Sardi Ke Mausam Me Momin Ka Moamina Kirdaar


Sardi Ke Mausam Me Momin Ka Moamina Kirdaar

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab​

Allaah Ka Be Paya Ahsaan Aur Karam Hai Ke Usne Hame Mukhtalif Qisam Ke Mausam Se Lutaf Andoz Hone Ka Mauqah Mayssar Farmaya Mukhtalif Qisam Ke Ya Mawasim Insaani Zindagi Me Husan Aur Latafat Ka Izaafa Karte Hai. Insaani Fitrat Me Jald Bazi Aur Zaahiri Taklif Par Juz'a Faz'a Karma Shamil Hai. Bila Shuba Thandi Me Taklif Aur Pareshani Hai Aur Kabhi Yah Pareshani Bimari Aur Kabhi Jani Aur Maali Nuqsaan Ka Bais Bhi Ban Jati Hai. Is Mausam Me Ham Mushahida Karte Hai Ke Log Bimaar Padhte Hai Aksar Aur Beshtar Bachche Sardi,Khansi, Nazla Aur Zukaam Me Mubtala Ho Jate Hai Kisi Ke Liye Yah Mausam Jani Nuqsaan Ka Sabab Bhi Ban Jata Hai Yahi Wajah Hai Ke Insaan Thandi Ki Un Zaahiri Pareshaniyo Ko Dekhta Hai Aur Is Mausam Ko Kosta Hai,Thandi Ko Bura Bhala Kehta Hai Aur Bahaar Sabar Karne Ke Takleef Ka Izhaar Karta Hai.
Ek Moamin Ka Imaan Hona Chahiye Ke Zameen,Aasmaan,Sun, Moon,Day,Night,Subah Aur Sham Aur Thandi Aur Garmi Ka Khaaliq Tanne Tanha Allaah Hai,Allaah Ne Behtareen Kaarigari Ke Sath Hikmat Aur Basirat Ke Tahat Unko Paida Farmaya Hai,Uski Banaai Hui Koi Chiz Be Faidah Aur Lagv Nahi Hai,Farmaan E Ilaahi Hai:
ربنا ما خلقت هذا باطلا.(آل عمران:191)
Tarjumah:Ay Hamare Rab Tu Ne Yah Be Faidah Nahi Banaya.
Quraan Ne Zikar Kiya Ke Yah Baat Woh Kehte Hai Jo Har Haal Me Khade Hote,Bethte Aur Karwat Badalte Hamesha Allaah Ka Zikar Karte Hai Yani Jin Ki Zindagi Moamina Kirdaar Ka Partu Hoti Hai Zameen Aasmaan Ka Apni Jagah Par Qaaim Rehna Allaah Ki Azeem Nishaniyo Me Hai. Rab Ka Farmaan Hai:
ومن آياته ان تقوم السماء والأرض بأمره.(الروم:25)
Tarjumah:Uski Ek Nishani Yah Hai Ke Aasmaan Aur Zameen Usi Ke Hukam Se Qaaim Hai.
Moamin Allaah Ke Kalaam Par Pukhta Bharosa Ke Sath Yah Baat Bhi Kehta Hai Ke Allaah Hi Raat Aur Din Aur Mosam Aur Saal Ko Lane Wala Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
يقلب الليل والنهار ان في ذللك لعبرة لأولي الألباب.(النور: 44)
Tarjumah: Allaah Hi Raat Aur Din Ko Rado Badal Karta Rehta Hai Aankh Walo Ke Liye To Isme Yaqeenan Badi Badi Ibrate Hai.
Is Se Yah Bhi Maloom Hua Ke Moamina Kirdaar Ke Haamil Afraad Allaah Ki Nishaniyo Se Ibrat Pakadte Hai Raat Aur Din Ka Aana Ho,Sardi Aur Garmi Ka Mosam Ho,Bahaar Aur Khazaa Ka Waqt Ho,Baarish Aur Qahat Saali Ho Un Sab Me Allaah Ki Qudrat Aur Maslihat Par Yaqeen Rakhte Hue Hamesha Nasihate Pakadte Hai.
