Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se Muhabbat


Abdul Adil

Member
Tehreer: Hafiz Zubair Ali zai Rahimahullah

Mazmoon: Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu se Muhabbath

ALLAH Ta'ala ne Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu ko ( Nabi Kareem ﷺ ki Du'a ki Wajah se) Azeem Haafiza ataa farmaya thaa.

Ek dafa Marwan Bin AL Hakam AL umawi ne inse kuch hadeesein likhwayeen aur agley saal kaha : voh kitaab gum hogayi hai, wahi Hadeesein dobarah likhwa dein.

Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu ne wahi Hadeesein dobarah likhwadeen.

(Baad mein jab voh kitaab milgayi) Aur Dono kitaabon ko aapas mein milaya gaya tho Ek harf ka bhi farq nahi thaa.

[Dekhiye AL Mustadrak LiL Haakim : 3/510, Wa Sanadahu HASAN]

SubhanALLAH!

Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhi ki Wafaat ke boht Arsa baad Ek naujawaan ne Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu ki gustaakhi kee tho baghdaad ki jaama masjid ki chhath (ceiling) se Ek Badaa Saanp(snake) Giraa aur uss Naujawaan ke peeche daudhna shuroo kiya aur phir jab uss naujawaan ne tauba kee tho saanp gayab hogaya -

Ye Naujawaan Ahul Raaye mein se (Yaani Hanafi) thaa.

[Dekhiye Maahnama AL Hadees Hazro, Shumarah : 32 Safa 14]

Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu har uss shakhs ke dushman thay jo ALLAH aur uske Rasool ka dushman thaa.

[Dekhiye Tabqaath ibne Saad : 4/335, Wa Sanadahu SAHEEH]

Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu ke baare mein imaam Abu bakr muhammad bin is'haq AL imaam Rahimahullah ne behtareen kalaam farmaya, Jiska khulasa darj zeL hai:

Chaar (4) Tarah ke aadmi Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahu Anhu par Jarah karte hain:

(1) Awwal: Jahmi mo'tal

(jo Sifaat -E- Baari Ta'ala ke Munkir hain)

(2) Duwwam: khaarji

(Takfeeri jo Musalmaan Hukmuraano ke khilaaf Khurooj ke QayiL hain)

(3) Suwwam: Qadri

(Mo'tazili jo Taqdeer aur Ahadees -E- Saheeha ke Munkir hain)

(4) Chaahrum: Jaahil

(jo Faqeeh baney baithey hain aur Bagair daleel ke)

Taqleed ki wajah se SAHEEH AHADEES ke mukhaalif hain

[Dekhiye, AL Mustadrak LiL Haakim : 3/513, Ha : 6176, Wa Sanadahu SAHEEH]

………… Asal Mazmoon …………

Tehreer: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah

Romanised: Irfan Shaik

Mukammal Mazmoom ke Liye dekhiye kitaab UL Arba'een Li ibne Taymiyyah: Safa 61 - 65
 

Top