Taraweeh Aur Tahajjud Ek Hi Namaz Ke Mukhtalif Name Hai


Abdul Adil

Member
Assalamualaikum Warah Matullah Wa Barkatuhu

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Daleel Number - 1 ______

a] Imam Bukhari Rahimaullah (Died 256 H) Farmate hai

حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ ، قَالَ : حَدَّثَنِي مَالِكٌ ، عَنْ سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ ، عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا : كَيْفَ كَانَتْ صَلَاةُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ ؟ فَقَالَتْ : مَا كَانَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ وَلَا فِي غَيْرِهِ عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً ، يُصَلِّي أَرْبَعًا ، فَلَا تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ ، ثُمَّ يُصَلِّي أَرْبَعًا ، فَلَا تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ ، ثُمَّ يُصَلِّي ثَلَاثًا ، فَقُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، أَتَنَامُ قَبْلَ أَنْ تُوتِرَ ، قَالَ : يَا عَائِشَةُ ، إِنَّ عَيْنَيَّ تَنَامَانِ وَلَا يَنَامُ قَلْبِي

Hazrat Abu Salmah Bin Abdurrahman ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se poocha ki Rasoolullah ﷺ Ramzan me kitni rakat padhte the? to unhone batlaya ki Ramzan Ho ya gair ramzan Aap ﷺ Gyarah (11) rakat se jyada nahi padhte the. Aap ﷺ pahle 4 rakat padhte tum unke husn wa khoobi aur tol ka haal na poocho , fir 4 rakat padhte unke bhi hushn wa khoobi aur tol ka hal na poocho, akhir me 3 rakat (witr) padhte the , maine ek baar pocha Aie Allah ke Rasool ﷺ kya Aap witr padhne se pahle so jate hai? To Aap ﷺ ne farmaya Aie Ayesha meri aankhe soti hai lekin mera dil nahi sota

[Sahih Bukhari Hadees Number 2013]

Imam Bukhari Rahimaullah ne ye riwayat Kitab ut Taraweeh me nakal karke ye baab bandha hai 👇

بَابُ فَضْلِ مَنْ قَامَ رَمَضَانَ

Ramzan me Qayam karne ki fazilat

Isi Tarah Se Imam Bukhari Rahimaullah ne is Hadees Ko Kitab ut Tahajjud Hadees Number 1147 me nakal karke ye Baab Bandha hai 👇

بَابُ قِيَامِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِاللَّيْلِ فِي رَمَضَانَ وَغَيْرِهِ

Nabi ﷺ ka ramzan aur gair ramzan me rat ko namaz padhna.

Imam Bukhari Rahimaullah ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki ye hadees Apni Sahih Bukhari me 2 jagah alag alag baab aur alag alag kitab me nakal karna sabit karta hai ki Taraweeh Aur Tahajjud ek hi namaz hai aur isse ye bhi Pata Chalta hai ki Imam Bukhari Rahimaullah Ke Nazdeek Taraweeh aur Tahajjud ek hi namaz hai.

Note :- Hazrat Abu Salmah Bin Abdurrahman Ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se sirf ye poocha ki Rasoolullah ﷺ Rat me kitni rakat padhte the ? To Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ko ye batana tha ki Aap ﷺ gyarah rakat padhte the lekin Ammi Ayesha Razi Allahu Anha ne ye jawab na dete huye Ye Kaha ki Ramzan Ho ya gair ramzan Aap ﷺ Gyarah (11) rakat se jyada nahi padhte the. Halakin Raawi ne Ramzan ya gair ramzan ka jikr hi nahi kiya jisse Sabit hota hai ki Rasoolullah ﷺ sirf 11 rakat hi padhte the yahi Rasoolullah ﷺ ki taraweeh aur tahajjud ki ek hi namaz hai.

b] Imam Baihaqi Rahimaullah Ne is Hadees ko is Baab me nakal kiya hai

"بـاب مـا روى في عدد ركعات القيام في شهر رمضان “

Ramzan Me Taraweeh me tadad ke bayan me jikr

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Kitab us Salat Jild-3 Hadees Number 1219]

c] Imam Abu Hanifa Rahimaullah ke Shagird Imam Muhammad Hasan As-Shaibani Rahimaullah ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki hadees ko is Baab me jikr kiya hai 👇

قيام شهر رمضان وما فيه من الفضل“

Yani Ramzan Me Taraweeh padhne aur uski fazilat ke bayan ke tahat jikr.

[Moatta Imam Muhammad Jild-1 Hadees Number - 238]

d] IMAM ABU BAKAR AL BUSEERI Rahimaullah 20 RAKA’AT wali HADEES par TABSERA karte huye farmate hain 👇

وَمَدَارُ أَسَانِيدِهِمْ عَلَى إِبْرَاهِيمَ بْنِ عُثْمَانَ أَبِي شَيْبَةَ، وَهُوَ ضَعِيفٌ، وَمَعَ ضَعْفِهِ مُخَالِفٌ لِمَا رَوَاهُ مُسْلِمٌ فِي صَحِيحِهِ مِنْ حَدِيثِ عَائِشَةَ قَالَتْ: “كَانَتْ صَلَاةَ رَسُولِ اللَّهِ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – بِاللَّيْلِ فِي رَمَضَانَ وَغَيْرِهِ ثَلَاثَ عشرة ركعة منها ركعتي الْفَجْرِ.