Yaha Ek Badi Baat Jise Allaama Ibne Kaseer RH Ne Zikar Ki Hai Batana Munasib Samjhta Hu Ke Aap Ne Allaah Ki Makhlooqaat Ke Mutalliq Kaha Hai Ke Jo Un Chizo Ka Khaaliq Hai Dar Asal Wahi Ibaadat Ka Mustahiq Hai. Is Qaul Se Yah Nasihat Milti Hai Ke Moamin Log Allaah Ki Makhlooqaat Aur Us Ki Nishaniyo Me Gaur Aur Fikar Kar Ke Rab Ki Khaalis Bandagi Karte Hai Aur Uske Sath Kisi Ko Shareek Nahi Tehraate Jaisa Ke Allaah Ne Takhleeq E Insaani Ki Wajah Hi Ibaadat Zikar Kiya Hai. Farmaan E Ilaahi Hai:
وما خلقت الجن والإنسإلا ليعبدون.(الذاريات:56)
Tarjumah: Aur Beshak Me Ne Jin Aur Insaan Ko Sirf Apni Ibaadat Ke Liye Paida Kiya Hai.
Aur Saheehain Me Ibne Ibne Masood RA Se Marvi Hai Woh Nabi SAV Se Puchte Hai Ke Allaah Ke Nazdeek Sab Se Bada Gunaah Kon Sa Hai To Aap Farmaate Hai:
ان تجعل لله ندا وهو خلقك.( صحيح البخاري:7520)
Tarjumah: Tum Allaah Ke Sath Kisi Ko Shareek Theraao Halanke Usi Ne Tumhe Paida Kiya Hai.
In Tamheedi Bato Ko Zahan Me Rakhte Hue Ek Baat Yah Zahan Me Rakhne Ki Hai Ke Thandi Aur Garmi Ka Sabab Jahnnam Ka Sans Lena Hai,Abu Hurairah RA Se Marvi Hai Ke Nabi SAV Ne Irshaad Farmaaya:
اشتكت النار إلى ربها فقالت:رب اكل بعضي بعضا فأذن لها بنفسين نفس في الشتاء ونفس في الصيف فاشد ما تجدون من الحر واشد ما تجدون من الزمهرير.(صحيح البخاري:3260)
Tarjumah:Jahnnam Ne Apne Rab Se Shikaayat Karte Hue Kaha:Ay Mere Rab Mere Ek Hisse Ne Dusre Ko Kha Liya Lihaza Allaah Ne Use 2 Sans Ki Ijaazat De Di Ek Sans Sardi Ke Mausam Me Aur Dusra Sans Garmi Ke Mausam Me Is Tarah Tumhe Jo Sakhat Garmi Mehsoos Hoti Hai Woh Jahnnam Ki Garmi Ki Wajah Se Hai Aur Jo Sakhat Sardi Mehsoos Hoti Hai Woh Jahnnam Ke Zamhareer Ki Wajah Se Hai.
Thandi Aur Garmi Ki Wajah Jaan Lene Ke Baad Dusri Baat Yah Dhiyaan Dene Ki Hai Ke Is Mausam Me Moamin Ka Kirdaar Yah Ho Ke Is Mausam Ki Takleef Se Bachne Ka Saamaan Kare Aur Jo Kuch Takleef Is Mausam Me Pohnch Jaae Us Par Sabar Kare,Mausam Ko Bura Bhala Na Kahe Kuy Ke Is Ka Banane Wala Allaah Hai Mausam Ko Bura Bhala Kehna Allaah Ko Takleef Dene Aur Bura Bhala Kehne Ke Mutaraadif Hai. Hadees E Qudsi Hai Allaah Farmata Hai:
يؤذيني ابن آدم يسب الدهر وانا دهر بيدي الأمر أقلب الليل والنهار.(صحيح البخاري: 7491)
Tarjumah:Aadam Ka Beta Mujh Ko Dukh Deta Hai,Is Tarah Ke Woh Zamane Ko Gaali Deta Hai Halan Ke Me Zamana Hu Mere Hi Haath Me Tamam Kaam Hai Jis Tarah Chahta Hu Raat Aur Din Ko Badalta Rehta Hu.
