Usool e Salaasah (Deen Ke Buniyaadi Usool)


Usool e Salaasah by Imam Muhammad bin Abdul Wahhab (رحمہ اللہ)

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Introduction:

Maut ke ba’d insaan ko pahle pahal jis awwaleen marhale se guzarna hai woh qabar ka marhala hai, iss marhale mein laazmi taur par har aadmi ko teen sawaalaat ka saamna karna padta hai:
  1. Tumhaara Rab kaun hai?
  2. Tumhaara Deen kiya hai?
  3. Tumhaare Nabi kaun hai?
Bazaahir yeh teen mukhtasar aur bahut aasaan se nazar aane waale sawaalaat hain, lekin kiya har shakhs haqeeqat mein in sawaalaat ka saamna kaamyaabi se kar le jaayega?

Haqiqat yeh hai ke bazaahir bahut aasaan aur mukhtasar nazar aane waale sawaalaat ke jawaab mein kaamyaabi sirf unhi logon ko milne waali hai jinhon ne dunyavi zindagi mein in sawaalaat ke jawaabaat ki tayyaari i’lm aur baseerat ki buniyaad par ki hogi aur sath hi inke taqaazon ko bhi poora kiya hoga, yehi wajah hai ke jo log in sawaalaat ke sahih jawaabaat dene mein kaamyaabi haasil karte hain farishte unse poochte hain ke tumhein in baaton ka i’lm kaise huwa? To wo kahte hain ke main ne Kitaabullah ko padha aur ilm haasil kiya jabke naakaam logon se farishte kahte hain “na tune ilm haasil kiya aur na Kalaamullah ki tilaawat ki” (Muttafaq Alaihe)

Lehaza in sawaalaat ke sahih jawaabaat ka ilm haasil karna bahut zaroori hai, Shaikhul Islam Muhammad Bin Abdul Wahab Rahimahullah ki kitab “Usool-E-Salaasah” in sawaalaat ke sahih jawaabaat se aagaahi faraaham karti hain, yeh mukhtasar hone ke baawjood intehaayi mufeed aur jaame kitab hai.

[Deen Ke Buniyaadi Usool]

Deen se muta’alliq teen buniyaadi baatein jinka jaanna intehaayi zaroori hai.
  1. I’lm ya’ni Allah Ta’ala (aur uski sifaat) ki ma’rfat, Nabi ﷺ ki seerat-e-tayyebah ka i’lm aur deen ke buniyaadi ahkaam-o-masaayel daleel ke saath jaanna.
  2. Deeni ahkaam-o-masaayel par a’mal karna.
  3. Deen ki da’wat dena.
  4. Agar tableegh karte huye koyi aazmaayish aaye to uss par sabar karna.
Allah Ta’ala ne farmaaya hai:

وَ الۡعَصۡرِ اِنَّ الۡاِنۡسَانَ لَفِیۡ خُسۡر اِلَّا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ عَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ وَ تَوَاصَوۡا بِالۡحَقِّ وَ تَوَاصَوۡا بِالصَّبۡر

“Zamaane ki qasam! Be shak insaan khasaare mein hai. Siwaaye un logon ke jo emaan laaye aur unhon ne nek amal kiye aur ek doosre ko haq ki talqeen ki aur ek doosre ko sabr ki talqeen ki.”

[Surah Al-Asr Aayaat 1,3]

Imam Shafa'i Rahimahullah ne farmaaya:

وقال الشافعي رحمه الله : لو تدبر الناس هذه السورة ، لوسعتهم

“Agar Allah Ta’ala apni makhlooq ke liye mahaz is surat (Al-Asr) ke e’laawah koyi aur daleel naazil na bhi farmaata to bhi bani now’ e insaan ki kaamyaabi ke liye sirf yahi soorat kaafi thi.”

[Tafseer Ibne Kaseer: 4/3089, tafseer suratul A’sr]

Imam Bukhari Rahimahullah Sahih Bukhari mein farmaate hain:

“Qaul-o-amal se pahle i’lm zaroori hai.”

[Sahih Bukhari: Baabul Ilm: 68]

Imam e Mausoof ne is baat ki daleel mein Allah Ta’ala ka yeh irshaad naqal kiya hai:

فَاعۡلَمۡ اَنَّہٗ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ وَ اسۡتَغۡفِرۡ لِذَنۡۢبِکَ

“Pus (Aye Nabi) Aap jaan leejiye ke bila shubha Allah ke siwa koyi sachcha ma’bood nahin aur apne gunha ki bakhshish maangye.”

[Surah Muhammad: 47/19]

Yeh aayat naqal karne ke ba’d imam saahab wazaahat farmaate hain ke iss aayat mein Allah Ta’ala ne qaul-o-amal se pahle ma’rfat ka zikr farmaaya, lehaaza har musalmaan mard aur aurat ko mundarjah zail teen masaayel ki achchhi tarha ma’rfat honi chaahiye:

  1. Allah Ta’ala ki ma’rfat
  2. Deen-e-islam ki ma’rafat
  3. Hazrat Muhammad ﷺ ki ma’rafat.
Pahla Usool: Allah Ta’ala Ki Ma’rafat
 
Last edited:

Similar threads


Top