Sone Se Muta'alliq Sunnatein


Abdul Mussavir

New member
سم الله الرحمن الرحيم



Sone se Muta'alliq Rasulullah ﷺ ki Sahih Sunnatein



1) Sone se pehle wuzu karna:-

Hadees :- Sahi Bukhari 6311

إِذَا أَتَيْتَ مَضْجَعَكَ فَتَوَضَّأْ وَضُوءَكَ لِلصَّلَاةِ، ثُمَّ اضْطَجِعْ عَلَى شِقِّكَ الْأَيْمَنِ

Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

Jab tum sone ke liye bistar par aao to wuzu karlo fir daaye karwat let jaao.



2) Bistar ko jhadna

Hadees :- Sahi Bukhari 6340

Rasulullah ﷺ ne farmaya jab tum me se koi bistar par letne ke liye aaye to apne tehband ke nichle hisse se bistar ko jhaad le kyu ke isse malum nhi ke iske baad iss ke sath kiya hoga?



3) Daaye karwat sona (Rasulullah ﷺ Daaye (right) karwat sote

Hadees :- Sahi Bukhari 6315

كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا أَوَى إِلَى فِرَاشِهِ نَامَ عَلَى شِقِّهِ الْأَيْمَنِ

Bar'a bin Azib رضي الله عنه farmate hai ke Rasulullah ﷺ jb bistar par sone aate to daaye karwat let jaate.



4) Rasulullah ﷺ raat ke shuru hisse me sote aur raat ke akhri hisse me baidaar hote (yani jaldi sojaya karte aur tahajjud ke liye uth jaate

Hadees :- Sahi Muslim 739

كَانَ يَنَامُ أَوَّلَ اللَّيْلِ، وَيُحْيِي آخِرَهُ،

Ayesha رضي الله عنها Rasulullah ﷺ ke sone ke baare me bayan karte hue farmati hai ki :- Aap ﷺ shuru raat me so jaya karte aur raat ke aakhri hisse me baidaar ho jate the



5) sote waqt dua padhna :-

Hadees :- Rasulullah ﷺ sote waqt kafi dua padhna sabit hai.

Mashoor dua hai :- Sahi Bukhari 6325

اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا

Rasulullah ﷺ jab sone jaate to apne dono hathelio ko jama karte surah ikhlaas surah falaq aur surah naas padhkar fukte fr dono hathelio ko jaha tk mumkin hota hai apne jism me malte , sar aur chehre se shuru karte aur yeh amal 3 martaba karte

Hadees :- Sahi Bukhari 5017


Sote waqt ayat-al Kursi padhna sabit hai aur mustahab hai

Aur is tarah Rasulullah ﷺ se kafi dua sabit hai jinhe woh sote hue padhte

Dekhe :- ( Sahi bukhari 6315, Sahi muslim 2713)


5) Neend se uth te waqt Rasulullah ﷺ yeh dua padhte:-

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَمَا أَمَاتَنَا، وَإِلَيْهِ النُّشُورُ ".

(TAMAM QISM KI TAAREEF USS ALLAH KE LIYE JISNE HUME ZINDAH KIYA BAAD USKE USNE HUME MAAR DIYA THA AUR USI KI JANIB UTH KAR JANA HA)

Aur mazeed Aap ﷺ se baidaar hote waqt quran qareem ki yeh ayat padhna bhi sabit hai ( surah al imraan 190)

Dekhe :- Hadees Bukhari 7452

Ibn Abbas رضي الله عنه se marvi hai woh farmate hai me ne ek raat Maimuna رضي الله عنها ke ghar me guzari Aur Rasulullah ﷺ unhi ke ghar the, taaqe me dekh saku ke Rasulullah ﷺ ki raat ki namaz kesi hoti hai.

Phir Rasulullah ﷺ apne ahl-o-ayaal ke sath kuch der guftugu ki phir so gye jab raat ka akhri pahar baqi bacha aap beth gye fr apne surah al imraan ki ayat 190 tilawat ki fir aap khare hue wuzu farmaya miswaak kiya fir aapne 11 rakat namaz ada ki phir hazrat bilal ne azaan di aapne 2 rakat namaz ada ki phir aap nikle aur logo ko subah ki namaz padhayi.


-Jarida Tarjuman March 2019
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Staff Member Mu’aasharat (Rahen Sahen) 0

Similar threads


Top