Tauheed Ki Pehli Shart ILM (علم)


Tauheed Ki Pehli Shart ILM (علم)

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Har Musalmaan Ke Liye Zaroori Hai Ke Woh Tauheed Ki Sharaaet Maloom Kare Aur Unko Apne Andar Paida Kare. Isliye Ke In Shuroot Ke Na Hone Se Tauheed Bhi Ma’doom (Ghair Maujood) Ho Jaati Hai Aur Tauheed Eemaan Ki Bunyaad Hai Goya Eemaan Hi Naapaid (Gumm) Ho Jaata Hai.

Jis Tarah Namaaz Ki Sharaaet Mein Se Agar Koi Shart Ya’ni Qiblah Rukh Hona, Satar Dhaanpna Waghaira Faut Ho Jaaye Tou Namaaz Hi Baatil Ho Jaati Hai Isliye Ke Namaaz Ki Saheeh Adaaigi Aur Qubooliyat Ke Liye Yeh Sharaaet Hai Inki Naa Maujoodgi Mein Namaaz Nahi Hoti. Isi Tarah Tauheed Ki Sharaaet Agar Na Ho Tou Tauheed Bhi Nahi Hogi. Tauheed Ki Sharaaet Saath (7) Hai.

Tauheed Ki Pehli Shart ILM :

Jaisa Ke Irshaad Baari Ta'aalaa Hai :


فَاعۡلَمۡ اَنَّہٗ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ

"Is Baat Ko Jaanlo Ke Allaah Ke Alaavah Koi Ma’bood Nahi Hai."

[Sūrah Muhammad, Aayat : 19].


Allaah Ke Baarey Mein Yeh 'ILm Isliye Zaroori Hai Ke Allaah Ke Ek Hone Aur Akele Hi Mustahaq 'Ibaadat Hone Se Laa-'ILmi Bandey Ke Qubool-e-Islaam Mein Rukaavat Hai. Isliye Kisi Bhi Insaan Par Islaam Qubool Karne Ke Liye Allaah Ki Wahdaaniyat (Allaah Ke Akele Hone) Aur Mustahaq 'Ibaadat Hone Ka ILm Laazim Hai.

Nabi Kareem (ﷺ) Ne Farmaaya:

من مات وھو یعلم انہ لا الہ الا ﷲ دخل الجنة

"Jo Is Haal Mein Margaya Ke Woh Is Baat Ka ILm Rakhta Tha Ke Allaah Ke Alaavah Koi Mabood Nahi Hai Tou Yeh Aadmi Jannat Mein Daakhil Hoga."

[Saheeh Muslim]

Shaikh Abdur Rahmaan Bin Hasan (Rahimahullaah) Farmaate Hai Ke:


“Ahle Sunnat Wal-Jamaa'at Ke Ulamaa Ne "laa Ilaaha Illallaah" Ke Ma’na Iske Manaafi (Inkaar) Aur (Allaah Ki Tauheed) Isko Saabit Karne Waale Umoor Zikr Kiye Hain Jin Ka Jaanna Zaroori Hai Ke In Ka Jaanna Allaah Ne Zaroori Qaraar Diya Hai

Abu AL-Muzaffar Wazeer Kahte Hai Ke: "Laa Ilaaha Illallaah" Ek Gawaahi Hai Aur Jo Shakhs Kisi Baat Ki Gawaahi De Raha Ho Tou Us Par Laazim Hota Hai Ke Woh Is Baat Se Waaqif Ho Jis Baat Ki Gawaahi De Raha Hai Lihaaza Jo Musalmaan "Laa Ilaaha Illallaah" Ka Iqraar Kar Raha Hai Usey Is Shahaadat Aur Gawaahi Ke Baare Mein 'ILm Hona Chaahiye Isliye Ke Iska Hukm Allaah Ne Diya Hai Ke :


فَاعۡلَمۡ اَنَّہٗ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ

"Is Baat Ko Jaan Rakho Ke Allaah Ke Alaavah Koi Ibaadat Ka Mustahiq Nahi Hai."

[Sūrah Muhammad, Aayat : 19]


Ya’ni Uloohiyat (Allaah Ko Ek Maanna) Sirf Usi Ke Liye Waajib Hai Koi Iska Haq Nahi Rakhta Is Tarah Is Kalimah Se Yeh Bhi Saabit Hota Hai Ke Taaghoot Ka Inkaar Laazim Hai Allaah Par Eemaan Zaroori Hai Jab Koi Insaan Tamaam Makhlooq Se Uloohiyat Ki Nafee (inkaar) Karke Sirf Allaah Ke Liye Isey Saabit Karta Hai Tou Yeh Kufr Bit Taaghoot (Taaghoot ka Inkaar) Aur Eemaan-Billaah (Allaah par Eemaan) Hai.

