Taraweeh se Mutalliq Hadeese


Taraweeh se Mutalliq Hadeese

بسم الله الرحمن الرحیم

1) Jo log "Taraweeh" ki Namaz ko "Jaldi-Jaldi" Pdhte hain Unko Es Hadeeso pe Dhayan Dena Chahiye

Jaldi jaldi Namaz pdhne wale ko Nabi ﷺ ne Namaz "Dohrane" ko kaha (MATLAB Uski Namaz Nahi hui)
[Sahih Bukhari : 757]

Namaz me 1 Rukun se dusre rukun me jane se pahle tb tak rukna chahiye jab tak ki "haddi apni jagah baith na jaye".
[Sahih Bukhari : 757]

Nabi ﷺ Ne Farmaya:-
Qur'an ko Namaz me Aasni ke Sath Padho (Jaldi Jaldi Na kro)
[Sahih Bukhari : 757]

Taraweeh Ki Namaz ko Sirf Rakat poori Krne ke Maqsad Se Na pdhe Kyuki Aisi Namaz ka koi Fayda Nahi or Na hi Ye Qubool hogi.

Namaz me Ruku-Sujood Sahi se nhi krna Namaz me "Chori" hai.

Rasool-Allah ﷺ ne farmaya: Chori ke lihaz se Sabse Bura Shaksh wo hai jo apni Namaz se chori karta hain logo ne kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam wo Namaz se kaise chori karta hain Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Wo ruku aur sujud Pura nahi karta ya farmaya ke wo ruku aur sujud mein apni kamar seedhi nahi karta
(Musnad Ahmed 1704: Islam360)


2) Taraweeh ki koi khaas Dua Sabit nhi hai Na hi Taraweeh ke beech me koi Dua Sabit hai

Witir ki Namaz ke baad ki dua Sabit hai

Ye Dua ka 3 Baar Padhna Teesri baar Buland Awaz se.
"سُبْحَانَ الْمَلِکُ الْقُدُّوْسُ"
(Subhaan al-Malik al-Quddoos)
(Abu Dawood:1430)
(Ahmad :14929),
(Al-Nasaa’i :1699)
 

Similar threads


Top