qayamat ke din us shakhs keliye.

2) سبحانك اللهم وبحمدك لا إله إلا أنت أستغفرك وأتوب إليك

Fazeelat:
من توضأ ثم قال: سبحانك اللهم وبحمدك لا إله إلا أنت أستغفرك وأتوب إليك، كتب في رق، ثم طبع بطابع، فلم يكسر إلى يوم القيامة ".
‏‏‏‏
Hazrat Abu Saeed Khudri RaziAllahu anho se rivayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya jisne wuzu kiya aur kaha Tu paak hai aye Allah apni tareefon ke saath nahi koi maabood e bar haq magar tu hi main tujhse bakhshish talab karta hoon aur teri taraf hi ruju karta hoon.Toh in kalimat ko ek kagaz par likh kar is par mohar laga di jaati hai aur roze qayamat tak nahi phaada jaasakey ga.
(📕Amal Yauma Wal Laila Hadees No.81,📕Mustadrak Lil Hakim: 1/564)

Sheikh Albani Rahimahullah ne Sahih qarar diya hai
(📕Silsila Ahadees Us Sahiha Hadees No.2333)
Allah Ta'ala hum sabko amal ki taufeeq de Aameen.
 

Similar threads


Top