Taalibaan E Uloom Nabuwat Ke Naam


Taalibaan E Uloom Nabuwat Ke Naam

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daftar Ta'wuni Baraae Dawat Wa Irshaad Taif KSA
Romanised: Khadija Muhammadi

Aaj Badi Taadaad Me Islaam Ke Taadaad Millat E Islaamiya Se Khaarij Nazar Aate Hai. Tauheed Se Munharif,Deen E Hanif Ki Dawat Dene Se Qaasir Aur Amalan Shariat Se Koso Door Hai Jab ke Unhe Gumaan Hai Ke Wahi Islaam Ke Haqeeqi Alambardaar Aur Deen Ke Asal Muhafiz Hai.
Un Gumraah Firqo Me Shia,Soofi Tola Aur Khawaarij Hai. Allaah Ka Fazal Hai Ke Usne Hame Khaalis Deen Aur Khaalis Tauhid Se Nawaza Balke Uski Hi Taufiq Aur Hidayat Se Ahal E Tauhid Ki Ek Mukhtasar Jam'at Ambiya Ke Mishan Par Kama Haqqahu Qaim Hai Aur Dawat E Deen Ka Aham Fariza Sar Anjaam De Rahi Hai. Khush Naseeb Hai Woh Log Jo Zabaan Aur Bayan Se Tauheed Ki Nashar O Isha'at Me Kosha Hai Go Ke Aaj Logo Ki Chahat Hai Ke New New Baate Sunai Jaae,Ajeeb Aur Gareeb Waqiaat Zikar Kiye Jaae,Aqal Ko Hairaan Kar Dene Wale Kashf Aur Karamat Bayan Kiye Jaae Magar Ahle Tauhid Ne Hamesha Logo Par Tauhid Ki Dawat Paish Ki Allaah Hame Puri Umar Is Mishan Ko Shoq Aur Jazba Ikhlaas Aur Uluhiyat Aur Koshisho Ke Sath Thame Rehne Ki Taufiq De. Yaqeen Kare Jo Firqa Tauhid Se Munharif Hai Aur Uski Dawat Se Rugardah Hai Woh Bila Shak Aur Shuba Gumraah Firqo Me Se Hai Ahle Sunnah Wal Jamaat Ki Asal Pehchan Aur Unki Aham Tareen Dawat Tauhid Ki Dawat Aur Uski Nashar O Isha'at Hai.
Azeez Talba(Student)! Allaah Ne Hame Na Sirf Musalman Banaya Hai Balke Ahle Tauhid Me Se Hone Ka Sharaf Bakhsha Yah Allaah Ka Ham Par Khaas Fazal O Aasaan Hai Warna Kitne Firqe Islaam Ka Dawedaar Hone Ke Bawajud Gumraaho Me Se Hai. Is Waste Hamare Upar Allaah Ka Shukar E Azeem Laazim Hai.
Aap Taalibaan E Uloom E Naboowat Hai,Is Chashma Saafi Se Sairaab Ho Rahe Hai,Jis Se Rooh Ki Tatheer Hoti Hai Insaniyat Zindah Hoti Hai Shaur Aur Aagahi Ko Lazzate Hayat Milti Hai Qadmo Ko Uruj Muashre Ko Pakigzi Aur Fard Ko Haqeeqi Sa'dat Nasib Hoti Hai. Aap Un Khush Nasibo Me Se Hai Jin Ko Allaah Apna Mehboob Banata Hai Aap Ki Qismat Me Uloom E Naboowat Se Sairaab Hona,Seerat Aur Kirdaar Me Muhammadi Tasweer Banna Aur Ambiyai Mishan Qaim Rakhna Hai. Subhanallaah
Aaj Aap Taalib E Ilm Hai,Kal Muallim E Insaaniyat Bane Ge Aaj Chataai Par Bethte Hai Kal Dars Aur Tadrees Ki Kursi Par Bethe Ge Aaj Ilm E Nabuwat Ke Khosha Chee Hai Kal Uloom E Naboowat Ke Waris Bane Ge. Aap Bade Khush Naseeb Hai Apne Andar Ahsaas Kamtari Maashi Pareshaan Khayali,Madiyat Ka Galba,Asre Hazir Ki Jhuthi Ronake,Jadeed Adab Aur Jadeed Culture Ke Naam Par Lagv,Be Hayaai Aur Jahalat Ko Dakhil Hone Ka Koi Rasta Na De.