Ki un ki SANADO ka DAROMADAR IBNRAHIM BIN USMAN ABU SHAIBA par hai aur ye ZA’EEF hai aur ZA’EEF hone ke sath sath ye (HADEES) us HADEES ke KHILAF bhi hai jise IMAM MUSLIM Rahimaullah ne apni SAHEEH me AMMA AAISHA Razi Allahu Anha ki HADEES se RIWAYAT kiya hai ki unhone farmaya ki ALLAH ke RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki RAAT ki NAMAZ RAMAZAN aur GHAIR E RAMAZAN me 13 RAKA’AT hoti thi aur unme FAJR ki 2 RAKA’AT SHAMIL hoti thi

[ITHAF AL KHAIRAH JILD 2 SAFA 384]

NOTE:- IMAM BUSEERI Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon kiya?

e] IMAM IBN HAJAR Rahimaullah farmate hain

وَأما مَا رَوَاهُ بن أبي شيبَة من حَدِيث بن عَبَّاسٍ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَالْوِتْرَ فَإِسْنَادُهُ ضَعِيفٌ وَقَدْ عَارَضَهُ حَدِيثُ عَائِشَةَ هَذَا الَّذِي فِي الصَّحِيحَيْنِ مَعَ كَوْنِهَا أَعْلَمَ بِحَالِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَيْلًا مِنْ غَيرهَا

Ki aur IBNE ABI SHAIBA ne IBNE ABBAS Razi Allahu Anha ki HADEES se jo RIWAYAT kiya hai ki ALLAH ke RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM RAMAZAN me 20 RAKA’AT aur WITR padhte the to iski SANAD ZA’EEF hai aur SAHEEHAIN me MAUJOOD AMMA AAISHA Razi Allahu Anha ki HADEES is HADEES ke KHILAF hai mazeed ye ki AMMA AAISHA Razi Allahu Anha AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki RAAT ki NAMAZ se MUTA’ALLIQ doosron se ZYADA JAANKAR hain

[ FATAHUL BARI JILD-4 SAFA 254]

NOTE:- IMAM IBN HAJAR Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon kiya?

f] IMAM JALALUDDIN SUYUTI Rahimaullah 20 RAKA’AT wali HADEES par JARAH naqal karte huye farmate hain

مَعَ تَصْرِيحِ الْحَافِظَيْنِ الْمَذْكُورَيْنِ نَقْلًا عَنِ الْحُفَّاظِ بِأَنَّ هَذَا الْحَدِيثَ مِمَّا أُنْكِرَ عَلَيْهِ، وَفِي ذَلِكَ كِفَايَةٌ فِي رَدِّهِ، وَهَذَا أَحَدُ الْوُجُوهِ الْمَرْدُودِ بِهَا.

Ki aur MAZKOORAH dono HUFFAZ ka HUFFAZ ke HAWALA se ye SARAHAT karna ki ye HADEES ABU SHAIBA ki MUNKIR HADEES hai itni baat is HADEES ke MARDOOD hone ke liye kaafi hai aur ye ASBAB E RADD me se ek SABAB hai

[AL HAAWI LIL FATAWI JILD 1 SAFA 348]

NOTE:- IMAM JALALUDDIN SUYUTI Rahimaullah ne ye QAUL NAQAL karne ke fauran baad HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha wali HADEES laaye hain ye SAABIT karne ke liye ki SAHEEH HADEES yahi hai

Faisla kar len ki agar HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha se MURAAD MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir kyun 20 RAKA’AT ke MUQABLE me is HADEES ko laaye hain?

g] HANAFIYON ke IMAM ZAYLI Rahimaullah farmate hain

وَهُوَ مَعْلُولٌ، بِأَبِي شَيْبَةَ إبْرَاهِيمَ بْنِ عُثْمَانَ، جَدِّ الْإِمَامِ أَبِي بَكْرِ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ، وَهُوَ مُتَّفَقٌ عَلَى ضَعْفِهِ، وَلَيَّنَهُ ابْنُ عَدِيٍّ فِي “الْكَامِلِ”، ثُمَّ إنَّهُ مُخَالِفٌ لِلْحَدِيثِ الصَّحِيحِ عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ، كَيْفَ كَانَتْ صَلَاةُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ؟، قَالَتْ: مَا كَانَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ، وَلَا فِي غَيْرِهِ، عَلَى إحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً،

Ki ye RIWAYAT IBN ABI SHAIBA ke DADA ABU SHAIBA IBRAHIM BIN USMAN ki waja se MA’LOOL hai aur ye BIL-ITTEFAQ ZA’EEF hai aur IBN ADEE ne AL KAMIL me ise ZA’EEF QARAR diya hai nez ye us HADEES ke KHILAF bhi hai jisme hai ki ABU SALMAH BIN ABDURRAHMAN ne HAZRAT AAISHA Razi Allahu Anha se poocha RAMAZAN me ALLAH ke RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki NAMAZ kaisi hoti thi? To AMMA AAISHA Razi Allahu Anha ne JAWAB diya RAMAZAN ho ya GHAIR RAMAZAN ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM 11 RAKA’AT se ZYADA nahi padhte the

[ NASAB UR RA’YA JILD 2 SAFA 153]

NOTE:- IMAM ZAYLI Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon pesh kiya?

h] HANAFIYON ke IMAM IBN HAMMAM AL HANAFI Rahimaullah farmate hain

وَأَمَّا مَا رَوَى ابْنُ أَبِي شَيْبَةَ فِي مُصَنَّفِهِ وَالطَّبَرَانِيُّ وَعِنْدَ الْبَيْهَقِيّ مِنْ حَدِيثِ ابْنِ عَبَّاسٍ «أَنَّهُ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – كَانَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً سِوَى الْوِتْرِ» فَضَعِيفٌ بِأَبِي شَيْبَةَ إبْرَاهِيمَ بْنِ عُثْمَانَ جَدِّ الْإِمَامِ أَبِي بَكْرِ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ مُتَّفَقٌ عَلَى ضَعْفِهِ مَعَ مُخَالِفَتِهِ لِلصَّحِيحِ

