Walidain Se Muhabbat


Staff Member

Member
Staff member
بسم اللہ الرحمن الرحیم

Walidain Se Muhabbat!

Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
_______________


Allah ﷻ farmaata hai:
وَاعْبُدُوا اللَّهَ وَلَا تُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا ۖ وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَانًا​
"Allah ki ibadat karo aur uske sath kisi ko shareek na karo aur (apne) walidain se ahsaan (nek sulook) karo."
(Surah an-Nisaa: 36)

Irshaad E Bari Ta'ala hai:
وَوَصَّيْنَا الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ إِحْسَانًا​
"Aur hum ne insaan ko apne walidain ke sath ahsaan (nek sulook) ka hukm diya hai."
(Surah al-Ahqaf: 15)

Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai: maine Nabi ﷺ se pouchaa ke Allah ke nazdeek kaunsa kaam sab se ziyadah pasandeedah hai? farmaaya: namaz apne (awwal) waqt par padhna (maine) pouchaa: phir kaunsa amal (pasandeedah) hai? farmaaya: walidain se neki karna, pouchaa: phir kya hai? farmaaya: Allah ke raastey mein jihaad karna.
(Sahih Bukhari: 527, Muslim: 85)

Allah ﷻ ka irshaad hai:
وَإِن جَاهَدَاكَ عَلَىٰ أَن تُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلَا تُطِعْهُمَا ۖ وَصَاحِبْهُمَا فِي الدُّنْيَا مَعْرُوفًا​
"Agar wo (tere walidain) mere sath shirk karne ke liye jis ka tere paas ilm nahi tujhe majboor karen tou unki ittaa'at na kar aur duniya mein un ke sath achchey tareeqe se reh."
(Surah Luqman: 15)

Is ayat se teen masaley maloom huwe:

(1) Shirk karna haraam hai.

(2) Allah aur Rasool ﷺ ki nafarmaani mein walidain ki koi ittaa'at nahi hai.

(3) Jo baat Kitaab o Sunnat ke khilaaf nahi hai us mein walidain ki ittaa'at karni chahiye.

Nabi ﷺ ne Abdullah bin 'Amr bin al-'Aas Razi Allahu Anhuma ko hukm diya tha:
أطع أباك مادام حياً ولا تعصه​
"Jab tak tumhara baap zindah hai us ki ittaa'at karo aur us ki nafarmani na karna."
(Musnad Ahmed 2/165 Hadees 6538 Wa Sanadahu Sahih)

In tamaam dalaayil ke khilaaf munkir e hadees parvez sahaab likhte hain: "teesra afsana: maa baap ki ittaa'at farz hai. is silsile mein ek afsana yeh bhi hai ke maa baap ki ittaa'at farz hai." (Alamgeer Afsane: Page 17, Published: Idaarah Tuloo' e Islam Gulbarga) Parvez ki is baat ka baatil hona har musalmaan par waazeh hai. Walhumdulillah

Tambeeh: Kitaab o Sunnat ki mukhalifat mein walidain hon ya hukmaraan ya koi bhi, kisi ki ittaa'at nahi karni chahiye.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
لاطاعة في معصية الله، إنما الطاعة في المعروف​
"Allah ki nafarmaani mein (kisi ki) koi ittaa'at nahi hai, ittaa'at tou ma'roof (Kitaab o Sunnat ke mutaabiq kaam) mein hai."
(Sahih Muslim: 1840, Darussalaam: 4765, Sahih Bukhari: 7257)

Ek riwayat mein aaya hai:
رضى الرب في رضى الوالد و سخط الرب في سخط الوالد​
"Rab ki raza walid ki raza mein hai aur Rab ki naraazi, walid ki naraazi mein hai."
(Tirmizi: 1899 Wa Sanadahu Sahih, Ibne Hibbaan, al-Muwarid: 2026, al-Haakim Fee al-Mustadrak: 4/151,152 Hadees 7249 aur Sahih Muslim ki Shart par Sahih kaha aur Imam Zehbi ne Muwafaqat ki)

Ek aadmi ne Rasoolullah ﷺ se pouchaa ke main kis ke sath achchaa bartaao karon? farmaaya: apni maa ke sath, pouchaa; phir kis ke sath? farmaaya: apni maa ke sath, pouchaa; phir kis ke sath? farmaaya; apni maa ke sath, usne pouchaa: phir kis ke sath? aap ne farmaaya: phir apne baap ke sath.
(Sahih Bukhari: 5971, Muslim: 2548)

Jaahima as-Sulami Razi Allahu Anhu ko Aap ﷺ ne hukm diya:
فالز مهافإن الجنة تحت رجليها​
"Pas apni maa ki khidmat lazim pakdo, kiyun ke jannat us ke qadmo ke neechey hai."
(Sunan Nasaayi: 6/11, Hadees: 3106 Wa Isnadahu Sahih)

Maa baap ki ma'roof (Kitaab o Sunnat ke mutaabiq baaton) mein nafarmani kabeerah gunaah hai.

Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ se kabeerah gunaahon ke bareme pouchaa gaya tou aap ne farmaaya:
الأشراك بالله وعقوق الوالدين وقتل النفس و شهادة الزور​
"Allah ke sath shirk karna, walidain ki nafarmaani karna, kisi (be-gunaah) insaan ko qatl karna aur jhooti gawaahi deyna."
(Sahih Bukhari: 2653, Muslim: 88)

'Amir bin Malik al-'Aamari Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne farmaaya:
من أدرك والديه أو أحدهما ثم دخل النار من بعد ذلك فأبعده الله وأسحقه​
"Jo shakhs apne walidain ya un mein se ek (walid ya walidah) ko (zindah) paaye phir us ke b'ad (un ki khidmat na karne ki wajah se) jahannum mein daakhil ho jaye tou Allah ne usey apni rahmat se door kar diya hai aur wo us par naraz hai."
(Musnad Ahmed: 4/344, Hadees 19236 Wa Sanadahu Sahih)

Khulasah: Walidain ke sath husn e sulook aur ma'roof mein unki ittaa'at farz hai, apne Rab ko razi karne ke liye apne walidain se muhabbat karen, jihaad agar farz e 'aieen na ho tou walidain ke liye chhora jaa sakta hai.

(al-Hadees: 8)

Refrence| (Kitaab: Fazail E Sahabah, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page 150-153)
 
Last edited:
Top