[Ad-Durar As-Saniyyah fi al-Ajwibah an-Najdiyyah : 2/216]

Shaikh 'Abdullaah Bin 'Abdur Rahmaan Abaa-Bateen (Rahimahullaah) Kehte Hain: Allaah Ka Farmaan Hai :


ہٰذَا بَلٰغٌ لِّلنَّاسِ وَ لِیُنۡذَرُوۡا بِہٖ وَ لِیَعۡلَمُوۡۤا اَنَّمَا ہُوَ اِلٰہٌ وَّاحِدٌ وَّ لِیَذَّکَّرَ اُولُوا الۡاَلۡبَابِ

"Yeh Quraan Tamaam Logon Ke Liye Ittela' Naama Hai Ke Iske Zariye Se, Woh Hoshyaar Kar Diye Jaaein Aur Bakhoobi Ma’loom Karley Ke Allaah Ek Hi Ma’bood Hai Aur Taaki Aqal-Mand Log Sonch Samajh Lein."

[Sūrah Al-Ibraaheem, Aayat : 52]

Is Aayat Mein Allaah Ta'aalaa Ne Farmaaya Hai: (لیعلموا انما ھو الہ ) Jis Ka Matlab Hai "Taaki Woh Allaah Ki Wahdaaniyat Ka ILm Haasil Kare," Yeh Nahi Farmaaya Ke: (لیقولوا انما ھو الہ) Woh Kahey Ke Woh Allaah Hi Akela Ma’bood Hai," Ya’ni Sirf Kehna Nahi Balke Jaanna Zaroori Hai.

Doosri Aayat Mein Allaah Ka Farmaan Hai :


اِلَّا مَنۡ شَہِدَ بِالۡحَقِّ وَ ہُمۡ یَعۡلَمُوۡن

"Jis Ne Haq Ki Gawaahi Dee Aur Woh Uska ILm Bhi Rakhte Ho."

[Sūrah Az-Zukhruf, Aaya : 86]

Ya’ni Jis Baat Ka Zabaan Se Iqraar Kar rahey Hain Uske Baarey Mein ILm Bhi Ho, Ulamaa Ne Is Aayat Aur Isi Tarah Ki Doosri Aayaat Se Istedlaal Kiya Hai Ke Insaan Par Sab Se Pehle Allaah Ke Baarey Mein Ma’lumaat Karna Waajib Hai.

"Laa Ilaaha Illallaah" Ke Baarey Mein ILm Bhi Faraaiz Mein Se Hai Aur Is Kalimey Ke Matlab Se Laa-ILmi Sab Se Badi Jahaalat Hai Magar Aaj Kal Kuch Log Aisey Bhi Hai Jab Unke Saamney "Laa Ilaaha Illallaah" Ka Matlab Wa Mafhoom Bayaan Kiya Jaata Hai Aur Unhein Kaha Jaata Hai Ke Uske Ma’na Wa Matlab Ko Seekhein Yaad Rakhein Tou Woh Kahte Hain Ke: Islaam Ne Hum Par Aisi Koi Zimmedaari Nahi Daali Ke Hum "Laa Ilaaha Illallaah" Ka Ma’na Bhi Samjhein,

Tou Hum Unse Yeh 'Arz Karengey Ke Aap Par Tauheed Ko Samajhna Laazim Hai Woh Tauheed Jis Ke Liye Allaah Ne Jin Aur Insaanon Ko Paidaa Kiya Hai Aur Tamaam Rasoolon Ko Tauheed Samjhaane Aur Us Ki Taraf Da’wat Deney Ke Liye Hi Mab'oos Farmaaya (bheja) Hai. Aur Yeh Bhi Insaan Par Laazim Hai Ke Woh Tauheed Ke Mukhaalif Aur Mutazaad (Opposite) 'Amal Se Bhi Waaqifiyat Haasil Kare Ya’ni Shirk Se Jis Ki Maghfirat Kabhi Bhi Nahi Ho Sakti.

Agar Koi Laa-ILmi Ki Bina Par Bhi Shirk Kar Baithey Tou Yeh Bhi Naa-Qaabil Muaafi Hai Is Baarey Mein 'Adam Waaqifiyat Ka 'Uzr Qubool Nahi Hoga Is Tarah Shirk Mein Kisi Ki Taqleed Wa Pairvi Bhi Jaaiz Nahi Jis Tarah Tauheed Islaam Ki Bunyaad Hai Is Tarah Shirk Is Bunyaad Ko Khatam Kar Deney Waala Hai, Lihaaza Is Mein Kisi Qism Ki Muaazirat Qaabil-e-Qubool Nahi Hoti Isliye Ke Jo Shakhs Ma’roof (Bhalaayi) Ko Jaanta Hai Us Par Laazim Hai Ke Woh Munkar (Buraayi) Ko Bhi Maloom Kare, Taaki Usse Ijtenaab Karsakey Khaas Kar Sab Se Aham Ma’roof Aur Aham Munkar Ya’ni Tauheed Aur Shirk.