Ki aur jise IBN ABI SHAIBA ne MUSANNIF me aur TABRANI ne RIWAYAT kiya hai aur jo BAYHAQI me IBN ABBAS Razi Allahu Anhu se MARWI hai ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM RAMAZAN me WITR ke ALAWA 20 RAKA’AT padhte the to ye ABU SHAIBA IBRAHIM BIN USMAN ki waja se ZA’EEF hai aur iske ZA’EEF hone par ITTEFAQ hai uske baad ye HADEES SAHEEH HADEES (HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha) ke KHILAF bhi hai

[SHARAH FATAHUL QADEER JILD 1 SAFA 485]

NOTE:- IMAM IBN HAMMAM AL HANAFI Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon kiya?

i] HANAFIYON ke ABUL TAYYAB ABDUL QADIR AL SINDI AL HANAFI farmate hain

وورد عن ابن عباس قال كان رسول الله صلي الله عليه وسلم يصلي في رمضان عشرين ركعة والوتر،رواه ابن ابي شيبة واسناده ضعيف وقد عارضه حديث عائشة هذا وهو في الصحيحين فلا تقوم به الحجه

Ki aur IBN ABBAS Razi Allahu Anhu se marwi hai ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM RAMAZAN me 20 RAKA’AT aur WITR padhte the ise IBN ABI SHAIBA ne RIWAYAT kiya hai iski SANAD ZA’EEF hai aur AMMA AAISHA Razi Allahu Anha ki ye HADEES iske KHILAF hai aur ye SAHEEHAIN me hai lehaza 20 RAKA’AT wali RIWAYAT se HUJJAT QAAYEM nahi ho sakti

[SHARAH TIRMIZI JILD 1 SAFA 423]

NOTE:- ABDUL QADIR SINDI HANAFI Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon kiya?

j] MAULANA JAMEEL AHMAD HANAFI
farmate hain

Ki baaz saheeh riwayaton se Rasoolullah ﷺ ne witr samet Taraweeh ki 11 rakat padhi aur baaz se 20 rakat ka saboot milta hai . 11 rakat Abu Salmah Bin Abdurrahman se sabit hak HADEES me alfaz ye hai Abu Salmah Bin Abdurrahman Rahimaullah kahte hai ki maine Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se daryaaft kiya ki Ramzan Me Rasoolullah ﷺ ki namaz kis tarah thu? Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha Allah ke Rasool ﷺ Ramzan aur Gair Ramzan me 11 rakat se jyada nahi padhte the yani 8 taraweeh aur 3 witr

[ASHRAF UL HIDAYAH JILD 2 SAFA 203]

k] ABDUL HAQ DEHLAWI Rahimaullah farmate hain

وروي ابن عباس انه صلّی رسول الله صلی الله عليه وسلم عشرين ركعة في رمضان ثم أوتر بثلث لكن المحدثين قالوا ان هذا الحديث ضعيف والصحيح ما روته عائشة رضي الله عنها صلّی احدي عشرة ركعة كما هوا عادتة في قيام الليل وروي انه كان بعض السلف في عهد عمر بن عبدالعزيز يصلون احدي عشرة ركعة قصدا للتشبه برسول الله صلی الله عليه وسلم


Ki aur IBNE ABBAS RAZI ALLAHU ANHU RIWAYAT karte hain ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 20 RAKA’ATEN padhi phir uske baad 3 WITR padhi lekin MUHADDIS kahte hain ki ye HADEES ZA’EEF hai aur SAHEEH wahi hai jo HAZRAT AAISHA Razi Allahu Anha RIWAYAT karti hain ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 11 RAKA’ATEN padhi jaisa ki QYAM UL LAYL me AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki aadat thi aur RIWAYAT hai ki BAAZ BUZURG UMAR Razi Allahu Anhu ke OHOD me 11 RAKA’AT padha karte the is GARZ se ki RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se MUSHABIHA

[MA SABAT BISSUNNAH FI AYAAMIS SANAHSAFA 218]

NOTE:- ABDUL HAQ DEHLAWI Rahimaullah KE QAUL SE YE WAAZEH HO GAYA KI HAZRAT AAISHA Razi Allahu Anha KI HADEES SE MURAAD TARAWEEH HI HAI

l] MAULANA ANWAR SHAH KASHMIRI AL HANAFI Rahimaullah farmate hain

ولا مناص من تسليم أن تراويحه كانت ثمانية ركعات ولم يثبت في رواية من الروايات أنه صلى التراويح والتهجد على حدة في رمضان

Ki aur iske TASLEEM karne se koi CHUTKARA nahi hai ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki TARAWEEH 8 RAKA’AT thi aur RIWAYATON me kisi ek RIWAYAT me bhi ye SABIT nahi ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne RAMAZAN me TARAWEEH aur TAHAJJUD ALAHIDAH padhi hon.

