TAKHLEEQ-E-AURAT AUR SALAF KA MAUQAF


TAKHLEEQ-E-AURAT AUR SALAF KA MAUQAF
Tahreer : AZAM MUBARAKI
(AL-HADIS shumarah No.70, page:47-49)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Irshaad-e-BARI TA'ALA hai:

يَا أَيُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمُ الَّذِي مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًا كَثِيرًا وَنِسَاءً خَلَقَكُمْ
"Logo! apne RABB se daro jis ne tum ko ek jaan se paida kya aur usee jaan se us ka joda banaaya aur dono se bahut mard o aurat dunya mein phailadiye."(Surah al-Nisa:1)

Hafiz Abul Fida Ibn Kaseer al-Dimashqi ne

خَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا
ki tafsee mein kaha:
وَهِيَ حَوَّاءُ عَلَيْهَا السَّلَامُ خُلِقَتْ مِنْ ضِلْعِهِ الْأَيْسَرِ
"Aur ye HAWWA alaihassalam hain jo un (yani AADAM alaihissalam) ki baayen pasli se paida ki gayi hain."(Tafseer Qurn al-Azeem[Tafseer Ibn Kaseer]:3/333 Nuskhaye Muhaqqaqah)

Siqqah Indal-Jamhor aur Imam Fi-ttafseer Isamayil Bin Abdul Rahman al-Suddi rahimahullah ne kaha:

أُسْكِنَ آدَمُ الْجَنَّةَ، فَكَانَ يَمْشِي فِيهَا وَحْشًا لَيْسَ لَهُ زَوْجٌ يَسْكُنُ إِلَيْهَا؛ فَنَامَ نَوْمَةً، فَاسْتَيْقَظَ فَإِذَا عِنْدَ رَأْسِهِ امْرَأَةٌ قَاعِدَةٌ خَلَقَهَا اللَّهُ مِنْ ضِلْعِهِ
"AADAM alaihissalam jannat mein tahre to who akele chalet phirte the, unki koi biwi nahi thi ke woh us se raahat haasil karte, pass ek dafa wo son eke ba'ad uthe to un ke sar ke paas ek aurat khadi thi, usko ALLAH TA'ALA ne unki pasli se paida kya…."(Tafseer Ibn Jareer la-Tabari:4/150, aur is ki sanad HASAN hai)

Abu Haiyyaan Andlosi ne kaha:

وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا حَوَّاءَ مِنْ ضِلْعٍ مِنْ أَضْلَاعِهَا
"Unki biwi HAWWA alaihassalam ko unki paslion mein se ek pasli se paida kya."(Tafseer Bahr-ul-Muheet:3/126)

Mazkorah tafseel se malom howa ke aurat ko SYIDINA AADAM alaihissalam ki pasli se paida kya gaya hai, is mafhom ki taayeed darj-e-zail Sahih Hadis se bhi hoti hai:
Syidina Abu Hurairah razillahu-anhu se riwaayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:

اسْتَوْصُوا بِالنِّسَاءِ، فَإِنَّ الْمَرْأَةَ خُلِقَتْ مِنْ ضِلَعٍ
"Tum auraton ko naseehat karte raho! be-shak aurat pasli se paida ki gayi hai…"(Sahih Bukhari:3331. /wa Sahih Muslim:715 Qabl:1468, Darussalam No.3643)

Darj-e-zail shariheen-e-hadis ne is hadis ki tashreeh in alfaaz mein ki hai:

(1)
Hafiz Ibn Hajar Asqalaani rahimahullah ne kaha:
قِيلَ فِيهِ إِشَارَةٌ إِلَى أَنَّ حَوَّاءَ خُلِقَتْ مِنْ ضِلَعِ آدَمَ الْأَيْسَرِ وَقِيلَ من ضِلْعِهِ الْقصير
"Kaha jata hai: is mein ishaarah hai ke HAWWA alaihassalam AADAM alaihissalam ki baayen pasli se paida ki gayi hain aur kaha jaata hai:choti pasli se."(Fathul Baari:6/368)

(2)
Kirmaani ne kaha:
ٲَنَّھَا خُلِقَتْ ٲَعوَجِ ٲَجزَاءا ضِلَعِ
"Beshak wo (yani HAWWA alaihassalam) pasli ke tedhe hisse se paida kigayi hain."(Sahih al-Bukhari Ba-Sharha al-Kermaani:19/131)

