Sayyadana Bara Razi Allahu Anhu Se Tark E Rafadain Wali Hadees Ka Tahqeeqi Jayeza


Abdul Adil

Member
Assalamualaikum Warah Matullah Wa Barkatuhu .

Hamare Hanafi bhai tarq e rafadain par Sayyadana Bara Razi Allahu Anhu ki bhi Hadees pesh karte hai halakin wo ekdam shakth zaeef riwayat hai , ayiye wo hadees dekh lete hai .


Tahreer :- Shaikh Gulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah Fawaid Wa Masail Sunan Abu Dawd Hadees Number - 749

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Hadees kuch is tarah se hai


حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا مُعَاوِيَةُ، ‏‏‏‏‏‏وَخَالِدُ بْنُ عَمْرٍو، ‏‏‏‏‏‏وَأَبُو حُذَيْفَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالُوا:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ بِإِسْنَادِهِ بِهَذَا، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ فَرَفَعَ يَدَيْهِ فِي أَوَّلِ مَرَّةٍ، ‏‏‏‏‏‏وَقَالَ بَعْضُهُمْ:‏‏‏‏ مَرَّةً وَاحِدَةً.

Sayyadna Bara Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki beshaq Rasoolullah ﷺ jab namaz shuru farmate to apne kaano ke kareeb tak rafadain karte fir dubara na karte.

[Sunan Abu Dawd Hadees Number - 749 & 750 , Musnad Abi Yaala Hadees Number - 1690]

Ye Hadees Sunan Daraqutni me bhi mauzood hai mulahiza farmaye

حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ صَاعِدٍ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ سُلَيْمَانَ لُوَيْنٌ حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ زَكَرِيَّا حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ أَبِى زِيَادٍ عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِى لَيْلَى عَنِ الْبَرَاءِ أَنَّهُ رَأَى رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- حِينَ افْتَتَحَ الصَّلاَةَ رَفَعَ يَدَيْهِ حَتَّى حَاذَى بِهِمَا أُذُنَيْهِ ثُمَّ لَمْ يَعُدْ إِلَى شَىْءٍ مِنْ ذَلِكَ حَتَّى فَرَغَ مِنْ صَلاَتِهِ .

Hazrat Bara'a Razi Allahu Anhu Bayan Karte hai ki Unhone Rasoolullah ﷺ ko namaz ke agaz me rafadain karte huye dekha , Aap ﷺ ne apne dono hanth kaanon tak buland kiye fir uske baad namaz se farig hone tak rafadain nahi kiya.

[Sunan Daraqutni Jild-2 , Hadees Number 457 & International Number-1114]


Tabsharah :-

➊ Is ki sanad zaeef hai

Muhaddiseen ka is hadees ke zaeef hone par ijma wo ittefaq hai

iska raawi "Yazeed Bin Abi Zyad" zamhoor ke nazdeek zaeef aur ”سیئ الحفظ“ hai

nez ye mudallis aur mukhtalit bhi hai , talqeen bhi kabool karta hai


Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah likhte hai

«ضعيف، كبر، فتغير، وصار يتلقن وكان شيعيا.»

ye zaeef raawi hai , badi umar me iska haafiza kharab ho gaya tha aur ye talqeen kabool karne laga tha ye sheeyi bhi tha

[Taqreeb ut Tazeeb 7717]

nez likhte hai

«والجمھور علي تضعيف حديثه.»

Zamhoor Muhaddiseen is hadees ko zaeef kahte hai

[ھدي السارى:459]


Imam Boshiri Rahimahullah likhte hai


«يزيد بن أبي زياد أخرج له مسلم في المتابعات وضعفه الجمھور.»

Yazeed Bin Abi Zyad ki hadees imam muslim ne mutabiaat me bayan ki hai zamhoor ne use zaeef karar diya hai

[Zawaid Ibne Maja 2/549]


Imam Daraqutni Rahimahullah farmate hai

«لا يخرج منه في الصحيح، ضعيف، يخطئ كثيرا.»

kisi saheeh kitab me iski koyi hadees bayan nahi ki jayegi, ye zaeef hai aur bahut jyada galtiya karta tha

[Sawalat Al-Barkaani 561]


Hafiz Zahbi Rahimahullah farmate hai


«وليس ھو بالمتقن، فلذا لم يحتج به الشيخان»

wo fukhta raawi nahi hai isi liye shaikhain ( Bukhari, Muslim ) ne isse Hujjat nahi li


[سير أعلام النبلاء:129/6]


Ye Saheeh Muslim ka raawi nahi hai imam muslim ne isse maqrunan riwayat li hai


Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah farmate hai

«ولم يكن يزيد بن أبي زياد بالحافظ، ليس بذالك.»