Aur thoda aage chal kar farmate hain

وأما النبي – صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – فصح عنه ثمان ركعات، وأما عشرون ركعة فهو عنه بسند ضعيف وعلى ضعفه اتفاق

Ki rahi NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM to AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se 8 RAKA’ATEN SABIT hain aur rahi 20 RAKA’ATEN to wo AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se ZA’EEF SANAD ke sath hai aur iske ZA’EEF hone par SAB ka ITTEFAQ hai

[ARF US SHUZI SHARAH SUNAN TIRMIZI JILD 2 SAFA 208]

Note :- Darool Uloom Dewband ke shaikh ul hadees Janab Anwar Shah Kashmiri Hafizahullah ke mutabik Rasoolullah ﷺ se Taraweeh aur Tahajjud alag alag padhna SABIT nahi hai. mazeed unhone kaha isko tasleem karne ke alawa koyi aur option nahi hai.

m] Abdul Hayi Lakhnawi Hanafi Rahimahullah ne Moatta IMAM Muhammad ke is baab ki tashreeh karte huye likhe hai

"قوله: (قيـام شهـر رمـضـان ويسمى التراويح“

Yaani Mah E Ramzan Ke Qayam ka name taraweeh


[ التعليق الممجد للكنوي:- 351/1]

n] Tableegi Soofi Alim Janab Tarik Jameel Hafizahullah ne bhi Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ke 20 wali hadees ko zaeef Kahte huye kahte hai ki sahih RIWAYAT 8 hi hai jise Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne nakal kiya hai .

Youtube link 👇


HANAFI Hazrat kahte hai ki baaz MUHADDIS ne is hadees ko Kitab ut tahajjud me jikr kiya hai wo kyu?

uska jawab ye hai ki taraweeh aur tahajjud ek hi namaz hai to Muhaddiseen is hadees ko Taraweeh aur tahajjud dono ke baab me nakal karenge, isme itna hairan kyu ho rhe hai?


Daleel Number - 2 ______


Allah Ke Nabi ﷺ se Taraweeh aur Tahajjud alag alag padhna sabit nahi hai .

Hanafiyon Ke Anwar Shah Kashmiri Taraweeh Aur Tahajjud ki ek hi namaz hone ki daleel dete huye likhte hai

وإنـمـا يثبـت تـغـايـر النوعين إذا ثبت عن النبي صلى الله عليه وسلم أنه صلى التهجد مع إقامته بالتراويح.

Donon Namazo ka alag alag namaz hona us waqt sabit hoga jab is bat ka saboot mil jaye ki Allah ke Nabi ﷺ ne TARAWEEH padhne ke sath sath Tahajjud bhi padhi ho

[Faiz Ul Baari Jild-4 Safa-23]

Daleel Number - 3 _______

حَدَّثَنَا هَنَّادٌ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْفُضَيْلِ، عَنْ دَاوُدَ بْنِ أَبِي هِنْدٍ، عَنْ الْوَلِيدِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْجُرَشِيِّ، عَنْ جُبَيْرِ بْنِ نُفَيْرٍ، عَنْ أَبِي ذَرٍّ، قَالَ:‏‏‏‏ صُمْنَا مَعَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَلَمْ يُصَلِّ بِنَا حَتَّى بَقِيَ سَبْعٌ مِنَ الشَّهْرِ، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ بِنَا حَتَّى ذَهَبَ ثُلُثُ اللَّيْلِ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ لَمْ يَقُمْ بِنَا فِي السَّادِسَةِ وَقَامَ بِنَا فِي الْخَامِسَةِ حَتَّى ذَهَبَ شَطْرُ اللَّيْلِ، ‏‏‏‏‏‏فَقُلْنَا لَهُ:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ لَوْ نَفَّلْتَنَا بَقِيَّةَ لَيْلَتِنَا هَذِهِ ؟ فَقَالَ:‏‏‏‏ إِنَّهُ مَنْ قَامَ مَعَ الْإِمَامِ حَتَّى يَنْصَرِفَ كُتِبَ لَهُ قِيَامُ لَيْلَةٍ ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ لَمْ يُصَلِّ بِنَا حَتَّى بَقِيَ ثَلَاثٌ مِنَ الشَّهْرِ، ‏‏‏‏‏‏وَصَلَّى بِنَا فِي الثَّالِثَةِ وَدَعَا أَهْلَهُ وَنِسَاءَهُ، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ بِنَا حَتَّى تَخَوَّفْنَا الْفَلَاحَ، ‏‏‏‏‏‏قُلْتُ لَهُ:‏‏‏‏ وَمَا الْفَلَاحُ ؟ قَالَ:‏‏‏‏ السُّحُورُ

Hazrat Abu Zar Razi Allahu Anhu Riwayat karte hai ki hamne Rasoolullah ﷺ ke sath ramzan me roza rakhe to aapne hame namaz (taraweeh) nahi padhayi , yahan tak ki ramzan ke sirf 7 din baki rah gaye to Aapne hamare sath Qayam kiya yahan tak ki ek tihayin rat guzar gayi , fir jab 6 rate rah gayi to aapne hamare sath Qayam nahi kiya, aur jab 5 rate rah gayi to aapne hamare sath Qayam kiya yahan tak ki adhi rat ho gayi , to hamne aapse arz kiya Aie Allah ke Rasool ﷺ agar Aap us rat ke baki bache hisse me bhi hame namaz padhate rahte (to behtar hota)? Aap ﷺ ne farmaya jisne Imam ke sath qayam kiya yahan tak ki wo farig ho jaye to uske liye poori rat ka qayam likha jayega , fir Aapne hame namaz nahi padhayi yahan tak ki mahine ke sirf 3 din baki rah gye , fir Aapne Hame Sattaiswin (27) rat ko namaz padhayi , aur apne ghar walon aur apni auraton ko bhi bulaya , Aapne hamare sath qayam kiya yahan tak ki hame falah ke choot jane ka andesha hua (raawi Kahte hai) maine poocha Falah kya cheej hai? to unhone kaha Sahri

[Jamey Tirmizi Hadees Number - 806]

Is Hadees se maloom hua ki Allah Ke Nabi ﷺ ne teesre din taraweeh ko itni der tak padha tha ki Sahaba ko dar tha ki kahin Sahri ka mauqa hi na mile , jahir hai ki jab Sahri ka waqt na milne ka khauf tha to TAHAJJUD ka waqt milne ka sawal hi paida nahi hota, agar taraweeh aur Tahajjud donon alag alag namaz hoti to Allah Ke Nabi ﷺ taraweeh ko itni taakheer tak na padhte ki Sahri ka waqt bhi mushkil se mile , nez Sahaba E Kiram ye na kahte ki hame dar hua ki kahin Sahri ka waqt na mile balki ye kahte ki hame dar hua ki kahi tahajjud ka waqt na mile.