Chun Ke Aap Ilm E Naboowat Ke Taalib Hai,Aap Ke Sar Ambiyai Mishan Aane Wala Hai,Is Wajah Se Yaha Aap Se Chand Aham Aur Zaroori Baate Karna Chahta Hu Taaki Yah Shaoor Pehle Se Zehan Me Pukhta Rahe Aur Umar Bhar Is Shaoor Ko Kabhi Manind Na Hone De.
Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
من سلك طريقا يطلب فيه علما سلك الله به طرق الجنة،وان الملائكة لتضع اجنحتها رضا لطالب العلم وان العالم ليستغفر له من في السماوات ومن في الأرض والحيتان في جوف الماء وان فضل العالم على العابد كفضل القمر ليلة البدر على سائر الكواكب،وان العلماء ورثة الأنبياء وان الأنبياء لم يورثوا دينارا ولا درهما ورثوا العلم فمن أخذه أخذ بحظ وافر.(أبو داؤد:3641)
Tarjumah: Jo Shakhas Ilm E Deen Ki Talash Me Kisi Rasta Par Chale To Allaah Us Ke Zariya Use Jannat Ke Raste Par Laga Deta Hai Beshak Farishte Talib E Ilm Ki Khushi Ke Liye Apne Par Bicha Dete Hai Aur Aalim Ke Liye Aasmaan Aur Zameen Ki Sari Makhluqaat Magfirat Talab Karti Hai Yaha Tak Ke Paani Ke Andar Ki Machliya Bhi,Aur Aalim Ki Fazilat Aabid Par Aysi Hi Hai Jaise Chaand KI Fazilat Sare Sitaaro Par,Beshak Ulma Ambiya Ke Waris Hai Aur Ambiya Ne Kisi Ko Deenar Aur Dirham Ka Waris Nahi Banaya Hai. Isliye Jis Ne Is Ilm Ko Haasil Kar Liya Us Ne(Ilm E Nabvi Aur Wiraasat Nabvi Se)Pura Pura Hissa Liya.
Zara Is Hadees Par Gaur Kare Ke Kitna Bada Maqaam Hai Nabuwat Ka Ilm Hasil Karne Wale Aur Ilm Hasil Kar Ke Banne Walo Ka. Aap Dr. & Enginear Nahi Bane To Pasti Ka Ahsaas Nahi Karna Hai,Ilm E Naboowat Se Badh Kar Duniya Ka Koi Ilm Nahi Hai. Duniyawi Uloom, Duniya Me Sirf Duniya Kamane Tak Mehdood Hai Jab Ke Ilm E Nabuwat Ka Duniya Me,Marne Ke Baad Aur Aakhirat Tak Uska Ajar O Faidah Pohnchta Hai Is Hadees Ki Gehraai Me Ja Kar Gaur Kare To Ambiya Ki Zindagi Me 3 Qeemati Sarmaya Milta Hai. Pehla Sarmaya Ilm,Dusra Sarmaya Ibaadat Aur Teesra Sarmaya Dawat Yani Ambiya Sab Se Behtareen Aalim Hote Hai,Kasrat Ke Sath Allaah Ki Ibadat Karne Wale Hote Hai(Ibadat Me Allaah Ki Raza Ka Har Kaam Dakhil Hai(Aur Apni Ummat Tak Allaah Ka Paigaam Pahunchane Me Tamaam Tar Koshishe Sarf Kar Dete Hai Yahi Wajah Hai Ke Shariat E Muhammadiya Me Ilm Aur Aalim Ibaadat Aur Aabid Dawat Aur Daai Ke Bade Fazaail Bayan Kiye Gae Hai Aur Ilm,Aalim,Ibaadat,Aabid, Dawat Aur Daai Ke Alfaz Ambiya Ke Liye Khususi Taur Par Waarid Hue Hai.