Yazeed Bin Abi Zyad Hafiz nahi tha hadees ke riwayat ke kaabil na tha


[Al-Zarah Wal Ta'adeel 9/265]


Imam Abu Hatim Rahimahullah farmate hai

«ليس بالقوي.»

Ye Qawi nahi tha

[Al-Zarah Wal Ta'adeel 9/265]



Imam Abu Jarah Al-Raazi Rahimahullah farmate hai

«لين، يكتب حديثه، ولا يحتج به.»

kamzor raawi hai iski hadees likhi jayegi lekin isse Hujjat nahi li jayegi

[Al-Zarah Wal Ta'adeel 9/265]



Imam Jojzani Rahimahullah kahte hai

«سمعتھم يضعفون حديثه.»

Maine Muhaddiseen ko us ki hadees ko zaeef karar dete huye suna

[Ahwaal Al-Rizaal 135]


Imam Nasai Rahimahullah farmate hai

«ليس بالقوي.»

Ye Qawi nahi hai

[Al-Zoafa Wal Matrukeen 651]


Imam Yahya Bin Mayeen Rahimahullah farmate hai


«ولا يحتج بحديث يزيد بن أبي زياد.»

Yazeed Bin Abi Zyad ki hadees se Hujjat nahi li jayegi

[Taareekh Yahya Bin Mayeen 3144]


Imam Wakeey Rahimahullah farmate hai

«ليس بشئ.»

Ye ( Hadees ) me kuch bhi nahi

[Az-Zoafa Lil Aqeeli 4/480 Wa Sanad Saheeh]



Imam Ali Bin Madini Rahimahullah ne bhi ise zaeef karar diya hai

[Az-Zoafa Lil Aqeeli 4/480 Wa Sanad Saheeh]

Imam Shoaba Rahimahullah kahte hai

«كان يزيد بن ابي زياد رفاعا.»

Yazeed Bin Abi Zyad Rafa'a ( mauquf riwayat ko marfooa bana dene wala ) tha

[Al-Zarah Wa TA'DEEL Lil Ibne Abi Hatim 9/265]


Imam Abdullah Ibne Mubarak Rahimahullah farmate hai


«ارم به.»

Ise Fenk ( chod ) do

[Tahzeeb ut Tahzeeb 11/288]


Imam Ibne Adi Rahimahullah Farmaate hai

«ويزيد من شيعة أھل الكوفة، مع ضعفه يكتب حديثه.»

Yazeed Ahle Koofa ke shiya me se hai zaeef ke saath saath iski hadees likhi jayegi

[Al-Kaamil 276/7]

lihaza imam azuli Rahimahullah ka [Tareekh Al-Azuli 2019] aur imam ibne Saad [Al-Tabqaat Al kubara 6/340] me isko siqah kahna aur imam ibne Shahin ka ise Shiqaat [1561] me jikr karna zamhoor ki ta-zaeef ke muqabla me na-qabile etemaad hai, nez iski tausheeq ke bare me Ahmad Bin Saleh Al-Mishri ka qaul sabit nahi hai


Al-Hashil :- Ye Hadees Zaeef hai , Zaeef ke sath sath Yazeed Bin Zyad ne use bayan bhi ikhtelaad ke bad kiya hai



ye riwayat zaeef hone ke sath sath aam bhi hai, jabki ruku wale rafadain ki daleel khash hai lihaza khash ko aam par muqaddam kiya jayega


Imam Ibne Hibban Rahimahullah is hadees ke bare me likhte hai

«ھذا خبر عول عليه أھل العراق في نفي رفع اليدين في الصلاة عندالركوع وعند رفع الرأس منه، وليس في الخبر: ثم لم يعد، وھذه الزيادة لقنھا أھل الكوفة يزيد بن أبي زياد في آخر عمره، فتلقن، كما قال سفيان بن عيينه: انه سمعه قديما بمكة يحدث بھذا الحديث باسقاط ھذه اللفظة، ومن لم يكن العلم صناعته لا يذكر له الاحتجاج بما يشبه ھذا من الأخبار الواھية.»
”یہ وہ حدیث ہے جس پر اہل عراق نے نماز میں رکوع جاتے اور رکوع سے سر اٹھاتے وقت رفع الیدین کی نفی میں اعتماد کیا ہے، حالانکہ حدیث میں «”ثم لم يعد.“»

(fir dubara na kiya) ke alfaaz nahi the ye jyadat Yazeed bin Abi Zyad ko uske akhiri umar me ahle Koofa ne talqeen ki thi , usne ise qabool kar diya jaisa ki imam sufiyan bin Uyainiya bayan karte hai ki unhone pahle daur me macca me use yahi hadees bayan karte huye suna tha us waqt usne ye alfaaz bayan nahi kiye the , jo admi fan hadees ka ahel na ho uske liye is tarah ki zaeef riwayat ko bataur daleel jikr karna durust nahi hai.

