TAAGHOOT KI PEHCHAAN


TAAGHOOT KI PEHCHAAN

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

“Allah Ke Siwa Jis Ki Ibaadat Ki Jaaye Woh Taaghoot Keh Laata Hai.”

Imam Muhammad Bin Abdul Wahhaab (Rahimahullah) Kehte Hain :

Allah Ta'aalā Tamaam Bandon Par Taaghoot Ka Inkaar Aur Allah Ta'aalā Par Eemaan Laana Farz Qaraar Diya Hai.


Imaam Ibn Al-Qayyim (Rahimahullah) "Taaghoot" Ki Ta'reef/Pehchaan Bayaan Karte Huye Kehte Hain :

"Jis Kisi Bhi Baatil (Ghalat) Mabood (Ki Ibaadat Kee Jaaye) Ya Jis Ki Aisey Kaamo Mein Ittibaa (Follow/Pairvi) Kee Jaaye Jin Mein Allah Ki Naafarmaani Ho Ya Jis Ki Itaa'at Umoor Hillat (Ya’ni Halaal Kaamon) Aur Hurmat (Ya’ni Haraam Kaamon) Mein Is Tarah Kee Jaaye Jis Mein Allah Ke Farāmeen (Ya’ni Farmaan) Ki Mukhaalifat Ho, (Is) Ki Wajah Se Banda Apni Hudood (Limits) Aur (Allaah Ki Khaalis Ibaadat) Se Tajaavuz (Ya’ni Aagey Badh) Kar Jaaye Wahi Cheez "Taaghoot" Hai Aur Taaghoot Tou Bohat Saarey Hain Magar Un Ke Sarbaraa (Heads) Paanch (5) Hai :

(1) Iblees (Allaah Ki Laanat Ho Us Par).

(2) Aisa Shakhs Jis Ki Ibaadat Ki Jaaye Aur Woh Us Kaam Par Razamand Ho.

(3) Woh Shakhs Jo Logon Ko Apni Ibaadat Karne Ke Liye Dawat Deta Hai.

(4) Woh Shakhs Jo ILm-e-Ghaib Jaanney Ka Da'waa Karta Ho.

(5) (Aur Woh Shakhs Bhi Taaghoot Hai) Jo Allaah Ki Naazil Karda Sharee'at Ke Khilaaf Faisla Kare.

Aur Is Baat Ki Daleel Ke (Musalmaan Hone Ke Liye Taaghoot Ka Inkaar Karna Zaroori Hai) Woh Yeh Aayat Hai:

فَمَنۡ یَّکۡفُرۡ بِالطَّاغُوۡتِ وَ یُؤۡمِنۡۢ بِاللّٰہِ فَقَدِ اسۡتَمۡسَکَ بِالۡعُرۡوَۃِ الۡوُثۡقٰی لَا انۡفِصَامَ لَہَا

“...Jo Shakhs Allah Ta'aalā Ke Siwa Taaghoot (Ya'ni doosrey Maboodon) Ka Inkaar Karke Allah Ta'aalā Par Eemaan Laaye Us Ne Mazboot Kadey Ko Thaam Liya Jo Kabhi Na Tootega..."

[Sūrah Al-Baqarah : 256]


Yahi Laa ILaaha ILLaLLaah Ka Saheeh Mafhoom Aur Matlab Hai.

Nabi (ﷺ) Ne Farmaaya: "Is Deen Ki Asal Cheez "Islaam" Hai Aur Iska Sutoon (Pillar) Namaaz Hai Aur Iska Buland Tareen Martaba Wa Muqaam Allah Ki Raah Mein Jihaad Karna Hai."

[Tabaraani Kabeer; Aur Suyooti Ne Isey Jaami As-Sagheer Mein Saheeh Kaha Hai.]

SOURCE:
[Muhammad Bin Abdul Wahhaab (Rahimahullah) Ki Kitaab: Deen Ke Teen Eham Usool, Page No.31,32]

Aaj Hum Dekh Rahey Hain Ke Koi Ek Aalim Bhi Taaghoot Ka Inkaar Karne Par Bayaan Nahi Kar Rahey, Haalanke Yeh Asal Tauheed Hai.

Hamaare Kalimey Mein Hi Saarey Taaghooton Ka Inkaar Hai Jab Tak Aap Taaghoot Ka Inkaar Nahi Karengey Aap Musalmaan Bann Hi Nahi Sakte. Tou Yeh Hum Sab Ki Zimmedaari Banti Hai Ke Logon Mein Kufr-Bit-Taaghoot Ki Da’wat Ko Zyaada Se Zyaada Aam Karein.


《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Tawheed 0

Similar threads


Top