SHARYI HIJAAB


SHARYI HIJAAB
Fatwaa : SHAIKH MUHAMMED BIN SAALIH USAIMEEN hafizahullah

Romanised: Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAAL:
Sharyi Hijaab ka matlab kya hai?

JAWAAB:
Sharai hijaab ka matlab hai aurat ke liye tamam wajib-ul-satr aaza badan ka dhanpna, un aaza mein sab se muqaddam aur ola chehre ka parda hai, is liye ke chehra fitnah raghbat ka mehal hai. Lehaza aurton par ajnabi logon se chehre ka parda karna wajib hai.

Jahan tak yeh kehna hai ke sharai hijaab sirf sir, gardan, seenah, paon, pindli aur baazu ko dhanpna hai jabke chehra aur haath is se mustasna hain, to yeh ek ajeeb o ghareeb qoul hai, is liye ke yeh baat to maloom hi hai ke, jaye-raghbat aur mehal-e-fitnah chehra hai. Yeh kaise kaha ja sakta hai ke Shariat islamia aurat ko paon dhanpne ka to hukum day aur chehra khula rakhnay ki ijazat de de. Par az hikmat Shariat Mutahera mein aise tanaquz ka hona ghair mumkin hai. Har insaan jaanta hai ke paon se kahin badh kar chehre mein fitnah hai aur mardon ke liye aurton mein mehal-e-raghbat bhi sirf chehra hi hai. Agar koi shakhs kisi mangetar se kahe ke aap ki honay wali biwi ke baazu to khobsorat hain magar chehra badsoorat hai to woh kabhi bhi aisi aurat se shadi par amaada nah ho ga. Is ke bar'aks agar kaha jaye ke is ka chehra to khobsorat hai lekin haath paon aur pindliyan itni khobsorat nahi hain to woh zaroor aisi ladki se shadi karne par amaada hoga. Is se maloom howa ke chehre ka parda ba-tareeq ola wajib hai. Kitaab o sunnat aqwaal-e-sahaba raziallahu-anhum, aqwaal-e-ayimah islam aur ulama-e-islam mein aisay be shumaar dalail mojood hain jin ki ro se ghair mardon ke samnay aurat par tamam jism aur chehre ka parda wajib tharta hai.
 
ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATOHO
is topic ko LIBAAS O PAHNAWA mein daalna tha likin woh OPTION kaam nahi kar raha hai is se qabl bhi woh OPTION kaam nahi kar raha tha lihaza is ko ISLAH E MUA'AASHRA main post kya gaya ...
ADMIN se adaban guzarish hai ke woh LIBAAS O PAHNAWA ke OPTION ke chekc karen
JAZAKALLAHU KHAIR...
 
Top