SHAIKH ABDUL QADIR JILANI rahimahullah AUR GYAARWIN SHAREEF


SHAIKH ABDUL QADIR JILANI rahimahullah
AUR GYAARWIN SHAREEF

Minjaanib: Musalliyaan-e-Masjid RAHMANIYAH, A.C. Guard
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

PESH LAFZ
Shaikh Abdul Qadir Jilani rahimahullah chati sadi hijri ke jaleel-ul-qadr ulmaa aur naamor auliya me se hain, jo dar'haqiqat kisi tareef o ta'aruf ke muhtaaf nahi, chonke is masrof treen dunya me deen pr amal karne wale aksar log sunee sunaayi baton ko tahqiq o tauseeq ke baghair ba-aasani tasleem karlete hain, aur baaz azeem shakhsiyaat ke mare me ghalat tasuraat qaayim karlete hain chunaancheh Shaikh Abdul Qadir Jilani rahimahullah ki misaali shakhsiyat o azeem o shaan seerat, Tawheed o Sunnat par mushtamil layeq-e-tahseen irshaadaat o hidaayaat aur 'Gyaarwin Shareef' me honi wali rusomaat wghairah ko sharye nuqtaye nazar se hawalah qertaas kiya gya hai jin se aamatunna, tulbaa, khutaba aur ulama bhi in-sha-Allah mustafeed hosakte hain.

RABBE KAREEM ka ehsaane azeem hai ke is pur-fitan daur me bhi musalmaanon me amoomi o majmo taur par Deen ghaalib hai, likin deen ki sahih fahem ka fiqdaan, mutabar nusos o dalaayil ka buhraan, ta'asub o nafs parasti ka meelaan, baatil taawilaat ka ruhjaan, aur talbees-e-shaitaan wghairah aise asbaab hain jw insaan ko hidayat se door aur gumraahi o zalaalat pr majboor kardete hain, lihaaza deen se mutaleq har kaam ko faham salaf (Sahabah o Tabayeen /Khair-ul-Quron ki deeni samajh) ki roshni me Kitaab o Sunnat me tlaash Karen, aur phir uspar amal Karen. 'TAUFEEQ SIRF ALLAH KI TARAF SE HAI'

AZMAT-E-AULIYA
Quran o Hadis me auliya-allah ki badi azmat, qadr o manzilat aur fazeelat bayaan ki gayi hai, jaisa ke ALLAH TA'ALA ne irshaad farmaya:
﴿أَلَا إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لَا خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلَا هُمْ يَحْزَنُونَ[62] الَّذِينَ آمَنُوا وَكَانُوا يَتَّقُونَ[63] لَهُمُ الْبُشْرَى فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الْآخِرَةِ لَا تَبْدِيلَ لِكَلِمَاتِ اللَّهِ ذَلِكَ هُوَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ[64]﴾
(Surah Younus:62-64)
"Khabar-daar! Auliya Allah (ALLAH ke doston)ko (mustaqbil ki zindagi ka) koi dar nahi, aur nah hi woh (apni guzishtah ke bare me) ghamgeen rahte hain, (ye woh log hain) jo eemaan laaye aur taqwaa (faraayez ki anjaam dahi aur gunaaho se parhez) ikhtiyaar kyaa karte the, unkeliye dunyawi zindagi me aur aakhirat me bhi khus-khabri hai, ALLAH TA'ALA ki baton me kuch farq howa nahi karta, ye to badi kaamyaabi hai."

RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam ne farmaya: auliya-allah keliye dunyawi zindagi me bashaarat nek khawab hain, aur aakhirat ki zindagi me basharat jannat hai.(Musnad Ahed ba-riwaayat Abu Darda raziallahu-anhu , ba-sanad Sahih lighairih)