Padhne Ka Hukam Dete Hue Allaah Ne Nabi Muhammad SAV Ko Mukhatab Farmaya:
اقرأ باسم ربك الذي خلق.(ALAQ:1)
Tarjumah:padhiye Apne Us Rab Ke Naam Se Jis Ne Paida Kiya.
Wahi Ki Tilawat Ke Sath Apni Ibadat Ka Hukam Dete Hue Farmaya:
اتل ما احي إليك من الكتاب واقم الصلاة ان الصلاة تنهى عن الفحشاء والمنكر ولذكر الله أكبر والله يعلم ما تصنعون.(AnKaboot:45)
Tarjumah: Jo Kitaab Aap Ki Taraf Wahi Ki Gai Hai Use Padhiye Aur Namaaz Qaaim Kare Yaqeenan Namaaz Be Hayaai Aur Buraai Se Rokti Hai Beshak Allaah Ka Zikar Bahut Badi Chiz He Tum Jo Kuch Kar Rahe Ho Us Se Allaah Khabardaar Hai.
Ibaadat Par Bahut Ziyada Koshish Karte Hue Mugirah Bin Shoba RA Bayan Karte Hai.
صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى انتفخت قدماه فقيل له: اتتكلف هذا وقد غفر لك ما تقدم من ذنبك وما تأخر قال أفلا أكون عبدا شكورا.(Tirmizi Sharif:412)
Tarjumah:Rasool SAV Ne Namaz Padhi Yaha Tak Ke Aap Ke Pair Sooj Gae To Aap Se Arz Kiya Gaya:Kya Aap Aysi Zehmat Karte Hai Halanki Aap Ke Agle Pichle Tamaam Gunah Bakhash Diye Gae Hai?To Aap Ne Farmaya:Kya Me Shukar Guzaar Bandah Na Banu?
Allaah Ki Taraf Uski Wahdaniyat Ki Dawat Dene Ka Zikar Karte Hue Allaah Ne Farmaya Jo Ke Aslan Tamaam Ambiya Ki Dawat Hai:
قل هذه سبيل ادعوا إلى الله على بصيرة انا ومن اتبعنى وسبحان الله وما انا من المشركين.(Yusuf:108)
Tarjumah:Aap Keh Dijye Meri Raah Yahi Hai Me Aur Mere Muttabein Allaah Ki Taraf Bula Rahe Hai Pure Yaqeen Aur Atimaad Ke Sath. Aur Allaah Paak Hai Aur Me Mushriko Me Nahi.
Balke Allaah Ne Apne Paigambar Muhammad SAV Ko Bataur E Khaas Tableeg Karne Ka Hukam Diya:
يا أيها الرسول بلغ ما انزل اليك من ربك وان لم تفعل فما بلغت رسالته والله يعصمك من الناس ان الله لا يهدي القوم الكافرين.
(Al Maaidah:67)
Tarjumah:Ay Rasool Jo Kuch Bhi Aap Ki Taraf Aap Ke Rab Ki Jaanib Se Naazil Kiya Gaya Hai Pohncha Diye. Agar Aap Ne Aysa Na Kiya To Aap Ne Allaah Ki Risalat Ada Nahi Ki Aur Aap Ko Allaah Logo Se Bacha Le Ga Beshak Allaah Kaafir Logo Ko Hidayat Nahi Deta.
Fir Allaah Ne Rasool SAV Ki Shadeed Dawat Fikar Aur Bechaini Ka Zikar Farmaate Hue Kaha:
فلعلك باخع نفسك على آثارهم ان لم يؤمنوا بهذا الحديث اسفا.
(Al Kahaf:6)
Tarjumah:pas Agar Yah Log Is Baat Par Imaan Na Laae To Kya Aap Unke Piche Usi Ranj Me Apni Jaan Halaak Kar Daalen Ge?
Ham Ambiya Ke Waris Bane Ge To Zaahir Si Baat Hai Unki Zindagi Ke Jo Aham Tareen Awsaaf Hai Unhe Apnana Padhe Ga Taaki Wiraasat Ki Zimma Daari Thik Thik Nibha Sake Balke Dekha Jaae To Tamam Ahle Imaan Ko Allaah Aur Uske Rasool Un Awsaaf Se Muttasif Hone Ka Hukam Dete Hai.