Mazeed ye hadees is bat ki daleel hai ki is rat taraweeh ke bad TAHAJJUD ke liye koyi mauqa tha hi nahi , aur Aap ﷺ ne is raat tahajjud nahi padhi , agar taraweeh aur tahajjud alag alag namaz hoti to Aap ﷺ is rat Tahajjud khud padhte aur Sahaba Razi Allahu Anhuma ko bhi mauqa dete.

Daleel Number - 4 ________

قَيْسِ بْنِ طَلْقِ بْنِ عَلِيٍّ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏يَقُولُ:‏‏‏‏ لَا وِتْرَانِ فِي لَيْلَةٍ

Qais Bin Talaq Bin Ali Razi Allahu Riwayat Karte Hai Ki maine Allah Ke Rasool ﷺ ko farmate huye suna Ek rat me 2 baar witr nahi hai.

[Jamey Tirmizi Hadees Number - 470]

Ye hadees is bat ki daleel hai ki taraweeh aur Tahajjud ek hi Namaz hai kyunki Allah ke Nabi ﷺ ne taraweeh ke sath sath witr bhi padhi hai jaisa ki Hadees hai aur witr ki namaz tahajjud ke sath bhi padhi jati hai

[Dekhiye Sahih Bukhari Hadees Number 1147 & 2013]

agar taraweeh aur tahajjud alag alag man le to ye laazim aata ki Allah Ke Nabi ﷺ ne ek rat me 2 baar witr padhi hai aur ye Na-Mumkin hai kyunki Allah Ke Nabi ﷺ ka farman hai ek raat me 2 witr nahi hai.

Hamare Hanafi Bhai Dawa Karte Hai Ki Allah Ke Nabi ﷺ ne Rat Ke Pahle Hisse me Taraweeh (20 rakat + 3 witr=23 rakat) padhi aur fir Rat ke Akhiri hisse me Tahajjud padhi jaisa ki wo Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha wali HADEES se istedlal lete hai yani ( 8 Rakat + 3 Witr = 11 Rakat) .

Aab aap khud sochiye ye kaise mumkin ho sakta hai ki Allah ke Nabi ﷺ ek raat me 2 witr padhege jabki Allah Ke Nabi ﷺ khud mana kar rhe hai ki ek raat me 2 witr nahi hai.

ye baat bhi daleel hai ki taraweeh aur tahajjud ek hi namaz hai.

Daleel Number - 5 ______

Imam Ibne Khuzaimah Rahimaullah ne kaha

نا مُحَمَّدُ بْنُ الْعَلَاءِ بْنِ كُرَيْبٍ، نا مَالِكٌ يَعْنِي ابْنَ إِسْمَاعِيلَ، نا يَعْقُوبُ، ح وَثنا مُحَمَّدُ بْنُ عُثْمَانَ الْعِجْلِيُّ، نا عُبَيْدُ اللَّهِ يَعْنِي ابْنَ مُوسَى، نا يَعْقُوبُ وهو ابْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْقُمِّيُّ، عَنْ عِيسَى بْنِ جَارِيَةَ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ: صَلَّى بِنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ ثَمَانِ رَكَعَاتٍ وَالْوِتْرَ، فَلَمَّا كَانَ مِنَ الْقَابِلَةِ اجْتَمَعْنَا فِي الْمَسْجِدِ وَرَجَوْنَا أَنْ يَخْرُجَ إِلَيْنَا، فَلَمْ نَزَلْ فِي الْمَسْجِدِ حَتَّى أَصْبَحْنَا، فَدَخَلْنَا عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقُلْنَا لَهُ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، رَجَوْنَا أَنْ تَخْرُجَ إِلَيْنَا فَتُصَلِّيَ بِنَا، فَقَالَ:

«كَرِهْتُ أَنْ يُكْتَبَ عَلَيْكُمُ الْوِتْرُ»

Ki JABIR BIN ABDULLAH Razi Allahu Amhu se RIWAYAT hai ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne hame RAMAZAN me 8 RAKA’AT aur WITR padhayi phir agli bar hum MASJID me JAMA hue aur ye UMMEED ki ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hamare pas (IMAMAT) ke liye aayenge yaha tk ki SUBAH ho gayi phir ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hamare pas aaye to hum ne kaha Aie ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hume UMMEED thi ki AAP hamare pas aayenge aur IMAMAT karayenge to AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya mujhe KHTRA hua ki WITR tum par FARZ na kar di jaaye

[SAHEEH IBN KHUZAIMA JILD 2 SAFA 261]

Is Hadees me Allah ke Nabi ﷺne taraweeh ki namaz hi ko WITR kaha hai aur is bat ki jabardast Daleel hai kj taraweeh aur tahajjud ek hi namaz hai.

