TAWHEED ki Taarif


Amaat ullah

New member
🍃BismillahirRahmanNirRaheem🍃

📘Jawab :

🍃 “(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur main mushriko mein nahi”.

📙(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)

☄Ahle ilm ne Quran wa sahih Hadees ke roshni me tawheed ki taarif is tarah bayan ki hai….

👍 Allah ko…

1️⃣uske RAB hone me,
2️⃣uski IBAADAT me,
3️⃣uske “ASMA WA SIFAAT” me,

“ekta” man’ne ka naam “TAWHEED” hai.

⚫🔴 Tawheed JINN aur INSAAN ke Paidaeesh ka Buniyaadi Maqsad hai:

✔ Allah ne farmaya:

🍃 “Ham ne Jinn aur Insan ko paida nahi kiya magar apne ibaadat ke liye”.

📙(Surah 51 Zariyaat : Ayat 56)

🍃 “Sirf Allah ki ibaadat karo aur us ke siwa tamaam Taghoot (Ma’aboodo) se bacho”.

📙(Surah 16 Nahl: Ayat 36)

✔ Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam ne farmaya ke Allah ne kaha:

🍃 “Maine mere saare bando ko KHALIS DEEN par paida kiya (yani Tawheed par aur Shirk se paak). Uske baad Shaitan unke paas aya and aur unko KHALIS DEEN se gumrah kiya. Shaiyateen ne halal ko haram banaya. Aur unko mere sath Shirk karne ki Dawat di jabke maine Shirk ki koi daleel nahi utari”.

📙(Sahih Muslim Jild 8 :159, Ahmad 4/162)

🍃 “Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi ki ibaadat Kare, Kisi Ko Uska Shareek Na Kare aur bando Ka Hak Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Kare Usay Azaab Na De”.

📙(Sahih Bukhari: 2856, Sahih Muslim : 30)

⚫🔴 TAWHEED ki Ahmiyat :

1️⃣ Iman ka dusra naam “Tawheed” hai.

2️⃣”Tawheed” Jahannam se najaat aur Jannat me dakhile ka zariya hai.

3️⃣Quran wa sahih Ahadees ka 1 bada hisaa Allah ki “Tawheed” ko bayan karta hai.

4️⃣“Tawheed” Islam ke 5 buniyaadi sutuno(pillars) me se sabse pahela sutun(pillar) hai jisko “La- ilaaha il-lal-laah” kaha jata hai jiska tarjuma hota hai ke “Allah ke siway koi sachcha Maa’a’bood nahi hai”.

5️⃣“Tawheed” Islam ki pahechaan hai. Insaan ki pahechaan uske “sar” se hoti hai usi tarah ek musalman ki pahechaan uske “Tawheed” se hoti hai.

⚫🔴 Tawheed aur Shirk :

1️⃣”Tawheed” aur “Shirk” ek sath kisi Insan ke Dil me basera nahi kar sakte. Ek aya to dusara khud-ba-khud chala jayega. Isliye “Tawheed” ki zidd (opposite) “Shirk” hai.

2️⃣Jis tarah kuchh chizo se wuzu aur gusl tut jata hai usi tarah Allah ke sath “Shirk” karne se Insan ka “Imaan” yani “Tawheed” tut jati hai. Aise halat me Insaan Mushrik aur kafir ban jata hai.

⚫🔴 TAWHEED ke AQSAAM (types)

☄Aap dekhenge ke Quran aur Ahadees me Tawheed ko samjne ke liye bahot saari daleele payi jati hai lekin ham yaha Surah Fatiha se bahot hi asaan dalaeel pesh karna chahte jo ek aam musalman ko samaj me aajaye.

🔻 Tawheed ke 3 aqsaam hai…

1️⃣ Tawheed-e-RUBUBIYAT,

📙Daleel: (Surah 01 Fatiha : ayat 01 & 03)

2️⃣ Tawheed-e-ULUHIYAT (IBAADAT),

📙Daleel : (Surah 01 Fatiha : ayat 04-06)

3️⃣ Tawheed-e-ASMA WA SIFAAT,

📙Daleel : (Surah 01 Fatiha : ayat 02)

Wallahu Alam Sawab.
http://letsknowahlulhadees.wordpress.com/
 
Top