Naboowat Ka Ilm Sikhna Fariza Qaraar Dete Hue ALLAAH Ke Rasool SAV Ne Irshaad Farmaya:
طلب العلم فريضة على كل مسلم وان طالب العلم يستغفر له كل شيء حتى الحيتان في البحر.
(Sahih Al Jaame:3914)
Tarjumah: Ilm Ka Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai Aur Beshak Taalib E Ilm Ke Liye Har Chiz Magfirat Ki Dua Karti Hai Yaha Tak Ke Machliya Samandar Me. Ibaadat To Takhliq Insaani Ka Maqsad Hi Hai.
Jaisa Ke Allaah Ne Farmaya:
وما خلقت الجن والإنس إلا ليعبدون.
(Az Zaariyaat:56)
Tarjumah: Mene Jinnat Aur Insaano Ko Sirf Is Liye Paida Kiya Hai Ke Woh Sirf Meri Ibaadat Kare.
Aur Qur'aan Ki Mundarja Zail Aayat Ki Khususiyat Se Mukhatib Aap Taalibaan E Uloom E Naboowat Hai,Irshaad E Ilaahi Hai.
ولتكن منكم امة يدعون إلى الخير ويامرون بالمعروف وينهون عن المنكر وأولئك هم المفلحون.
(Aale Imraan:104)
Tarjumah: Tum Me Se Ek Jamaat Aysi Hongi Chaahiye Jo Bhalaai Ki Taraf Bulaae Aur Nek Kaamo Ka Hukam De Aur Bure Kamo Se Roke Aur Yahi Log Kaamyaab Aur Najaat Paane Wale Hai.
Upar Ki Bato Ka Khulasa Nikalna Chahe To Yah Keh Sakte Hai Ke Umoomi Taur Par Aam Musalmano Ko Bhi Ilm Hasil Karne Maqsad E Hayaat Pura Karne Yani Rab Ki Bandagi Karne Aur Dawat E Ilallaah Ka Kaam Karne Ki Zaroorat Hai Magar Wareseen Ambiya Ke Sar Sab Se Badi Zimma Daari Hai Unhe Naboowat Ki Sahih Pehchaan Honi Chaahiye Taaki Pukhta Ilm Se Lais Raasikh Aalim Bane Jin Ka Zikar Allaah Ne Kiya Hai.
وما يعلم تأويله إلا الله والراسخون في العلم يقولون آمنا به كل من عند ربنا وما يذكر إلا اولو الألباب.(Aale Imraan:7)
Tarjumah: Unki Haqeeqi Muraad Ko Siwaae Allaah Ke Koi Nahi Janta Aur Pukhta Aur Mazbut Ilm Wale Yahi Kehte Hai Ke Ham To Un Par Imaan La Chuke Yah Hamare Rab Ki Taraf Se Hai Aur Nasihat To Sirf Aqalmand Haasil Karte Hai. Jab Raasikh Ilm Nahi Hoga To Na Sirf Ibaadat Me Kami Hogi Balke Apni Kaj Ilmi Se Khud Bhi Gumraah Honge Aur Dusro Ko Bhi Gumraah Karen Ge. Isi Tarah Zamana Taalib E Ilmi Se Hi Ibaadat Ki Pabandi Kare Magar Talba Ne Is Wasaf Ki Badi Kami Mehsoos Ki Jaati Hai Jab Abhi Se Ibadat Me Kamzori Hogi To Aage Bhi Kamzori Laahiq Rahe Gi Tasawur Kare Jab Nabuwat Ka Aalim Aur Daai Ibaadat Me Kotaah Ho Fir Uske Ilm Aur Dawat Me Asar Kaha Se Paida Hoga. Kalaam Me Taasir Allaah Ki Jaanib Se Hai Jo Bagair Salaahiyat Aur Bandagi Ke Kaise Aa Sakti Hai? Ab Teesre Khubi Par Gaur Kare Ke Ek Taalib E Ilm,Faarig Ho Kar Aalim To Ban Gaya,Ibaadat Par Pabandi Bhi Karne Wala Hai Magar Dawat E Deen Ka Fariza Chod Diya Hai,Us Ne Yaksar Apna Maidaan Badal Liya? Kya