Sadaqa-e-Fitr Ke Masail


Ahmad

New member
"SADAQA-E-FITR Ke Masail"
-------------------------------------------

πŸ‘‰Kitna Kg Anaj dena chahiye?

πŸ‘‰Kya Paisa bhi de sakte hain Sadqa e Fitr me?

πŸ‘‰Kispe wajib nahi hai?

πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡
----------------------------------------
πŸ‘‰ Sadqa-e-Fitr se muraad Maah-e-Ramadan ke ikhtetaam (end) par Namaz-e-Eid se pehle Fitrana ada karna hai.

πŸ‘‰Sadaqa-e-Fitr ka maqsad khud ko Rozon ke dauran kiye hue gunahon se paak karna aur Miskeenon ke liye khane ka intezaam karna hai.
πŸ“š(Sunan Ibn Maaja-1827)

πŸ‘‰ Is Sadaqe ko Rasoolullah ο·Ί ne har Musalman Mard, Aurat, Bachche, Boodhe, Jawaan, Azad aur Ghulam par Farz qaraar diya hai.
πŸ“š(Sahih Bukhari: 1503)

πŸ‘‰ Jiske Paas Us (Eid ke) din aur raat ke liye apni khuraak se zyada anaaj na ho to us par Sadqa-e-Fitr waajib nahi hai.
πŸ“š(Al-Mughni Ibn Qudama: 4/307)

Sadaqa-e-Fitr me Anaj hi dena Afzal hai, Paisa dena nhi
---------------------------
πŸ‘‰Sadaqa-e-Fitr ki miqdaar:
Iski miqdaar 1 sa'a hai joki ghar ke har fard ki taraf se ada ki jaegi. Jadeed wazan ke mutabiq 1 Sa'a taqreeban 2.5 kg se 3 kg tak banta hai.
πŸ“š(Sahi Bukhari: 1503, 1506, 1508)

πŸ‘‰Jo cheez bataur Sadaqa-e-Fitr ada ki jaye woh khaane ka zariya ho. jaise ki Khajoor, jow, Gehoon, Paneer, Munaqqa waghera.
πŸ“š(Sahi Bukhari: 1503, 1506).

πŸ“Œ Note:
Sadqa-e-Fitr me Jins (anaaj) ki zqeemat ada kar dena sabit nahi hai isliye isse parhez karna chahiye. Kyunki Nabi Kareem ο·Ί ke zamane me naqad qeemat bhi hua karti thi magar woh sadaqa-e-Fitr me jins (Anaj hi dete the) naki Naqad.

πŸ‘‰ Ibn Taymiyah R.a. farmate hain _ "Sadaqa-e-Fitr Roz marrah ki khuraak se ada karna chahiye"
πŸ“š (Majmua Fatawa: 25/35-36).

Kya Paisa bhi de sakte hain Sadqa e Fitr me?
---------------------
πŸ‘‰ Baad me Taba'een ke daur me Jins ke badle Qeemat dene ke Asaar milte hain.
(Dekhiye Musannaf Ibn Abi Shaybah : 10368, 10371)

πŸ‘† Lihaza majboori ki halat me paise ki soorat me bhi Sadqa-e-Fitr diya ja sakta hai lekin Afzal yahi hai ki jins se diya jaye.
-----------------------------------------
πŸ‘‰Sadaqa-e-Fitr Eid ki Namaz se pehle ada karna chahiye.
πŸ“š(Bukhari-1503).
πŸ‘‰ Lekin Eid se ek do din pehle bhi Yeh Sadaqa ada kiya ja sakta hai.
πŸ“š(Bukhari-1511)

πŸ‘‰ Sadaqa-e-Fitr Musalman ki taraf se hi ada kiya jaega. Agar kisi ke walidayn (Parents) Muslim Na hon to unki taraf se ada nahi kiya jaega.
πŸ“š (Fathul Bari: 4/142)

πŸ‘‰ Isi tarah Maa ke pet me jo bacha hai us par Sadqa-e-Fitr nahi hai.
πŸ“š(Kitabul Ijma, Imam Ibn Mundhir: 111)
Forward Kare Allah Ajr dega
 
Top