[Al-Mazruheen Lil Ibne Hibban 3/100]

Khateeb Bagdadi Rahimahullah farmate hai

«ذكر ترك العود الي الرفع ليس بثابت عن النبي صلى الله عليه وسلم، فكان يزيد بن أبي زياد يروي ھذا الحديث قديما ولا يذكره، ثم تغير وساء حفظه فلقنه الكوفيون ذلك، فتلقنه ووصله بمتن الحديث.»

(Takbeer e Tahrima me rafadain ke baad) dubara rafadain ko chodna Rasoolullah ﷺ se sabit nahi , Yazeed Bin Zyad is hadees ko pahle pahl bayan karta tha lekin unke alfaaz ko jikr nahi karta tha fir uska haafiza kharab ho gaya to koofiyon ne usko usko in alfaaz ki talqeen ki usne qabool kari aur use matan me sath mila diya

[المدرج:369/1]

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah likhte hai


«واتفق الحفاظ علي أن قوله: ثم لم يعد، مدرج في الخبر من قول يزيد بن أبي زياد.»

Huffaz E Muhaddiseen ka is baat par ittefaq hai ki ثم لم يعد ke alfaaz us hadees me darz hai ye Yazeed Bin Abi Zyad Ki Apni baat hai

[Al-Talkhish ul Kabeer 1/221]


[Mahamana Al-Sunnah Jhelam , Shumara Number - 12 , Hadees/Safah Number - 13]

Mazeed Ijafa :-

Is Hadees ka Doosra Raawi "Abdurrahman Bin Abi Laila" Zaeef hai

1] Ameerul Momineen Fil Hadees Imam Bukhari Rahimahullah ne is hadees ke bare me farmaya

قـال الـبـخـاري : و إنـماروى ابن أبي ليلى هذا من حفظه، فأما من حدث عـن ابـن أبـي ليـلـى مـن كـتـابـه فإنما حدث عـن ابـن أبي ليلى عن يزيد فرجع الحديث إلى تلقين يزيد والـمـحـفـوظ ماروى عنـه الثوري و
شعبة و ابن عيينة قديماً.

Imam Bukhari ne kaha ( Muhammad ) Bin Abi Laila ne ye riwayat sirf apne hafize se (jubani) bayan ki hai jis shaksh ne (Muhammad) bin abi laila ki kitab se hadees bayan ki hai to usne (Muhammad) bin abi laila se sirf Yazeed (bin abi Zyad) se riwayat bayan ki hai pas ye hadees Yazeed ( bin abi Zyad ) ki talqeen tak wapas laut jata hai aur mahfooz wahi hi Jo Sori, Shoaba, aur Ibne Uyayniya ne ( Yazeed se ) uske qadeem jamane me bayan kiya hai

[Juz Rafadain Hadees Number - 36 Safa-60]


2] Imam Tahawi Rahimahullah ne kaha

مضطرب الحفظ جداً

[Mushkil ul Asaar Jild-3 Safa-224]


3] Zaili Hanafi Rahimahullah ne farmaya

Ye Zaeef hai

[Nasbur Raya Jild-1 Safa-318]


4] Ibne Al-Turkamani Rahimahullah ne kaha

ابن أبي ليلى متكلم فيه

[ الجوہراتی ۳۴۷/۷]

5] Khaleel Ahmad Shaharanpuri Rahimahullah ne kaha

کثیر الوهم

[بذل المجهود ج۳ص۳۷]


6] Anwar Shah Kashmiri Dewbandi Rahimahullah ne kaha

"فهو ضعيف عندي كما ذهب إليه الجمهور“

Pas Wo Hamare Nazdeek Zaeef hai aur zamhoor ka bhi yahi faishla hai

[Faiz ul Baari 3/128]


7] Muhammad Yousuf Banori Dewbandi Rahimahullah ne Muhammad Bin Abi Laila Ko zamhoor ke nazdeek zaeef karar dete hai

[معارف السنن ۲۹۰/۵]

8] Imam Newmi Rahimahullah ne kaha

ليس بالقوي

Ye Qawi nahi hai

[Aasaar Al-Sunan Jild-32 Ka Hashiya]
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Staff Member Hadees aur Uloom e Hadees 0

Similar threads


Top