Woh Waaris E Ambiya Hai? Kya Uske Ilm Ka Koi Faidah Pohnche Ga Ya Fir Kisi Ka Khud Amal Kar Lene Aur Dusro Ko Uski Dawat Na Dene Se Allaah Ke Yaha Uski Ibaadat Maqbool Hogi Jab Ke Woh Aalim E Deen Ho. Hargiz Uski Ibaadat Maqbool Hogi. Un Sari Bato Ka Ek Jumla Me Khulasa Yah Hai Ke Talba Mehnat Aur Mashaqqat Ke Sath Pukhta Ilm Haasil Kar Ke Misaali Aalim Bane Aalim Bhi Aysa Ke Jumla Qisam Ki Ibaadat Me Bhi Kasrat E Ijtihaad Kare Aur Qaum Aur Millat Ko Lootne Wale To Bahut Magar Aap Deen Ke Be Laus Khaam Bane. Allaah Ka Farmaan Hai:
قل ما سالتكم من أجر فهو لكم ان أجري إلا على الله وهو على كل شيء شهيد.(سبا:47)
Tarjumah: Keh Dijiye Ke Jo Badla Me Tum Se Maangu Woh Tumhare Liye Hai Mera Badla To Allaah Hi Ke Zimme Hai Woh Har Chiz Se Ba Khabar Aur( مطلع) Hai.
Giraami Qadar Azeez Talba ! Apne Maqaam Aur Martaba Ko Pehchaane Aur Apne Andar Ambiya Ke 3no Aham Awsaaf Paida Kare Duniya Aap Ki Piyaasi Hai Kufar Aur Shirk Ke Ahad Me Sadaa E Haq Buland Karne Wale Bahut Thode Hai. Un Thode Afraad Me Bhi Apne Fariza Se Bargushtagi Ikhtiyaar Karne Lage To Fir Kon Ummat Ki Islaah Kare Ga?Azm E Musammam Paida Kare Zamane Ka Rukh Modne Ka Tahya Kare Logo Ko Shirk Aur Kufar Ke Daldal Se Nikalne Ki Fikar Kare Aur Apne Sath Sath Afraad E Ummat Ke Liye Bhi Najaat Ka Rasta Hamwaar Kare.
Azeez Talba ! Aaj Ke Social Media Ke Daur Me Aap Se Ek Baat Arz Karna Chahta Hu Ke Jamia Me Rehte Hue Apne Teachers Se Ilm Haasil Kare Library Ki Kitaabo Se Istifadah Kare Mere Paas Bahut Sare Talba Ke Sawalat Aate Hai Me Unhe Apne Teachers Ki Taraf Ruju Karne Ki Nasihat Karta Hu. Aap Ilm Ke Samandar Me Hai Waha Se Ilm Le Yaad Rakhe Ke Social Media Ka Ilm Paaidaar Nahi Hai Kitaabi Ilm Hi Pukhta Hai Sirf Unchi Class Ke Talba Social Media Ka Istemaal Kare Woh Bhi Baqdr E Zaroorat Aur Bataur E Taavun Aur Asaas Ke Taur Par Apne Teachers Aur Library Se Istifadah Kare Jis Qadar Mumkin Ho Qur'aan Bhi Hifz Karte Rahe Hifz E Matoon E Hadees Ka Khususi Ahtimam Kare Yahi Chize Aage Dawat E Deen Taqreer Aur Tehreer Aur Istishhaad Aur Bayan Me Kaam Aae Gi.
Allaah Se Tamaam Salafi Idaaro Ki Hifazat Unke Zimma Daaro Ke Hauslo Me Bulandi Student Aur Teacher Ke Liye Ilm Aur Amal Me Pukhtagi Aur Ikhlaas Ki Aajizana Aur Mukhlisana Dua Karta Hu Jo Bhi Salafi Idaaro Ke Liye Kisi Shakal Me Taavun Paish Kar Rahe Hai Allaah Un Jumla Ahbaab Ke Liye Jannat Ka Rasta Aasaan Banaae Aur Ta Qayamat Salafi Idaaro Ka Faiz Saari Duniya Me Jaari Aur Saari Rakhe.
Aameen
Ya Rabbal Aalameen
 
Top