Valentines Day Manane Ka Sharai Hukum


Shona shaikh

Active member
Valentines Day Manane Ka Sharai Hukum

Mukhtalif Ulama e Kiram

Tarjuma wa Tarteeb: Tariq Ali Brohi

الحمد لله وحده والصلاة والسلام على من لا نبي بعده وبعد:​
Mustaqil committee baraye ilmi tahqeeqat wa ifta' is istifta' (sawal) par mattale' huyi jo Samahat us-Shaykh Mufti e Mamlakat se Abdullah aal e Rabee' ne daryaft kiya, Fatwa raqam (5324) batarikh 3/11/1420 Hijri.

Sawal: Baaz log 14 February ko har saal Eid al-Hubb (Eid e Muhabbat) Valentines Day manate hain. Jis mein surkh gulaab ke ek doosre ko tohfe diye jate hain aur surkh libaas pehne jate hain, isi tarah baaz mubarakbadein bhi dete hain, yahan tak ke kuchh bakery wale Cake mithai waghaira bhi surkh rang mein banate hain aur us par dil ki shakal banate hain, is ke alawah baaz dukanein apni products par jo us din ki manasibat se hoti hain ailaanat wa paighamat print karte hain, aap ki mundarja zeel baaton ke baare mein kya raye hai:
Awwalan: yeh din manana?
Saniyan: is din dukanon se kharidari karna?
Salasan: aise dukandar jo yeh din nahin manate un ka aise logon ko jo yeh din manate hai aisi cheezein farokht karna jinhein woh bataur e tohfa pesh karte hain? Wa Jazakumullahu Khayran.

Jawab: Is sawal ko mukammal padhne ke baad Fatwa committee yeh jawab deti hai ke Kitab o Sunnat ke adilla e sareeha aur jis par Salaf e Ummat ka ijma' hai woh yeh hai ke Islam mein faqat 2 Eidayn hain jo Eid ul-Fitr aur Eid ul-Adha hain, in ke alawah jo bhi Eidein hain khwah woh kisi shakshiyyat, ya kisi Jama'at, ya kisi waqiah se mutalliq hon ya phir kisi bhi ma'ni mein hon toh yeh Bida'ti Eidein hain, Ahle Islam ke liye bilkul bhi jayez nahin ke woh isey manayein, ya isey manein, na hi is mein kisi qism ki khushi ka izhar karein aur na hi kisi bhi cheez se is mein i'aanat karein, kyunki yeh Allah Ta'ala ki hudood ko pamal karna hai aur jo bhi Allah Ta'ala ki hudood ko pamal karta hai toh woh apne hi nafs par zulm karta hai.
Mazeed bar'aan is ikhtiraa' shuda Eid par agar yeh bhi izafa ho jaye ke woh kafiron ki Eidon mein se hai (saath hi is ki buniyad behoodgi par hai), toh yeh gunah dar gunah ki moojib hai, kyunki is mein un se mushabahat hai aur un se ek tarah ki muhabbat hai jabki Allah Ta'ala ne Mominon ko un se mushabihat ikhtiyaar karne aur un se muhabbat karne se apni Kitaab e Azeez mein mana farmaya hai, aur Nabi Kareem Sallalahu Alayhi Wasallam se yeh sabit hai ke Aap Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya:
مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ​
(Jis ne kisi qaum se mushabihat ikhtiyaar ki toh woh unhin mein se hai)
[Saheeh Abi Dawud: 4031]

Valentines Day bhi unhi Eidon mein se hai jo bayan huyi kyunki yeh butparaston aur nasara ki Eid hai, kisi Musalman ke liye jo Allah Ta'ala aur yaum e aakhirat par imaan rakhta hai Halal nahi ke woh isey manaye, ya isey mane, ya phir iski mubarakbad de, balki usey Allah Ta'ala aur Uske Rasool Sallalahu Alayhi Wasallam ki baat mante huye aur Allah Ta'ala ki narazgi aur uqoobat ke asbaab se bachte huye isey tark karna Wajib hai.