Daleel Number - 6 _______

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu taraweeh aur tahajjud ko ek hi namaz samajhte the isi wajah se wo jamat ke sath taraweeh nahi padhte the kyunki aam taur se log ise rat ke pahle hisse me padhte the aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu raat ke akhir hisse me padhna ise behtar samjhte the isi liye Aap Jamata se taraweeh na padh kar bad me rat ke akhir hisse me tanha padhte the aur is par tambeeh karte huye farmate hai.

، وَالَّتِي يَنَامُونَ عَنْهَا أَفْضَلُ مِنَ الَّتِي يَقُومُونَ يُرِيدُ آخِرَ اللَّيْلِ ، وَكَانَ النَّاسُ يَقُومُونَ أَوَّلَهُ

Aur Raat ma wo hissa jis me ye log so jate hai us hisse se behtar hai jisme ye namaz padhte hai.

[Sahih Bukhari Hadees Number - 2010]

Aap ki murad rat ke akhiri hisse ki fazilat se thi kyunki loh ye namaz raat ke shuru hisse me padh lete the.

Is Hadees me is bat ki daleel hai ki Hazrat Umar Razi Allahu Anhu taraweeh aur tahajjud ko ek hi namaz samjhte the , Agar Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ki nazar me taraweeh aur tahajjud do alag namaz e hoti to Aap Taraweeh bhi masjid me logon ke sth padhte aur rat ke akhiri hisse me TAHAJJUD bhi padhte nez Aap taraweeh ki namaz ko rat ke akhiri hisse me padhne ko afzal na batlate , balki iski fazilat ko tahajjud mk namaz ke liye khash samjhte

Hamare Hanafi bhai kahte hai Taraweeh Rat ke Pahle hisse me padhi jati hai aur tahajjud rat ke akhiri hisse me To fir Sawal Hai Hazrat Umar Razi Allahu Anhu taraweeh ko rat ke akhiri hisse me kyu padhte the?

Hanafiyon Ke ANWAR Shah Kashmiri Rahimaullah farmate hai

يؤيده فعل عمر رضى الله تعالى عنه، فإنه كان يصلي التراويح في بيته في آخر الـلـيـل، مـع أنـه كـان أمرهم أن يؤذوها بالجماعة في المسجد، ومع ذلك لم يكن يـدخـل فيها. وذلك لأنه كان يعلم أن عمل النبي صلى الله عليه وسلم كان بأدائها في آخـر الـلـيـل، ثـم نبـهـهـم عـلـيـه قـال : إن الصلاة التي تقومون بها في أول الليل مفضولة عما لو كنتم تقيمونها في آخر الليل. فجعل الصلاة واحدة.

Aur Taraweeh aur tahajjud ke ek hone ki Tayeed Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ke fel se bhi hoti hai kyunki Aap Razi Allahu Anhu Apne ghar me rat ke akhir me Taraweeh padhte the jabki Aapne logon ko masjid me Jamat se padhne ka huqm diya tha iske bawzood bhi Aap unke sath shamil na hote the, aur aisa is wajah se kyunki apko maloom tha ki Allah ke Nabi ﷺ is namaz ko rat ke akhiri hisse me padhte the. fir Aapne logon ko is oar tameebh karte huye kaha , jis Namaz (taraweeh) ko tum log rat ke ibtedayi hisse me padhte ho wo fazilat me jantar hai ba-nisbat uske ki agar tum ise rat ke akhir me padho, Chunacha Yahan Par Hazrat Umar Farookh Razi Allahu Anhu ne taraweeh aur tahajjud ko ek hi namaz karar diya.

[Faiz Ul Bari Jild-4 Safa-24]

Jo taraweeh padh le , ahle ilm ne use tahajjud padhne se mana kiya hai

Chunacha Hanafiyon ke Anwar Shah Kashmiri Hanafi Likhte hai

ثم إن محمد بن نضر وضع عدة تراجم في قيام الليل، وكتب أن بعض السلف ذهبوا إلى منع التهجد لمن صلى التروايح.

Nez Muhammad Bin Nazr ne Qayam ul Lail ke bare me kayi bab qayem kiye hai aur likha hai ki baaz salaf ne us shaksh ko Tahajjud padhne se mana kiya hai jisne Taraweeh padh li hai.

[Faiz Ul Baari Jild-4 Safa-24]

ye bhi is bat ki daleel hai ki taraweeh aur tahajjud ek hi namaz hai

In Sari daleelon se ye bat wazeh hoti hai ki Taraweeh aur Tahajjud dono ek hi namaz hai , aur Taraweeh aur Tahajjud ko alag alag kahne ki hanafiyon ki wajah ye hai Taki wo Sahih Bukhari ki hadees se 11 rakat wali Taraweeh se peecha chuda le.

Wazeh Rahe Mutaqaddimeen me se kisi bhi Aalim ne Taraweeh aur Tahajjud ko alag alag nahi kaha hai , aur Hanafiyon ke Shaikh ul Hadees Janab Anwar Shah Kashimir Rahimaullah ne bhi saaf taur par elaan kiya hai ki taraweeh aur tahajjud donon ek hi namaz hai , balki hanfi log taraweeh aur Tahajjud ki namaz ko alag alag hone me jitne dalail dete hai to anwar shah Kashmiri Rahimaullah ne unki daleelon ka radd krte huye kaha

قـال عـامة العلماء: إنّ التراويح وصلاة اليل نوعان مختلفان. والمختار عندى أنهـمـا واحـد وإن اختـلـفـت صـفـتـاهـمـا كـعدم المواظبة على التراويح، وأدائها بالجماعة، وأدائها في أول الليل تارة وإيصالها إلى الشحر أخرى. بخلاف التهجد فإنه كان في آخر الليل ولم تكن فيه الجماعة. وجعل اختلاف الصفات دليلا على اختلاف نـوعيـهـمـا لـيـس بجيد عندى، بل كانت تلك صلاة واحدة، إذا تقدمت سـمـيـت بـاسم التراويح، وإذا تأخرت سميت باسم التهجد، ولا بدع في تسميتها بـاسـمـيـن عـنـد تـغاير الوصفين، فإنه لا حجر في التغاير الاسمى إذا اجتمعت عليه الأمة. وإنـمـا يثبت تغاير النوعين إذا ثبت عن النبي صلى الله عليه وسلم أنه صلى التهجد مع إقامته بالتراويح .