Jab Yah Baat Sahih Hai Ke Thandi Ke Mausam Me Khususan Shiddat Ki Sardiyo Me Ghar Se Nikalna Bhi Dushwaar Ho Jata Hai Ayse Me Wazu Karna,Taharat Ke Liye Gusal Karna,Aur Masjid Aa Kar 5 Waqto Ki Ibaadat Baja Lana Bazaahir Mushkil Kaam Hai Magar Haqeeqi Moamino Aur Nafs Par Qaaboo Rakhne Walo Ke Liye Isme Koi Mashakkat Nahu Hai Balke Lazzat Aur Chashni Hai. Dar Asal Insaan Ko Us Ka Nafs Hi Aasaani Me Bhi Mashaqqat Ka Ahsaas Dilata Hai Jab Ke Koi Shaitaani Kaam Me Agar Bhaari Se Bhaari Mashaqqat Ho Fir Bhi Us Ka Nafs Halke Pan Ka Ahsaas Dilata Hai. Zara Gaur Kare Ke Insaan Ko Intihaai Thandi Me Kisi Bhaari Kaam Ka Badla Bada Kar Diya Jaae To Apne Kaam Me Koi Mashaqqat Nahi Mehsoos Karta Jab Ke Ibaadat Us Par Bhaari Guzarti Hai Woh Kuy? Uski Wajah Moamina Kirdaar Me Kami Aur Us Par Nafs Ka Galbah Hai
Moamin Is Kaam Se Khush Hota Hai Jis Me Allaah Ki Raza Aur Ziyadah Miqdaar Me Ajar Hota Hai Aur Thandi Me Allaah Ki Bandagi Bhi Ziyadah Ajar Ka Baais Hai Abdullaah Bin Masood RA Ne Bayan Kiya:
قال ابن مسعود ان الله ليضحك الى رجلين رجل قام في ليلة باردة من فراشه ولحافه ودثاره فتوضأ ثم قام إلى الصلاة فيقول الله عز وجل لملائكة: ما حمل عبدي هذا على ما صنع فيقولون ربنا رجاء ما عندك وشفقة مما عندك فيقول فإني قد أعطيته ما رجا وامنته مما يخاف وذكر بقيته.(صحيح الترغيب: 630)
Tarjumah: Do Shakhas Ko Dekh Kar Allaah Khush Hota Hai:Ek Woh Shakhas Jo Thandi Raat Me Apne Bistar Aur Lihaaf Se Uth Kar Wazu Karta Hai Fir Jab Namaaz Ke Liye Khada Hota Hai To Allaah Farishto Se Puchta Hai Mere Bande Ko Yah Takleef Bardashat Karne Par Kis Chiz Ne Ubhaara Hai?Farishte Jawaab Dete Hai Ke Woh Aap Ki Rehmat Ka Ummid Waar Hai Aur Aap Ke Azaab Se Darta Hai Allaah Farmata Hai Ke Tum Log Gawaah Rahi Me Ne Uski Ummide Puri Kar Di Aur Jis Chiz Se Khauf Kha Raha Hai Us Se Aman De Diya.
Thandi Me Wazu Ki Takleef Par Allaah Gunaaho Ko Maaf Farmata Hai Aur Darjaat Buland Karta Hai Abu Hurairah RA Se Rivayat Hai Ke Aap SAV Ne Farmaya: Kya Me Tum Ko Na Bataau Woh Baate Jin Ki Wajah Se Allaah Gunaah Maaf Kar Deta Hai Aur Darjaat Buland Farmaata Hai. Logo Ne Kaha:Kuy Nahi Ya Rasoolullaah ! Batlaaiye, Aap SAV Ne Farmaya:
اسباغ الوضوء على المكاره وكثرة الخطأ إلى المساجد وانتظار الصلاة بعد الصلاة فذلكم الرباط.(صحيح مسلم:251)
Tarjumah: Takleef Aur Sakhti Ke Bavajood Mukammal Wazu Karna (Maslan Bimaari Ya Sardi Ki Wajah Se)Aur Qadmo Ka Masjid Ki Taraf Ziyadah Aana Aur Ek Namaaz Ke Baad Dusri Namaaz Ka Intizaar Karna Yahi RIBAAT Yani Nafs Ko Ibaadat Ke Liye Rokna Hai.
