Sayyiduna Mu'aawiyah Razi Allahu Anhu Sahaba Ki Nazr Mein!


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Sayyiduna Mu'aawiyah (Razi Allahu Anhu) Digar Sahaba E Kiraam (Razi Allahu Anhum) Ki Nazr Mein!

Sayyadah Aisha (Razi Allahu Anha) ne farmaaya: maine fitne ke daur mein logon ka jo mu'aamlah dekha us mein hamesha se meri yeh tamanna rahi ke Allah ta'ala meri umar bhi Sayyiduna Mu'aawiyah (Razi Allahu Anhu) ko laga dey...
(al-Muntaqaa Min Kitaabit Tabaqaat Li Abi Arubah al-Husain bin Muhammad al-Harraani: 1/41 Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abdullah bin Umar (Razi Alllahu Anhuma) ne farmaaya: maine Rasoolullah ﷺ ke b'ad Sayyiduna Mu'aawiyah (Razi Allahu Anhu) se badh kar sakhi aur haleem o burdbaar koi nahi dekha...
(Tareekh e Damishq: 59/173, Wa Sanadahu Hasan)

Sayyiduna Abdullah bin Abbaas (Razi Allahu Anhuma) ne farmaaya: maine Sayyiduna Mu'aawiyah (Razi Allahu Anhu) se badh kar iqtidaar ke liye mauzoon koi shakhs nahi dekha..
(as-Sunnah Li Abi Bakr Khallal: 2/440 Hadees 677 Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abu Darda (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya: maine tumhaare is imam (Sayyiduna Mu'aawiyah Razi Allahu Anhu) se badh kar Rasoolullah ﷺ waali namaz padhaane waala koi nahi dekha...
(Mujam us Sahabah Lil Baghawi: 5/367, Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna S'ad bin Abi Waqqaas (Razi Allahu Anhu) ne farmaaya: maine Sayyiduna Usmaan (Razi Allahu Anhu) ke b'ad is darwaze waale (Sayyiduna Mu'aawiyah Razi Allahu Anhu) se badh kar haq ke mutaabiq faislah karne waala koi nahi dekha...
(Tareekh e Damishq: 59/160,161 Wa Sanadahu Hasan)

Tehreer: Shaykh Abul Hasan Tanweer ul Haq Tirmizi Hafizahullah

Ishaatulhadith Shumarah 135-136 Safa 9


Romanised: Syed Ibraheem Salafi
 
Top