(3)
Aini Hanafi ne kaha:
ٲَنَّھَا خُلِقَتْ مِنْ ضِلَعِ لاَعوَجِ ھوالذی فی ٲعلی ضِلَعٍ
"Beshak woh tedhi pasli se paida ki gayi hain, jo palion mein opar hoti hai."(Omdat-ul-Qaari:8/212)

(4)
Qastalani ne kaha:
وقيل: أراد به أن أول النساء حواء أخرجت من ضلع آدم الأيسر، وقيل من القصيرى كما تخرج النخلة من النواة
"Aur kaha jata hai is se murad ye hai ke beshak pahli aurat (HAWWA alaihassalam), AADAM alaihissalam ki daayen pasli se nikaali gayi aur ye bhi kaha jata hai choti(pasli se), jis tarha khajor ghutli se nikaali(elahedah ki)jaati hai….."(Irshaad-ul-Saari:5/323)

(5)
Ahmed Bin Omer Bin Ibrahim al-Qurtobi ne kaha:
ھذامویدماینقله المفسرون: ان حواءخلقت من آخراضلاع آدم علیھماالسلام
"Is se is baat ki taayeed hoti hai jo ke mufassireen se manqool hai: beshak HAWAA alaihassalam AADAM alaihissalm ki paslion mein se aakhri pasli se paida ki gayi hain."(Almafuhum Lamaa 'Ushkil Min Talkhis Kitab-ul-Muslim:4/222)

Hafiz Qurtobi ne "KHOLIQAT" ka mafhom in alfaaz mein bayaan kya hai:

ٲي:ٲخرجت کما تخرج النخلة من النواة
"Yani nikaali gayi hain, jis tarha khajor ghutli se nikaali jaati hai." (Almafuhum Lamaa 'Ushkil Min Talkhis Kitab-ul-Muslim:4/222)

(6)
Allamah Nawawi Shafayi ne kaha:
وَفِيهِ دَلِيلٌ لِمَا يَقُولُهُ الْفُقَهَاءُ أَوْ بَعْضُهُمْ أَنَّ حَوَّاءَ خُلِقَتْ مِنْ ضِلْعِ آدَمَ قَالَ اللَّهُ تَعَالَى ﴿خَلَقَكُمْ مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا زوجها﴾ وَبَيَّنَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنَّهَا خُلِقَتْ مِنْ ضِلْعٍ
"Is mein daleel hai jo(tamaam) fuqha ya baaz fuqha ka qaul hai: beshak HAWWA alaihassalam AADAM alaihisaalm ki pasli se paida ki gayi hain, ALLAH TA'ALA ne farmaaya:"Tum ko ek jaan se paida kya aur usee jaan se uska joda banaya", aur NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne waazeh kya: beshak wo pasli se paida ki gayi hain."(Sharah Sahih Muslim lil-Nawawi:10/57)

🔴 Mulla Ali Qaari Hanafi ne kaha:

وھي حواء خلقت من اعوج ضلع من اضلاع آدم علیه السلام
"Aur ye HAWWA alaihassalam hain jo AADAM alaihissalam ki paslion mein se tedhi pasli se paida ki gayi hain."(Mirqaat-ul-Mafaateeh:6/387)

Baaz logon ka dawa hai ke HAWWA alaihassalam AADAM alaihissalam ki pasli se paida nahi ki gayi balke aurton mein pasli ke jaisi kaj rawi hai jaisa ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:

وَاسْتَوْصُوا بِالنِّسَاءِ خَيْرًا فَإِنَّهُنَّ خُلِقْنَ مِنْ ضِلَعٍ
"Tum aurton ko bhalaayi ki naseehat karte raho! kion ke wo pasli se paida ki gayi hain."(Sahih Bukhari:5185,5186)

Is hadis ke zaaheri alfaaz se malom hota ha ke saari aurten pasli se paida ki gayi hain likin zaaher hai ki asal mein aisaa nahi hai, to laamuhalah hamein tasleem karna padega ke

خُلِقْنَ مِنْ ضِلَعٍ
se muraad aurton mein kaj rawi ka paaya jaana hai nah ke un ka
تَخلِیق مِنْ ضِلَعٍ آدَمَ
muraad hai."

Is hadis aur pahli hadis mein eksaaniyet ye hai ke pahli aurat yani HAWWA alaihassalam AADAM alaihissalam ki pasli se hi paida ki gayi hain, jaisa ke Quran, Hadis aur fahem-e-Salaf se saabit hai aur mazkorah hadis se ye saabit hot hai ke aurton mein pasli ke jaisa tedha pan hai. WALLAHU ALAM. [Khamtam shod)
 
Top