Sahih Hadees Se Saabit Hai Ke Jis Ibaadat Me Jitni Mashaqqat Hogi Us Qadar Ajar Aur Sawaav Mile Ga Aaisha RA Bayan Karti Hai:
ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال لها في عمرتها ان لك من الأجر على قدر نصبك ونفقتك.(صحيح الترغيب:1116)
Tarjumah:Rasool SAV Ne Mujh Se Mere Umrah Ke Bare Me Farmaya Ke Tumhe Ajar Tumhari Mashaqqat Aur Kharach Ke Baqadar Mile Ga.
Yaha Yah Baat Waazeh Rahe Ke Jaan Bujh Kar Apne Nafs Ko Mashaqqat Me Dalne Wala Ajar Ka Mustahiq Nahi Hai Balke Woh Khood Ko Halaak Karne Wala Hai,Mashaqqat Wale Amal Ka Matlab Hai Ke Khood Us Kaam Me Mashaqqat Ho Maslan Thande Paani Se Wazu Ki Takleef Ajar Ka Baais Hai Kuy Ke Yah Khood Ki Mashaqqat Nahi Hai Lekin Aag Me Kood Kar Ibaadat Karna Ya Paani Me Doob Kar Aur Zabaan Kaat Kar Zikar Karna Banawti Mashaqqat Hai Is Se Insaan Halaak Hoga Yah Ajar Wala Kaam Nahi Hai Kuch Sufi Ne Ibaadat Ke Waste Aankho Me Namak Lagaane,Kucg Ne Zakar Kaate,Kuch Ne Ek Leg Par Quraan Khatam Kiya Yah Sab Bila Ajar Halaak Karne Wala Amal Hai.
Thandi Me Mashaqqat Wale Amal Par Allaah Ki Taraf Se Ziyadah Ajar Milta Hai Us Wajah Se Moamina Kirdaar Yah Hona Chahiye Ke Ziyadah Shoq Ke Kasrat Se Sujood Baja Laae Jannat Bhi Takleef Bardashat Karne Par Hi Mile Gi Anas Bin Maalik RA Se Rivayat Hai Rasool SAV Ne Farmaya:
خفت الجنة بالمكاره وخفت النار بالشهوات.(صحيح مسلم:2822)
Tarjumah: Jannat Gheri Gai Hai Un Baato Se Jo Nafs Ko Nagawaar Hai Aur Jahnnam Gheri Gai Hain Nafs Ki Khawahisho Se.
Aaj Musalmano Ka Haal Yah Hai Ke Sars Mosam Me Zaati Har Kaam Karte Hai Maadi Mafaad Se Jude Mashaqqat Se Pur Kaam Anjaam Dene Me Bhi Gurez Nahi Karte Yaha Tak Ke Bahut Sare Log Is Mahine Me Mukhtalif Qisam Ke Khelo Me Waqt Guzaarte Hai Taaham Ibaadat Aur Bandagi Had Darjah Un Par Bhaari Guzarti Hai. Had To Yah Hai Ke Aam Dino Ke Bahut Sare Namaazi Is Mausam Me Susat Padh Jate Aur Namaazo Se Gaafil Ho Jaate Hai Ayse Me Hamare Imaan Ke Liye Kya Kuch Nahi Karte Aur Mustaqeel Zindagi Ke Mutalliq Be Parwaah Ho Jate Hai.
