Taqleed ke Mutalliq Muqallideen ki Ek Jahilana Post ka Radd


Taqleed ke Mutalliq Muqallideen ki Ek Jahilana Post ka Radd

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ​

Taqleed ke Mutalliq Muqallideen ki Taraf se ek Jahilana Post Aayi he Jinse Unhone Aitraz kiya he ki :

"Gair Muqallid Hazrat Awam ko Ulma e Deen se Door Kar rahe he Jo Bahut Bada Nuksan hai Gumrahi ka Sabab Ban Raha he"

To In Johala (Muqallideen se Ham Sawal karte he ki Konsa Aisa Gair Muqallid he Jo Awam ko Ulma e Kiram se Masle Masail Puchne se Mana karta he ? Balki Iske Bar Aks Muqallideen ki Taraf se Awam ko Kitab O Sunnat se Door Karke Kisi ek Shakhs ki Andha dhoor Pairwi ki Taraf Lagaya ja Raha he Jise Ye Log Taqleed ka Name dete he.

Jabki Ahle Sunnat ki Janib se to Quran O Hadith ko Ulma e Salaf ke Tarike par Samajhne ki hi Dawat di Jati he Awam ko Or Taqleed ki Nafi bhi Quran O Hadith Or Ulma e Salaf se hi Sabit ki Jati he. Maslan

Allah ne Qur'an me farmaya :

"Unohne Apne Ahbar (Molviyo) Or Rahban (Peero) ko, Allah ke Siwa Rabb bana liya he.
[Surah Al Tauba :31]

is Ayat e Karimah se Ulma ne hi Taqleed ke Radd par Istadlal kiya he

Imam Ibn Qayyim Rahimahullah farmate he :

"Ulma ne Is Ayat ke Sath, Taqleed ke Batil hone par Istadlal kiya he. Unhe (In Ayat me Mazkurin ke) Kufr ne Istadlal karne se Nahi Roka, Kyu ki Tashbiyah kisi ke Kufr ya Imaan ki Wajah se Nahi he. Tashbiyah to Muqallideen me Bagair Daleel ke Apne Imam Rahban ki Baat Manna he"

[Alam AlMoq'een 2/191]

Uske Baad In Muqallideen ne apni Post me Likha he ki

"Balke taqleed "ki haqeeqat sirf aur sirf yeh hai k Aimah Mujtahadeen ne Qura'an e Majeed aur Ahadees Nabwi aur assar e Sahaba rz se jo masail istambat (nikalay) kiye hain un ko tasleem karlena hi taqleed hai..."

To Muqallideen ne apni taraf se Jo Taqleed ka Mana Ghada liyahe wo mana kinse bayan kiya ! Ham Batate he ki Inhi ke Ulma ne Taqleed ka Mana Kya bayan kiya he.

Hanfiyo ki Mo'tbar kitab Musallam As Suboot me Likha he :

"Taqleed (Nabi s.a.w. ke Aalwa) Gair (Yaani Ummati) ke Qaul par Bagair Hujjat (Daleel) ke Amal karne ka Naam he , Jaise Aami (Jahil) Apne Jaise Aami Or Mujtahid Dusre Mujtahid ka Qaul le le. pas Nabi s.a.w. or Ijma' ki taraf Ruju' karna is (Taqleed) me se Nahi he Or Isi Tarah Aami ka Mufti ki Taraf Ruju' Or Qazi ka Gawaho ki Taraf Ruju' karna (Taqleed mese Nahi he) Kyu ki use Nas (Daleel) ne Wajib kiya he"

[Musallam As Suboot 289]

To yahan To Hanfiyo ne Ulma ne hi Aam shakhs ka Mufti ki taraf ruju' karne ko Taqleed Nahi mana he Or Use Taqleed me shumar nahi kiya balki Bagair Daleel ke Pairwi karne ko Taqleed karha he.

fir Muqallideen ne ek Ayat pesh ki he

"Aur Isi ki Taah Chal jo Meri Taraf Ruju Laye"

[Surah Luqman Ayat 15]

Or Ye Ayat Bata kar Kaha ki Itteba Or Taqleed ek hi he Nauzubillah
jabki Ulma ne Itteba Or Taqleed Do Alag Cheez he Jiske Mutalliq
Imam Ibn Abdul Bar (463 Hijri) Farmate he :

"Shari'at me Taqleed Ka Mana Ye he ki Aise Qaul ki Taraf Ruju' karna jiske Qa'il ke Pas Uski Koi Daleel Nahi he Or Ye Shari'at me Mam'nu he . Jo (Baat) Daleel se Sabit ho Use Itteba kahte he"

[Ja'me bayan Al Ilm wa fazlihi 2/117]

Iiske Aalwa Ulma e Salaf ne bhi Taqleed ko Batil mana he Jaise
Imam Ibn Hazam R.A. (456 Hijri) farmate he :

"Haqiqat me Taqleed Nabi s.a.w. ke Alawa kisi Shakhs ki Baat ko Bagari Daleel ke Qubool karne ko Kahte he. Ye wo Tareef he Jispar Ummat e Muslima ka Ijma'a hua he ki Taqleed ise kahte he . Or Iske Batil Hone par Daleel Qa'im he.

[Al Ahkam fi Usool Al Ahkam 6/269]

Yaani Taqleed kisi Shakhs ke Bagair Daleel ki Baat ko manna he Lekin Agar Koi Shakhs Quran O Hadith se Daleel deta he To Wo Baat Jo Quran O Hadith se Mustambat he Use Manna Taqleed Nahi
Or Ab Akhir me Taqleed ke Mutalliq 2 Riwayat Pehs kar ke Apni Baat ko Khatam karte he kyu ki Is Muqallid ki Post me Koi Aise Dalail Nahi diye he Jiska Jawab diya jaye.

Sayydna Mu'az bin Jabal Razi Allahu Ta'ala Anhu ne Farmaya :

"Agar Aalim Hidayat par bhi ho To Apne Deen me Uski Taqleed Na Karo"

[Ja'me bayan Al Ilm wa fazlihi 2/222 Hadith 955 Wa Sanad Sahih by Zubair Ali Zai]

Sayydna Abdullah bin Mas'ood R.A. farmate he :

"Apne Deen me Logo ki Taqleed Na karo"

[Al Sunan Al Kubra Lil Bayhaqi 2/10, Wa Sanad Hasan (by Zubair Ali Zai), Deen me Taqleed ka Masla Safa 35]
 

Top