Valentine Day!


Umar Asari

Administrator
Staff member
Valentine Day!

Romanised By: Umar Asari

“Valentine Day” Par Bohat Kuch Likha Ja Chuka Hai Aur Aap Log Parhte Aaye Hain Aur Bohat Se Logon Ko Yeh Aitraaz Aur Ta'ajjub Hoga Ke Aakhir Is Par Likhnay Ki Kya Zaroorat Hai Ab To Har Aadmi Jaanta Hai. Lekin Allah Taala Ney Quran Mein Farma Diya Hai Ke:
وَّذَكِّرْ فَاِنَّ الذِّكْرٰى تَنْفَعُ الْمُؤْمِنِيْنَ​
Tarjuma: Aur Nasehat Kartey Rahen Yaqeenan Naseehaat Imaan Walon Ko Faida Deygi.
(Surah No: 51 Ayat No: 55)

Aap Gaur Karen Ke Quran Majeed Mein Surah Fatiha Se Leker Ke Surah Naas Tak Toheed Ki Taleem Aur Shirk Aur Mushrikeen Se Baraat Ka Zikr Hai, Wajah Kya Hai? Wajah Yehi Hai Ke Uski Ahmiyat Aur Logon Ke Is Mein Kasrat Se Mubtala Honay Ki Wajah Se Baar Baar Zikr Kiya Gaya Hai Or Is Wajah Se Bhi Ki Uski Ahmiyat Logon Mein Kam Hoti Ja Rahi Hai Kuch Log To Yeh Samajhte Hain Ke Aik Baar “Valentine Day” Par Photo Wali Post Bana Di Uskay Baad Hamari Zimmedaari Khatm. Nahi Balkay Baar Baar Aur Jitna Ho Sakey Aur Jis Tarah Se Ho Sakay Logon Ko Rokain.

Badqismati Se Hamaray Hi Kuch Log Isko Bura Nahi Samajhtey Aur Khud Logon Ko Is Se Roknay Walay Aik Dosray Ko Is Khabasat Walay Tehwar (Festival) Ko Aik Dosray Se Wish Kartey Hue Nazar Aatay Hain.

Kuch Saal Pahley Tak “Valentine Day” Key Fitney Key Baarey Mein Muslim Countries Key Log Nahi Jaantey They Lekin Aaj Is Fitney Mein Musalmaan Is Qadar Mulawwis (Shamil) Nazar Aatey Hain Ki Is Fitney Ko Achcha Samjhtey Hain Or Isko Isaaiyon Ka Festival Samjhtey Hi Nahi.

Aaj Agar Hum Apney Muslim Muashrey (Society) Par Aik Sarsari (Cursory) Nigah Dalen To Beshumaar Fitnon Ke Asraat Hamaray Andar Nazar Ayenge Unhein Mein Se Aik Fitnah “Valentine Day” Ka Bhi Hai.
Kuch Aisey Hi Fitnon Ki Nishandahi Hamaray Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ki Thi:
عَنْ أَبِي سَعِيدٍ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ:‏ لَتَتَّبِعُنَّ سَنَنَ مَنْ قَبْلَكُمْ شِبْرًا بِشِبْرٍ، وَذِرَاعًا بِذِرَاعٍ، حَتَّى لَوْ سَلَكُوا جُحْرَ ضَبٍّ لَسَلَكْتُمُوهُ‏‏.‏ قُلْنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ، الْيَهُودَ وَالنَّصَارَى قَالَ: فَمَنْ​
Tarjuma: Hazrat Abu Saeed Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Tum Log Pehli Ummaton Ke Tareeqon Ki Qadam Baqadam Pairwi Karogey Yahan Tak Ke Agar Woh Log Kisi Saahna (Mastigure) Ke Sorakh (Hole) Mein Daakhil Hue To Tum Bhi Us Mein Daakhil Hoge. Hum Ne Poocha Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya Aap Ki Muraad Pehli Ummaton Se Yahood o Nasara Hain? Aap Ne Farmaya: (Or) Kon Ho Sakta Hai? (Yaani Beshak Yahood o Nasaara Hi Murad Hain)
(Sahih Bukhari: 3456)

Kuch Log Kehtey Hain Ke Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farma Hi Diya Hai Ki Hum Yahood o Nasara Ki Pairwi Karengey To Hum Bachney Ki Koshish Hi Kiyun Karen. Lekin Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Yeh Maqsad Hargiz Nahi Balkay Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Maqsad In Cheezon Se Yeh Hai Ke Aye Allah Ke Bande! Aye Apne Aqibat (Anjaam) Par Harees Insaan! Aur Aye Allah Se Darney Walay! Tujhey In Kamon Se Jahan Tak Ho Sakey Bachna Chahiye Kahin Aisa Na Ho Ke Tu Un Manhoos Logon Mein Se Ho Jaye or Un Kamon Mein Mulawwis Na Ho Jaye Jaisa Ke Aaj Log “Valentine Day” Mein Mulawwis Hain. Yeh Maqsad Hai “Valentine Day” Ke Bayan Karney Ka.

Is Baat Ko Aap Misaal Se Samjhye:
Aap Kahin Jaa Rahay Hain Aur Rastay Mein Keechad (Mud) Hi Keechad (Mud) Hai, Gandagi Hi Gandagi Hai Agar Aap Isi Rastay Se Nahi Jayengay To Aap Apni Manzil Tak Nahi Pohonch Payengey To Aap Kya Karengey? Kya Aap Bedharak (Bina Khauf Key) Kodtey Hue Keechad (Mud) Aur Gandagi Mein Chalay Jayenge?
Nahi Balkay Aap Jahan Tak Ho Sakey Yeh Koshish Karengey Ke Aap Apne Ko Bachatey Hue Jayengay Ke Kitni Kam Gandagi Aapko Aur Apke Kapdon Ko Lagey.

Aik Doosri Misaal Ke Kisi Ka Bhai Ya Waalid Bemaar Ho Ya Ghar Ka Koi Shakhs Bemaar Ho Aur Dr Jawab Day Deta Hai Ke Uska Koi Ilaaj Nahi Hai To Ab Aap Unhein Ghar Lekar Baith Jayenge Kuch Karengay Nahi?
Nahi Balkay Aap Aakhri Waqt Tak Koshish Karengay Ke Agar Bemaari Ka Ilaaj Na Ho To Kam Se Kam Is Bemaari Mein Jo Takleef Mareez Ko Pohonch Rahi Hai Us Mein Kami To Ho Jaye.

Yahi Matlab In Hadeeson Ka Hai Ke Kam Se Kam Kisi Fitne Mein Mulawwis Honay Ki Koshish Na Karen.

“Valentine Day” Mananay Walay Aur Wish Karney Walay Hamaray Musalman Bhai or Behan Is Baat Ka Khayaal Zaroor Rakhen Ke Agar Aap Aaj “Valentine Day” Ke Din Kisi Ki Beti Ya Behan Ki Izzat Par Haath Dala To Kal Ke Din Ho Sakta Hai Ke Aapki Behan Aur Baityon Par Koi Haath Daaley Us Waqt Aapko Kaisa Mehsoos Hoga?

Note: Yeh Mazmoon Mohaddis Forum Par Aik Saheb “Fahad Zafar” Ney Share Kiya Tha. Mujhey Kaafi Pasand Aaya To Mein Unki Ijazat Sey Roman Mein Translate Kar Key Share Kar Raha Hun.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Staff Member Islaah e Mu’aashra 0
Shona shaikh Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top