Tafseer Surah Baqarah Ayat 37


Abul Husayn

Moderator
Staff member
فتلقى آدم من ربه كلمات فتاب عليه
"Aadam (alahis salaam) ne apne Rab se kuch kalimaat seekhe, phir Allah ta'ala ne unki tawba qubool kar li..."
(Surah Baqarah: 37)

Mazkorah Ayat E Kareema ki tafseer Sayyiduna Ibne Abbas (Razi Allahu Anhuma) se ba-sanad yun sabit hai:

{فتلقى آدم من ربه كلمات فتاب عليه}
قال؛ أي رب ألم تخلقني بيدك؟ قال؛ بلى، قال؛ أي رب، ألم تنفخ في من روحك؟ قال؛ بلى، قال أي رب، ألم تسكني جنتك؟ قال بلى، قال؛ أي رب ألم تسبق رحمتك غضبك؟ قال؛ بلى، قال؛ أرأيت إن تبت وأصلحت أراجعي أنت إلى الجنة؟ قال؛ بلى، قال؛ فهو قوله
{فتلقى آدم من ربه كلمات}
"Aadam (alahis salaam) ne apne Rab se kuch kalimaat seekhe, phir Allah ta'ala ne unki tawba qubool kar li." Aadam (alahis salaam) ne arz kiya: Mere Rab! kya tuney mujhe apne hath se paidaa nahi kiya? farmaaya: kiyun nahi, arz kiya: Mere Rab! kya tuney mujh mein apni roh nahi phonki? farmaaya: kiyun nahi! arz kiya: Aye Rab! kya tuney mujhe jannat mein nahi basaya? farmaaya: kiyun nahi, arz kiya: Mere Rab! kya teri rahmat tere ghazab par ghalib nahi? farmaaya: kiyun nahi, arz kiya: agar main tawba karon aur nek ban jaaon, tou kya tu mujhe dobarah jannat mein jagah deyga? farmaaya: kiyun nahi, phir Sayyiduna Ibne Abbas (Razi Allahu Anhuma) ne farmaaya: yehi is ayat ki tafseer hai."
(al-Mustadrak Lil Haakim 2/594, Hadees: 4002, Wa Sanadahu Sahih)

Imam Haakim Rahimahullah farmaate hain: "Is hadees ki sanad sahih hai." (al-Mustadrak Lil Haakim 2/594, Hadees: 4002) Hafiz Zehbi Rahimahullah ne is hadees ko "sahih" qaraar diya hai."

Is Ayat E Kareema ki yehi tafseer Sayyiduna Ibne Abbas (Razi Allahu Anhuma) ke shagird, mashoor Tabayee Imam Ismail bin Abdur Rahman Suddi Rahimahullah (127 Hijri) ne bhi ki hai.
(at-Tafseer Min Sunan Sayeed bin Mansoor: 186, Wa Sanadahu Sahih)

Sahabi E Rasool ki sahih aur saabit tafseer chhor kar man-ghadat, baatil aur zaeef riwayaat se ayat e kareema ki tafseer karna Qur'an E Kareem ki maanwi tehreef ke mutaradif hai.

-Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Reference: | Waseeleh Ki Shaaryi Haisiyat, Page: 309-311 |
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abdul Adil Quran aur Uloom e Quran 0

Similar threads


Top