SAYYIDUNA ALI BIN ABI TALIB RAZI ALLAH SE MUHABBATU ANHO


Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah

Tehqeeq o Takhreej:
Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah

Romanised By: Arshad Siddiqui

1) Sahl Bin Saad As Saaidi razi allahu anho ne rasool allah sallallahu alayhi wasallam se suna ke aap ne farmaya main kal zaroor us aadmi ke haath mein yeh jhanda dunga jis ke haath pe allah fatah dega woh allah aur uske rasool se muhabbat karta hai aur allah aur uske rasool ussey muhabbat karte hai jab subah huwi toh sab log sawere sawere hi rasool allah sallallahu alayhi wasallam ke paas pohoch gaye har aadmi yeh chata tha ke jhanda usey miley. Aap sallallahu alayhi wasallam ne pucha ali bin abi talib kaha hai toh logon ne jawaab diya ya rasool allah sallallahu alayhi wasallam woh aankhon ke dard mein mubtila hai toh rasool allah sallallahu alayhi wasallam ne farmaya unhone bula lao.Jab Sayyiduna Ali raziallahu anho aaye toh aap sallallahu alayhi wasallam ne unki aankhon mein apna luaab (saliva) mubarak daala toh woh is tarah theek hogayi ke jese bimari thi hi nahi phir aap sallallhu alayhi wasallam ne Sayyiduna Ali bin Abi Talib raziallahu anho ke haath mein jhanda diya aur farmaya Allah ki qasam agar teri wajah se ek aadmi bhi hidayat par aajaye toh yeh tere liye maal e ganimat ke surq oonton se bhi behtar hai

(Sahih Bukhari Hadees No.2942, Sahih Muslim Hadees No.6223)

Allah ne gazwa e khaybar mein Sayyiduna Ali razi allahu anho ke haath par musalmano ko fatah naseeb farmayi. Sayyiduna Ali Razi allaho anho ka kitna buland maqam hai ke allah aur uske rasool unsey muhabbat karte hai.

2) Mashoor jaleel o qadr sahabi fatih qaadsiya Hazrat Saad Bin Abi Waqad Razi Allahu Anho farmate hai ke rasool allah sallallahu alayhi wasallam ne ali razi allahu anho se farmaya teri mere saath wahi manzilat hai hai jo haroon alayhis salaam ki musa alayhis salaam ke saath thi illa yeh ke mere baad koi nabi nahi
(Sahih Muslim Hadees No.6217)

Is hadees se Sayyiduna ali razi allaho anhu ka azeemush shaan hona saabit hota hai lekin yaad rahe is ka khilafat se koi talluq nahi.Is hadees se yeh bhi saabit hota hai ke nabi sallallahu alayhi wasallam ke baad koi nabi qayamat tak nahi paida hoga

3) Sayyiduna Ali Razi allahu anho farmate hai us zaat ki qasam jisne daana pahad (fasl aagai) aur makhluqat paida ki, mere daath nabi e ummi sallallahu alayhi wasallam ne mere (ali razi allahu anho) se muhabbat sirf momin hi karega aur bughz sirf munafiq hi rakheyga
(Sahih Muslim Hadees No.240)

Maalum huwa ke ali razi allahu anho se muhabbat momin karte hai bughz rakhne waale munafiq hai
Tamaam Ahle Sunnat Ali razi allahu anho se muhabbat aur pyaar karte hai

Yaad rahe ke muhabbat yeh qat'an matlab nahi hai ke aap razi allahu anho ko mushkil kusha aur haajat rawa banale ya aapke azeemush shaan saathiyon aur sahaba ikram razi allahu anho ko bura kehna shuru karde. Ali razi allahu anho ne apne baare mein khoob farmaya hai mere baare mein do qism ke log halaak hojayenge 1) Gaali (muhabbat mein na jaaiz ifrat karne waala) 2) bugz karne waala hujjat baaz
(Musnad Ahmad: 2/571 Hadees No.964 Isnaaduhu Hasan)

5) Sayyiduna Ali razi allahu anho ka dusra qaul yeh hai ke ek qaum (logon ki jamaat) mere saath (andha dun) muhabbat karegi haata ke woh merey ifrat waali muhabbat se jahannum ki aag mein dakhil hojayenge aur ek qaum (logon ki jamaat) mere saath bughz rakhey ki hatta ke woh bughz ki wajah se jahannum ki aag mein daakhil hojayegi
(Fazail e Sahaba: 2/565 Hadees No.952,Kitabus Sunnah Li Abi Asim Hadees No.983, Isnaaduhu Sahih)

