Tauheed Ki Doosri Shart “YAQEEN” (یقین)


Tauheed Ki Doosri Shart “YAQEEN” (یقین)

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
"Ya’ni Tauheed Aur "Laa Ilaaha Illallaah" Ke M'ana Wa Matlab Ko Samajhne Ke Ba’d Us Par Yaqeen Rakhna, Us Mein Kisi Qism Ka Shak Na Karna, Is Baat Par Dil Se Yaqeen Karna Ke Allaah Hi Tamaan Qism Ki 'Ibaadaat Ka Akela Mustahaq Hai Us Mein Zara Sa Bhi Shak Ya Taraddud Na Karein. Allaah Ta'aalaa Ne Muminon Ki Yahi Ta’reef Ki Hai Aur Unhe Apne Da’waa-e-Eemaan Mein Sachcha Qaraar Diya Hai."

اِنَّمَا الۡمُؤۡمِنُوۡنَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا بِاللّٰہِ وَ رَسُوۡلِہٖ ثُمَّ لَمۡ یَرۡتَابُوۡا وَ جٰہَدُوۡا بِاَمۡوَالِہِمۡ وَ اَنۡفُسِہِمۡ فِیۡ سَبِیۡلِ اللّٰہِ ؕ اُولٰٓئِکَ ہُمُ الصّٰدِقُوۡنَ

"Mumin Woh Log Hain Jo Allaah Aur Uske Rasool (ﷺ) Par Eemaan Laaye Aur Phir Shak Nahi Kiya Aur Apne Amwaal (maalon) Aur Apni Jaanon Se Allaah Ki Raah Mein Jihaad Kiya, Yahi Log Sachchey Hain."

[Sūrah Al-Hujuraat, Aayat : 15]


Is Tarah Ek Hadees Mein Aata Hai Nabi (ﷺ)Ne Farmaaya:

«أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَأَنِّي رَسُولُ اللهِ، لَا يَلْقَى اللهَ بِهِمَا عَبْدٌ غَيْرَ شَاكٍّ فِيهِمَا، إِلَّا دَخَلَ الْجَنَّةَ»

"Jis Ne Yeh Gawaahi Dee Ke Allaah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahi Aur Mai Muhammad ! Allaah Ka Rasool Hoon Aur Phir Is Gawaahi Mein Shak Nahi Kiya Tou Woh Shakhs Jannat Mein Daakhil Hoga."


[Saheeh Muslim]

[SOURCE: Kitaab Meeraasul-Ambiyaa (میراث الانبیاء) by Shaikh Abu 'Umar Al-Kuwaiti (رحمہ اللہ)]
 

Similar threads


Top