Isi tarah ek Musalman par yeh bhi Haram hai ke woh is Eid ya kisi bhi Haram Eidon mein kisi bhi cheez ke zariye ta'aawun kare chahe woh khane, pine, kharid, farokht, sana'at, tohfa, khat o kitabat, ailaan ya phir is ke alawah jis bhi tareeqey se ho, kyunki yeh sab gunah aur ziyadati aur Allah Ta'ala aur Us ke Rasool Sallalahu Alayhi Wasallam ki nafarmani mein ta'aawun hoga jabki Allah Ta'ala farmata hai:
وَتَعَاوَنُوا عَلَى الْبِرِّ وَالتَّقْوَىٰ وَلَا تَعَاوَنُوا عَلَى الْإِثْمِ وَالْعُدْوَانِ وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ​
(Aur neki aur parhezgari ke kaamon mein ek doosre ke saath ta'aawun karo,aur burayi aur ziyadati ki kaamon mein ek doosre ke saath ta'aawun na karo, aur Allah Ta'ala se daro Beshak Allah Ta'ala shakht saza dene wala hai.)
[Surah al-Maidah: 2]

Ek Musalman par Wajib hai ke woh apne tamam haalat mein khusoosan Fitnon ke auqaat aur fasad ki kasrat ke mauqe par Kitaab o Sunnat se aitesaam Aur tamassuk ikhtiyaar kare, usey chahiye ke hosh ke nakhun le aur dare ke kahin un maghzoob alayhim, zalleen aur fasiqeen jin ki nazar mein Allah Ta'ala ka koi waqar nahin aur Islam se koi dilchaspi nahin rakhte ki gumrahiyon mein waqey na hojayein. Ek Musalman ko chahiye ke woh Allah Ta'ala ki hidayat ko talab karne aur us par sabit qadam rehne ke liye usi se lo lagaye, kyunki Allah Ta'ala ke siwa koi hidayat dene wala aur sabit qadam bakshne wala nahin.
Allah Ta'ala hi taufeeq dene wala hai aur Durood o Salam ho humare Nabi Muhammad aur Aap ki Aal o Ashaab par.

Mustaqil committee baraye ilmi tahqeeqat wa ifta', Saudi Arab

Raees: Abdul Azeez bin Abdullah bin Muhammad Aal ash-Shaykh

Rukn: Salih bin Fawzaan al-Fawzaan
Rukn: Abdullah bin Abdur Rahman al-GhAdyan
Rukn: Bakr bin Abdullah Abu Zaid

Sawal: Aakhir kuchh barson mein Eid ul-Hubb (Valentines Day) manana bahut aam hota ja raha hai khusoosan taalibat mein, jo ke nasara ki Eidon mein se ek Eid hai, jis mein woh mukammal huliya lal rang ka ikhtiyaar karte hain kapde hon ya joote, aur lal phool ek doosre ko diye jate hain, hum aap Fazilatush Shaykh se ummid karte hain ke is Eid ke manane ka hukm bayan farmayein, aur is qism ke umoor ke talluq se aap Musalmano ki kiya rehnumayi karna chahenge, Allah Ta'ala aapki hifazat o ri'aayat farmaye?

Jawab az Shaykh Muhammad bin Salih al-Uthaymeen Rahimahullah:

Eid al-Hubb manana jayez nahi mundarja zeel wujuhat ki bina par:
1. Bilashuba yeh ek Bida'ti Eid hai jis ki shariyat mein koi asaas nahin.

2. Bilashuba yeh ishq aur shehwat ki taraf dawat deti hai.

3. Bilashuba yeh dil ko is qism ke fuzool aur behoodah kaamon ki taraf dawat deti hai jo Salaf e Saliheen ke tareeqey ke khilaf hain.

Halal nahin ke us din kisi bhi qism ki aisi harkat ki jaye jo Eid ke sha'aair mein shumar ho chahe khane pine ke talluq se ho.
Ek Musalman ko chahiye ke woh apne Deen ke zariye izzatdar bane, aur har hankne wale ke peechhe bhed chal chalta na phire. Allah Ta'ala se duaa hai ke woh Musalmano ko har qism ke fitnon se khawah zahir hon ya baatin mahfooz farmaye, aur apni nigehbani aur taufeeq ke saath humari nigehbani farmaye.

[Majmoo' Fataawa wa Rasa'il al-Shaykh Muhammad bin Salij al-Uthaymeen- Al-Mujallad as-Sadis Ashr (Vol. 16)- Baab Salatul Eidayn.]

Sawal: Muhtaram Sa'il kehta hai ke: Shaykhuna! Kal Itwar ka roz bamutabiq 14 February Maghrib (West) mein Eid ul-Hubb (Valentines Day) kehlata hai jis se mutalliq kalaAm kiya jata raha hai-

Shaykh Salih bin Sa'ad as-Suhaymee Hafidahullah: Ji, SubhanAllah!
(Note: Arabic mein Subhan Allah hairat waghairah ke liye bhi istemaal hota hai)

Sa'il kehta hai: yaqeenan humare baaz naujawan ladke aur ladkiyaan is Eid ke Fitne mein mubtala ho chuke hain, pas aap is baare mein kuchh farmayein aur nasheehat kijiye?