Chunke inka taaluq gaib se hai lihaza in dono aqwal hukman marfu hai yaani rasool allah sallallahu alayhi wasallam ne ali razi allahu anho ko batayi hogi wallahu aalam

Tambih: Hakeem faiz aalam siddiqui (naasibi) ne jo hazrat e ali razi allahu anho ki shaan mein gustakhiyan ki ussey tamaam ahle hadees bari uz zimmah hai. Ahle hadees ka nasibiyon aur rafiziyon se koi talluq nahi hai.Ahle hadees ka raasta kitabullah wa sunnat rasool allah sallallahu alayhi wasallam aur yahi ahle sunnat hai

6) Sayyiduna Umar bin khattab razi allahu anho ne farmaya ke nabi sallallahu alayhi wasallam ne is halat mein wafaat paayi ke aap ali, usman, zubair, talha, saad bin abi waqas aur abdurehman bin auf rizwanullahi ajmaeen se razi thay
(Sahih Bukhari Hadees No.3700)

7) Saad bin abi waqas raziallahu anho
farmate hai
Jab ayat {نَدۡعُ اَبۡنَآءَنَا وَاَبۡنَآءَكُمۡ وَنِسَآءَنَا وَنِسَآءَكُمۡ} hum apni aulad le aaye tum apni aulaadein le aao (Surah Aal e imran 3:61) nazil huwi toh rasool sallallahu alayhi wasallam ne ali , fatima, hasan aur hussain razi allahu anhum ajmaeen ko bulaya aur farmaya Aye allah yeh mere ahl (ahle baith) hai
(Sahih Muslim Hadees No.6220)

8) Sayyida Ayesha raziallahu anho se rivayat hai ke rasool allah sallallahu alayhi wasallam ne fatima, hasan, husain aur ali (razi allahu ajmaeen)
ko chaadar mein daakhil kiya allah tum se sirf yeh chahta hai ke tum se najasat door karde aur khoob paak o tahir karde (surah al ahzaab 33:33)
(Sahih Muslim Hadees No.6261)

In sahih ahadees se sayyiduna ali razi allahu anho ki badi fazilat sabit hai.Yaad rahe ummahatul momineen ahle baith mein shamil hai aapki biwiyan aapke ahle baith mein se hai.
(Sahih Muslim Hadees No.6225)

Umoom e quran bhi iska muwayyid hai

9) Imran bin husain razi allahu anho se rivayat hai ke rasool allah sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya

إِنَّ عَلِيًّا مِنِّي وَأَنَا مِنْهُ , وَهُوَ وَلِيُّ كُلِّ مُؤْمِنٍ

Beshak ali mujh se hai aur mein ali main unsey hoon aur woh har momin ke wali hai
(Jami At Tirmizi Hadees No.3712 wa sanaduhu hasan)

10) Zaid bin arkam razi allahu anho se rivayat hai ke rasool allah sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya

مَنْ كُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ
Jis ka main maula hoon toh ali uska maula hai
(Jami At Tirmizi Hadees No.3713 wa sanaduhu sahih)

Lughat mein mukhlis dost ko bhi maula kehte hai
(Qamoosul Waheed Page No.1900)

Nabi Sallallahu alayhi wasallam ne zaid bin arqam razi allahu anho se farmaya
أَنْتَ أَخُونَا وَمَوْلَانَا
Tu humara bhai hai aur humara maula hai
(Sahih Bukhari Hadees No.2699)

Baaz rawafiz ka hadees e wilayat se sayyiduna ali razi allahu anho ka khalifa bil fasl ka dawah karna dalail e sabiqa o deegar dalail ki ruh se baatil hai.

Yeh kuch mukhtasaran hazrat e ali razi allahu anho ke fazail thay jo sahih ahadees se sabit hai aur bhi aapke fazail maujod hai lekin mazmoon taweel hone se bachne keliye itne par iktefa karte hai

ALLAH TA'ALA SE DUA HAI KE ALLAH RABBUL IZZAT HUMARE DILON MEIN AHLE BAITH RAZI ALLAHUM AJMAEEN AUR SAHABA RAZI ALLAHUM AJMAEEN KI MUHABBAT BHARDE AAMEEN.
 

Top