Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain


Staff Member

Member
Staff member
بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم
Sab Ahle Emaan Bhai Bhai Hain

Tehreer: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
__________________


Allah ﷻ farmaata hain:
إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ إِخْوَةٌ فَأَصْلِحُوا بَيْنَ أَخَوَيْكُمْ ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ لَعَلَّكُمْ تُرْحَمُونَ​
"Beshak Ahle Emaan bhai bhai hain lehaza apne dono bhaiyon ke darmiyaan sulah kara dou aur Allah se dartey raho taake tum par raham kiya jaye."
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا يَسْخَرْ قَوْمٌ مِّن قَوْمٍ عَسَىٰ أَن يَكُونُوا خَيْرًا مِّنْهُمْ وَلَا نِسَاءٌ مِّن نِّسَاءٍ عَسَىٰ أَن يَكُنَّ خَيْرًا مِّنْهُنَّ ۖ وَلَا تَلْمِزُوا أَنفُسَكُمْ وَلَا تَنَابَزُوا بِالْأَلْقَابِ ۖ بِئْسَ الِاسْمُ الْفُسُوقُ بَعْدَ الْإِيمَانِ ۚ وَمَن لَّمْ يَتُبْ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الظَّالِمُونَ​
"Aye Emaan waalon! koi qaoum kisi dusri qaoum ka mazaak na udayen, ho sakta hain ke wo un se behtar ho aur auraten dusri auraton ka mazaak na udayen, ho sakta hain ke wo un se behtar ho, tum ek dusre par aaib na lagaon aur na bure alqaab se kisi ko pukaron, emaan laaney ke baad fasiq hona bahut bura naam hain aur jo log tawba nahi karenge wahi zalim hain."
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اجْتَنِبُوا كَثِيرًا مِّنَ الظَّنِّ إِنَّ بَعْضَ الظَّنِّ إِثْمٌ ۖ وَلَا تَجَسَّسُوا وَلَا يَغْتَب بَّعْضُكُم بَعْضًا ۚ أَيُحِبُّ أَحَدُكُمْ أَن يَأْكُلَ لَحْمَ أَخِيهِ مَيْتًا فَكَرِهْتُمُوهُ ۚ وَاتَّقُوا اللَّهَ ۚ إِنَّ اللَّهَ تَوَّابٌ رَّحِيمٌ​
"Aye Emaan waalon! behat si badgumaniyon se door raho, beshak b'az badgumaniyan gunah hain, ek dusre ki jasusi na karo aur ek dusre ki gheebat na karo, kya tumme se koi shaksh apne murda bhai ka gosht khana pasand karta hain? tum tou us se bura samahjte ho! aur Allah se dartey raho, beshak Allah ﷻ tawba qubool karne waala hamesha raham karne waala hain."
يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُم مِّن ذَكَرٍ وَأُنثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا ۚ إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ ۚ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ​
"Aye logon! humne tumhe ek mard aur ek aurat se paida kiya aur mukhtalif qaoumen aur qabiley bana diye hain taake tum ek dusre ko pehchaan sako, Allah ke darbar mein tumme se sab se ziyadah izzat waala wo hain jo sab se ziyada muttaqi hain, beshak Allah jaanney wala (aur har cheez se) bakhabar hain."
(Surah al-Hujraat: Aayaat 10-13)

Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
"Musalmaan musalmaan ka bhai hain, na wo us par zulm karta hain aur na zulm honay deyta hain, jo aadmi apne bhai ki zarorat puri karega tou Allah us ki zarorat puri karega, jo kisi musalmaan (bhai) ki museebat door karega tou Allah ﷻ qayamat ki museebaton mein se us ki musibat door karega, jisne apne bhai ki parda poshi ki tou Allah qayamat ke din us ki parda poshi karega."
(Saheeh Bukhaari: Hadees: 2442, Saheeh Muslim: Hadees: 2580)

Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
"Ek dusre se bughz na rakkho aur aapas mein hasad na karo aur ek dusre ki taraf (narazi se) peet na pehro aur Allah ke banden bhai bhai ban jaou, kisi musalmaan ke liye halaal nahi hain ke wo apne bhai se teen raaton se ziyada boycott kare."
(Muatta Imam Malik Riwayat Ibne Qasim Bit'Tehqeeq: 4, Saheeh Bukhaari: 6076, Saheeh Muslim: 2559)

Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
"Ek dusre ke saath muhabbat, ulfat aur raham karne ki misl ek jism ki tarha hain, jab is ka ek aazah(hissa) bimaar hota hain tou sara jism is ke liye buqaar aur bedari ke saath takleef mein rehta hain."
(Saheeh Muslim: 2586 Wal'lafz Li, Saheeh Bukhaari: 6011)

Ek Saheeh hadees mein aaya hain ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
"Aye (saari duniya ke) logon! sun lo tumhara Rab ek hain aur tumhara baap ek hain, sun lo! kisi arabi ko kisi ajmi par, kisi ajmi ko kisi arabi par, surq ko kaaley par aur kaaley ko surq par koi fazilat nahi hain siwaye Taqwa ke, kya maine tumhe pohchaa diya? logon ne kaha: Rasoolullah (ﷺ) ne pohchaa diya, phir aap ne farmaya: aaj kaunsa din hain? logon ne kaha: hurmat wala din (jummah) hain, phir aap ne poochaa: yeh kaunsa mahina hain? logon ne kaha: hurmat wala mahina hain, phir aap ne poochaa: ye kaunsa shehar hain? logon ne kaha: haram (makkah) hain, Aap (ﷺ) ne farmaya: Beshak Allah ne tum par tumhare khoon aur amwaal haraam qaraar diye hain, rawi ne kaha: mujhe maloom nahi ke aap ne izzaton ka bhi zikr kiya tha, aaj ke din ki tarha is (hurmat waley) mahine mein, is (hurmat waley) shaher mein, kya maine pohchaa diya hain? logon ne kaha: Rasoolullah (ﷺ) ney pohchaa diya hain, aap ney farmaya: hazir ghaib tak pohchaa dey."
(Musnad Ahmed 5/411 Hadees 23489 Wa Sanadahu Saheeh)

Maloom huwa ke Deen e Islam mein arabi ajmi, kaaley goorey, pathaan punjabi sindhi balochi, pakistani hindustani aur mulki gair mulki ka koi masla nahi hain balke sab ahle emaan bhai bhai hain lekin tabahi hai hain in logon ke liye jo musalmano ko firqon aur tukdiyon mein baantna chahatey hain.

Ishaatulhadith Shumarah: 47 Safa: 2-3
 
Top