Taweez ki Haqeeqat


Ahmad

New member

♦Taweez Aur Gaande Aur Inki Sharee Hasiyat !

____
Ummat E Muhammadia Alehi Aslaam kay 50% Afraad Kay Gardanon Ki Talashe li Jay tu Kesi Mein Kagazi Taweez Latak Raha Huga.Kesi Mein Chota sa Quraani Nusqa-kesi Mein Dunia Kay Mukhtalif Mulqon kay Sikke,Kesi Mein Kodiyan Aur Monge,yeh Sab Cheezain In Allah Kay Bandoun kay Aqeedey Han Unko Baloon or Afaton se Bachahe Rakhne Kay Liye Hoti Hai

Aaab In Cheezon kay Bare Mein Rasool Alhei Asalam Kay Irshadaat bhi Sounte Chalein.👇👇👇

🍂Taweez Latkana Ka Shirk..🍂

An Abdullah Bin Masood Razi Allah Anhu Riwayat Karte Han Kay Mein Nabi Alehi Asalam Ko Farmatey Souna Hai Kay Daam(wo Daam Jis Mein Shirkya Alfaz hun ) Taweez Or Tawila Sab Shirk Han

▪Baaz Kisam Kay Daam Jin Mein Shirkia Alfaz Na They Nabi Alehi Asalam unki Rukhsat Ata Farma Di,Mager Taweez Or Tiwala Ki bilkul Ijazat Nahi De.

▪Ajj Kal Taweez Tiwala (Muhabbat Kay Taweez ) Ka Riwaj Aam Huagaya Hai ,Ye Mard Aur Aurat Mein Muhabbat Paida karne Kay Lia Istemal Kia Jata Hai Chahe Koi Aurat Kesi Dosre Kay Nikkah Mein Kyun Na Ho.


🍂Hadees🍂
Aaqab Bin Aamir al Hajnee R.A Riwayat Karte Han Kay Nabi Alehi Asalam Kay Pass Ek Jamat Nabi Alehi Asalam Ne 9 se Bait Le li Aur Ek ko chore Dia.Logoun Ne Kaha Ayee Allah Kay Nabi Alehi Asalam Appne 9 Se Bait le li Mager Ek ko Chore Dia
App Alehi Asalam Ne Irshad Farmaya!Is Se Islia Bait Nahi Li kay Wo Taweez Pehna Huwa Hai,Yeh Soun Kar Un Sahab Ne hath Andar Dala Or TAWEEZ Tor Dala.Aab Nabi Alehi Asalam Ne Un Se Bait Le Li Or Farmaya Jis Ne TAWEEZ Latkaya Usne Shirk Kia.
~Haddith Musnad Ahmed Book 3 Page No 106

📝Point to be Noted
Kia Yeh Haddith Yeh Nahi Bata Ti Kay Har Tarhan Kay TAWEEZ Najaiz Han?Warna Nabi Alehi Aslaam Yeh Zaroro Pochthe Kay Yeh TAWEEZ Jo Tum Latkay Huwe Hu Ismein Quraan Tu Nahi Likha Huwa Hai?Ismaa Elahi Tu Nahi Hai?Mojooda Taweez Dekh Kar Appka Bait Na Lena Ye Sabit Nahi Karta Hai Kay Aaj Kay Fan Duniya Dari Kay Mahir Apne Karobar kay Lia Mukhtalif Azaar pesh karte han wi sare kay sare Azzar haye lang kay elwa kuch bhi nahi han?

▪Bemari Ka Taweez!