Aam Taur se hamare Ulema (Hanafi Ulema) ne kaha hai ki Taraweeh aur Tahajjud do alag alag namaz hai lekin mere nazdeek ye dono ek hi namaz hai agarcha in dono ki shifat alag alag hai maslan taraweeh مواظبت hoti hai use jamat ke sath padha jata hai , ise rat ke ibtedayi hisse me padha jata hai , aur kabhi kabhi saher tak padha jata hai lekin uske bar-khilaaf Tahajjud ko rat ke akhiri hisse me padha jata hai usme jamat nahi hoti aur shifat ke alag alag hone se dono Namaz ke alag alag hone ki daleel banana mere nazdeek behtar nahi hai. balki Taraweeh aur Tahajjud ek hi namaz hai jab use pahle padha jata hai to uska name diya jata hai taraweeh aur jab use taakheer se padha jata hai to use Tahajjud ka name diya nata hai aur shifat alag hone ki wajah se use do name se mausoom karna bidat ki bat nahi kyunki ittefaq e ummat se mukhtalif name rakhne me koyi rukawat nahi hai. Albatta ye do alag alag namaz us waqt sabit hoti Jab Rasoolullah ﷺ se sabit hoti ki Aapne Taraweeh padhne ke sath sath Tahajjud bhi padhi hai.

[Faiz Ul Baari Jild-2 Safa-567]

Is ibarat me anwar shah Kashmiri ne ye bat wazeh kar di hai ki mahaz shifat ke alag alag hone ye is namaz ko alag alag nahi kaha ja sakta.

maslan Johar ki Namaz Hajar me 4 rakat jamat ke sath farz hai lekin Safar me qasr karte huye sirf 2 rakat farz hai aur jamat bhi jaroori nahi hai

Ab dekhiye in dono ki shifat me kitna farq aa gya , Hajar ki Johar Masjid me jamat ke sath padhi jati hai aur 4 rakat padhi jati hai lekin safar me Johar Ki namaz Ba-Jamat padhna jaroori nahi hai , balki sirf 2 rakat padhi jati hai, lekin Shifat ki is tabdeeli ko ham is bat ki daleel nahi bana sakte ki Hajar me aur Safar me johar ye dono alag alag namaz hai , Al-Garz ye ki baaz halat me agar kisi namaz ki shifat badal gyi to mahaz baaz halat me badli huyi mahaz baaz shifat ki bina par alag nahi kaha ja sakta hai.


Taraweeh Aur Tahajjud Alag Alag hai Hanafi Bhaiyon Ke Daleel Ka Tahqeeqi jayeza __________

Daleel Number - 1

Sahih Muslim ki ek Hadees se galat istedlal

Imam Muslim Rahimahullah (Died 261 H) farmate hai

حَدَّثَنِي زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا أَبُو النَّضْرِ هَاشِمُ بْنُ الْقَاسِمِ، حَدَّثَنَا سُلَيْمَانُ، عَنْ ثَابِتٍ، عَنْ أَنَسٍ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ، قَالَ: كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ، فَجِئْتُ فَقُمْتُ إِلَى جَنْبِهِ وَجَاءَ رَجُلٌ آخَرُ، فَقَامَ أَيْضًا حَتَّى كُنَّا رَهْطًا فَلَمَّا حَسَّ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنَّا خَلْفَهُ جَعَلَ يَتَجَوَّزُ فِي الصَّلَاةِ، ثُمَّ دَخَلَ رَحْلَهُ، فَصَلَّى صَلَاةً لَا يُصَلِّيهَا عِنْدَنَا، قَالَ: قُلْنَا لَهُ: حِينَ أَصْبَحْنَا أَفَطَنْتَ لَنَا اللَّيْلَةَ قَالَ: فَقَالَ: «نَعَمْ، ذَاكَ الَّذِي حَمَلَنِي عَلَى الَّذِي صَنَعْتُ»

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki Kaha Rasoolullah ﷺ ramzan me (rat ki) namaz padh rhe the main aya aur akar apke pahlu me khada ho gya hatta ki ek jamat ban gayi , Jab Nabi ﷺ ne mahsoos kiya ki ham apke piche khade hai to aapne Namaz me takfeef shuru kar di Fir Aap apne kheme me tashreef le gaye uske bad Aapne aisi namaz padhi jo hamare pass nahi padhe the Kaha Jab Hamne subha ki Hamne Aap se poocha kya Aapko rat me hamara pata chal gaya tha? Aap ne faramaya han isi bat ne mujhe us kam par amadah kiya jo maine kiya.

[Sahih Muslim Hadees Number - 2570]

Is Hadees Se Hamare Hanafi bhai Ye mafhoom lete hai ki Nabi ﷺ ne masjid me Sahaba ke sath jo namaz padhi thi wo taraweeh thi aur jo khema me jakar padhi thi wo Tahajjud thi.

