TARIQ BIN ZYAAD KA KASHTIYAN JALANE KA MAN GHADAT WAQIA


TARIQ BIN ZYAAD KA KASHTIYAN JALANE KA MAN GHADAT WAQIA
Tahreer : Fazilat-ush-Shaikh Mohaddis-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAYI rahimahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

(1)
Baaz jhute qissay awam-un-naas mein mash'hor hain maslan:
Khansa Bint Omro raziallahu-anha ke baray mein mash'hoor hai ke jang-e-qaadsiyyah mein unn ke chaar betay shaheed ho gaye thay.
Yeh qissa Mohammad Bin Al-Hasan Bin Zabaalah ne bayaan kya hai, dekhye.(Dekhiye: Al-Isaabah Fi Tameez al-Sahabah:4/288)

Ibn Zabaalah ke baare mein:
Imam Yahyaa Ibn Mayeen rahimahullah farmate hain:

وكان كذابا
"Aur woh jhoota tha."(Taareekh Ibn Mayeen Riwayat al-Dauri:1060)

Imam Ibn Mayeen rahimahullah ne mazeed farmaaya:

عدو الله
"Yeh ALLAH ka dosman hai."(Al-Jarh wa al-Tadeel:7/228, aur is ki sanad SAHIH hai)

Aur mazeed farmaaya:

وكان يسرق الحديث
"Aur yeh Hadisein choori karta tha."(Taareekh al-Kabeer lil-Bukhari:1/67-154, aur is ki sanad SAHIH hai)

Maloom howa ke ye riwaayat ZAYEEF hai.


(2)
Baaz logon mein mash'hoor hai ke Taariq Bin Zyaad ne jab spain(undlas) par hamla kya tha to kashtiyan jalane ka hukm day kar kashtiyan jala daali theen. kashtiyan jalanay wala yeh sara qissa jaali aur mann gharat hai. dekhye:( Kotb Akhbaar Rijaal Ahadis That al-Mujahir, page:17-19)
 

Top