SOFIYAH KA "KHATIM-UL-AULIYA" WALA NAZRIYAH BATIL HAI


SOFIYAH KA "KHATIM-UL-AULIYA" WALA NAZRIYAH BATIL HAI
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.73, page:2)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Shaikh-ul-Islam Hafiz Ibn Taimiyyah rahimahullah ne farmaaya:
"Aur isee tarha "Khatim-ul-Auliya" ka lafz baatil hai, is ki koi asal nahi hai. Isey sab se pahle Muhammed Bin Ali al-Hakim al-Tirmizi ne zikar kya aur ek goroh ne usey chura kar apna liya, in mein se har shakhs ye dawa karta hai ke wahi "Khatim-ul-Auliya" hai jaise Ibn Hamaviyyah, Ibn Arabi aur Dimashq waghairah ke baaz gumraah peer, jin mein se har shakhs ye dawa karta hai ke who baaz wajah se NABI sallallahu alaihi wasallam se afzal hai(!) aur isee tarha ke dosre kufr aur buhtaan ka dawa karta hai, in sab baton mein unko laluch ye hai ke who KATIM-UL-ANBIYA to nah ban sake lihaza KHATIM-UL-AULIYA ki riyaasat inhe mil jaaye.

Ye sab ghalat hain kionke KAHTIM-UL-ANBIYA (yani MUHAMMED RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam AAKHIR-UN-NABIYYEEN) to dalaayil ki wajah se afzal hain aur Khatim-ul-Auliya ke afazal hone ki koi daleel naho.

Beshak is ummat ke Auliya mein se muhajireen aur Ansaar ke 'Al-Sabiqoon Al-Awwalon' sab se afzal hai.

NABI sallallahu alaihi wasallam ke ba'ad is ummat mein sab se afzal Abu Bakr razillahu-anhu hain, phir Omer razillahu-anhu hain, phir Usmaan razillahu-anhu hain, phir Ali razillahu-anhu hain.

Is ummat ki sadion mein sab se bahtareen woh sadi hai jis mein NABI sallallahu alaihi wasallam maboos howe phir woh jo unke qareeb hain(yan tabayeen) phir woh jo unke qareeb hain(yani taba tabayeen)

Khatim-ul-Auliya to haqiqat mein woh aakhri momin hai jo (qyamat se pahle) logon mein hoga aur so sab Auliya mein se bahtar aur afzal nahi hai balke sab se bahtareen aur sab se afzal (wali) Abu Bakr razillahu-anhu hain, phir Omer razillahu-anhu hain, jin jin dono se afzal par Nbion aur Rasoolon ke ba'ad sorah tolo aur ghrob nahi howa." (Majmoo Fatawa Ibn Taimiyyah:11/444)

Mulla Ali Qaari Hanafi ne Hafiz Ibn Taimiyyah rahimahullah aur Hafiz Ibn Qaiyyim rahimahullah dono ke bare mein kaha:
"Woh dono Ahle Sunnat wal-Jama'at ke akaabir mein se aur is ummat ke Auliya mein se the."(Jama al-Wasaayil fi Sharah al-Shamayil:1/207)
 
Top