▪Essa Bin Hamza R.A Kehtay Han Kay Mein Ne Abdullah bin Hakeem Kay Ayaadat Karne Kay Lia gaya Wo Humra (Surkh Bada) Ki Bemari Mein Mubatala They .Mein Ne Unse Kaha App Humra Kay Lia TAWEEZ Kyun Nahi Latka Letay ?
Unhune Ne Jawab Dia TAWEEZ Se Allah Ki Panha ,Rasool Alehi Aslaam Ne Irshaad Farmaya Hai Kay Jis Ne Koi Bhi Cheez Latkai Wo Us Cheez Kay Supard (Uskay Hawale Kardia Jay Ga)

▪Maloom Huwa Kay Baaloun Se Bachne ,Bemari Door Karne Or Taklid hatana Kay Lia Jo Taweez Istemal Kare ga Allah Tala Us Kuch Matlub Nahi Rakhe Ga Us Shakus Ko Use Taweez Kay Hawale Kardia jay Ga
Yahan Bhi Wohi Baat Ek Tabee Behar Haal Mushrikana Mashwara Nahi Dey Sakte Mager Sahabi Mutaliq Daam Kay Bare Mein Nabi Alehi Asalam Ki Haddith iyan karkayy TAWEEZ Se Allah Tala Ki Panha Mangte Hain

▪TAWEEZ SE AQEEDAT RAKHNE WALOON KA AIK LOTA SAHARA


▪TAWEEZ Aur Gaandon Pe Emaan Rakhne wale Aur Unse Karobar Karne walon Se Guzarish Ki Jati Hai wo Is Karobar se Baaz Ajiye Dunia Ka Emaan Aur Apni Akhrat Barbad Karkay Kia Mila Ga,Tu Jawab Ata hai Hosh Kay Nakhoon Lo! Kia Sahabi Umro Bin Aas Razi Allahi Anhi Ne Apne Bachoon Kay Gale Mein Taweez Nahi Latkaya Tha?


▪Chalein Hum Sab Bhi Is Riwayat Ki Hassiyat Mattaeen Karlien,Kyun Kay Ye Wahid Riwayat hai AQEEDAT Mand Logoun Kay Pass Or TAWEEZ Ka Karobar karne waloon kay pass.


🍂Hadees🍂
It was reported by Mohammed Bin Isak that Abdullah Bin Umar Bin Alaas relates that the Holy Prophet used to teach the following prayers for those who used to be frightened in their sleep:

Muahammad Bin Ishaq Ann Umro bin Shoaib
Abdullah Bin Umro Bin Aas R.A Riwayat Karte Han Kay Rasool Alehi Asalam Neend Mein Darr jane Walon Kay Lia Yeh Dua Sikha te They.
“Auwuz Bi Kalimatil Lahi tama te Min Gazbe he wa Shar Abde hewa min Hamzatil Shitane wa in Yadharon,”
( Abu Dawood (543), Tirmizi Mishkat (217))


▪Rawai Ka Biyan Hai Kay Abdullah Bin Umro Bin Aas apne Samjhdar bachon ko yeh Dua yaad karwate they Aur Na Samjh Bachon kay Gale Mein Latka Dety They (Mishkat 217 Abu Dawood page 543)


Is Riwayat Mein Majood Weakness Ellatien .


1 Ye Pore Sarmaye Riwayat mein Appne Tarz Ki Ek Munfarid Riwayat Hai Aur Sahi tu Dour hai Yeh Hassan Riwayat Bhi Nahi Hai,
Imam Termazi is Riwayat Kay Bare Mein Bada farakh Dil Waqe huwe Han Imam Tarmazi Is Riwayat ko Hassan Bhi Shumar Nahi Karte Bulke Hassan Garib Shumar Karte Han


2 Dosree Ellat Is Riwayat Mein Yeh Hai Kay Abdullah Bin Umro R,A Kay Mutaliq Yeh Jumla Kay wo Is Dua Ko Na Balig Bachoon Kay Gale Mein Likh Kar Latka Dia Karte They Haddith Kay Alfaaz Nahi Hai Han Bulke Rawai Ki Taraf Se Ek Jumla Hai


3 Abdullah Bin Umro Jin Kay Bare Mein Kaha Ja raha hai wo apne Na Samjh bachon Kay gale Mein Dua Ka Taweez Latka te They .Khud Nabi Alehi Asalam Taweez Latkane Ki Buri Mein Sahih Haddes Biyan Karte han Ye Kesay Mumkin Hai Kay Ek Sahabi wo Amal Bhi Karte han or phir usi Amal Kay bare Mein Sahih Haddith bhi Biyan Kardein?