Arabi zabaan me lafz wali qareeb tareen shakhs, rishtah daar, doost, mahboob, aur madad-gaar waghairah jaise mano keliye istemaal hota hai, jab ke shariat me auliy-allah, ALLAH TA'ALA ka ilm rakhne walon, paabandi ki saath ALLAH ki ita'at karne waalon, sirf ALLAH ki ibaadat karne waalon(Fathul Baari:6/84, ba-qaul Ibn Hajar rahimahullah, Published:Dar-ul-Marafah), (amomi taur par) deen ki samajh aur deeni ilm rakhne waalon(Al-Faqiyah wal-Muttafiqah lil-Khateeb, ba-qaul Abu Hanifah aur Imam Shafayi rahimahullah, Asar No.137,138), (Khusosi taur par) Quran o Hadis par amal karne walon(Sharf As'hab-ul-Hadis lil-Khateeb, ba-qaul Imam Khalil Bin Ahmed rahimahullah, Asar No.96), ko kahte hain, jinhe dekh kar ALLAH yaad aajaye(Al-Mujim al-Kabeer lil-Tabrani, ba-riwaayat Ibn Abbas raziallahu-anhuma, ba-Sanad HASAN), jo mahez ALLAH ki khaatir aapas me ek dosre se mohabbat karte hain, jo baroz-e-qyaamat nor ke mimbaron par ronaq afroz honge, jis ki wajah se chaheron aur kabpdon se nor jhalke ga, jo qyaamat ke holnaak din itminaan se honge, bake unpar Anbiya aur Shuhada ko bhi rashk hoga(Musnad Ahmed, ba-riwaayat Abu Umaamah raziallahu-anhu, basanad SAHIH), jo dunya me namaazi(Mustadrak Hakim, bariwaayat Umair Bin Qataadah raziallahu-anhu, basand SAHIH), tanhayi me bhi ALLAH ke ita'at guzaar, aur logon me ghair maarof honge(Jami Tirmizi, bariwaayat Abu Umamah raziahhau-anhu, is Hadis ko baaz ahle ilm jaise Imam Tirmizi rahimahullah aur Muhaddis Albaani rahimahullah HSAN qaraar diya hai jab ke baaz ne is par kalaam kiya hai).

ALLAH TA'ALA ki saw(100) rahmaten hain, jin me se ek rahmat ko zameen walon ke darmiyaan taqseem kiya, to yeh ek rahmat unke liye kaafi hogi, jab ke 99 rahmaton kw apne auliya keliye uthaakar rakha hai, aur ALLAH TA'ALA zameen walon ke darmiyaan taqseem kardah ek rahmat ko bhi un 99 rahmaton ke saath zam kardenge, aur inhe qyaamat ke din apne auliya keliye 100 rahmate mukammal kardenge.(Musnad Ahmed, bariwaayat Abu Hurairah raziallahu-anhu, basanad SAHIH)

Jis ne ALLAH ke kisi bhi wali se dusmani o adawat rakkhi(Sahi Bukhari, bariwaayat Abu Hurairah raziallahu-anhu), izzat dene ke bajaye zaleel kiya(Musnad Ahmed, bariwaayat Abu Hurairah raziallahu-anhu), unki toheen karte howe inhe haqeer samjha(Musnad al-Shihaab lil-Qazayi, bariwaayat Abu Hurairah raziallahu-anhu), aur inhe kisi bhi tarah ki aziyat aur takleef di(Musnad Abi Yala, bariwaayat Abu Hurairah raziallahu-anhu), to ALLAH TA'ALA uske saath jang ka elaan karchuke hain(Surah Younus:62-64).

Auliya-Allah se mutaleq kitaab o sunna aur salaf-e-ummat ke bayaan se malom howa ke sab se awwal o afzal auliya: Anbiya, Khulafa, Sahabah aur ke unke aqidah o manhaj(deen par amal ke tareeqa) ko ikhtiyaar karne ke baad usee mutaabiq deen ko samajhne aur deen par amal karne

wale hain jin ke andar eemaan o taqwaa hota hai, is ke bar'khilaaf jo afraad kufriya kaam, shirkiyah amaal, aur bidat ke kaamon me mubtilaa hain, yaa dil ki namaaz ke bahane dar-haqiqat be-namaazi hain, yaa ilaaj ke bahane ajnabi auraton ke saath be-pardagi o tanhayi karte howe inke jisam ko chote hain, yaa jo bar'hanah rahte hain woh ALLAH ke wali nahi hosakte, kionke ALLAH ke wali hone keliye aqidah ki islaah yaani eemaan aur eemaan ke saath amal o kirdaar ki islaah yani taqwa zurori hai.

 
Last edited:
Top