Shaykh: Yehi toh mere Khutba e Juma' ka mauzoo' tha yani sabiqa Juma' ka. Agar talaba mein se kisi ne usey record kiya ho, mere khayal se Masjid ul-Ameer Sultan mein woh record huwa hai, lihaza maine is mas'ale par tafseel ke saath wahan bahas ki hai. Khulasa yeh hai ke jise yeh Eid al-Hubb ka naam dete hain us mein 7 mamnoo' baatein payi jati hai:

1. Bilashuba is ki asl romaniya se hai, un ke wahan isey ek khuda ki Eid kaha jata hai yani Muhabbat ke khuda ki! Pas is se talluq rakhna goya ke wathaniyyat (butparasti) se talluq rakhna hai, kyunki beshak yeh taqleed hai kin ki? Authaan (But ya koi ghairullah) paraston ki.

2. Bilashuba is mein yahood o nasara ki taqleed hai, aur Nabi e Akram Sallalahu Alayhi Wasallam ne is se mutalliq humein khabar di hai ke:
لَتَتْبَعُنَّ سَنَنَ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمْ ۔۔۔ قِيلَ:الْيَهُودُ وَالنَّصَارَى؟ فَقَالَ: وَمَنِ القَومُ إِلَّا أُولَئِكَ​
(Tum zaroor guzishta qaumon ke tareeqon ki ittiba' karoge, kaha gaya: kya yahood o nasara ki? Faramaya: aur nahin toh kya, (yani inhin ki karoge).
[Bukhari: Ahadees al-Ambiyya (3269), Muslim: ilm (2669), Ahmad (3/89)]

Aur ek riwayat mein hai:
فَارِسُ وَالرُّومُ​
(Faaris o Room ki).

3. Bilashuba is mein mutlaqan kuffar ki mushabihat hai, jabki Nabi e Kareem Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya hai:
مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ​
(Jisne kisi qaum ki mushabihat ikhtiyaar ki toh woh unhin mein se hai.)
[Saheeh Abi Dawud 4031]

4. Bilashuba yeh un Bida'at mein se hai jo logon ne ijaad ki hain, RasoolAllah Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya:
مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ فِيهِ فَهُوَ رَدٌّ​
(Jis kisi ne humare is amr (Deen) mein koi nayi baat ijaad ki jo us mein na thi, toh woh mardood hai.)
[Bukhari: As-Salah (2550), Muslim: Al-Aqziyaa (1718), Abu Dawud as-Sunnah (4606), Ibn Majah al-Muqaddamah (14), Ahmad (6/270)]

5. Bilashuba yeh ek munkar hai aur jo kuchh bhi is mein kiya jata hai woh bhi munkar hai, jaise ladke ladkiyon se milte hain (jise woh Date ka naam dete hain), aapas mein murasalaat (khat aur message waghairah), dil ki tasweer bhejna aur is qism ki deegar behoodgiyan hoti hai. Aur yeh sab maghrib (west) ki taqleed mein kiya jata hai, jabki humein un ke saath mushabihat se mana kiya gaya hai.

6. Bilashuba khud un mein se jo aql rakhne wale log hain woh is Eid se mana karte hain. Yahan tak ke mere khayal se Vatican city ke bade Pope yani tahreef karne wale nasrani ne bhi is se shiddat ke saath mana kiya hai.

7. Bilashuba yeh ek azeem khurafat par mabni hai yani woh cheez jise yeh muhabbat ka naam dete hain, phir usey fasid maani ki taraf le jate hain, kyunki muhabbat un ke nazdeek sirf zina aur us ke muqaddimat (yani jo cheezein usey sazgaar banane ke liye hoti hain) ka naam hai.

Lihaza humein chahiye ke hum un kuffar se mushabihat karne se bachein aur mere khayal se yeh jawab kaafi hai. Maine is ki tafseel us khutbe mein bayan kar di thi jo maine aapke saamne zikr kiya. Toh hum isi par iktifa' karte hain, aur kal ke dars tak aapko alwida' kehte hain.
وصلَّى الله وسلَّم وبارك على نبيِّنا محمَّدٍ وعلَى آلِهِ وصحبِهِ
 
Top