Thandi Moamino Ke Liye Mausam E Bahaar Hai Kuy Ke Is Mausam Me Un Ke Liye 2 Vadk Ibaadato Me Allaah Ki Taraf Se Aasaani Paida Kar Di Gai Hai Ek Roze Ki Ibaadat,Uski Aasaani Din Ka Chota Hona Hai Dusro Qayaamul Lail Ki Ibaadat,Uski Aasaani Raat Ka Lambi Hona Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
الشتاء ربيع المؤمن طال ليله فقامه وقصر نهاره فصامه.(مسند احمد)
Tarjumah: Sardi Ka Mausam Moamin Ke Liye Bahaar Ka Mausam Hai Ke Uski Raate Lambi Hoti Hai Jin Me Woh Qiyaam Kar Leta Hai Aur Din Chote Hote Hai Jin Me Woh Roze Rakh Leta Hai.
Garcha Is Hadees Par Muhaddiseen Ne Kalaam Kiya Hai Magar Haqeeqat Yahi Hai Ke Thandi Me Din Chota Hai Aur Raat Lambi Hoti Hai Aur Is Hadees Ke Aakhri Hisse Ki Taaeed Sagih Hadees Se Hoti Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
الغنيمة الباردة الصوم في الشتاء.(صحيح الترمذي:797)
Tarjumah: Thanda Thanda Bagair Mehnat Ke Maal E Ganeemat Yah Hai Ke Roza Sardi Me Ho.
Yahi Wajah Hai Ke Sahaba Kiraam Aur Hamare Aslaaf Is Mausam Ki Aamad Par Khoosh Hote Aur Un Dono Aasaani Wali Ibaadat Ka Ahtimaam Karte The.
Aaj Allaah Ki Taufeeq Se Sardiyo Se Bachne Ke Liye Sekdo Asbaab Aur Wasaail Zahoor Pazeer Hue Hai Wazu Aur Gusal Ke Liye Foran Garam Paani Ki Sahulat,Jisam Ki Hifaazat Ke Garam Kapde Aur Jagho Ko Garam Karne Wale New New Aalaat Maujood Hai Lihaza Ibaadato Ki Anjaam Dene Me Garmi Pohnchane Wale Asbaab Apnane Me Koi Haraj Nahi Hai Sath Hi Shariat Ne Bhi Pehle Hamare Liye Aasaaniya Rakhi Hai. Moze Aur Jurraab Par Masah Karna Aur Nuqsaan Laahiq Ki Surat Me Ya Paani Ki Adam E Dastiyaabi Par Taymmum Karna Jaiz Hai.
Aaakhir Me Sarsi Ke Mausam Me Moamin Bhaiyo Ko Mera Ek Paigaam Hai Ke Agar Allaah Ne Aap Ko Maaldaar Banaya Hai Aur Aap Ko Zaroorat Se Ziyadab Dolat Se Nawaza Hai To Is Mausam Me Yateem Aur Miskeen Aur Mohtaaj Aur Faqeer Ka Bhi Khayaal Kare Aap Ke Paas Thandi Se Bachne Ke Liye Mukhtalif Qisam Ke Jacket,Sweater,Lihaaf,Heetar Aur Umdah Umdaah Garam Kapde Maujood Hai Magar Kitne Ayse Log Hon Ge Jo Sardi Se Joojh Rahe Honge Unke Paas Bachaao Ke Liye Mamooli Saamaan Bhi Nahi Hoga Lihaza Apne Bachat Maal Se Mohtajo Ki Zarooriyaat Puri Kare,Chand Afraad Ya Family Ya Apne Hi Muflis Rishta Dar Ki Madad Kare Chahe Paise De Kar Ya Kapde Taqseem Kar Ke,Istimaal Kiye Hue Kapde Bhi Diye Ja Sakte Hai. Kitne Gareeb Is Month Me Sakhat Bimaar Ho Jaate Hai Aur Ilaaj Ke Liye Paisa Nahi Paate Talash Kar Ayse Logo Ki Bhi Madad Kare. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
من فرج عن مسلم كربة فرج الله عنه بها كربة من كرب يوم القيامة.(صحيح مسلم:2580)
Tarjumah:Jo Shakhas Kisi Musalmaan Se Koi Musibat Door Kare Ga Allaah Us Se Qayamat Ki Musibato Me Se Ek Musibat Door Kare Ga.
 
Top