SEHAT AUR FARAAGHAT

بسم الله الرحمن الرحيم

Ibn Abbaas (Raziyallaahu 'Anhumaa) kehte hain ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:
اِنَّ الصِّحَةَ وَالْفَرَاغَ نِعْمَتَانِ مِنْ نِعَمِ اللهِ مَغْبُوْنٌ فِیْھِمَا کَثِیْرٌ مِنَ النَّاسِ
"Beshak Sehat (health) wa Faraaghat (free time) Allaah ki ni'maton mein se do ni'matein hain, jinke baare mein bohat se log khasaare mein hain."
[Musnad Ahmad: 9559; Saheeh Al-Bukhaari: 6412; Sunan Al-Daarmi: 2749]

FAWAAYED: Sehat aur Faraaghat, ye Allaah ki do ni'matein hain. Qur'aan mein hai "Us din tumse har ni'mat ke baare mein sawaal hoga" [102:8], so Mu'min ko unki jawaabdahi ki fikr karni chaahiye.

• Un do ni'maton ka haqq ye hai ke unki maujoodgi mein zyaadah se zyaadah Allaah ki ibaadat kee jaaye.

• Ibn e Jawzi (Rahimahullaah) farmaate hain ke basaa auqaat aadmi saheeh toh hota hai lekin apni Mu'aashi (maal kamaane ki) masroofiyaat se faraaghat (free time) haasil nahin kar sakta aur kabhi faarigh toh hota hai lekin saheeh (tandrust) nahin hota aur agar dono cheezein haasil hojaayein toh itaa'at ke mu'aamle mein susti ka shikaar hojaata hai, toh yahi aadmi khasaare mein hai. Haasil e kalaam ye hai ke Dunya Aakhirat ki kheyti hai, yahaan kee gayi tijaarat ka nafa' Aakhirat mein jaakar milega. Jisne yahaan Sehat wa Faraaghat ko Allaah ki itaa'at mein sarf kiya (Ya'ni apne aap Allaah ki farmaabardaari mein lagaaye rakha) toh woh qaabil e rashk hoga (rashk ka matlab hai ke kisi ki khoobi Ya khush bakhti dekh kar ye khayaal karna ke hamein bhi ye khoobi Ya khush bakhti haasil hojaaye lekin woh khoobi usi ke paas rahey aur hamein haasil na ho) aur jisne unhein (Sehat wa Faraaghat ko) Allaah ki ma'siyat (naafarmaaniyon) mein sarf kardiya (Ya'ni Allaah ki naafarmaaniyon mein lagaaye rakha) woh khasaare mein hoga kyunke Sehat ke ba'd beemaari aur Faraaghat ke ba'd masroofiyat raah tak rahi hoti hai (Ya'ni Sehat ke ba'd beemaari intezaar mein rehti hai aur Faraaghat ke ba'd mashghooliyat intezaar mein rehta hai) agar in dono se Insaan bach bhi jaaye toh budhaapa Insaan ka muntazir hota hai (Ya'ni bhoodha to hona hi hai). [Tanqeeh Al-Rawaah: 4/7]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: Abdul-Mudhill Hafizahullah

 

Similar threads


Top