4 Weakness Is Riwayat Yeh Hai Kay Is Kay Rawai Muhammad bin Ishaq Aur Umro bin Shoiab Aise Rawai Hai Kay Jin pe Ayeema haddith ne Shadeed Tanqeed ka Hai Muhammad Bin Ishaq bin Yasar Imam Maalik Reham Allah Farmatey Han Dukahin Dijjal (Dajjalon Mein Se Ek Dajjal Hai )Tehzeeb Jild 9 Safa 31Meezan Jlid 3 safa 12


Salaman Temami Kehtay han kay Kazzab hai(jhotta hai) Hashaam bin Arwa kehtay Han Wo Kazzab Hai ,Yayah Qattan Kethay Han Kay Iss Baat Ki Gawahi Deta Hun Kay Wo Kazzab Hai(Bhoot bada Jhoota Hai(Mezzan ul Aetedaal jild e safa 12)


Imam Ahmed Bin Hanbal Kehthay Han Abu Shoaib Ki Riwayat Hujjat Nahi Hai(Tehzeeb ul Tehzeeb)


Imam Zari Kehthay Han Abu Ishaq Bin Shoiab Hujjat Nahi Hai usne aapne baap dada se chand hi Riwaten Souni Hai mager wo Aksar Riawat ko Apne Baap Dada Se Mansoob Kardeta Hai


5 weakness yeh hai Kay Kesi Sahabi Rizwan Allah Ajmaeen Ne Aur Kesi Tabeeien Reham Allah Ne TAweez ko Jaiz Nahi Qarar Dia


Umar bin Abullah ,Umro Bin Ass ya phir Ummul Momeenen Kay Bare Mein Aisee Batein Karna kay Wo Taweez Ko jaiz Samjthi thin yeh ek bhoot bada Buhtaan Hai


Nabi Alehi Asalam Me Kahain Bhi Aisa Hukum Nahi Dia Or Taweez Pehana Shirk Hai Or Tamam Sahaba Taqwa Karne Wale Parhez Gar Or Shirk Se bezar They Aisa Kehna Tu Un pe Zulm Karna Hai


Tabi’een Kay Fatwe


Waqfee Kehtay han Kay Ibrahim Nakfee Mashoor Tabee Imam Abu Hanfia Kay Ustaad Kay Ustaad Han
Riwayat Karte Han Kay Sare Sahaba Har Tarhan Kay Taweez Ko Najaiz Samjhte They Un Mein Quraan Likha Hu yah Nahi ,Quraan Kareem Ki Aytoon Ko Latkane kay Lia Kuch Nadaan yeh Dalil Detay Han Kay
?Kia Quraan Shifaa Nahi Hai?Aur Ager Quraan Shifaa Hai Tu Latkana Kyun Shifaa Nahi ?
Aaab Koi In Se Poche Kay Shehad (Honey) Mein Shifaa Nahi batai gai ager koi Shehad(Honey) Bottle Mein Bahar Kay Pate pe Band Le Tu Kia Shifaa Mil Jay gai ? Aisa Karne wala Pagal Hi Samjha jay ga?


Byshak Quraan Mein Shifaa mager Shifaa tab hi Mele gai jab Quraan Ko Allah tala Or Nabi Alehi Asalam Kay Tarike Ki Tarha Istemal Kia Jay


ذَٰلِكَ الْكِتَابُ لَا رَيْبَ ۛ فِيهِ ۛ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ


Muslim Ki Har Us Kaam Mein Bahli or Khir hai Jo Kaam Allah or Uske Nabi Alehi Asalam Kay Mutabiq hu Mere Behnon or Bhahiyun Sunnat Ko Apnoon Sheitan Kay Shakanjon Mein Na Phasoo Shirk se bachoo Or uske bad Biddat Se bacho


Allah tala Hum Sab Ko Hidyat Dey Ameen
 
Top