[Ad-Durar As-Saniyyah fi al-Ajwibah an-Najdiyyah : 12/58]

Shaikh 'Abdul Lateef Bin 'Abdur Rahmaan Rahimahullaah Farmaate Hai Shaikh Muhammad Bin Abdul Wahhaab Rahimahullaah Ka Qaul Hai Ke :


"Sirf Lafzi Taur Par "laa Ilaaha Illallaah" Ki Shahaadat Baghair Ma’na Wa Matlab Ke Samjhe Kaafi Nahi Hai, Iske Taqaazon Ke Mutaabiq 'Amal Kiye Baghair Koi Musalmaan Nahi Kehla Sakta. Agarchey Yeh Karaamiyyah Firqey Ka 'Aqeedah Wa Nazariya Hai.

Magar Unki Yeh Baatein Saheeh Nahi Hai Isliye Ke Allaah Ta'aalaa Ne Munaafiqeen Ko Zabaani Iqraar Ke Baavajood Jhoota Qaraar Diya Jaisa Ke Irshaad Hai :


اِذَا جَآءَکَ الۡمُنٰفِقُوۡنَ قَالُوۡا نَشۡہَدُ اِنَّکَ لَرَسُوۡلُ اللّٰہِ ۘ وَ اللّٰہُ یَعۡلَمُ اِنَّکَ لَرَسُوۡلُہٗ ؕ وَ اللّٰہُ یَشۡہَدُ اِنَّ الۡمُنٰفِقِیۡنَ لَکٰذِبُوۡن

"Jab Nabi () Ke Paas Munaafiqeen Aakar Yeh Kahey Ke Hum Is Baat Ki Gawaahi Detey Hain Ke Aap Allaah Ke Rasool Hai, Allaah Jaanta Hai Ke Aap Allaah Ke Rasool Hai, Allaah Yeh Gawaahi Deta Hai Ke Munaafiqeen Jhoote Hai.”


[Sūrah Al-Munaafiqoon, Aayat : 1]

Haalaanke Unho Ne Allaah Ke Rasool () Ki Risaalat Ke Iqraar Ke Liye Jo Alfaaz Istemaal Kiye The Woh Taakeed Ka Faaidah Detey Hai Ya’ni Apne Qaul Ko Achchi Tarah Saabit Karne Ki Koshish Ki Magar Allaah Ne Bhi Waise Hi Alfaaz Se Unki Tardeed (Radd) Wa Takzeeb Kardi.

Isse Ma’loom Hota Hai Ke Eemaan Ke Liye Sidq (Sachchaayi) Wa 'Amal
Donon Laazmi Hai Tab Eemaan Keh laayega,

Ab Agar Koi Shakhs "Laa Ilaaha Illallaah" Ki Gawaahi Zabaan Se Deta Hai Magar Ghair-Allaah Ki 'Ibaadat Bhi Karta Hai Tou Us Ka Yeh Lafzi Wa Zabaani Da’waa Koi Haisiyat Nahi Rakhta Agarchey Woh Namaaz Padhta Rahey Qurbaaniyaan Dey, Rozey Rakhey, Deegar Islaami Rusoom Adaa Karta Rahey.

Allaah Ta'aalaa Ka Irshaad Hai :

اَفَتُؤۡمِنُوۡنَ بِبَعۡضِ الۡکِتٰبِ وَ تَکۡفُرُوۡنَ بِبَعۡضٍ


"Kya Tum Kitaab Ke Kuch Hissey Par Eemaan Laate Ho Kuch Hisse Ka Inkaar Karte Ho ?"

[Sūrah Al-Baqarah, Aayat : 85. Ad-Durar As-Saniyyah fi al-Ajwibah an-Najdiyyah : 12/535]

Lihaaza Musalmaan Par Jis Tarah Tauheed Ko Samajhna Aur Us Ko Apnaana Laazim Hai
Usi Tarah Tamaan Qism Ke Shirkiyah Af-aal (Kaam) Aur Aqwaal (Baaton) Se Ijtenaab Bhi Zaroori Hai.

[SOURCE: Kitaab Meeraasul-Ambiyaa (میراث الانبیاء) by Shaikh Abu 'Umar Al-Kuwaiti (رحمہ اللہ)]
 
Last edited:

Similar threads


Top