Sisters Ki Privacy Hamari Zimmedaari Hai!!!


Staff Member

Member
Staff member
Assalamu Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu

Dear Members!

Aapki Ki Privacy Hamare Liye Zaroori Hai. Khaas Taur Se Sisters Ki Privacy.
Isliye Is Thread Mein In Sha Allah Is Ke Mutalliq Bataya Jaayega Ki Aap Apni Profile Par Privacy Kaise Lagayen. Ab Aapko Screenshot Ke Zariye Step By Step Iska Tareeqa Bata Raha Hun:
c2i_6102016231554.jpg

Upar Photo Dekhen.
Step 1:
Apni Privacy Mein Jaayen. Jab Aap Privacy Par Click Karenge To Aap Ki Screen Kuch Is Tarah Nazar Aayegi:
IMG_20161106_232446.jpg
Ab Step Ko Follow Karen:
Step 2: Agar Aap Apne Aapko Online Show Karana Chahte Hain To Tick Kar Den. Agar Nahi To Tick Na Karen.

Step 3: Agar Aap Apne Aapni Current Activity Logon Ko Dikhana Chahte Hain To Tick Kar Den. Agar Nahi To Tick Na Karen.

Step 4: Agar Aap Email Ke Zariye Notifications Hasil Karna Chahte Hain To Tick Kar Den. Agar Nahi Hasil Karna Chahte To Tick Na Karen.

Step 5: Agar Aap Apna Date Of Birth Ya Saal Logon Ko Dikhana Chahte Hain To Un Par Tick Kar Den. Agar Nahi To Tick Na Karen.

Step 6: Is Mein Aapko Yeh Choose Karna Hai Ki Aapki Profile Ko Kon Dekh Sakta Hai. Ismein Aapko Teen Options Milenge:
All Visitors: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Profile Sab Log Dekhen To Aap All Visitors Par Click Karen.
Members Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Profile Sirf Wahi Log Dekhen Jo Islaah e Ummat Forum Par Registered Hain To Aap Members Only Par Click Karen.
People You Follow Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Profile Sirf Wahi Log Dekhen Jin Ko Aap Follow Karte Hain To Aap People You Follow Only Par Click Karen.
Step 7: Is Mein Aapko Yeh Choose Karna Hai Ki Aapki Profile Par Kon Message Bhej Sakta Hai. Ismein Aapko Do Options Milenge:
Members Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Profile Par Sirf Wahi Log Kuch Likh Saken Jo Islaah e Ummat Forum Par Registered Hain To Aap Members Only Par Click Karen.
People You Follow Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Profile Par Sirf Wahi Log Kuch Likh Saken Jin Ko Aap Ne Follow Kiya Hai To Aap People You Follow Only Par Click Karen.
Step 8: Is Mein Aapko Yeh Choose Karna Hai Ki Aapki News Feed Kon Dekh Sakta Hai. Ismein Aapko Teen Options Milenge:
All Visitors: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki News Feed Sab Log Dekhen To Aap All Visitors Par Click Karen.
Members Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki News Feed Sirf Wahi Log Dekhen Jo Islaah e Ummat Forum Par Registered Hain To Aap Members Only Par Click Karen.
People You Follow Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki News Feed Sirf Wahi Log Dekhen Jin Ko Aap Follow Karte Hain To Aap People You Follow Only Par Click Karen.
Step 9: Is Mein Aapko Yeh Choose Karna Hai Ki Aapko Personal Mein Kon Message Bhej Sakta Hai. Ismein Aapko Do Options Milenge:
Members Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ke Saath Personal Mein Sirf Wahi Log Baat Kar Saken Jo Islaah e Ummat Forum Par Registered Hain To Aap Members Only Par Click Karen.
People You Follow Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Personal Massage Sirf Wahi Log Kar Saken Jin Ko Aap Ne Follow Kiya Hai To Aap People You Follow Only Par Click Karen.
Step 10: Is Mein Aapko Yeh Choose Karna Hai Ki Aapki Identity Ko Kon Dekh Sakta Hai. Ismein Aapko Teen Options Milenge:
All Visitors: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Identity Sab Log Dekhen To Aap All Visitors Par Click Karen.
Members Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Identity Sirf Wahi Log Dekhen Jo Islaah e Ummat Forum Par Registered Hain To Aap Members Only Par Click Karen.
People You Follow Only: Agar Aap Chahte Hain Ki Aap Ki Identity Sirf Wahi Log Dekhen Jin Ko Aap Follow Karte Hain To Aap People You Follow Only Par Click Karen.
Step 11: Ismein Aap Ko Save Changes Par Click Kar Dena Hai.

Lijye Aapki Privacy Ki Settings Complete Ho Gai. :)
 
Last edited by a moderator:
Top