Tarawih 8 ya 20 Raka’at


Tarawih 8 ya 20 Raka’at :
Umar (R) ne 20 ka ya 8 ka Hukm diya tha ?


بسم الله الرحمن الرحیم

Ramadhan ka Mahina aate hi 8 Ra'kaat Tarawih padhnewalo ko haqir nigaaho se dekha jaata jaisa ke wo log koi bada gunah kar rahe hai. Jis Masjid me 8 Ra'kaat Tarawih padhaayi jaati hai waha log Tarawih ki Salaat (Namaz) padhna bhi pasand nahi karte. Aaj ham is galat fahami ko Allah ke madad se dur karenge.

Sabse pahle ye baat samaj le ke Ramadhan me Tahajjud, Qiyamul Layl aur Tarawih 1 hi ibaadat ke 3 alag alag naam hai jaisa ke : Layl aur Shab, Salaat aur Namaz, Saum aur Roza, Salaat aur Darood 1 hi chiz ke 2-2 mash’hoor naam paaye jaate hai.

Har Ramadhan me hamesha Tarawih ka masla sabse zyada Hot aur Burning issue bane rahta hai. Beshak hamko Allah ki Ibaadat karna hai. Ham chahe 8 padhe ya 20 padhe ya 100 ra’kaat padhe lekin uski taadaat hamare Pyare Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ki Sunnat aur Khulfa Raashedin ke amal ke mutabik ho jo SAHIH HADEES se sabit bhi ho. Aaj kal log 20 rakaat ko Sabit karne ke liye Zaeef Hadeese bayan karne me bilkul bhi nahi sharmate.

1 HADEES No. 1 : Sahih Bukhari se

Abu Salma bin Abdur Rahman (Radhiyallahu Anhu) se riwayat hai ke unone Aisha (Radhiyallahu Anha) se puchha ke : “Allah ke Nabi SallallahuA'laihiWaSallams ki Ramadhan me Salaat(Namaz) kaisi huwa karti thi? Aisha (Radhiyallahu Anha) ne Jawab diya : “Ramadhan ho ya gair-e-Ramadhan, Allah ke Nabi SallallahuA'laihiWaSallam 11 Rakaa’at se zyada Salaat adaa (padha) nahi kiya karte the…………………”.

(Sahih Bukhari, 3/230, English Edition)

Is Hadees se ye sabit huwa ke :

Allah ke Pyare Nabi SallallahuA'laihiWaSallam, Ramadhan aur gair-Ramadhan me Tahajjud ki Salaat (Namaz) yaani Tarawih sirf 11 Raka’at adaa kiya karte the (jisme 8 Raka’at + 3 Raka’at Witr = 11 Raka’at huwa karti thi).

Agar ham Ramadhan ke raato ke liye Tahajjud alag aur Taraweeh alag karenge to fir Allah ke Nabi SallallahuA'laihiWaSallam par ye ilzaam hoga ke wo Ramadhan me Taraweeh adaa nahi kiya karte the sirf Tahajjud hi adaa kiya karte the.

*Allah ke Nabi Sallallahu A'laihi WaSallam, Maahe Ramadhan ki raatein ho ya Gair-Maahe Ramadhan ki raatein ho Nabi Sallallahu A'laihi WaSallam sirf 1 hi tarah ki Salaat (Namaz) adaa kiya karte the isiliye HADEES me Aisha (R) ne wazeh taur par Ramadhan aur Gair-e-Ramadhan ko zikr kiya.

2 HADEES No. 2 : "Muwatta" Imam Malik se

Yahya (Rahamullah) ne Imam Malik (Rahamullah) se aur Imam Malik (Rahamullah) ne Muhammad ibn Yusuf (Rahamullah) se Riwayat kiya hai ke Sa'ib ibn Yazid (Rahamullah) ne kaha ke : Umar bin Khattab (Radhiyallahu Anhu) ne (Sahabi) “Ubayy ibn Kab” aur “Tamim ad-Dari” ko hukm diya tha ke Ramadhan ke raato me (Masjid-e-Nabawi me) 11 Raka’at Salaat (Namaz) padhaaye.

(Sahih Hadees, Muwatta Malik, Prayer in Ramadhan, Book 6, Hadith 4, English Edition)

(Ye Sahih Hadees “Muatta Maliki” se li gayi, Ye Hadees ki kitab Mash'hoor 4 Imamo me se dusre number ke Imam Malik bin Anas (Rahamullah) ne likhi hui hai jo Masjid-e-Nabawi Madina Munawwara ke Imam the. Ham waise bhi 4 Imam haq par hai ka daawaa (claim) karte hai lekin is Imam ne Nabi ki sahih Hadees pesh hai lekin ham is Hadees ko kyun nahi mante? apne Maslaq par ham kyun ade huye hai? Haq ko kyun nahi qubul kiya jaata?)

Is Hadees se ye sabit huwa ke :

Ameerul Mumeeneen Umar bin Khattab (R) apne daure khilaafat me 20 Rakaat Tarawih padhaane ka hukm nahi diya tha balke unone 2 Sahabiyo ko (jinka naam “Ubayy ibn Kab” aur “Tamim ad-Dari”) hukm diya tha ke ye dono Ramadhan ke raato me (Masjid-e-Nabawi me) 11 Raka’at Salaat (Namaz) padhaaye.

Aaj se kam se kam 8 Raka'at Tarawih padhne walo ko haqir nigah se na dekha jaaye kyunke ye 8 Ra'aat Tarawih Sunnat se sabit HAI ALHAMDULILLAH.


Allahu Aalam Bis-Sawab
 
Top