Arz hai ki is Hadees ka syaq saaf taur se dalalat karta hai hai ki Nabi ﷺ ne masjid me jo namaz padh rhe the us namaz ka baqiya hissa jakar kheme me padha tha aur masjid me uska padhna is liye band kar diya tha kyunki Apke sath Sahaba bhi shamil ho gaye the aur chunki Aap ﷺ lambi namaz padhna chhate the isliye ye pasand nahi farmaya ki Sahaba ke sath Namaz ko lamba nahi kiya , Lihaza Aap ﷺ ne jab Sahaba ko mahsoos kiya to Namaz mukhtasar kar di aur fir masjid se nikal kar khema me chale gaye aur wahan jakar lambi namaz ko muqammal kiya , Hadees me jo ye mazkoor hai ki Khema me Aap ﷺ ne aisi namaz padhi jo hamare sath nahi padhte the usse murad namaz ke taweelaat hai , Yaani Aap ﷺ ne kheme me jitni lambi namaz padhi itni lambi namaz hamare sath nahi padhte the.

Allama Muhammad Bin Ali Bin Aadam Bin Moosa Al-Asoobi Is Hadees ki sharah me likhte hai

"والمراد أنه - صلى في رحله صلاة طويلة لم يصلها معهم"

[البحر المحيط الثجاج في شرح صحيح مسلم بن الحجاج (٦١٧/٢٠)]

Isse Murad ye hai ki Aap ﷺ ne apne kheme me itni lambi namaz padhi thi ki itni lambi namaz Sahaba ke sath na padhte the.

Maloom Hua ki Aap ﷺ ne is raat ko do Alag alag namaz nahi padhi , balki ek hi Namaz padhi thi jise Sahaba ke sath mukhtasar ada kiya aur fir is namaz ko khema me jakar lambi ada kiya.

Note :- Is Hadees me رَحْلَهُ (Khema) se murad Masjid ki wo jagah hai Jo Aap ﷺ ke ehteqaaf ke liye thi.

[دیکھیں: البحر المحيط الثجاج (٦١٧/٢٠]

Daleel Number - 2

Kya Imam Bukhari Rahimahullah ne Taraweeh ke baad Tahajjud bhi padhi hai Jaisa ki Hanafi Bhaiyon ka dawa hai

Imam Baihaqi Rahimahullah Farmate Hai

"أخبرنا أبو عبد الله الحافظ، أخبرني محمد بن خالد الصوفي، حدثنا مسبح بن سعيد، قال كان محمد بن إسماعيل البخاري، إذا كان أول ليلة من شهر رمضان يجتمع إليه أصحابه فيصلى بهم، فيقرأ في كل ركعة عشرین آية، وكذلك إلى أن يختم القرآن، وكذلك يقرأ في السحر ما بين النصف إلى الثلث من القرآن، فيختم عند السحر في كل ثلاث ليال، وكان يختم بالنهار كل يوم ختمة، ويكون ختمه عند الإفطار كل ليلة، ويقول: عند كل ختمة دعوة مستجابة،،

Maseeh Bin Sayeed Kahte hai ki Muhammad Bin Ismayil Bukhari Rahimahullah ka mamool tha ki Jab Ramzan ki pahli rat hoti to aap ke shagird aap ke sath jama hote , Imam Bukhari Rahimahullah unhe namaz padhate aur har rakat me 20 Aayat padhte , Yahan tak ki Quran khatam karte , isi tarah saher ke waqt bhi Quran ke aadhe aur tihaayin hisse ke darmiyan padhte , is tarah se 3 raat me saher ke waqt ek Quran khatam karte aur din me bhi rozana ek Quran khatam karte , Ye Khatam aftari ke waqt har rat hota aur farmate Har Quran ke khatm ke bad Dua Kubool Hoti hai.

[شعب الإيمان (٥٢٤/٣)، مقدمة فتح الباري لابن حجر (ص: 481)]



Is Riwayat ke bina par kaha jata hai Ki Imam Bukhari Rahimahullah taraweeh ke sath Saher ke waqt Tahajjud bhi padhte the.

Arz hai ki

Pahli Bat :- Is Riwayat me saher ke waqt namaz e Tahajjud padhne ki sharahat nahi hai , balki sirf Quran padhne ki sharahat hai , nez is riwayat me aage ye bhi hai Imam Bukhari Rahimahullah din me bhi Quran khatam karte the to kya isse murad ye hoga ki din me bhi Imam Bukhari Rahimahullah ne padha to sawal hai kis tarah ki namaz padhte the aur Usme Quran khatm karte the wo kaun si namaz thi?
jahir hai koyi bhi aisi bat nahi kah sakta Lihaza saher ke waqt bhi jab sirf Quran padhne ka jikr hai to bagair kisi daleel ke yahan Namaz ke andar Quran padhna daleel nahi liya ja sakta


Doosri Bat :- Ye Riwayat Sabit Bhi nahi hai kyunki Imam Bukhari se Nakal karne wale Maseeh Bin Sayeed hai , Baaz Sanadon me ye name kaatib ne galat likha hai, lekin sahih name Maseeh Bin Sayeed hai jaisa ki akshar kitabon me hai

[سعب الإيمان (٥٢٤/٣) ، تاریخ دمشق لابن عساكر (٧٩/٥٢)، تغلیق التعليق لابن حجر (399/5)]

Nez doosri riwayat ki kayi Sanadon me bhi yahi name hai Abu Jafar Maseeh Bin Sayeed Al-Warak Al-Bukhari hai unki halat aur unki tausheeq hame nahi mil saki Lihaza ye riwayat sabit nahi hai.
۔
 

Similar threads


Top